Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Hajj (123 Questions)


Showing 0- 50 questions from 123 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
812
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Tawaf key doran ba vazoo hona zarori hay ya nahin.

Answer: Agar Wajib tawaf hay to ba-wuzu hona zaroori hay.Agar Mustahib tawaf hay to is main ba-taharat hona motabar nahi hay.Ref:Manasik-e-Hajj A.Sistani Pg.No.209,Masala No.285,295.

Print

Id:
2392
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: السلام علیکم، حج کے واجب ہونے یا نا ہونے کے بارے میں برائے مہربانی مندرجہ زیل سوالات کے جوابات مرحمت فرمائیے: ۱۔ اگر انسان خود اتنا مال نہ رکھتا ہو کہ حج پہ جاسکے تو کیا قرض لے کر حج پر جانا جائز ہے؟ اگر ہاں تو کیا اس سے واجب حج بھی ادا ہوجائے گا ؟ بہتر ہوگا کہ اگر اس سلسلے میں کوئی روایت بہی بیان کریں۔ ۲۔ اگر انسان حج کے اخرجات ادا کرنے کے لئے کسی سے قرض لے اور اپنی خمس کی تاریخ آنے سے پہلے قافلے والوں یا حکومت کو جمع کروانے ہوں تو کیا حج کے اخراجات کے لئے جمع کروائی جانے والی رقم پر خمس واجب ھوگا۔ حج پر روانگی خمس کی تاریخ گزرنے کے بعد ہے۔ ۳۔ اگر ایک شخص جو اپنے والدین کے ساتھ رہتاہو اپنی تمام ماہانہ تنخواہ اپنے والد کے حوالے کردیتا ہے اور ان کی ملکیت میں دے دیتا ہے۔ اب اگر اسے حج پر جانے کے لئے اس کے والد اخراجات کی رقم دیں تو کیا اس شخص کو اس رقم پر خمس نکالنا ہوگا جبکہ قافلے قالوں کو ادائیگی خمس کی تاریخ سے پھلے کرنی ہے اور روانگی خمس کی تاریخ کے بعد ہوگی۔ والد نے رقم بیٹے کے ہاتھ میں نہیں دی بلکہ قافلے کے نام Pay order بنایا تھا۔ جزاک اللہ التماس دعا

Answer: 1) Jee haan qarz lay ker haj per jana jaiz hay. Agar qarz ada kernay ki muhlat itni ziyaada ho k uqaala(samjhdaar loog) is lambi muddat ki wajah say qarz ko qabil e tawajjah hi nah samjhain tu haj wajib hojaay ga.or is shaks ka ye wajib haj kehlaay ga.
2) Qarza ki raqam per khums wajib nahi hota,kun k wo aap ki amadni(income) nahi hay.
3) Agar kisi shaks ko maal diya jaay k wo is say haj anjaam day(ya oskay naam ka pay order banwa day) tu is ko qabool kerna wajib hay.or ye os ka wajib haj kehlaay ga.or jahaan tak khums ki baat hay jab hokummat ki jaanib say, jo raqam aap ko wapas milay gi tu jab ye raqam milay os k baad pora saal guzarnay per khums wajib hoga.yaad rahay k jo cheez baghair kamaay(earn) haasil hojaay tu os raqam k liay jaaiz hay k poray 1 saal baad khums dain ya khums ki osi tareekh per dain jo aap nay fix ki hoe hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), manasik e haj, maslah# 33,49 & Mujtahid say pochay gay sawalaat,maslah,part #2,#103).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2438
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: hajj anjam deney se pehle wajib rozon aur namazon ki qaza ki adayegi k baarey mein kia hukum hai?kia hajj ada hojaney k baad inn kaamon ki anjam diya jaa sakta hai??

Answer: bismehi taala, hajj anjam deney se pehle wajib rozon aur namazon ki qaza ki adayegi zaroori nahin he aur hajj ke baad qaza ki ja sakti he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2044)

Print

Id:
2475
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar hajj ke doraan tawaf mein gas gharij hojaye to doran-e-tawaf wazu k baarey mein kia hukum hai??

