Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Games (29 Questions)


Showing 0- 29 questions from 29 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3267
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is playing cards halaal or haram? Traditional cards (with Ace, Jack, King, Queen, Hearts etc) and normally card such as children play like UNO or ONO. Are they allowed if played without gambling only for fun?

Answer: It is similarly harãm to play with instruments of gambling{Like cards} in which betting is involved. Based on obligatory precaution, one must refrain from it even when no betting is involved.(Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=251364&id=46&pid=2068).

Print

Id:
3950
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is it permissible to play cards?

Answer: Joay k tamaam alaat(divice) k zarye (jaisay cards{taash}waghaira) khailna haram hay is shart k saath k kisi maal ki shart per khiala jaay balkeh ehtiyaat e wajib ye hay k maal ki shart k baghair bhi joa baazi ko terk kia jaay.her wo khail(game) jo urfi taur per(aam awaam main) joa samjh jaata ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per shart lagaay baghair khialna bhi jaaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #470, mujtahid say pochay gaay sawalaat,part#4,maslah#205).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
11548
Mujtahid:
Sayed ali sastani sahab Date:

Question: ya ali a.s madad,assalam o alaikum, Football(soccer) kailne k bare me aap ka kia kehna hy ?

Answer: Foot ball ka game khelna jaiz hai . (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 471, pg # 255)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
11893
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Computer mai jo cards wali game hoti hai khelna jaiz hai ya nahi....

Answer: Joa(gambling) khailna(jaisay cards) jaiz nhi aur computer par bhi joa khailnay ka ye hi hokum hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 488, pg # 259)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14365
Mujtahid:
ali sistani Date:

Question: kia copmuter pay snooker kahlna jaiz hai?

Answer:
There is no problem in that as long as that does not involve betting.(Ref.E-MAIL RCVD FROM A. SISTANI DATED: Apr 5, 2012)
Terjuma : is main koe haraj nahi hay jab tak k is main shart shamil na ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17193
Mujtahid:
Date:

Question: Chess khailna haram hai ya halal agar haram hai toh q hai?

Answer: Chess (shatranj) khailna joay ki shart k sath bhi haram hay or baghair shart k bhi haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#2, maslah #22 . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Note: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32922
Mujtahid:
Ayatullah sistani Date:

Question: Is it OK to play video games on computer?

Answer: If the computer video games is not from the tools that are exclusively for gambling, then there is no problem in using it in non-gambling games. (Ref : Sistani.org english)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
38937
Mujtahid:
Date:

Question: meray mujtahid nay cards khelnay par (kisi maal k bagair) ehtiyat e wajib lagya hay to kia main cards khel sakta hu ? agar han to plz kis fal alam k mutabik ?

Answer: Ager apne Mujtahid ke hokum per amal karna chahte hain to nahi khel sakte, or ager Ehtiyaat e Wajib ki waja se Fala Aalam ki taraf ruju karna chahte hain to us Mujtahid ka fatwa maloom karain jo ap ke nazdeek ap ke Mujtahid ke baad Aalam ho, masalan baaz Ayat ul Allah Sistani ke baad Ayat ul Allah Waheed Kurasani ko Aalam maante hain to apk nazdeek jo fal-aalam hai uske masle ko dekhen phir usi per amal kren.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 06 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
45583
Mujtahid:
Sistani Sahab Date:

Question: Assalam-o-Alaekum! mera sawal ye hy k kya computer pe shantranj ka game khailna jaiz hy?

Answer: Computer par 2 afrad ka mil kar shatranj khailna haram hai aur ehtiyat e wajib ki bina par 1 admi ka bhi computer k sath mil kar shatranj khailna haram hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 469 pg # 254)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
50767
Mujtahid:
fb Date:

Question: Assalamoalikum mujhe ye pochna h k kya fb use krna gunah h??

Answer: ager is ke use se ap ko haraam main hone ka imkaan hai to is ka use karna jaiz nahi hai, warna jaiz hai.(Ref : email received from Ayat ul Sistani , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
58288
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: lUDO khailna jaiz hay Kay nahin..?

