Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Rozay Ke Ahkam (309 Questions)


Showing 0- 50 questions from 309 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
112
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-20

Question: kiya rozay main miya biwi aik dosaray ko kiss wagara kar sakthay hai

Answer: Agar koi shakhs rozay ki haalat main ,MANI nikalnay k iraday k baghair apni bewi ko kiss karay to MAKROOH hay aur agar MANI nikalnay ka irada ho to roza Batil ho jaey ga.

Print

Id:
123
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-21

Question: 1)mairi walda kai 10 sal kai rozay qaza hain,wo rakh nahi saktien us ka kafara kiya hai or miqdar us ki kitni banti hai?

Answer: Agar aurat jaanti ho k Roza us par Wajib hay aur is ki qaza bhi wajib hoti hay aur baghair uzr k Roza na rakhayto us par qaza k saath kaffara bhi wajib hoga aur sirf pehlay saal qaza na karnay ka Fidya bhi dena hoga.Aur Kaffaray k liye 60 Miskeenoo ko 750gm Gandum denaa kaafi hoga Aur Fidya k liye 750gm Gandum kisi Faqeer ko dena kaafi hoga.Aitiyaat-e-Wajib ki bina par Kaffara ka yehi hukum hoga agar wo Jahil-e-Muqassira hoaur Rozoon k mutalliq taraddud main ho.Haan Agar woh Roza wajib honay k baray main na jaanti ho aur Jaahil-e-Muqassira bhi na ho to us par sirf Qaza karna wajib hay.Aur agar us k liye Rozay rakhna mumkin na ho to usay chahiye k wo aisay shakhs ko wasiyat kar jaey Jis par bharoosa ho k Us ki Wafat k baad wo is k roozoon ki Qaza Karwaey ga.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
184
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: salaam, mujh per kuch rozoon ke kaffare wajib hain aur me chahti hoon ke woh sath(60) faqiroon wala aada karoon laikin mere liye bohot mushkil balke taqreban na mumkeen hai ke ye sath(60) faqiroon ko dhundh ker khana khila sakoon to kya me aisa kar sakti hoon ke kissi aik family ke afraad ke mutabik mahine(month) ke rashan ke jitne paise bante hain pake huwe khane ke badle dedon ya shariat me koi aur tarika agar ho to please mujhe batain jis family ko me daina chahti hoon woh sadaat hain aur un ki income un ke kharch se bohot kam hai aur is me shoher biwi aik pandra(15) saal ki larki aur 3 chote bache hain to in ka kis tarha se hisaab hoga. Aur mujhe sare rozoon ke kafaare inhi ko daine hain to puri rakam aik sath de sakti hoon ? aur kya in ko batana wajib hai ke kaffare ke paise hain ya aise hi madad ke hisaab se desakte hain ?

Answer: Salam-un-alaikum

Aap key liye jayez nahi hay keh kisee aik shaks ko aik rozay ka kaffara 750 grams (3 paao) sey ziyada dein. Haan, aap aik faqeer ko har rozay key kaffaray mein 750 grams dey saktay hein. Kaffaray mein khana hee daina zaroori hay rakam kee ijazat nahi hay. Unhein yeh batana zaroori nahi hay keh yeh kaffara hay. Agar aap ko 60 faqeer talash karney mein probelem ho rahi hay to aap QURAN-O-ITRAT ACADEMY sey rujoo kar sakti hein.

Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Probe No. 1695

Print

Id:
198
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-24

Question: Salam mere do sawalt hai 1) Eid kai din roza kyun haram hai? 2)jisam kai kon kon sai jaghon kai baal katna jaaiz hai? shukriya wsalam

Answer: Salam un Alaikum,
1) Eid key din rozay key haram honay key baray mein
masoomeen(a.s) kee riwayaat maujood hein.
2) Darhi key elawah jism key baqi baal katna jayez hay.

Print

Id:
214
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: salam un alykum mera sawal yeh hay kay rozay ki halat main jumay ki namaz main attar kaproon pay laga ho tu masala tu nahi hay yah none alcolic perfume laga hoto namaz yah roza kabool hay.shukria

Answer: Salam un alaikum,

Is mein koi haraj nahi hay.

Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Swalaat (Roza) Ques. NO. 172

Print

Id:
215
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: salam kya rozy ki halat main nono alcolic perfume yah atta kaproon pay laga sakty han namz ho sakty hay

Answer: Salam un alaikum,

Is mein koi haraj nahi hay.

Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Swalaat (Roza) Ques. NO. 172

Print

Id:
217
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: Salaam, jo roze bohat pehle ke kaza hain jin main fidya bhi dena hota hai kya zaroori hai ke jis din roza rakha ho fidya usi din den agar kuch roze rakh liye hon aur fidya abhi nahi diya ho to kya phir kisi din de sakti hun aur fidya jis ko den kya us ka isna ashri hona zaroori haiaur kya kayi fidye aik waqt me kisi aik fard ko de sakti hun.

Answer: Salam un alaikum,

Fidya baad mein bhi dey saktay hein, usee din daina zaroori nahi hay. Jisay fidya diya jaye us ka isna ashri hona zaroori hay.

Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Roza) Ques. No. 98

Print

Id:
224
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: If one is fasting and realizes he forgot to take medicine perscribed by a doctor, should he break his fast to take the medicine? Or, is it allowed for him to take his medicine and keep the fast?

Answer: Salam un alaikum,

If medicince is necessary i.e if you will not take the medicince it will be very harmful for you then it is premisbile to break the fast. Then you have to do qaza of this fast.

Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Roza) Ques. No. 23

Print

Id:
231
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: i want mahe ramzan questions to conduct quiz in my masjid.pl give me as early as possible.

Answer: Salam un alaikum,

We only answer fiqhi questions. If you want to condunt quiz about ramzan, you can use our published book i.e "Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalat (Roza)" which is available at our site also.

Print

Id:
240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: Assalomoalikam< If someone can do relation with her wief if she has performing some Mustaheb Roza what will she do, her Roza will be over or what else ?

Answer: Salam un alaikum,

Agar aurat key mustahib roza rakhnay sey shohar kee haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hay aur ehtiyat-e-wajib yeh hay keh agar shohar kee haq talfi na ho tab bhi us kee ijazat key bagair mustahib roza na rakhay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 1749)

Print

Id:
245
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: Salam.. well my question is that if we are sick like the patient of diabities so during the fasting doct has advise us to take the injuction so will this effect the fasting?if we take a injuction it wil effect or not ..?? please tell me about this ...i will thankful to u.. ALLAh hafiz

Answer: Salam un alaikum,

It will not effect the fasting.
Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Roza) Ques No. 19

Print

Id:
251
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: I am defence person. My home is in Rawalpindi and now a days I am living in peshawar from last 3 years due to duties. One day I went to Rawalpindi (Home) for 3 days. After 3 days I came back in Peshawar, but after 2 days I again went to Rawalpindi (Home). Question is waht about my prayers, is it "QASAR" or "FULL" also what about my "FAST" (Roza). Thanks.

Answer: Wo shakhs jo kaseerus Safar ho yani ziada safar karta ho chahay is ka pesha safar say wabasta na ho jaisay wo shakhs jo haftay(week) main teen(3) din safar main guzaarta ho chahay is ka safar tafreeh ya sayahat kay liye ho aisay shakhs kay liye zaroori hay kay apni namazain poori parhay aur safar main rozay bhi rakhay.aur agar wo kaseerus safar na ho to hadd-e-tarakhus kay baad wo namazoo ko qasr anjaam day ga aur roza bhi nahi rakhay ga bashart ye kay namaz qasr honay ki baqi sharait bhi maujood hoon.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.209.

Print

Id:
252
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: Salam, can a Rozadar injected,if it was not provide any kind of energy? During fasting the use of perfume,talcumpowder and itar is allowed however smelling of such things is prohibeted?

Answer: Salam un alaikum,
It is premissible to use all types of injections.Perfumes,
talcumpowder and itar are allowed during fasting.
Ref: Mujtahid Se Pooche Gaye Sawalat (Roza) Ques No.19,172

Print

Id:
258
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: salam ale kum, kya roze ki halat mei namaz e jumma mei atar lagana jaez hai.thanks

Answer: Salam un alaikum,
Itar ka lagana rozay ko batil nahi karta hay.
Ref: Mujtahid Se Pooche Gaye Sawalat (Roza) Ques No. 172

Print

Id:
276
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: SALAM! I LIVE IN KARACHI,WHETHER I HAVE TO PERFORM AN EXTRA KAZAA ROZA THIS YEAR?

