Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Chatting & facebook (31 Questions)


Showing 0- 31 questions from 31 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
110
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: ASSALAM-O-ALIKUM, MY ENGLISH NOT GOOD SO I ASK U QUESTION ROMAN URDU, MAREE INGAGMENT HOI HAI TU KIYA MAIN APNAY MANGATER SAY CHATING YAA UNN KO MAIL KAR SAKTEE HOO JAB KAY MAIN JAB BHEE CHAT WAGAR KARTEE HOO TU MUJHY BUHTH DAR LAGTA HAI.

Answer: Agar SHEHWAT ubharnay aur HARAM main parnay ka khouf na ho to JAIZ hay.
Ref:Book Siraat-un-Nijaat(Part 1) Question No.845.

Print

Id:
111
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: main jab bhi apnay mangater say chating kartee hoo pata nahi kun itna dar lagta hai.shayad ya sab tek nahi hai mager kohi asee dua kay main baat na karoo aur unn kay dil main maray liya muhabath bhi rahay.mujhy iss ka jawab yaa hal bata digiya yaa kohi dua, ALLAH HAFIZ FROM TAHIRA

Answer: Agar SHEHWAT ubharnay aur HARAM main parnay ka khouf na ho to JAIZ hay.
Ref:Book Siraat-un-Nijaat(Part 1) Question No.845.
Try to ignore chatting(if possible) in this situation.(Mumkin ho to chatting ko TARK kar dain).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: ASSALAM-O-ALIKUM, mara qiestoin yaa hai kay mari ingegment hoi hai ammi aur gher walay sab razi hain bass abu kahtay hain kay jab job lagay gee tab yaa reshta ho ga tu kiya main online chat kar saktee hoon un say say sharyath is ki ajazath nahi date. ALLAH HAFIZ

Answer: Agar SHEHWAT ubharnay aur HARAM main parnay ka khouf na ho to JAIZ hay.
Ref:Book Siraat-un-Nijaat(Part 1) Question No.845.

Print

Id:
270
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: salaamz, mera sawal yeh hai k .. na mahram se chatting karna jaiz hai .. aur agar hai tu kis hadh tak hum na mahram se chatting kar sakhte hai .. thank u .. waitin 4 ur reply ..

Answer: Choonkay Haram main parnay ka khatra hay lihaza JAIZ NAHI hay.Ref:I-19.

Print

Id:
324
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salamz....plz tell me k kya net par sirf net par larkoon se fiendship rakhna allowed hai???koi gunnah to nahin ya haram???

Answer: Choonkay haram main mubtala honay ka khouf hay is liye jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat I-19.

Print

Id:
613
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: salamz!!!mein yeh poochna chahti hoon k kya hum larkon se net par baat kar saktay hain..yeh haram to nahin hai na....maqsad sirf net par bata karna ho...reallife mein koi bhi iraada na ho???

Answer: Choonkay Haram main mubtala honay ka khouf hay JAIZ NAHI hay.Ref:Istiftaat I-19.

Print

Id:
616
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-05-30

Question: SALAM.. MAY I KNOW THAT IS CHATTING HARAM OR HALAL...THANK YOU..

Answer: Salam un alaikum,
It self there is no haram in it.
Note: We are very sorry for the late reply.

Print

Id:
684
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salams..plz muejh yeh batayen ki kia kisi larke se baghir kisi ghalat neeyat k baat karna gunah hai...aur agar hum net pe chatting kartey hain baghir kisi ghalat neeyat ke to kia yeh jayiz hai..plz reply a soon..Thankyou..

Answer: Kionkay haram main mubatala honay ka khouf hay is liye chatting jaiz nahi hay...Aik khatoon say aisi batain ki jasakti hain jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jabkay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni ja sakti hain jab kay haram main na parnay ka bhi itmeenaan ho,albatta aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur bareek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:I-19,Book-4,Q.No.127.

Print

Id:
808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: KYA LARKIO KE SATH CHATTING KARNA SAHI HAI DESCRIBE IN DETAIL.

Answer: Chonkay Haram main parnay kay khatra hay lihaza JAIZ NAHI hay.Ref:I-19.

Print

Id:
1091
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: is it right to chat with a girl on the views of islam(remember that there is no any sexual intrest)and if a girl asking a problem of fiqh so can i give the answer on online chatting

Answer: 1:Fiqhi sawalat kay jawabat denay main koi haraj nahi hay siwaey ye kay haram main parhnay ka khouf ho...2:Aam guftugu main choonkay haram main parnay ka khatra hay lihaza jaiz nahi hay.Ref:I-24,I-19.

