Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Friendship (61 Questions)


Showing 0- 50 questions from 61 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
111
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: main jab bhi apnay mangater say chating kartee hoo pata nahi kun itna dar lagta hai.shayad ya sab tek nahi hai mager kohi asee dua kay main baat na karoo aur unn kay dil main maray liya muhabath bhi rahay.mujhy iss ka jawab yaa hal bata digiya yaa kohi dua, ALLAH HAFIZ FROM TAHIRA

Answer: Agar SHEHWAT ubharnay aur HARAM main parnay ka khouf na ho to JAIZ hay.
Ref:Book Siraat-un-Nijaat(Part 1) Question No.845.
Try to ignore chatting(if possible) in this situation.(Mumkin ho to chatting ko TARK kar dain).

Print

Id:
129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).

Answer: W salam
Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye.
Ref . Isteftat Agha Sistani

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
130
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: Salamulikum I just wana ask. The order of Islam in friendship with Na-Mehram (Girls).

Answer: W salam
Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia.Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye.
Ref . Isteftat Agha Sistani

Print

Id:
606
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-30

Question: salam kia kisi namehram say dosti ki jai tu haraam hey jub key hum us say milna rahey ho aur agar milay tu bhi pardey may milay aur kia us say phone per baat ki jasakti hey i mean kia awaaz sunana haraam hey ya us may koi prb nahi?? khudha hafiz

Answer: Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125.

Print

Id:
772
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: Salaam o alikhum mera sawaal yeh hain kay kya kissi ladkhi say mazaq main mohabbat karna yani time pasi karna kon say gunaah main shamil hain kanbera ya saghera ,aur agar in donoo main nahi shamil to kya yeahg jahiz hai

Answer: Haram hay,agarchay is ki guftugu khwahishaat ko ubharnay wali na ho aur haram par bhi mushtamil na ho kionkay rafta rafta hi sahi is main haram main mubtala honay ka khouf hay.Ref:I-46.

Print

Id:
874
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kisi larkay(boy) ki kisi larki(girl) se dosti ke baray main kya hukum hai?

Answer: Is Aitibaar say kay insaan ko ye itmenaan nahi hay kay wo Haram say bach sakay ga,Chahay isi wajah say kay Rafta Rafta is main Mubtala ho jaey ga Dosti Karna JAIZ NAHI hay. Ref:www.sistani.org/html/eng (Friendship)

Print

Id:
905
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya islam ki nazar me larka aur larki ki dosti allow(jaiz) hai?

Answer: Aisa karna JAIZ NAHI hay kion kay is qism ki Dosti main Insaan GUNAAH say mehfooz nahi reh sakta.Ref:www.sistani.org/html/eng (Friendship) Q-1.

Print

Id:
943
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Islam ki nazar main na-mehram larka aur larki ki dosti ke bare me kya hukum hai?

Answer: Is Aitibaar say kay Insaan ko ye Itmeenaan nahi hay kay wo Haram say bach sakay ga chahay isi aitibaar say kay rafta rafta Haram main mubtala ho jaey ga Dosti karna JAIZ nahi hay. Ref:www.sistani.org/html/eng (Friendship)

Print

Id:
985
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kia internet pe bhi kisi larki se baghair lazzat kay dosti karna haram hai..?

Answer: Is aitibaar say kay insaan ko ye itmeenan nahi hay kay wo Haram say Bach sakay ga.chahay is wajah say kay rafta rafta is main mubtala ho jaey ga Dosti karna JAIZ NAHI hay. Ref:www.sistani.org/html/eng (Friendship)

Print

Id:
1267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: internet par dosti larka aur larki ka bara ma ka agar ak larka pakistan ma ha aur es ki dosti ek aisi larki se internet par hoti ha jo ka south america ya kisa eisa mulk ma ha jahan larka ka puhcna mumkin nahi aur ou larki kafir ha aur islam ka bara ma jana chathi ha is surat ma dosti ka lia kia hukam ha?

Answer: Choonkay Haram main parnay ka khatra hay lihaza Jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat I-19.

Print

Id:
3627
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam-u-Alaikum main ek larke se buhut pyar karti hon wo bhi karte the par kisi majburi ki waja se un ka nikah kahin or ho gaya or kuch arse bad un ki rukhsati he plz ap meri madad kijiye mujhe kuch asa parhne ko dijiye k unki rukhsati se pehle hum dono ek ho jaen meri un se shadi ho jae.or us larki ko koi dukh na ho jis se unka nikah hua he . please help me.