Answer: Salam un alaikum,
Ramazan aur Eid key chand ka faisla aap key apnay yaqeen par hay. A.Sistani ka jo ufuq ka fatwa chand key hawalay sey hay agar aap ko us lehaz sey yeh yaqeen aa jaye keh ramazan shuru ho chuka tha aur aap ney roza nahi rakha tha to rozay kee qaza karni paray gee, warna qaza wajib nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Topic: Rozay Key Ahkaam

Print

Id:
638
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: assalomaliakum suna hey rozey ki halat mein toothpaste nahin kar saktey jabkey moo mein itni badbu rehti hey kya subah uth kar kya eik martaba brush nahi kar saktey. Doosra sawal kya rozey mein kajal ankhoo mein laga saktey hey aur kya oil/teil ki malish baloo mein kar saktey hein rozey mein

Answer: 1:Aankh main dawa daalna aur surma lagana jabkay is ka maza ya boo halaq main pohunchay to ye makrooh hay...2:Agar brush par maujood paste waghaira halaq tak na pohunchay to brush karna sahih hay aur roza bhi sahih hay,albatta brush karnay say khoon nikal aaey to ye makrooh hay...3:Sar par teil malna jaiz hay aur roza sahih hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.1629,Book-Roza Q.No.170,I-33.

Print

Id:
785
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: Salam i wanna ask the question that k roze mai injection ka kia hukum hai

Answer: Salam un alaikum
Aisa karna jaiz hai aur is mai koi haraj nahi hai.
Ref:Mujtahid se Pooche Gaye Sawalat Part Roza Question no 19

Print

Id:
826
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar daaNtoN se KHoon ata ho (aur yeh bimaari bohat purani ho), to roze par is ka kya asar paRe ga?

Answer: Agar daantoo ki reekhoon say nikalnay wala khoon luab-e-dahan say makhloot hokar khatam ho jaey to is luab say parhaez laazim nahi hay.Agar Khoon luab-e-dahan say makhloot na ho to jab tak usay niglay ga nahi Roza batil nahi hoga.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.97,1554,Pg.No.28,240.

Print

Id:
829
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamun Alaikum,Rozey ki halat main hair colour ka istemal kerna kaisa hay

Answer: Rozey ki halat mai hair colour karna JAIZ hay

Print

Id:
839
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalamu-e-kum warehmat ullah janab aleem saab rozy ki halat me agar koi zohar ki namaz ke baat apni ya ghare aurat saat khel sakta hai ya nahi

Answer: Salam un alaikum
Rozey ki halat mai apni biwi k sath cher char karna Makrooh hai aur agar Mani nikalne kay irade se yeh kaam kia jaye to us ka roza batil hojayega.Jabke Gair aurat k sath yeh amal Mutlaqan Haram hai aur us shakhs par Qaza aur Kaffara dono wajib hain.
Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 1629 & Mujtahid sey Pooche Gaye Sawalat Question No.29

Print

Id:
1019
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya hum rozay main kushboo (attar) laga saktay hai? aur mera hafza kamzoor hai mugay koi wazifa bataii joo main wird karoo aur hafiz ban gaooo plzz

Answer: Salam un Alaikum
1)Ji Haan lagasaktay hain is se Roza BATIL nahi hota.
2)Hafza Barhane kay lie in Umoor ko anjam dia jaskata hai
A)Quran Parhna Specially Ayat ul kursi parhna B)Namaz e Shab Parhna C)Durood Parhna D)Miswaak Karna E)Shehed(Honey)Khana
Ref:Book Mujtahid se Poochay Gay Sawalat Book Roza Ques.No 172 & Book Adaab ul Mutallimeen

Print

Id:
1020
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: rozay main niswar ka kya hukum hai

Answer: Agar ye Halaq tak pohunch jaey to Roza Batil ho jaey ga.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala 1003

Print

Id:
1081
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.kesi ka mustahib roza ho or koi pani de ashe he isrrar na be kare tab be pani pe sakhte hain ya mana be kar sakhtye hain

Answer: Mustahib Rozay ko Ikhtitaam tak pohchanaa zaroori nahi hay.(lihaza agar aap chahain to mana bhi kar saktay hain aur chahain to pee bhi saktay hain).Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala 1718.