Answer: Tawaaf main 4 chakkar mukammal honay k baad agar bay iktiyaari taur per wuzu batil hojaay (yani wuzu ko jaan boojh ker batil nah kia ho) tu, wuzu ker k dobaarah apna tawaaf osi jagah say shuru kia jay jahaan say chora tha. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e Haj,pg#169,180)

Print

Id:
2792
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mere account me 5000 saudi riyal the lekin lekin haj pe jate waqt mera atm card kaam nahi kia kunki maine eqama renew hua tha to maine dusre sathi se 2000 saudi riyal lekar gaya,is wade par ke mai bank se draw karke wapis kardunga,to kia is halat me dusre se paisa lekar haj pe jana jayez tha k nahi.

Answer: Jee haan ,qarz lay ker haj per jasaktay hain (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), manasik e haj#33,49).

Print

Id:
3324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam, meri ek wahabi frnd ne mujse kaha ke iran me jo Haj ke ritual ho rahe hai vo galat hai wo mecke ke siva kahi nhi krsakte kya ye sach hai aur uska jawab kese de??? plz reply

Answer: Baitullaha ki ziarat karna aur un aamal ko baja lana jin aamal ka hokum dia gya he un hi ka name haj he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1994) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3448
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir kia aehram k niche under garments pehan sakte hain like baunyan ya under wear etc

Answer: Mardoo k lie ahram ki halat me silla hua ya aisa libas penan na jo silay huay k hokum me ho haram he. (Ref : http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=4&bid=14&pid=1116 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye

Print

Id:
4346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: SALAM, DURING TAWAF OF UMRAH-E-TAMATTUH I WAS PULLED BY SOMEONE DUE TO WHICH I GET FEW STEPS FORWARD. AFTER 2 DAYS I GOT TO KNOW THAT THOSE FEW STEPS WERE NOT COUNTED IN THE TAWAF AND WAS SUGGESTED TO MAKE ONE ROUND WITH THE NIYAT OF IHTIYAT. PLEASE TELL IS MY ACT CORRECT AND WILL IT EFFECT HAJJ ? WHAT ABOUT THE ACTS DURING THOSE 2 DAYS WHICH ARE HARAM DURING IHRAAM AND WHAT ABOUT THEIR KAFFARAS ?

Answer: The movement of the pilgrim around the Kabah should be by his own will and
intention even when the crowd is intense. A pilgrims ability to move away
from the tawaf area is sufficient to prove his “will and intention” in
movement even if he isn’t able to stop because of the crowd.
Therefore if your Tawaf was void then you should perform it again with its
prayer and do Saie and tqseer.(Ref: Email rcve from A.Sistani(d.b), dated:17-10-11). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4358
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalmwalkum Pls answer me according to Aayatulha Seestani.I am going for Umraha after Ahram i can travel under shade in day time.Thanks

Answer: Saa,ya(Shade) se muraad apne aap ko soraj se bachana hay or ehtiyat e wajib ki bina par is hokum main barish ko bhi shamil kiya gaya hay. laikin azhar ye hay k hawa, sardi, germi ya in jaisi dosri chezo se apny aap ko bachana jaiz hay agarchah ehtiyaat mustahab isko chorhnay main hay. laihaza raat k waqt muhram(ehraam pehene wala shaks ) k liay chat wali garhi ya kisi or cheez main sawaar hone main koe haraj nahi hay is shart k saath k ehtiyaat e lazim bina per barish nah ho rahi ho. agarchah ye sawari muhram shaks ko hawa se bacha rahi ho. (Ref: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e haj, Maslah# 270) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6693
Mujtahid:
Date:

Question: agar insan hajj par gya ho to kia uski qurbani pakistan ma ki ja sakti ha

Answer: Haji k liay wajib he k qurbani mina me karay or agar hujjaaj e karam k bohot ziyada hoon ya gunjaaish nah ho tu waadi e muhassar main qurbani jaiz hay. (Ref : Ayat Ullaha Sistani (d.b.) manasik e hajj http://sistani.org/index.php?p=831716&id=6&pid=744) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6905
Mujtahid:
Agha-e-Sistani Date:

Question: Salaams, Qibla Walad-uz-zina aur Haramzaadey main kiya farq hai ?? Sunni Jo Tawaf-un-nisa nahin kerte kiya un logon se shadi biyah jaiz hai. Wsalaam.