Print

Id:
1248
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam YA ALI (A,S) MADAD ham jo computer pay chat karthay hai male & female ka saat is ka baray may kiya huqam hai plz ki jawab day day

Answer: Choonkay rafta rafta hi sahee beherhaal Haram main mubtala honay ka khouf hay lihaza Haram hay...Mard ki mard kay saath chatting karnay main koi haraj nahi hay siwaey ye kay Haram main parnay ka khouf ho.Ref:I-19.

Print

Id:
6833
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: now adays youngsters are stick to a sin of phone sex. please give complete description on this topic.tnx

Answer: If there is a fear that a girl or a boy may be drawn towards sin, it is not permissible. Normally chatting ends up in a sin for both sides. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=616687&id=1151 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7455
Mujtahid:
Islam Date:

Question: Mai face book par ladkiyo se freindship or unse baat kar sakta hu kya ye jayez hai yb nahi plz tell me..

Answer: Agar is wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7610
Mujtahid:
Ayat ullah Sistani Date:

Question: Kia FaceBook per apany dost say baat karsaktay hain?

Answer: Agar is ki wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein perhrnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. (REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7901
Mujtahid:
Ayat-u-allah Sistani Date:

Question: Kya hum pyar kar sakte hain?

Answer: kisi bhi ghair ekhteri amal per shariat koi hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariat kisi bhi aisay irtebat ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
11158
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Assalam-o-Alikum, Will You plz get me In Knowledge any Quranic Verse In Which chatting with Na-Mehram is Defined. Or any Qaul Of Any Imam (A.S) About talking with Na-Mehram.

Answer: If there is a fear that a girl or a boy may be drawn towards sin, it is not permissible. Normally chatting ends up in a sin for both sides.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1151 )
Hadees #1: Aurton k saath mail joul or guftogo se perhaiz karo yaqinan koe merd khalwat(alone) main kisi na-mehram aurat k saath baat cheet nahi kerta hay magar ye keh os k dil main os aurat se rugbat paida ho jati hay (Ref: bahisth e khubaan pg398, mar,a,tun nisaa pg#141, jaded masail, part#2, pg#35).
Hadees #2:na-mehram aurto se baat cheet kerna shaitan ki kumando(Lassos) main se aik hay.(Ref: mustadrak wasail, part#14, pg#273, jaded masail, part#1, pg#139) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13756
Mujtahid:
Sex Date:

Question: Assalam O Alaqum bhai jan mujha ap sa ya maloom karna ha ka main 5waqt ki namaz pharta hon with Tahajud per main apni Nafs per kabo nahi rakh pata or aksar Internet per agr koi larki ghalat bat karti ha tu ma bhi os sa Ghalat batan karna lagta hon kya ya main Zana karha hon oska sath? or iski mafi kesa mango mena kafi bar mangi ha mafi per phir yahi kam karna lagta hon Plz mujha ap ki madad ki bhot zarort ha

Answer: 1)Q k chatting ki wajah se fasaad ho raha hai is lie jaiz nahi he. Han agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
2)Taqwa e ilahi k zarye se is adat se nijaat hasil ki jay.or jin cheezo or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jay. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 ).
3)Jo shaks shadi nah kerne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 2407). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13979
Mujtahid:
Date:

Question: ge main ak larke se bht pyar karti hn par usk shadi hogi hai main srf itna chti hn ke wo bt kar lya kare please help me please

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14073
Mujtahid:
chat Date:

Question: Janab maine pehle b question kia tha par mujhe jabab nai mila plz mujhe batai k mai shadi shuda hu kya mera facebook par chat karna sahi hai.

Answer: Larka larki ka baat/chat karna agar is ki wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein perhrnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. (REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15021
Mujtahid:
Date:

Question: assalamu alaikum sir roze ke darmiya apni girl friend se bat kar sakta hun,

Answer: jins e mukhalif sai chatting karnay mai jab fasad, burai aur ghunnah mai mubtila honay ka khof ho to jaiz nai hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 79 pg # 57) laikin is se roza batil nahe hota hai.( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15286
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Assalamu alaikum... Kya facebook use karna haram hai? Kyun ke facebook par ladkiyon ki taswir wagaira dikhti hain...