Print

Id:
1349
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: salam i have a question that k agar may nay ghusal haiz sahi nahi ki hay to 2 saal bad mujay pata chala hay ab us ursay may jo namaz our roza may nay rakka hay us ka kia ho ga our kia kaffara be hoga ya nahi plz answer me as soon as possible

Answer: Ghusl-e-Batil main parhi gaee namaz batil hay aur is ka iaada(repeat) ya qaza karna wajib hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae Q.No.212...Agar masala maloom karnay main kotaahi na kee ho to rozoo main sirf qaza hay warna Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par kaffara bhi day.Ref:Jadeed Masail-2 Pg.No.92.

Print

Id:
1753
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam au alaikum mera sawal ramzan key rozey key barey main hai ke yahaan per hum log kabhi kabhi bohat mushkil main per jatey hain kei ah le sunnat key loug hamarey saath kam kertey hain un main saudi bhi hain aur maghrib key waqt apney aap ko chupana mumkin nahin rehta tou kia hum unkey saath roza iftaar ker saktey hain aur ager nahin tou dosri sorat main rozey chournain parein gey please jawab dain

Answer: w.s. waqt se pehle iftar karna jaiz nahi siwaye us soorat me k aap ko kisi khatre ya shadeed zarar ka khouf ho. aur agar shadeed zarar ya khatre ki wajeh se aapne roza waqt se pehle khol liya to is ki qaza karni padegi. aur agar agle sal k mahe ramzan k aane taq qaza n ki gaee to qaza k sath har roze ke ewaz fidya bhi dena hoga. (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part:roza page 20 pub. bay Quran-o-Itrat Academy)

Print

Id:
1996
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia mani nikalne se roza tooth jata hai?

Answer: b.t. jee han. roza todne wali cheezo me se ek istimna bhi hain.

Print

Id:
2117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salaams I have been residing in Khobar, Saudi Arabia for four months. I will go back to Karachi, Pakistan, my home country for vacation of 20 days during Ramadhan. I just wished to know that if there is difference in lunar dates (one day ahead or one day behind), which date should I follow? Also, what is the procedure for fasting if I have to fly BEFORE magrib in Khobar and if i reach AFTER fajar in Karachi on the next day? If for e.g., I fly out from Saudia on Wednesday 26th Ramadhan evening, before Magrib time and reach Karachi on the morning of next day Thursday after fajar time in Karachi, will I keep a fast on Wednesday & Thursday or do qadha fast later for these two days? Also,when I land in Pakistan, according to me, it would be 27th Ramazan, but in Pakistan according to the dates being followed there, if it is 28th Ramazan or 26th Ramadhan on Thursday when I land in Karachi, which date will I follow? How many more fast will I need to keep?

Answer: w.s. 1) agar aap zohar k baad safar karte he to zaroori he k ahteyat ki bina par apna roza pura kare 2) agar aap zohar se pahele apne watan pahonch jaye aur koi aysa kam na kiya ho jo roze ko batil karta ho to zaroori he ke us din ka roza rakhe. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1730 & 1731) 3) vatan k ufuq k eatebar se hi roza rakhe chahe 31 roze hi kyun na rakhne pade. (ref: mujtheed se puchhe gaye sawalat part : roza Aytullah Seestani (d.b.) pub. bay quran-o-itrat academy)

Print

Id:
2157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: assalamo alaikum,mera question yeh hai kay main taqreeban 2 months pregnant hoon,or abhy ramzan ka month aaraha hai,to rozay kay baray main poochna tha kay kya main rozay rakh sakty hoon,i know kay ye wajib rozay hain but abhy pregnancy bohat initail stage pay hai,or yahan roza subah 4.30 say shroo hoga or 9.00 pay khatam hoga,to main sirf yeh poochna chahty hoon kay main roza rakh sath hoon pragnancy main ya nahin,issay mery pragnancy pay koiasar to nahin paray ga or if para to mujhpay koi gunah to nahin hoga,yeh mery 3rd pragnancy hai meray mashallah 2 bachay hain,plz mujhay reply dijye,if doctor say poocha to woh to mana hi kartay hain,allah appki salmti rakhay,wassalam.