Answer: Waladuz zina aur Haram zaadey ka matlab aik hi hay yani wo shaks jo bay nikahi maan se paida hoa ho.yani zina k natijay main paida hoa ho.(Ref:fairoozul lughaat, pg#565)
Tawaafun nisa jo Haj or umrah e mufradah ka aakhri tawaaf hay jisay anjaam nah dainay se Haj ya Umra e mufrada kernay walay per hambistari haram rehti hay magar nikah nahi tot ta or agar kisi nay tawaafun nisa anjaam nah diya hambistari ki jay tab bhi paida honay wala bacha halal zada hoga.isi terah or bhi kae maqamaat hain k jahan hambistari haram hay laikin is hambistari k natijay main paida honay wali aulaad halal zada hoti hay.maslan: halat e roza main jima haram hay,halat e haiz or nifaas main jima kerna haram hay.(Re: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 448,1565, pg#476)

Print

Id:
7499
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Agar Haj ya Umra ko jaya ja a tu kya Rasol kay rozay per jana arkan may shamil hae.

Answer: Haji k liay mustahabb e takeedi hay k hajj se wapasi per madina e munawwara k raastay se guzray takeh hazrat e rasool azam(s.a.w.w) or hazat sidiqah e tahira(s.a) or jannatul baqi k imamo ki ziyarat se musharraf ho.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), manasik e hajj, pg#462 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7500
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sistani Date:

Question: During Haj Twaaf holding your wife hand or shielding her from the rush is allowed?It does loose your concentration.

Answer: Halat e ehram main bivi ko lazzat k saath chona uthana or apnay bazo-oon main beechna jaiz nahi hay.agar kisi nay aisa kia ho tu lazim hay k 1 bakri kaffara day kha mani kharij ho ya nah ho.liakin agar aisa kerna lazzat k liay nah ho tu kaffara wajib nahi hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e haj, Maslah#228 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9140
Mujtahid:
Date:

Question: asslam walikum Qmera sawal ye hai ager sawwal mahine me umra karliya to is per keya hukum hai log ye kahte hai ki ager sawwal men umra kar liya to hajj jaroori ho jata hai is per rosni dalden

Answer: Jee nahi aisa nahi hay balkeh hajj wajib honay ki khuch sharait hain:
1)insan balig ho. 2)aqil aur azad ho. 3)hajj par janay ki wajah say koi aisa na jaiz kaam karnay par majboor na ho jis ka tark karna hajj karnay say ziada aham ho ya koi aisa wajib kaam tark na hota ho jo hajj say ziada aham ho lakin agar is halat may bhi hajj par chala jay to ghunahgar zaroor hay magar hajj sahi hay. 4)isteta’at rakhta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1994) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
9755
Mujtahid:
AYAT ULLAH SISTANI Date:

Question: SALAM ALEKUM MEIN SAUDIA MEIN HOON MAKKAH SE 160 KM PAR MERA SAWAL YE HAI K KYA HAJJ KARNE SE PHLE WALIDEIN(PARENTS) SE IJAZAT LENA ZARURI HAI?

Answer: Baligh Shaks k haj k sahi honay main walidain ki ijazat mutlaqan zarori nahi hay. Laikin agar is k mustahab haj per janay se maan or baap main se kisi aik ko izyat ho maslan agar wo raastay main paish aanay walay khataraat se dertay hoon or is bina per onhain aziyat ho tu is shkas per haj k liay jana jaiz nahi hay.(Ref Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Manasik e haj, Maslah#7) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
10677
Mujtahid:
Date:

Question: nabi pak ne apni zindagi mai kitena haj kye/

Answer: Rasool e khuda ne 20 haj kiay thay.(Ref: wasailus shia, kiatab e haj, baab#45). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
11679
Mujtahid:
AYAT ULLAH SISTANI Date:

Question: SALAM MERA SAWAL YE HAI K KIA MEIN BAGHAIR EHRAM K MAAKA MEIN DAKHIL HOSAKTA HUN JAB K MEINE PEHLE 4 UMRA AUR HAJJ B KARCHUKA HUN YEH SAWAL PHLE B KIA THA BUT ABHI TAK JAWAB MOSOUL NAI HUA. SHUKRIA

Answer: Makkah me balke haram me baghair ehraam k daakhil hona jaiz nahe hai jo shaks hajj k maheno k ilaawa in dono me daakhil hona chahe to is per mufrada ka ehraam bandhna wajib hai . ( ref: aqa sistani,manasiq hajj,pg:49,masla: 141,eidition 1996) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
12960
Mujtahid:
Date:

Question: Asslame wqlekum mera sawal ye he k kya koi ledies apne sasur k sath haj par ja sakti he

Answer: Jee haan, aurat apnay surar k saath haj par jasakti hay. .( Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=846466&id=55&pid=2945 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15025
Mujtahid:
Date:

Question: kia mian bv ki hmbstri jaiz ha umrah k sfr ma

Answer: Halat ahram (chahae ahram umrah ka ho ya haj ka) me Humbistri karna haram hai.(Ref : Manasik haj aqa sistani farsi masla no 209) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
18447
Mujtahid:
seestani sab Date:

Question: slam janab ma nay suna hai k jab zilhaj ka chand nazar ajay to jo shakhs qurbani ka irada rakhta ho jab tak qurbani na ker day apnay ball aur nakhun nahi katwa sakta compleat jawab dain shukria

Answer: Hajj k wajibat mai sai 6th wajib halaq yani sar mundwana aur taqseer yani kuch baal katna hai, is amal ko eid k din sai pehlay anjam dena jaiz nahi hai siway os shakhs k jisay khof ho lihaza is k lie ahwat ye hai k qurbani k janwar k hosool k baad anjam dai ahwat e awla ye hai k zibah aur nehar k baad anjam dai albetta eid e qurban k din k waqt sai aagay takheer na ki jae agar rima sai pehlay ya qurbani ka janwar hasil karnay sai pehlay bhool kar ya masla na jannay ki wajah sai halaq ya taqseer anjam dai to kafi ho ga air dubara anjam dena zaroori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e hajj, maslah # before 403)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
18463
Mujtahid:
Date:

Question: assalamualikum sir,mera sawal ye hay k agar koi zulhajj ke pahlay dino may ball katey qurbani say phlay,to os klye kia hukm hay,ya qurbane say phly ball katne ka kia hukam hay .jazakmullah kher.

Answer: Hajj k wajibat mai sai 6th wajib halaq yani sar mundwana aur taqseer yani kuch baal katna hai, is amal ko eid k din sai pehlay anjam dena jaiz nahi hai siway os shakhs k jisay khof ho lihaza is k lie ahwat ye hai k qurbani k janwar k hosool k baad anjam dai ahwat e awla ye hai k zibah aur nehar k baad anjam dai albetta eid e qurban k din k waqt sai aagay takheer na ki jae agar rima sai pehlay ya qurbani ka janwar hasil karnay sai pehlay bhool kar ya masla na jannay ki wajah sai halaq ya taqseer anjam dai to kafi ho ga air dubara anjam dena zaroori nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e hajj, maslah # before 403)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
18519
Mujtahid:
Date:

Question: EID UL AZHA PAR QURBANI SA PEHLAY BAL OR NAKHUN KATWANA FARAZ HAI YA WAJIB YA SIRF SAWAB KA KAM HAI

Answer: Hajj k wajibat mai sai 6th wajib halaq yani sar mundwana aur taqseer yani kuch baal katna hai, is amal ko eid k din sai pehlay anjam dena jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e hajj, maslah # before 403)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
31346
Mujtahid:
Date:

Question: ASSALAMUALAIKUM.... HAJ K LIYE JATE WAQT 4 SE 10 SAAL K BACHO KA HAJ KUBOOL HOTA YA NAHI????