Answer: Agar is k zerye se aap gunah main mubtalah ho rahay hoon agarchah kam kam hi Q nah ho, tu phir aap k liay is ka istemaal haram hay.(Ref: Email rcvd from A.Sistani d.b, dated:26-08-12). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45938
Mujtahid:
Ayaatollah sistani Date:

Question: Assalamoalaikum qibla ek larki muje like karti hai pehle maine use ignore kiya lkn us k bar bar contact karne ki waja se ab ma us se fb pe or mobile pe baat karta ho hum koi ghalat baat ni karte jese friends baat karte wese hi to kiya ye sahi hai ?

Answer: Agar is wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. (REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46066
Mujtahid:
Date:

Question: Sir mera question yeh hai kah.agr ek larki apni feelings ek larkay sa facebook ki through share krskti sexuality?( begairr real ma milay)..orr is sayy taluk rakhay,,kia yeh jaiz ha? kia yeh gunnah kabeera ha? orr prh kia jb real ma jis banday ka sath shadi ho jaye is ko apnay pechlay talukat means yeh fake taluk bfs ka batana chahiye? sir mjhee bht tension stress rehta ha mjhe in kamu ko choray hoye 1 and half years ho gaye hain..or maii in kamu ma dubara nahi parna chahtii..how to control my self ...magr kabhi kabar dil krta ha kahh prh sa fb join krun orr prh sa ultay kam..magr how to control my self?even i know kia wrong and kia sahi after realization..plz help me.!

Answer: FB ko istemal karna zati tour par haram nahi hai laikin agar is k zerye se aap ghunah main mubtilah ho rahi hon agarchah kam kam hi q na ho, to phir aap k liay is ka istemal haram hay. (Ref : Ayatullah Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, part 3, ques # 139). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
46452
Mujtahid:
sistani shb Date:

Question: Kya face book haram haii

Answer: ager thorha thorha ker hi sahi facebook k istamaal se haraam main mubtala hone ka koof ho to is ka istemaal karna jaiz nahi hai.(Ref : istiftataat from sistani.org).

Print

Id:
50578
Mujtahid:
Muslim Date:

Question: Aslam-o-Alaikum, mera Ye Sawal hai k men ek G/f Se voice chat aur sms pe bhi chat karta hon to mujse neche wali cheez se lagatar qatre kharij hota rehte hen, kabi kabi sexy baten b hoti hen aksar ye hota hai k main normal baten b karta hon to b Qatre kharij hote hen kya is condition main Gusul Karna Wajib Hai Kya Main Naa Pak Hojata Hon Aksar Normal baten Karte Waqt B katre Kharij Hote hen

Answer: Inter net, facebook, cheating, waghara ko istmaal karne se insaan aista aista haram me mobtela ho raha ho to us k lye ye chease istemaal karna jaiz nahe hai. ( ref: istifta recive from sistani.org)
Jo shaks shadi nah kerne ki wajah se haram kaam main mubtila hota ho os per wajib hay k shadi karay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah # 2407). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53043
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Kya na mehram sy chat krna theek hai plz jawab zaror dain

Answer: ager ye fasaad o buraae ka bais ho ya guhnaah main mubtala hone ka koof ho to jaiz nahi hai.(Ref : nigaah o libaas , question # 79 , pg # 58 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
60171
Mujtahid:
Date:

Question: Mera rishta lg gya h.ek sal bad shadi h..kya main sirf phn pe bat kr skti hui.sirf khairyat k liyen..puri perhezgar se...plz rply main bhut bechain hun

Answer: Ager nikah ho gaya hai to kar sakti hain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
60820
Mujtahid:
Date:

Question: Sir kya ham umar cousin se islamic baatayn msgs pa karna jaiz hy?

Answer: Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k kohe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib nahe hota . ise tarah beghair laszat k irade k is ki batain bhi sone jasakte hai jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
62204
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: slam sir aksar internet per nangi ya fazool aurto ki picture aanai ka khatra rehta hai kia mai inter net istamal kr na band krdo

Answer: Internet ka srif halaal istemaal karna jaiz hai .(ref:nigha o libaas ,pg:54)
Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
92714
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-10-19

Question: kia phone per mangetar se bat kar saktay hen?

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
[Updated on 20-Oct-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115842
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-11

Question: Salam agr ik lrki lrky sy mobile pr chatting krti h r os sy chat ma kae bar sex kr chuki h physically sex nhi kia srf baton k zareye kia h to kya ye zina shomar hoga?

Answer: Aik (na-mehram) khatoon se is sexy batain karna ki baat cheet karna jaaiz nahin hai .(or jab tak aurat se intercorse na kia jaae tu zina nahe hoga) i ho.(Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66)+ Kitab Nigah aur libas, pg #31,58)
[Updated on 11-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print