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3636
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salamulaikum bad salam mea ye salam hai agaa kk maine kisko bhaiyya banya on net aurr unho ne mujhe behen ,,,ye hum dono jante hai k hum dono 1 dusre bhai aur behn k ilawa 1 dusre k bare main kuch soch hi nhn sakte kun k unhe pata hai kk main kisi aurr ko pasand karti hun auur mujhe pata hai kk wo kin ko pasand karte hainn ...to kia ye sahi hai?

Answer: It is not permissible as long as that involve haram act. .(Ref: sistani(d.b), E-mail rcvd on 4/7/2011).
Translate: Agar ye kisi haram kaam main mubtila karay tu ye jaiz nahi hoga. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5816
Mujtahid:
Date:

Question: what is difference pyar or mohabbat?

Answer: Piyaar hindi zabaan ka lafz hay jis k 7 matlab hain: 1-Muhabbat 2-Laad, Dulaar 3-Maamta 4-Ishq 5-Bosa(Kiss) 6-Doosti, Mail Jowl 7-iltefaat, Meherbani.

Muhabbat arabi zaban ka lafz hay jis ka matlab: 1- Ulfat, piyaar, chaah ,doosti, yaarana 2-Ishq, Lagan.(Ref: Ferozul lughaat urdu jaamay, pg#322, 1211)

Print

Id:
6034
Mujtahid:
ayatullah agha sistani sahab Date:

Question: kya valantine day mana saktay hain??

Answer: It is not permissible if that involve haram act (Ref: rcvd email from a.sistani, dated: 19-03-14). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6088
Mujtahid:
Date:

Question: kya islam me 1 ladki 1 ladke se dosti kar sakti hai ya nahin

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna(jesa larke or larki ka apas men dosti krna) jaiz nahi hai koun k gunah men mubtilla hone ka khof majood hai. (Ref : Kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).

Ak larki ka kisi no-jawan se dosti krna is eitebar sai k shadi to ek dam nhi hoti bal k shuru men baat cheet hoti hai to ye jaiz nhi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part # 4, sawaal # 125,pg # 65).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
S/no:7622

Print

Id:
9822
Mujtahid:
problem in love Date: 2018-06-07

Question: sir muja koi aisi dua batayn jis sa kisi larki k dil ma pyar paida kiya ja saka or allah talah k hukam sa usi sa shadi b ho.allah talah ap ko is amal ki jazaa dn gaa

Answer: Allah Taala ki di hoi Shariat e Muqaddasa shadi se pehle is terhan ki dosti o mohabbat jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
9826
Mujtahid:
Date: 2018-06-07

Question: main jis lerke se shadi kerna chahta hon us ke pahle mangne ho gae hai wo bhi mujh se kerna chahti hai per ghar wale nahi mante aisa wazefa bataen us ke mangane wahan se khatam ho ker mujh se ho jae

Answer: Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar ik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain. (Ref : Naway e salaheen pg # 352).
Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: is terhan ki dosti o mohabbat haram hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
9867
Mujtahid:
Date:

Question: sir can one boy is kissed to another boy by loving or likeness.....?

Answer: Ager ye lazzat ke sath hai to jaiz nahi hai.(Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 460 , eidition # 5 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10820
Mujtahid:
shadi Date:

Question: mai aik larkai ko bht zada pasand krti hoon,or us sai shadi krna chahti hoon.magar meari parents nai meri shadi kahien aur teh kr di hai.or jis larkai ko pasand krti hoon us k parents b nahe maan rahai.jahan mairai pparents nai meri shadi k=teh ki hai mujai wo log or larka bilkul ne pasand .plz meri madad karain koe as wazifa bata dain jo bht zada effective hoo jis sai us larkai k parents b khud ba khud maan jahain or merai parents b yahan sai rishta khatam kr k wahan meri shadi kr dain .plz do reply

Answer: Is tarha ki mohabbat o dosti jaiz nahi hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69).Or ager ap ke waldain ap se mohabbat ki waja se wahan shadi karne ki waja se inkaar kar rahe hain (jo ziyada ter esa hi hota hai) or ap ki na-farmani se un ko takleef hoti ho to ap ka un ki baat na-maanna haraam hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1387).
Is ke bawajood is wazife par amal karian or Allah Taala ke faisle per bharosa rakhain, Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar ik dabbay(box) mai band kar ke apne ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz ik bar parh kar dua mangain. (Ref : Naway e salaheen pg # 352 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
10870
Mujtahid:
Date:

Question: larke ko apni tarf karne ka tariqa bataain aour larki ko bhi jin se hum piyar karte hain

Answer: Is terhan ki dosti o muhabbat Shariat e Muqaddasa main jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
39255
Mujtahid:
Date:

Question: pasnd ki shadi jaiz ha?

