Online Question & Answer System   

Homepage

View Topic Wise Questions

Ask Question

Search Question

 

 

  Topic:  Nigah Dalnay kay Aehkaam

  Ques. ID 2910

Print   

  Question Kaya Islam main kisi Larki say payar karna jaiz hai ya nahin plzz detail say batain.thank you.  
  Country  Faisalabad - Pakistan
  Answer Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hay kion ke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani 2) Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai.Isi terah merd k liay sirif aurat k chehray or hathaylioon(palms) per lazzat k baghair nazar daalna jaiz hay is k ilawa baqi jis or baal per nigaah kerna haraam hay.(Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani(d.b)Prob No 2397).  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 2561

Print   

  Question Asalam alaikum, mera sawal aap say yeh hai kay kya biwi shohar say jaaiz shartain manwa sakti hay jaisa kay maa kay ghar haftay main ek bar jana? uskay shohar say time, attention aur ghar main moral support mang sakti hay ??kya shohar say yeh umeed rakh sakti hay kay woh biwi kay ma baap ko apnay maa baap samjhay aur unki izaat karay jaisa kay woh karti hay?aur kya rishtay main compromise aur kurbani sirif biwi deti hay?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Nikha k waqt jaaiz hay k lerka or lerki wo shartain jo islam main jaiz hain taay karsaktay hain.or jo ye shart qabool ker raha ho(larka ya lerki) os k liay wajib hay k in shartoon ko poora karay.(maslam agar aurat ye shart lagaay k ghar k kaam kaaj k liay mulaazma dee jay tu shohar k liay wajib hoga k os ko mulaazma dee jaay,laikin agar wo aisa nah karay tu gunah gaar hoga laikin nikah per koe asar nahi perhay ga. Agar shart maqsad e nikah hi ki mukaahlfat main ho tu shart or nikah dauno hi baatil hain. Maslan agar aurat ye shart lagaay k oska shohar os say jima / hambistari or dosri lazaat hasil nahi karay ga. Yaad rahay k in tamaam shartoon per amal kerna os waqt wajib hay jab nikah k waqt ye shartain taay hoe hon,nah k nikah k baad. Jahaan tak is baat ka sawal hay k aurat ka apni maan k ghar jaana tu bivi ka apnay shohar ki ijazat k baghair ghar say bahar nikalna hi haraam hay ,siwaay is sorat k oska ghar main rehna os k liay nuqsaan ka sabab ho ya bohat ehem zururat paish aajay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen, maslah #330-331, Tauzee hul masail, maslah#2376)  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 2261

Print   

  Question Assalaamualaikum. Janab quest ye hai ke hume koi achchha lagai, usse hume pyar ho jaye ya just wo pasand hai usse baat karna achchha lagta hai ye sahi hai? And is quest ka jarur answr dena bcoz ye main apne other friends ko bhi samjhaunga. Kya pyar karna gunah hai? Aur kyun gunah hai plz answer id details.. :-)  
  Country  Delhi - India
  Answer w.s., mard k liye na-maheram aurat ka jism dekhna aur isi tarah us k balo ko dekhna khwah lazzat k irade se ho ya is k bagair, haram me mubtela hone ka khouf ho ya na ho haram he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2442) Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Aqai Sistani (d.b.)  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 2184

Print   

  Question agar kisi aurat ko dekh kar shehwat bedar hone lage tu yeh haram hain kia?  
  Country  islamabad - pakistan
  Answer bismehi taala, mard k liye na-maheram aurat ka jism dekhna aur isi tarah us k balo ko dekhna khwah lazzat k irade se ho ya is k bagair, haram me mubtela hone ka khouf ho ya na ho haram he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2442)  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 2129

Print   

  Question mera sawal ye ha k mery sath aik larka perhta ha jo mera best friend b hai wo bht acha ha 5 wqt namaz baaqaidgi se perhta ha mae r wo aik dosry ko pasand krty hain r shadi krna chahty hain usky ghr waly b razi hain bs wo apny paon pr khara hony ka intizar kr raha ha,wo kbi kbi mjy touch b krta ha wo khta ha k mae ne sachy dil se tmy apni shaik-e-hayat maan lia ha isliy ab mae tmy pyar kr skta hon k hm mian bivi hain to kia ye pyar krna r touch krna jaiz ha?  
  Country  wah - pakistan
  Answer bismehi taala, Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani 2) Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 2392 (na-maheram ko chune ki to hargiz ijazat nahi he aur yeh bahot bade gunah ka kam he, jabani payar-mohabbat ki bato se kisi qisma ka rishta qaim nahi hota, shariyat k bayna karda hudud se bahir niklna dunya aur akherat ki barbadi ka sabab banta he)  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 1530

