Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Dance (12 Questions)


Showing 0- 12 questions from 12 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
962
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: aslamualaykum wa rahmatullahe wa barakatu.is dancing in a wedding party haram .

Answer: Aihtiyat-e-Wajib ki bina par na kiya jaey (parhez kiya jaey).Ref:Istiftaat A.Sistani (I-10)

Print

Id:
2403
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Music and dance is allowed for a wife to learn to attract her husband?? If yes then i need the reason because our Imam said MUSIC AND DANCE IS HARAM

Answer: Jee nahi, wife k liay ye jaiz nahi k wo kisi bhi sorat main Haram music or dance sikhay. Kun k wife apnay shohar ko khush kernay or os k jazbaat ko ubhaarnay k liay sirif os k saamnay dance kersakti hay.laikin wo dosray merdo k saamay dance nahi kersakti(haram hay) or isi terah ehtiyaat e wajib ye hay k wo aurtoo k saamnay bhi dance nahi kersakti.Haan agar haram music nahi ho to osko seekha or suna jasakta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, Pg# 257 to 262) .

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3591
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AOA meray do sawal hain 1-Kyia Moor hamari fiqah main haram hay 2-kyia bivi(wife) apnay sohar kay lyia dance kar sakti hay owr agar na ata ho to sekh(learn) kar sakti hay.

Answer: 1) Moor k halal or haram honay main ikhtelaaf hay.Ayatullah sistani(d.b) k fatway main Moor khana halal or jaiz he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2587 ).
2)Aurat apnay sohar ko kush karnay k lie aur us k jazbaat ko ubhaarnay k lie os k saamnay raqs karsakti he. Laikin dosray merdo k saamnay raqs nahi ker sakti or ehtiyaat e wajib k taur per aurtoon k saamnay bhi raqs nhi ker sakti.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # fiqhi masa’il,maslah#553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6213
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: kia dhamaal suna jayiz hai?jis me mola ALI(as) ka zikr hota hai?

Answer: Aurtoon k samnay aurtoon ka raqs or merdo k samnay merdo ka raqs ishkaal se khali nahi. Ehtiyaatan isay terk kerna chahiay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Fiqhi Masail, maslah #570). (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa farmaye)

Print

Id:
14219
Mujtahid:
Agha Syastaani Date:

Question: kya mard k liya apna dost mardoon ki mahfil main dance karna jis main koi jinsi khwahish nah ubhra jaiz ha?

Answer: 1-Aurtoon k saamne aurtoon ka raqs(dance) or merdo k saamne merdo ka raqs(dance) ishkaal se khali nahi hay.Ehtiyaatan isay terk kerna chahiay(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla #570).
2-Aurat apne shohar ko khosh kerne or os k jazbaat ko ubhaarne ki gharz se os k saamne raqs(dance) ker sakti hay.Laikin doosray merdo k saamne raqs nahi ker sakti or ehtiyaat e wajib k taur par aurto k saamne bhi raqs nahi kerna chahiay.(Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 553). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
18601
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: aoa..mene ap k ek qstn k ans me parha k aurto ka aurto k samne dance krna agr haram music pr na ho jaiz ? Plz mujhe bata den k haram musc se kia murad hy? Or kon sa musc hy jise sunna gunah nhi?

Answer: 1)Aurato k samne aurato ka aur mardo k samnay mardo ka raqs(dance) karna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masail Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 283, pg # 570)
2)Haram mosiqi wo hai jo lho wa lahab ki mahafil sai munasibat rakti ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 570, 555 pg # 283, 280) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Kia shadiyon main girls K function main dance krna allow hai

Answer: Aurato k samne aurato ka aur mardo k samnay mardo ka raqs(dance) karna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 283, pg # 570) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
56561
Mujtahid:
Date:

Question: Kya apne shoher k liye dance ker na jaiz hai kya kersakte

Answer: Biwi apnay Shohar ko Khushaal karnay ke aur iskay jazbaat ko ubharnay ki gharz say iskay samnay raqs(dance)kar sakti hai lekin dusray mardo k samnay raqs(dance) nahi kar sakti albatta ghina(songs) sunna ya gaana haraam hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla #553,550)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
58970
Mujtahid:
Date:

Question: kya mard dance kr sakta hai agar uski soach theak ho jasy isy apni exercise k tor pr kry

Answer: Dance kerna ehtiyat e wajib ki bina per jaiz nahi hai cahay koe daikhne wala nah ho or chahay exercise ki naiayat se ho ya nah ho. (Ref http://www.sistani.org/arabic/qa/0486/) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
84990
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Slamun Alaikum mera swal ye h k jb rkhz(dance) krna shriyat me hram h to biwi shauhr k samne kaise dance krskti h? Jbki dance krna shriyte mohmmdi me hram h

Answer: Islam ne is soorat ko mustasnaa(exception) kia hai k Biwi apnay Shohar ko Khush,haal karnay k aur iskay jazbaat ko ubharnay ki gharz say iskay samnay raqs(dance)kar sakti hai or is tarah shohur ko bhi ijazat hay, lekin dusray mardo k samnay raqs(dance) nahi kar sakti or ahtiyat e wajib ki bina par aurton k saamne bhi raqs nah karey albatta ghina(songs) sunna haraam hai. (Ref: Jadeed Fiqhi Masail, Masla #553,550)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
101053
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2019-10-14

Question: Salam o alikum mufti sab myra app sa question ye hai k myri wife mujy bar bar twerk karny ko kehti h nikki minaj ki tarha ya iggi azalia ki tarha ager my na karun wo sakoon sa pubg nai khailny dyti plz myri rehnumai farmain

Answer: Bivi ka apne shohar k liay dance karna or is tarah shohar ka apni bivi k liay dance karna, jab keh os jagah koe doosra mard ya aurat nah ho tu jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail Jaame, part#1, maslah #2240). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
[Updated on 14-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126233
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-20

Question: Mera sawal hai ke, mujhe shahoot bahut jyada aati hai to Kya mai biwi ke sare kapde utar kar (full naked) Dance Kara sakta hun kisi bhi tarah (Khare ho ker, jhuk kar, baitha ker and leta kar)? Or Dance karte hue shoher biwi ke dono sharamgah ko dekh sakta hai?

Answer: 1: Biwi ka apne shohar ke liye raqs (dance) karna, jab ke us jagah koi dusra mard ya aurat mojood na ho aur koi dusra haram kam bhi nah ho to jaiz hai. lekin shohar ka apni biwi ke liye dance karna ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahin hai.
2: Shohar aur biwi aik doosre ka poora badan dekh sakte hain, yahan tak ke sharamghah bhi dekh sakte hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame(fasri), Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #416. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2400).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print