Answer: w.s. agar roza rakhne ki wajah se maa ko apane bachche k liye zarar ka khouf ho aur us ka khouf oklaee wajah se ho to phir us par roza tark karna wajib he warna roza rakhna wajib he. (ref: istiftaat k jawabat Aytullah Khamnaie (d.b.) part 1 page no.216)

Print

Id:
2182
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam O Alykum Mera sawal ye hay kay mera 7th month chal raha hay mainay khuch time pehlay ultrasound kar wai thi Dostor nay kaha kay baby week hay or uski growth bohat slow hay kya main Ramzan kay rozay rakhun gi qaza to main InshALLAh jaldi hi rakh lungi magar kya mughay ye rozay rakhnay lazm hain please jaldi explain kar dain

Answer: bismehi taala, agar kisi bade nuqsan ka andesha na ho, aap ki apni zat ya bachche ko koi jani khatra bhi na ho aur doctor ne mana bhi na kiya ho to roza rakhne me koi haraja nahin he, albatta agar is qisam ka zarar ho jo aam tor se bardasht na kiya jata ho to roza rakhna saheeh nahi he aur agar woh zarar mout ya is jaysi kisi cheez ka sabab ban raha ho to phir roza rakhna haram he. (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part: roza Aytullah Seestani (d.b.) page no.80 pub. by quran-o-itrat academy)

Print

Id:
2192
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A.O.A. i am a sugar patient. age 47, male, cannot bear hunger for a long time. sugar becomes low. cannot keep the fast for a long time. Rozay na rakhnay ka kia kaffara ho ga. thanks

Answer: w.s., If the matter of fasting, or cause him embarrassment is not usually a strong and continued to fall in the last Ramadan, the judiciary and the ransom Ojpt enough to feed one poor person to pay for each day 750 grams of bread or rice or flour. (ref:www.sistani.org/arabic/al-soumul mareez/q1)

Print

Id:
2263
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ASSALAM ALIAKUM JANAB MUJHEY FEB 2009 ko dengi hogaya tha uskey baad mujhey bawaseer (PILES)ki bemari hogai hai.mujhey fazle key saath khone araha hai is soorat mey mujhey takleef bhi bohut hai kya mai roozey rukhskta hoon ya nahi plz mujhey jald sey jald jawab dejieyga

Answer: w.s., meayar yeh he k agar roza rakhna nuqsan ka baes ho ya roza rakhne me shadeed haraj ho to toza choda ja sakta he albatta sehtmand hone k baad us ki qaza karni hogi aur ek sal tak qaza me taakhir ki soorat me qaza ke alawa har roze k ewaz fidya bhi dena hoga. (ref: www.sistani.rog/arabic/soumul mareez/q5)

Print

Id:
2268
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam : BSRM, Agar kise aurat ka bacha 4 mah say kam ho aor woh abhe apne man kay dudh ka alawa koie aor cheez naheen peet. to ase aorat kay bara main ROZA ka kaya hukam hay woh roza rakhe ge ya naheen. aur aya inke sirf kaza kara ge ya fidia bhe da gee.

Answer: w.s. jo aurat bachhe ko dudh pilati ho aur us ka dudh km ho agar us ka roza rakhna khud un k ya dudh pine wale bachhe k liye muzir ho to us aurat par roza rakhna wajib nahi aur zaroori he k har din k ewaz ek mudd taam faqeer ko de aur jo roze na rakhe hon un ki qaza karna zaroori he lekin ehtiyate wajib ki bina par yeh hukm us soorat me he jab k bachhe ko dudh pilane ka inhesar isi par ho lekin agar bachhe ko dudh pilane ka koi aur tariqa ho to aysi soorat me is ka hukam sabit hone me ishkal he (ref:tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1738)

Print

Id:
2271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: salam,mear sawal yeh hai k mai 9 month pregnant hoon,muje lagta hai k mera roza rakhna merey bachey k liye nuksandey hai. to ager mai roza nahi rakhti to kia muje qaza k sath fideya b dena hoga. iltamas-e-dua

Answer: w.s. jee fidya bhi dena hoga. (ref: istiftaat k jawabat part: ibadat Aytullah Khamnaie (d.b.)