Answer: G han jaiz hai, lekin is ka ye matlab nahi ke pasand ki shadi ke liye larki se dosti wagera karain kun ke ajnabiyah (jins e mukhalif) se dosti karna jaiz nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 2335) , (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
39653
Mujtahid:
sistani Date:

Question: I had a non muslim school friend can I keep friendship with her? is it a sin ?

Answer: it is not allowed (Q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai). (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
42015
Mujtahid:
Date:

Question: ma chta hu k meray har jaga dost ho koi asa amal btay k ma jis ko ak dafa milo wo khud mera dost ban jay plz

Answer: Ap (s.a.a.w) se marvi hai ke tum main behtreen shakhs wo hai jis ke akhlaak sab se behter ho, ese afraad doosroo se or dosre in se mohabbat karte hai. (Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic # behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62).
Pas her kisi ke sath ache aklaak muzahira karain.(Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
50775
Mujtahid:
friendship Date:

Question: kya islam me friend ship day manana jaez hai?

Answer: Ager friend ese hon jin se ap ke deen o mazhab ko nuqsaan ponhche ga to jaiz nahi masalan larke or larkiyoon ki mix gethring ya esi party jis main haraam cheezain khaae pee ja rahi hon.(Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 3 , question # 168 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
51624
Mujtahid:
mohabbat Date:

Question: kya khuda ne mohabbat ki...? Agar nhi ki to jinko banaya unko kyo mohabbat krna sikhai... Ab ap khud batao jo kaam khuda nhi kr skta wo inshan ko kyo de gya matlab khuda agr hai to wo galat hai

Answer: Quran ki surah no : 3 aale imran ayat no: 134 me hai k ( allah ahsaan karne walon se mohabbat karta hai)
Kise bhi ghair ikhtiyari amal per shariat kohe hokum nahe laghate laikin yaad rahe, shariat kise bhi aise iltebaat ( talloq) ki ijazat kabhi nahe dete jo inhe haram ki taraf lejaane wala ho.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 137pg # 65)Jins e mukhalif se is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
51918
Mujtahid:
friend Date:

Question: kia dost bnana jaz hy ya na jmaz agar woh agy sy bt bhe na sunta ho to phr kia karna chahiye plz ans me soom

Answer: Ager dost jins e mukalif ho to jaiz nahi. (Ref : nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 106 , pg # 69).
Or ager ap ka ham jins hai to ager in se dosti ap ke Deen o Emaan ko nuqsaan ponhchati ho to jaiz nahi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 168 , pg # 75 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
51972
Mujtahid:
Date:

Question: Agr koi mg se wada krta he k me tm se bhot mazbot relation rakhon ga jb me khulos k sath os se relation start krta hn do dn bad wo mukar jata he or khta he meri mjborian hain main ni rakh skta me ne kha mil k mjborion k hal nikaal lain ge wo agree ho gya 3,4 dn bad phr mukar gya mge bhot bura laga me ne os se kha agr ye tmhari zuban he 2 dn or khte ho 2 dn or to ab soch k btao muhabat krni he ya nafrat jo mrzi kehte ho os ne thori dair tk kha muhabat to me ne kha tm zuban se wada kr k mukar gy ho ab quran pak pe hath rakh k halaf do q k ab tm muqar gy to me to shaid mar e jaon os ne kha thk he phr os ne quran pak pe half dea k sb se mazbot relation dunia me tmhare sath he mera 3 month hm ikhate rhe 1 dosre se bhot muhabat ki pr 3 month hr wqt sath guzarne k bad wo mukar gya or kha k tm ne zabardasti wady krway in ki koi ehmiat ni main ne 3 month tmain dhoka dea tm jeo ya maro mge koi parwah nhi.. Ab plz ap is ka briefly ans do??

Answer: Ap dono galat hain, kun ke ye dosti Islam main jaiz nahi hai. Or nahi is qasam ki koi value hai islam.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
52206
Mujtahid:
Date:

Question: ASALAM O ALAIKUM. pasand ki shadi krna muhabbat ghuna hai ya jaiz hai islam iss bare kia kahta hai?