Print   

  Question salamun aliykum my question is that a boy (mard) can do homosex (hastmethun) plz dont allow my mail address or name plz & what up to any muslim women as no control as young or what to do if see any girl and feel to do sex? but not married what to do not understanding.&plz reply fast  
  Country  Bhavnagar - india
  Answer B.T. ek mard ko dusre ka badan lazzat ki niyyat se nahi dekhna chahiye aur ek orat ka dusari orat ke badan ko lazzat ki niyyat se dekhna bhi haram he. isi tarah agar haram kam me mubtela hone ka khof ho tab bhi dono surto me haram he. jo shakhas shadi na karne ki wajah se haram feal me mubtela hota ho us par wajib he ke shadi kare. (tawzihu masail, Aqai Sistani d.b. masaala no. 2397 & 2402)  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 838

Print   

  Question assalamu-e-laikum wahrehmat ullah janab aleem saab ek sawal hai aurat ku ghalat nazar se dekhna gunma hai to kya aurat agar mard admi ko dekhe to gunah hai ya nahi?  
  Country  hyderabad - india
  Answer Salam un alaikum Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 2392  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 210

Print   

  Question salam;internet per nangi larkiyon ko lazzat ki nigah se dekhna kaisa hai??(i m girl).....thanx  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Salam un alaikum, Aisa karna haraam hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2442  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 209

Print   

  Question Kia internet per barehna larkiyon ki tasaveer ko lazzat ki nazar se dekhna haraam hai?  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Salam-un-Alaikum, Mazkoora soorat mai nazar karna "Haram" hia. Ref: Tauzeeh ul masail Aqai Sistani Prob no 2442  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid -- None --  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 206

Print   

  Question internet per nangi larkyon ko luzzut ki nazar se dekhna kaisa hai?(i m girl)  
  Country  karachi - pakistan
  Answer Salam un alaikum, Aisa karna haraam hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2447  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 189

Print   

  Question salaam, TV ke programs me na-mehram ka achanak agar aisa scene aajaye jis me shoulder wagaira khulein ho to lazat ke bagair nazar karne ke bare me kya hukam hai ?  
  Country   -
  Answer Salam un alaikum, Agar lazzat ka qasd na ho aur haraam mein mubtala honay ka khauf na ho to koi ishkaal (haraj) nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2443  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 174

Print   

  Question Salaam Alaykum, Kya koi aurat lazat ke qasad ke bagair tv ke drame ya koi aur program dekh sakti hai jab ke aksar aukaat koi aisa scene aa jata hai jis me na-mehram ka shoulder ya girebaan wagaira khula ho ?  
  Country   -
  Answer Salam-un-alaikum, Ahtiat-e-Wajib ki bina par aurat ka Na-Mehram key chehrey hathon ,sar aur gardan aur pairon key ilawa baqi badan par lazzat key qasd key baghair bhi nigah dalna haram hai. Ref: Tauzeeh Aqa-e-Khoi Prob no 2442  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 130

Print   

  Question Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer W salam Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

  Ques. ID 129

Print   

  Question Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).  
  Country  Karachi - Pakistan
  Answer W salam Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     
  Ques. ID 79

Print   

  Question I AM MUQALIDA OF AAYAT-UL-ALLAH KHUI MY QUESTION IS AURAT MARD KE KONSE AAZA(BODY)DIKH SAKTI HAI BAGEER KISI LAZAT KE TV ME AUR PICTURE {TASVEER} ME.  
  Country  karachi - pakistan
  Answer w salaam, We are extremely sorry for the very late reply. This was because of some site functional probelems. We will try our best for the quick responce later, Insha allah. Aurat ka na-mehram key chehray (face), hathoon (hands), sar aur gurden (neck), legs ka lazzat key bagair daikhna jayez hay, agar-che behtar hay keh aisa na kiya jaye. Lazzat key saath in aaza ko daikhna ehtiyaat kee bina par haram hay. Ref: Tawzeeh ul Masail, Masla No. 2442  
  Topic  Nigah Dalnay kay Aehkaam
  Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie  
  Answered By  Quran-o-Itrat Academy 
     

Copyrights © 2006-2007 reserved for Qoitrat.org.
Email: info@qoitrat.org