Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Jibrael(A.s) (1 Questions)


Showing 0- 1 questions from 1 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
54227
Mujtahid:
Date:

Question: hazart zebrail aly hes slam Aap ke pass ketne baar pegam lay

Answer: Pas ager ap ye janna chahte hain ke Jebreel (a.s) Ap (s.a.w.w) ki khidmat main kitni baar aae to is ki tadaad muayan karna mushkil hai kun ke Jebreel (a.s) ziyada ter aap (s.a.w) k sath hote the , jesa ke manqola Hadees Nabavi (s.a.w) se marvi hai ke eh abo zar! Jebreel ehl e bait main se hain, or hamare khadim hain. (Ref : Hyaat ul qoloob , jild # 2 , baab # 9 , chapter # Panjetan e Paak (a.s) tamaam farishtoo se afzal hai or Jebreel (a.s) in ke khadim hain , pg # 249).
Or ager ap ye janna chahte hain ke Jebreel (a.s) aap (s.a.w.w) ki khidmat main kitni baar peghaam k sath aae to jab Quraan e Majeed or Ghair Quraan e Majeed (masalan Hadees e Qudsi) dono peghaam shumaar kiye gaae hain to in ki sahi tadaad maloom na hone ki waja se Jebreel (a.s) ka Ap (s.a.w)ke paas peghaam ke sath aana bhi ghair maloom hai. (Ref : tafseer ul Quraan , mufassir # al-haaj molana syed zafar Hassan sahib qibla amrohavi , jild # 5 , sura # najam (sura no 53) , ayat # 03 , pg # 163 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Print