Answer: jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe.
(Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52266
Mujtahid:
sunni Date:

Question: mujhay ek larki bht psand hai or wo meri dost bhe hai may us se shadi krna cahta hn magar us ko keh ni paa raha,, 2 saal se dost hai wo meri ab baat bhe kam ho gae hai bht

Answer: jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe.
(Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52268
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam-o-alikum mera naam Fiza Asif hai mera masla yeh hai k main jis larky say pyar krti hun aur shadi krna chahti hun woh b mujhsy boht pyar krty hain lekin mery ghr walon say unki kisi baat pay larai ho gai hai aur ab mery abbu unko dekhna b pasand nhi krty aur sub say bara masla zaat ka hai hum araen hain aur woh rehmani koi aisa amal btaen k sub kuch hansi khushi ho gay aur abbu k dil mein unk liye pyar aa jay woh mery ghr walon ki baton ki wja say mujhsy dur hony lg gay hain.... unka na am Awais Niaz hai ami ka naam Naseem Akhtar hai, mera naam Fiza Asif hai aur ammi ka naam Raheela Asif hai mehrbani kr k meri madad kren. Shukriya

Answer: jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe.
(Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52280
Mujtahid:
sunni Date:

Question: A.O.A, sir main bohat pareshan hoon main apny chacha zad ko passand karti hoon wo be pehly to passand karta tha per ab bohat bd zan ho gya hai us k ghar waly sb razi hain mujh say shadi per lakin wo ab razi nahi lagta plz meri madad karain or koi wazifa btain k wo be dil say razi ho jay.

Answer: Sab se pehli bat to ye hai k jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe.
(Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52295
Mujtahid:
Peer Ahsan sahb Date:

Question: Main aik larki se ishq kerta hun aur wo mujh se nai kerti q k wo aik naik larki hai wo meri nas nas main bs chuki hai to plz mujhay wazifa btain k meri shadi ho jai us se.

Answer: Jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai k islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete hen. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe.
(Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
52786
Mujtahid:
m Date:

Question: Sir Ya Ali Madad .mera sawal ye hai k main ek larki se piyar kerta hun or mn chahta hun k mujhse be inteha sachi mohbbat kare uske liye koi wazifa batain plz like Naad-e-Ali

Answer: Sir Ya Ali Madad .mera sawal ye hai k main ek larki se piyar kerta hun or mn chahta hun k mujhse be inteha sachi mohbbat kare uske liye koi wazifa batain plz like Naad-e-Ali
Answer wssalam o alykum, Hazrat Imam jafar e Sadiq a.s. farmatay hain k surah e taha ko likh kar sabz rashmi libas may lepat kar apnay pas rakhay aur shadi k qasad say kisi k pass jay to osay na kaam nahi lotna paray ga aur wo shadi ho kar rahay gi. inshAllah (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 18).
Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak phounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtilla honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53556
Mujtahid:
Date:

Question: Mai aek ladki say pyaar karta huun mainay usay kaha lekin usnay nahi mana bohat baar kaha lekin nahi mana usnay...shayad vo b pyaar karti hai lekin keh nahi rahi merit madad kijiye vo mujhse pyaar kare plz plz help me plzzz

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khoaf mojoud hay.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
56272
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam o alikum sir mera sawal ya ha ka mera 1 dost ha wo meri bohat izat karta tah us na mjhe gari b gift ki thi logo ka kehna sa or usa logo na miss guide kiya us na mujh sa gari wapis la li ha lehaza aap mjhe bata sakta hain wo mera oper pehla ki tarah kesa meharban ho sakta ha apka ehsan mand raho ga thaaaaanks.

Answer: Wssalam o alykum, Ap (s.a.w) se marvi Hadees ke mutabiq, ap sachi niyat se ache Aklaak o Kirdaar ka muzahira karain. (Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic # behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62).sura e Al-Qariaah ko 7 martaba tilawat kar ke us ki tasweer per dam kar dain.(Ref : nawaa e saleheen , pg # 36 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
56695
Mujtahid:
Date:

Question: mara boy friend muj say kiss ya sex karna chta ha kaya jaiz ha ham donu ek dosray payr b kartay han or chzen b ha plz reply me.3226168661

Answer: Shadi se pehle dosti o mohabbat o sex jaiz nahi blke haraam hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen , Part # 1 , Maslah # 30 , eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57562
Mujtahid:
Date:

Question: A.o.a mera sawal ya hai k main kisi sy piyar karti thi or uski shadi ho gai hai ab meri zindagi main koi or hai lkn main jis sy pehly piyar karti thi wo wapis agaya hai or mujhe sy pochta hai k tumhari zindagi main koi or hai main usko sachai nhi batana chahti or wo chahata hai k main Allah ki kasam khao or ya kahon k meri zindagi main koi or nahi hai kiya main kasam kha sakti hun kyun k main usko sach nhi batna chahati pls help me jaldi jawab dijiye ga sukriya..Assalam O Alkium

Answer: Wssalam o alykum, is terhan ki dosti o mohabbat krna jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
57943
Mujtahid:
Date:

Question: aoa. mai apny lover sy buhot piyr karti hu us k bgr nai reh sakti lakin wo muj sy bilkul b bat nai karta hy or na hi piyr karta plzz ap mujhy btyen mai kya krun?

Answer: Islam ki nazar mne ye mohabbat jaiz nahi hai q k is men gunah men mubatala jhone ka khoaf mojud hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
58758
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mere dost mujhse bilkul muhabbt ni krte hai pr mai un se krta hu hostal me pura din nafrat se rahte hai eee yhi hal college me hai ldke ladkiya sab nafrat se bat krte hai koi wzifa bta de mai bahut preshan hu plz koi to dua hogi jo sb ke dilo me mere muhabbt paida kr ske eeee agr koi dua likhna to use arbic and english dono me likh dena

Answer: Agar kise ko doost bana ho to surah namal ki ayat no: 31, aur surah qasas ki ayat no: 10 ko khane per perh kar dam kar de aur ise khelade ( ref: payam shifa, pg: 257) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
60133
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: me ek ladke se pyr karti or vo kahta he ki vo mujhse pyr karta ta vo mujhe chod bhi ni raha or me use chodna ni chahti sudharna chahti hu mujhse galti ye hui ki mene bina bataye ladko se bt ki or ye use bura laga esliye vo mere sath fgikal rileshan banata he mujhe acha ni lagta use sahi karne ke liye kya karu

Answer: Ap us larke se dosti katam kar dain, kun ke is terhan ki dosti o mohabbat o fisical relations haraam hain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60640
Mujtahid:
Date:

Question: sir meri g.f meku chodkar apne x boy friend ke pass waps chalae gayi meri girl friend nae mujhse kaha ki usae mujhsae be inteha nafrat hai toh mai uskae dil me mere liyae pyar kaisa paida karu

Answer: Is terha ki dosti o mohabbat islaam men jaiz nahi. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60828
Mujtahid:
Date:

Question: Muje ladki patane ki dua batado simple

Answer: (Is qism k amal(na-mehram se taluqat) haram hen is liye k) Jins e mukhalif se is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khoaf mojood hai(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)

Print

Id:
61172
Mujtahid:
Date:

Question: mera masala hen k mein kesi ko pasand kerta hon lekin mein us mein nakam hon woh meri sister ki friend hen aur mein un se izhar b kernay ki himmat nehi rakhta muje 5 saal ho gay hen lekin mein bs chup ho lekin mera dil bohat chahta hen ksei tarha se un kia dil mein apne leye mobhat paida ker sakon aur muje dar hen k woh kesi aur kia bare na sochy k es sy pehlay mein apni jaga bana sakon meray leye woh bohat khas hen lekin mein unkia leye ajnabi sa he hon please meri madat kerin ... mein chata hon k unkia dil mein apni jaga bana sakon jald se jald aur muje abi shaddi etc ki jaldi nehi hen bs mein pehlay unkia dil mein apni jaga banna chahta hon keu k mein pehlay kuch banna chahta hon umeed hen aap jawab zaroor den gay. aur aik baat yeh b hen k mein fiqa jafari se ho aur woh fiqa ahle sunnat hen..

Answer: Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)Shia mard ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho to wo sunne larki se shadi kar sakta hai aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho to jaiz nahe hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3 , masla # 215,200,4th eidition) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
61569
Mujtahid:
Date:

Question: salam,mera cousion mujh se bohat pyar krta tha,lakin men ne dhoka dia wo ab mujh se dor ho gya ha men chahte hun k mujh se bht pyar kry and shadi krwae.