Print

Id:
2274
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Assalam O Alaikum, Roza kin kin cheezon se toot jata hai? 2). Mere dantoon (teeth) se aksar khoon (blood) nikalta hai khasoosan jab so kar uthta hoon.. To main roza kaisy rakhoon.. jab dantoon per ungli lagy tab bhe khoon nikalta hai.. aise soorat mein mujhy kia kerna chaheye? please reply as soon as possible

Answer: w.s., munh se khoon niklane se roza batil nahin hota lekin yeh wajib he k khoon ko halq tak na phonchne de. (ref: istiftaat k jawabat part: ibadat Aytullah Khamnaie (d.b.) q.759)

Print

Id:
2278
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam o ALikum kia Ayatullah Seestani k mutabiq Rozay me Pani me sir dubooney se roza baatil nahi hota???

Answer: w.s., jee is se roza batil nahin hota.(ref: mujtahid se puchhe gaye sawalat part : roza Aytullah Seestani (d.b.) page 36 pub. by quran-o-itrat academy)

Print

Id:
2279
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam , app ney q id 2278 main kaha k sar doboney sey roza batel nahi hota,,lakin ayet uulAllah sistani ki tozee main pani main sar dobona mobtalatey roza main ha,...to ess ki wazahet karen ,ws hamid shah , Gujrat

Answer: w.s. tawzihul masail me alfaz he k "mash-hoor qol ki bina par" jab k Aytullah Seestani (d.b.) ka nazriya wahi he jo jawab me bayan kiya gaya he.

Print

Id:
2280
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: salam, meri walda bimar hain or wo rozey nahi rakh sakti ti, or na us ki qaza ada ker sakti hain, asey mai un k liye kia hukum hai. iltamas-e-dua

Answer: w.s., agar roza rakhne me zarar ka khouf he to roza rakhna wajib nahi he balke jaiz nahi he aur bimari ki wajeh se roza rakhne par qadir nahin thi to qaza wajib nahin he. (ref: istiftaat k jawabat part : ibadat Aytullah Khamnaie (d.b.) q.739 & 755)

Print

Id:
2292
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Roze main Fajar ki namaz ke baad agar koi cheez hichqi ke saath halaq main aa jae aur pata na ho ke thook hai ya kuch aur wo chiz halaq se utar ne se pehle pata chal jae ke wo thook nahi hai aur wo cheez halaq main atak jai pura din halaq main atki rahe iftaar tak aur iftaar ke baad pani ke saath uter jae to kya roza theek hai?

Answer: bismehi taala, aap ka roza saheeh he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1658)

Print

Id:
2334
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalamoalikum mera sawal ya hy k agar roza main neend main fajir k bad anzal (akhtalam) ho jay to gusal ho jay ga ya roza kholny k bad dobara gusal karna pre ga ok kia namazain bhi ho jain gi plz rpl as soon as possible

Answer: w.s., jee ghusal ho jayega balke namaz qaza hone se pehle ghusal kar k namaz padhni hogi (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642 & 351)

Print

Id:
2338
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ASSALAM-E-ALAIKUM.. YE POCHNA HAI K FIDYA DENE KA KYA HISAB HAI? KITNA DENA HOTA HAI..??

Answer: w.s., roze me jo baaz soorto me fidya dena hota he woh ek mud taam yaani k taqreeban 750 gram (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) page 432)

Print

Id:
2341
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam, kiya rozy me baal or nakhoon katny ki ijazat hy ya nahi.or kiya rozy me ghair zaroori baal katny ki ijazat hy?

Answer: w.s., in chizo se roza batil nahin hota (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1581)

Print

Id:
2342
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Kia roze ki halat me nakhun katna jaiz he???? plz jwab deen.

Answer: bismehi taala, is se roza batil nahin hota (ref: tawzihul masail Aytullah Khoie (r.a.) masaala # 1581)

Print

Id:
2361
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A O L sir mujhe pochna tha k remzan mein roze ki halet mein biwi ko tuch kerne se mena fermaya geya hay yaan nahin or kya aftari k bad jinsi emal jaiz hay

Answer: w.s., roze k dawran jema karne se roza batil hota he, sirf tuch karne me koi harj nahin he, isi tarh iftari ke baad jeman karne me koi haraj nahin he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1593)

Print

Id:
2382
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: a.o.a mera question yeh hai sehari kerney key bad jab man soya tu mujhy ehtalam ho geya tu kai mera roza tot geya? aur ager tot jata hai tu is sorat main kai kerna chayee.

Answer: w.s., agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)

Print

Id:
2383
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asslam-o-Alaikum, mera sawal yeah hai kai ager raat mai biwi kai saath suhbat ki hoo. aur subah sehri mai aankh na khulee hoo, to rooza rukh suktai hai ya nahi....