Answer: 1)Mumaiyas bachay(achay buray mai faraq karne walay) k leye Haj karna mustahab hai aur is k haj k sahi honay me is k wali (baab,dada) ki ijazat sart hai.
2)wali (baab,dada) k leye mustahab hai k gair mumaiyas bache (achay buray mai faraq na karne walay) ko haj karae.(Ref : aqa sistani d.b , manasik e haj, masla # 6 & 8) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40225
Mujtahid:
Date:

Question: what is the exact age, can go with mather as mahram for permorming umraha

Answer: 1-He should be baligh.
2-He should be sane and free, that is, he should not be insane and should not be a slave.
3-Because of proceeding to Makkah for Hajj, he should not be obliged to commit a haraam act, avoidance of which is more important than Hajj, nor should he be compelled to forsake an obligatory work which is more important than Hajj.
4-He should be capable of performing Hajj.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2310)

Note: There is no any condition for woman to perform hajj with mehram. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
44384
Mujtahid:
Ayatullah sistani Date:

Question: mera sawal yeh hai k mein dubai sy umrah mufradah k liye jaa raha hoo tw mera meeqat kon sa ho ga.buht sy log Ayesha Masjid sy ahramm bandhty hai yeh sahi hai ya door waly meeqat sy hi ahram bandhna ho ga jaisy Masjid Shajara sy aur meri wife 2 months pregnant hai tw us ko ahram banhna wajib ho ga ya woh sirf ziyarat kar sakti hai. pls mujhy jawab jaldi chahiyaa.shukiya

Answer: Jo shaks makkah se bahar os k liay door wale miqaat(masjid e shajrah ya juhfah etc) se ehram bandhna wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Edition# 2013,Mafhoom e Maslah #140). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47229
Mujtahid:
Date:

Question: kiya aik orrat apni betti or dammad k sath hujj pe ja sekti hey?

Answer: G han ja sakti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2349 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
50228
Mujtahid:
quran o hadees Date:

Question: ihram ki halat main sir ko dhapna shai hai

Answer: Ahram ki halat mai mard k lie dar chupana haram hai. Is mai kaan bhi shamil hai. Isi terah sar par saya karna bhi haram hai. (Ref : manasik e hajj pg 52)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53619
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mi ne 2013 mai hajj kia tha aur doorane ahram mai ne miswak toothpaste use kia tha. shopkeeper nai mujey ye toothpaste ye keh ke dya tha ke ye hajj ke liye hai ? is silseley mai kya mujh pr kafara dena wajib hai mai ( aytullah systani ki takleed krta hn)

Answer: Halat ahraam me khushboo ka istemaal karna haram hai albatta toothpaste men gar khushbu ho to phir haram hai lekin agr khushbu na ho to phir masla nahi hai isi tarah miswak men bhi khushbu nahi hia lehaza is k krne men bhi koi harj nahi hai.
Agar halat ahraam me umdan (jaanbough) kar kohe khushboo wali chease khaay ya umdan (jaanbough) aise chease phene jis me khushboo ka asar ho to ehteyate lazim ki bina per is per aik goosfan( behr) kafara ho gha . is k ilawa baaqi khushboo k istemaal me kohe kafara nahe hai .agarche kafara dena ehteyate mustahab ( beter) hai. ( ref: manasik hajj, aqa sistani, pg: 237, 240
Halat ahraam me safa aur marwa k dermiyaan 7 chakar k baad khushboo lagana jaiz hai aur is surat me kafara bhi nahe hogha. (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 129 , pg # 99, eidition 5) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
53852
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai k kia behan aur behnoi k sath haj jaez h ? please jawab zarur dena

Answer: Gee han ek orat apne behn or behnai k sath hajj pr ja sakti hai agrchhe behnoi namehram hota hai, Orat pr hajj wajib hone k liye mehram (bap,bhai,beta) ka sath hona shart nahi lekin is k liye shart ye hai k orat apne nafs ki hifazat kr sakti ho, or jab aman na ho to us shakhs ka sath hona lazmi hoga jo uski hifazat kre agrchhe ujrat pr hi sath ho mgr is ki shart ye hai k kisi shakhs ko ujrat pr lene ki qudrat rakhti ho wrna hajj wajib na hoga.
(Ref : Ayatullah-Sistani(d.b), Manasik-e-Hajj(farsi), 7th Eddition, Masla#60,Pg#48).(Khuda apki toufeeqat men izafa frmaye)