Answer: Apko Shariat e Muqaddasa ke maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Shadi se pehle dosti o mohabbat jaiz nahi hai q k haram men paarne ka khoaf mojud hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61668
Mujtahid:
Date:

Question: mein ik larki sey mohabbat krta hu sir woh larki b mjhsey mhabbat krti hy hamari abhi shadi ni hui pr shadi krna chahtey hn ik dusrey sey dilo jaan sey hm mhbt krtey hn aor sachey dil sey ik dusrey ko apna maan chukey hn hum ny koe jismani taa'luq ni rakha mra sawaal yeh hy k kya hm ik dusrey ko sirf kiss or hug krskty hn

Answer: Jaiz nahi hai, or nahi Shadi se pehle is terhan ki dosti o mohabbat jaiz hai lehaza shadi kar lain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61957
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam walikum. sir Mai ek ladki se be intaha mohabbat karta hu..Allah huzur ko pata hi ki mi usse kitna cahta hu.Unka name Tasmiys banu hi.Mi usse bahut izzat deta hu aur pyaar karta hu.Par mi ab tak usse kah na saka ke mi use kitna cahta hu.Ham dono ek saat ek he university me talim hasil kar rahe hi.Mi cahta hu ke apni study complete hone ke baad mi ..Mujhe jab accha job mil jaye mi usse nikha karna cahta hu.O jab bhe mujhse baat karti hi toh dil ko bahut sukun milti hi.Allah tallah ko malum hi ke mine kabhi bhe usse kise bhe bure nazar se ni dekha hi.Usse mi chata hu.apna saccha dost manta hu aur usse future me nekha karna cahta hu. Mi usse itna cahta hu lekin lagta hi o kisi non muslim boy ko pasand karti hi .Par jab bhe o mujhse baate karti hi bade pyar se hasi se karti hi.. Maulana sahab ap plzz mere madad kare mine apke bare me bahut suna hi.i hop ap jarur mere madad karenge.. ap koe issa dua baata ye jisse mere kwahis puri ho.Aur mi Tasmiya ko future ke liye pa saku. ap koe issa wazifa/dua bataye jisse mi usske uper fook maru toh oh bhe mujhse mohabaat karne lage. plzz apse yahi help ke guzaris hi..Plz Tasmiya banu ke dil me mere liye pyaar badhaye/pida kare..Aur unke family bhe isske manjuri de..

Answer: Kisi merd k liay na-mehram aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahi hay. Haan aap faqat os k ghar nikah ka paighaam behjh sakte hain or dua ker sakte hain. (Ref : Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69). Update on dated 17-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62030
Mujtahid:
Date:

Question: Asalamulikum mera sawal Ye hy k Kia pyar krna gunah hy ?? Mera dosra sawal Ye hy k jis sy hum be intiha pyar kry osk sath kabi kissing kry tu Kia wo gunah hy

Answer: 1)Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). (Ref : Naway e Salaheen pg # 352)
2)Na mehram ke sath lams(touch) haram hay.( Kitab-e-nigah aur libas ques # 116 , pg # 72). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
62176
Mujtahid:
Date:

Question: AASALAM U ALAIKUM May aik larki se bht bht piyar krta hu or shadi krna chahta hu. Wo larki b mjh se piyar krti hai. Magar os ne apne waldien k kahne par kahe hu mangni kar li hai. Humre cast b alag hai. Plz plz koi wazifa btao k humre shadi hojye

Answer: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
70694
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamalaikum Plz hume ans dijiye kaii br try kr chuki hoon pr ans nhi mila hai mujhe Mera question yeh hai ki my fb pr ek ladke se ek sal se bahut pssand krti hoon aur o ladka b mujhe bshut psnd krta hai aur her roz hum dono bus normal batein krte hain jaese k hal chal nd mostly islamic nd ehkam ki discussion chalti hai aur gunah se bahut piche rehte hain lekin o ladka mujhe pardah k sath dekhna chahta hai aur iske liye my ne isteqara nikala tu yeh masla nikla ki koi deendar ki raye lein tu plz aap bataiye k kya my pic bhej sakti hoon Plz rply fast

Answer: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). (Ref : Naway e Salaheen pg # 352) 2)Na mehram ke sath lams(touch) haram hay.( Kitab-e-nigah aur libas ques # 116 , pg # 72). Update on dated 28-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
73050
Mujtahid:
Date:

Question: kya pyar karna or larki sy dosti karna jaiz hai?

Answer: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69). (Ref : Naway e Salaheen pg # 352) 2)Na mehram ke sath lams(touch) haram hay.( Kitab-e-nigah aur libas ques # 116 , pg # 72). Update on dated 25-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print