Answer: w.s., agar koi shakhs mahe ramzan ki rat junub ho aur yaqeen rakhta ho k agar so gaya to subah ki azan se pehle bedar ho jayega aur us ka musammam irada ho k bedar hone k baad ghusl karega aur is irade k sath so jaye aur azan tak sota rahe to us ka roza saheeh he. aur agar koi shakhs subah ki azan se pehle bedar hone k bare me mutameen ho to us k liye bhi yahi hukam he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1636)

Print

Id:
2390
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam O Allaikum, agar ek insan roze se ho aur wajib namaz ke liye wazu kare aur chehra dhote waqt usse shaq ho ke naak ke zarye halaq tak pani chala gaya hai aur wo ye na janta ho ke wajib namaz ke liye wazu karte waqt aisa hone se roza batil nahi hota aur wo ye check kar ne ke liye ke pani halaq tak jata hai ya nahin naak main dobara pani dale to 1) kya roza batil ho jata hai ya nahin ya qaza wajib hai ya qaza uar kafara dono wajib hai? 2) aur agar check karte waqt pani halaq se neeche uter jai tab bhi kya roza batil hai ya nahi ya sirf qaza wajib hai ya qaza aur kafara dono wajib hai? Plz reply soon main ne is se pehle bhi sawal kya tha magar mujhe ab tak is ka jawab nahi mila.......

Answer: Agar wuzu (mustahab ya wajib) kertay waqt insaan kulli karay ya naak main paani daalay or paani bay ikhtiyaar(yani merzi ki baghair) halaq k andar chla jaay tu roza sahi hay or is ki koe qaza nahi.ye yaqeen ki baat hay agar sirif shak hay k paani halaq main gaya hoga tu roza sahi hay or qaza wajib nahi.or isi terah agar koe shaks wuzu k alawah bhi naak main paani dalay or wo bay ikhtiyaar halaq k andar chala jay tu os per qaza wajib nahi hay.yaad rahay k ye tamaam hokum sirif os surat main hain jab insaan ko paani k halaq k andar jaanay ka yaqeen nahi ho,or paani halaq main merzi k bagair(bay ikhtiyaar) chala jay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1625,1659,1660).

Print

Id:
2395
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: SALAM MUFTI SAHAB.2 DIN PAHLE ME KAFI BIMAR HO GAI THI KE MUJE ROZA TOR KAR DWAI KHANI PARHI KIA ME NE AISA KAR K GALT KIA HE OR KIA MJE IS KE BADLE 60 ROZE RAKHNE PRE GEN YA AIK RAKH SAKTI HON PLS MJE ZROR BTAYIE GA

Answer: Insaan kamzori or naqahat (ya bohat sakht bemari) ki wajah say roza nahi chorsakta (ya torsakta), laikin agar kamzori is had tak ho k aam taur per naaqabil e berdaasht ho tu phir roza chorhnay (ya tornay) main koe maslah nahi,or sirif ramzan k baad aik rozay ki qaza Karin gi.mazeed ye k injection or drip lagwanay say roza batil nahi hota, chahay injection taaqat pohan chaanay wala or drip glucose waghairah ki hi kun nah ho. .(Ayat Ullah Seestani (d.b), Tauzee hul masail, maslah# 1564,1674,1719).

Print

Id:
2397
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir jee mujhe rozay ma ahtlam parh gaya ma ab kaya karoo

Answer: bismehi taala, agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)

Print

Id:
2399
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mujhay nend ma subha rozay k bad ahtlam agaya hay ab m kaya karoo mera roza tota to nahe na

Answer: bismehi taala, agar koi shakhs mahe ramzan me subah ki azan k baad jage aur yeh dekhe k use ehtalam ho gaya he to agar-che use maloom ho k yeh ehtelam azan se pehle huwa he us ka roza saheeh he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1642)

Print

Id:
2433
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam alaikum..agar hum safar me he to kiya roza rakhna chahiye

Answer: w.s. jis shakhs ka pesha-hi safar ho jayse driver aur isi tarh woh shakhs jo kisi na-jaiz kam k liye safar kar raha ho un ko safar me roza rakhna zaroori he is k alawa afrad safar me roza nahin rakh sakte (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1723)

Print