Print

Id:
54090
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: I want to send someone for haj_e_ badal for my parents but I have not performed haj till now even I am in a position to do so can I do this. Thanks

Answer: Zarori hai k pehle aap apna hajj karain Q k haj wajib fauri hay, aur waldain k liay kisi aur ko bhejh dain. (Ref: Ayatullah sistani d.b, manasik e Hajj, maslah#1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
54226
Mujtahid:
Date:

Question: Tawaf un nisa ka kafara kia ho ga

Answer: Jo shaks chahay masalah jaanta ho ya nah jaanta ho, jaan boojh ker ya bholne ki wajah se tawaafun nisa ko anjam nah day tu os ka jubraan o tadaruk kerna wajib hay.Lehaza agar khud anjam daina mumkin nah ho ya bohot mushkil ho tu jaiz hay kisi ko naaib banaay. Naaib ka oski janib se tawaf anjam dene per o ski bivi halal ho jay gi. (Ref : manasik e hajj , topic # Tawaaf e Nisaa , masala # 420 , pg # 242 Publish by Jamah Talimaat e Islami).( Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54267
Mujtahid:
Date:

Question: sir mera aur ek b sawal hai k kya ye dono sath me hajj ya umrah kar sakte hain k nhi ??

Answer: Ager aap ki dono se muraad (jesa k ap k is se baad wale sawaal se lag raha hai) ghair muslim larka or muslim larki hai to ager ghair muslim larka musalmaan hogaae or hajj karne ki sharaait mojood hon to dono per apna apna hajj karna wajib hai chahe dono aik sath hajj karne jaae ya alag alag. (Ref : manasik e hajj , topic # sharait e wojoob e hajj , pg # 03).
Or ager muraad ye hai ke ghair muslim larka ghair muslim hone ki halat main ho to ehtiyaat e wajib ki bina per is ko Masjid ul Haraam le jana jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 213, pg # 87 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
57881
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: kia ahram ki halat me ham biwi ko bosa wgra lay skty hay?? is say dam to nahi parta husband wife par ager wo sirf bosa wgra lay ak dosry ka???

Answer: Agr Ehraam ki halat main bivi ka bageer shewat ke bosa liya jaae to ehtiyaat e wajib ke toor per 1 gosafand kuffara wajib hai.(Ref : manasik e hajj , topic # Mina main Qurbani , pg # 148 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hia).

Print

Id:
59468
Mujtahid:
Date:

Question: aurat haj karne kyo jati hai

Answer: Allah Taala ki di hoi Shariat e Muqaddasa main hokum diya gaya hai ke jab musalmaan – chahe orat ho ya mard – main hajj ki sharaait jama ho jaain to us per hajj wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1994 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
59779
Mujtahid:
Date:

Question: Kia ak larki apne maa k mamo k sat haj ya umrah krne ja sakti he

Answer: G han ja saktin hen jaiz hai(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1994 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61646
Mujtahid:
Date:

Question: Kya umra k bd hajj wajib hy ya ni ya farz hy

Answer: Ager hajj ki tamaam sharait mojud hon or pehle kabhi hajj na kiya to hajj wajib hojayega.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1994 to 2007 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61914
Mujtahid:
Date:

Question: A.O.A. kya hajj ky doran bal mundwana farz hae ya sunnat?

Answer: Jo merd pheli martaba hajj kar raha ho us k lie ehtiyaat e wajib ki bina per sar mounwana zarori hai. (Ref: Mafhoom e http://www.sistani.org/urdu/book/62/2976/ ) Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62465
Mujtahid:
Date:

Question: tawaf karte waqt topi pehenna jayez he ya nahi ?