Answer: Ludo khelna Jaiz hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla#469-472) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
63568
Mujtahid:
Date:

Question: mera swal ye hai k mai cricket match pr jua khelta tha bohat nuqsan hone k bad mane masjid mai ja kr Quran pr hath rakha Kalma parha aor qasam khai k dobara ye haram kaam nae krn ga aor agr mane ye haram kaam kia to Allah mjhe bohat bari saza dy. laiken sheetan ne mjhe wargla dia aor mane dobara ye kaam shoro kr dia esi trah mai 3 bar kalma parh chuka aor Quran pr hath rakh k qasam kha k tor chuka hn. aor abi b es haram kaam mai para hoa hn. mai bohat pareshan hn. es ka kafara kia hoga???

Answer: 1)Kisi bhi game me shart (bet) lagana jaiz nahi hay .( Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0949/ )

2)Qasam khanay ki shrait moujood nahi hain lehaza kaffaara wajib nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2634). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
63906
Mujtahid:
Date:

Question: A.S.W Sir mene ye suna hain ke sharth lagana haram hai aur jumme ke raat ko hamare eik dost ne sharth lagaya tha cricket p jis ke badle hum ne eik chicken ka liya hamain pata to tha lekin patha nahi andhe ho kr ka liya to kiya ab hum aghr astaghfar parhe ( sache dil se) to muafi mil sakti hai? Ya aghr koi wazifa ho muafi ke liye to please batai.

Answer: 1)Kisi bhi game me shart (bet) lagana jaiz nahi hay .( Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0949/ )
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70661
Mujtahid:
Date:

Question: kya vollyball khelna jaiz hain ????

Answer: Jaiz hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame, Mafhoom e Maslah #2257). Update on dated 13-04-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
72849
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalamu alakium kya clash of clans khelna jaiz he

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per nahi khel sakhty hain.(http://www.sistani.org/persian/qa/search/715759/ ). Update on dated 17-09-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88515
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia bagair kisi gabling ya juay ki neyat sy clash of clan khyl sakty hain ???

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per nahi khel sakhty hain. (http://www.sistani.org/persian/qa/search/715759/). Update on dated 06-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
94277
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-03-05

Question: Aoa sir kya kisi game pe koi khany peny ki koi cheez lga k khelna masln mein snnoker ki game khel rha hn aur mein kehta hn k agr mein hara to sab ko bottle pilaun ga to yeh jaiz ha ya ni , aur agr aisi koi cheez game pe lgi hhi cheez khana kisi dosry ne lgai ho to wo khana jaiz ha ya ni ?? tell plzz

Answer: Kisi bhi game me shart (bet) lagana jaiz nahi hay .( Ref: http://www.sistani.org/persian/qa/0949/ )
[Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108272
Mujtahid:
kashif Date: 2020-06-12

Question: Satta khelna haram hai ya halal Plz guide

Answer: haraam hai.(Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/01828/)
[Updated on 12-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108724
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-07-02

Question: Ludo khelna galat hai sahi nahi hai.. hadees ki maloomat karo aap

Answer: Ludo khelna Jaiz hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla#469-472)
[Updated on 03-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110940
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-04

Question: Me game khelraha hun us se muje paise arahe hain...me paise laga kar nahi khelra laikin o game khelne se muje paise milenge.ak target hota hai o target pora karne per 1 rupee kiya 2 rupee milte hai kiya a haram me aata hai ya halal me

Answer: Agar game jeetne per haarne wale k alawa koe doosra aap ko batuar e inaam ki amount deta hay, tu aap k liay lena ajaz hay. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4475/+https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4476/)
[Updated on 04-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112385
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-10

Question: Asslam o alikum, cricket khalne sa jo paisy milte hain kya jaiz hain

Answer: Cricket ya kisi bhi khail main haarne wali team ki janib se jeetne wali team ko shart poori karne k liay jo khuch dia jaey wo haram hay. (Ref: Tuzihul masael jaame, paart#1, Maslah#2255).
team ko [Updated on 10-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115159
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-23

Question: Pubg khlna hram h ya hlal? Or is se pesay kmana hram h ya hlal? Ma pubg ka professional player hoo ma time s nimaz b ada kr rha hoo or family ko b time de rha hoo .or iska impact meri real-life ma b ni pr rha or ma.is s pesay b kma rha hoo to kya yr mere lye hram h?