Answer: Halat e ehraam me mard k lie apne sar ko kaprhe se(maslan topi se) chupana jaiz nahi hai . .(ref.manasiq hajj ,aqa sistani ,masla 262,pg:95). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
63778
Mujtahid:
Date:

Question: kya ghair shadi shuda ladki ka hajj jayaz hai

Answer: Aurat k hajj per wajib hone me us k sath mehram ka hona shart nahi hay lehaza agar aurat ko apni izzat o namoos ka khatra nah ho to us aurat per baqi istitaat k sath hajj wajib ho jaey ga. (Ref: Manasik hajj, Ayatullah sistani(d.b), Farsi,Mafhoom e maslah#60). Update on dated 27-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69547
Mujtahid:
Date:

Question: Kya bahnoi apni sali ke sath hajj ya umra par ja sakta hai jab us ki wife zinda ho

Answer: Jasakta hay. Perday ka khayal rakna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), manasike hajj,Mafhoom e Maslah #59). Update on dated 25-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69558
Mujtahid:
Date:

Question: Kia ahraam mai underwear pehan sakta hun k nahi,,,,,,,,, because underwear k bayghair tu mai shalwar qameez bhi nahi pehan sakta......... JAZAKALLAHA

Answer: Merd k liay sila hoa libaas pehenna ahraam ki halat main haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2382). Update on dated 23-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
69565
Mujtahid:
Date:

Question: kea ak hi din men ak hi ehram men 2 bar umra kiya ka sakta hai?

Answer: Aik hi ehram main do umra nahi ho saktay.Aik qamri(chand k) mahine main do umre aik hi shaks ki janib se nahi ho sakte, laikin do umro k dermiyaan 30 din ka waqfa zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj ,Mafhoom e Maslah #137). Update on dated 23-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70602
Mujtahid:
Date:

Question: aslam alaikum mera msla ye hay k mai apni ami k sath umra py jany k lie apply kia hay jubky mere sath koi mahram nahi hay logo ka khna hai k mera umra qabool nahi hoga to kia drust hay

Answer: Jee, aisa kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul wusqa, Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 28-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70603
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: me apni chahcha zad behn ko or apni maan ko umray pe le ja sakta hu kia es tarha umra islaam me jaiz ha

Answer: Jee, aisa kerna jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Urwatul wusqa, Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 28-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77423
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamolekum...mai yeh puchna chahti hu ke maa baap se pehle beti ka haj ho skta hai kya

Answer: Baiti per agar haj ki raqam or digar sharaet pori ho jain tu baiti per haj wajib hay, chahay maan or baap ne haj nah kia ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e haj,Mafhoom e Maslah #1). Update on dated 23-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
77618
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ASALAM U ALAIKUM MERA SAWAL Ye ha k mere dada ne do shadiya ki kiya me apni dosri dadi ka mehram bn kr ja sakta ho umrah krne

Answer: Dada ki doosri bivi aap ki mehram hain, or umrah ya hajj per mehram k a sath hona zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3,Mafhoom e Maslah #155) + Manasik e haj, Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 29-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
81805
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Is it compulsory for a girl to go with father or guardian for umra and haj

Answer: It is not compulsory.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 27-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
83946
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: ميرا بيتا 8 سال کا ہے کیا میں اپنے 8 کے بیٹے کے ساتھ عمرہ کرنے جاسکتی ہوں اس والد مجھے طلاق دیا ہوا ہے ایک سال ہو گئے ہیں؟

Answer: Hajj per mehram k sath jana zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 15-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
83947
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia ma apne 8 saal k baitay k sath umrah karne jasakti hun jab k us k walid mujhe divorce kar chuka hai 2 sal pehle?

Answer: Haj per mehram k sath jana zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Manasik e hajj,Mafhoom e Maslah #60). Update on dated 15-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86356
Mujtahid:
Date:

Question: Mera swal ye hy k agr koi shaks hajj k doran doran-e-hajaat ahram khol dy to kia is per dam wajib ho jata hy ?

Answer: Ehram k do kaprhoon ka pehenna mustaqil wajib hay or ehram k durust sabit hone main bataur e shart nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Manasik e Haj, maslah #188). Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print