Answer: pubg game paise ya kise or cheez ki shart ke sath kheelna haraam hai .agar pubg game aap ke shear ( city) me joa me shumaar hota hai tu ehteyaate wajib ki bina per beghair shart ke bhi jaiz nahe hai or agar aap ke shear (city) me joa me shumaar nahe hota tu beghair shart ke jaaiz hai.(ref:tuiziulmasail jame urdu,2260,sistani.org urdu topic aalaat qemaar)
[Updated on 23-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115160
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-23

Question: Kya pubg khlna hram h??

Answer: agar pubge kheelna aap ke shear (city) me joa shumaar hota ho tu ehtiyaate wajib ki bina per haraam hai or agar aap ke shear (city) me joa shumaar na hota ho tu beghair shart ke kheelna jaiz hai.(ref: sistani.org,urdu, topic : aalaateqemaar,sawaal no: 2)
[Updated on 23-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
116313
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-08

Question: Kya Chess ka game dekhna jaiz hai ?

Answer: Chess(shatranj) khailna joay ki shart ke sath bhi haram hay or baghair shart ke khailna bhi haram hay. (Ref: Minhajus saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #22).
Note: shitraaj ko daikhna haram nahi.
[Updated on 08-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120979
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-09

Question: Agr hum kise game mai thode se paise lga kr khel lai or uske baad us game mai jeetne k baad paise double ho jaye to aisa khelna sahi hai ya galt kya hum aisa kr sakte hai ya nhi plzzz reply

Answer: Agar game jeetne par haarne wale ke alawa koe doosra aap ko batuar e inaam ki amount deta hay, to aap ke liye lena jaiz hay.
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4475/+ https://www.sistani.org/urdu/book/26352/4476/ ).
[Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121758
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-28

Question: Hum cricket khelte jis me 2 teams hoti ha match me teame 200 200 rupee late aur jetne walo 200 use apne aur harne wale ka bhi 200 milte ha tu please batao jo harne wali team sa 200 rupee lia ha wo haram tu nai ?

Answer: Jin maqamat mein jeetna aur haarna paaya jata hai is mein do fard ya chand afraad ke darmiyan shart bandi Haraam hai, aur shart bandi se muraad yeh hai ke aapas mein tay karen ke jeetnay wala harnay walay se koi cheez lay chahe paisa ho ya koi aur cheez jo maali qeemat rakhti hai ya harnay wala koi aisa amal jo maali qeemat rakhta hai muft mein jeetnay walay ke liye injaam day.
(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #433).
[Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121759
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-28

Question: Hum cricket khelte jis me 2 teams hoti ha match me teame 200 200 rupee late aur jetne walo 200 use apne aur harne wale ka bhi 200 milte ha tu please batao jo harne wali team sa 200 rupee lia ha wo haram tu nai ?

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 01-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122847
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-11

Question: Ek individual hai who is planning for hajj this year. He is working as a software developer (Recently changed his career and moved to another country). He got this job mushkil se. Ab is job mein he works of developing games which is used in in gambling and betting sometimes too. When he started he wasn’t aware however now he understands that it’s haram. He is trying to find other job but cannot quit without finding another job. Should he and can he go for hajj? Is his income haram? What should he do?

Answer: Aise khail (games) jo khas taur joye(gambling) ke liye istimaal hote hain (jese ke shatranj(chess), taash(card) wagera) to in ke zariye ki gayei kamaei jaiz nahin hai aur is kamaei se Hajj pe nahin jaa sakte.
Lekin wo khail (games) jo khas taur joye(gambling) ke liye istimaal nahin hote (jese ke Cricket, Football wagera) lekin in ko shart ke sath khelna jaiz nahin hai to agar aise khail (games) banaye jayen to in ke zariye ki gayei kamaei jaiz hai aur is kamaei se Hajj pe jaa sakte.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), website link, https://www.sistani.org/english/qa/01202/ ).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123508
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Aj kal sequence naam ka aik game boht khela ja raha hai. Kia uska khelna jaiz hai?

Answer: Choon k iss game bhi Taash jese cards hi hai isi lie yh game bhi khelna jaiz nhi hai chahe Shart lgai jae ya baghair Shart k khela jae..
(Reff: Sistani.org)
[Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print