Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 1 (1356 Questions)


Showing 0- 50 questions from 1356 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
109
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-19

Question: Kiya najasat e haiz ki halat main shohar kisi bhi qism ka rabta rakhna sahih hay?

Answer: Najasat e Haiz ki haalat main Aurat say Jima(Sexual Intercourse) kay Ilawa har qism ka rabta rakh saktey hain.
Ref:Masala No.459 Pg.No.102.(Urdu Tauzeeh-ul-Masail)

Print

Id:
112
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-20

Question: kiya rozay main miya biwi aik dosaray ko kiss wagara kar sakthay hai

Answer: Agar koi shakhs rozay ki haalat main ,MANI nikalnay k iraday k baghair apni bewi ko kiss karay to MAKROOH hay aur agar MANI nikalnay ka irada ho to roza Batil ho jaey ga.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
128
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: Salaam, Do u prefer marraige between double cousins? If their mothers are sisters and fathers are brothers and grand fathers i.e (nana and dada both) are also same. And what would be the after effects upon their children?

Answer: Riwayaat main qareebi rishtay daroon say shadee ko mana nahi kiya gaya,haan riwayaat main ye tazkira milta hay kay is say Bachay kamzoor paida ho saktay hain.Is main bhi Sharee aur Ilmi aetibaar say Umoomiat nahi paai jaati. Behtar hay k aap kisi Mahir-e-Tibb say rujoo karain. Ref: Qia Book-2 Question No.151 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date: 2018-05-23

Question: assalam-oalaykum khumeni sahab me aapse shadi ke mutabik sawal karna chahti ho aur wo ye ke meri umar 20 saal hain..aur mere kafi rishtey aa rahey hain..magar me chahti ho ke meri shadi meri apni pasand se ho magar muje kab aur kaha meri pasand mil jay iska muje khud ko bhi nahi pata.. aur muje darr is baat ka hain ke me shia hoo aur ek working girl bhi hoo .. to muje agar koi gair jamat ka larka mil gaya... maslan kissi ne pasand kia aur rishta bhejna chaha to me kia karuu...agar wo muje pasand aa jay to muje kia karna chaiye.. mana kar dena chaiye ya.. ussey mere shia rehney aur mujse shia mazhab se nikha karney ki ijazat maangni chaiye ??

Answer: We are extremely sorry for the late responce. 1) For a Shi`ah woman, there is no objection to marry a Muslim of another denomination as long as it does not lead to a depravity (e.g. when there is a fear for her to be deviated from her school of thought). Ref: Isteftaat Aqai Khamenai .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: 1.is it allowed for a women on do a intercorse in istehada? 2.if a child becomes balightoday so things which were his milkiayat khums will be wajib the day he becomes baligh or after bologiyat one yr more should passs that the thing is un use then it will be wajib??

Answer: Salam-un-alaikum
1) It is allowed for women to do intercorse in istehada, but if she is in istehad-e-kasira or mutawassita then it is ehtiyat e mustahib to do gusul before intercorse.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Prob No. 435

2) Na-bailgiyyat key zamanay mein us key paas jo maal tha us par baligh honay key pehlay din ya baad mein koi khums wajib nahi hay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Prob No. 1802

Print

Id:
159
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: assalam-oalaykum khumeni sahab me aapse shadi ke mutabik sawal karna chahti ho aur wo ye ke meri umar 20 saal hain..aur mere kafi rishtey aa rahey hain..magar me chahti ho ke meri shadi meri apni pasand se ho magar muje kab aur kaha meri pasand mil jay iska muje khud ko bhi nahi pata.. aur muje darr is baat ka hain ke me shia hoo aur ek working girl bhi hoo .. to muje agar koi gair jamat ka larka mil gaya... maslan kissi ne pasand kia aur rishta bhejna chaha to me kia karuu...agar wo muje pasand aa jay to muje kia karna chaiye.. mana kar dena chaiye ya.. ussey mere shia rehney aur mujse shia mazhab se nikha karney ki ijazat maangni chaiye ??

Answer: Agar is baat ka khauf aur dar ho ke kal ko aap bhi Gumrah hosakti hia (aur aisa aam to par hojata hia)to phir aap ke lie us se shaadi karna jaiz nahi hia.Hum (Ayatullah Sistani) aap ko khas tor se naseehat karte hian k aap is tarah shaadi na karain. Ref:Istiftaat Aqa-e-sistani .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date: 2018-05-23

Question: meri shadi meri aur meri wife ki marzi se hwi hai lekin hum donoo ek dosre se khush nahin hain lekin mein phir bhi saree umar us ke sath rehna chahta hoo lekin woh mere sath rahna pasand nahi karti woh kehti hai ke apne maa bap ko choor doo ya mujhe mujhe kya karna chahyee

Answer: Salam-un-alaikum
Yaha sirf fiqhi sawalat key jawabat diey jatey hian.

Print

Id:
179
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-23

Question: salam muja app se ya poochna hai k mai ek larkay se bohat pyaar karty hoon aur wo bhi mujse par wo larka sunni ha..wo muja be inteha chata hai..kahta hai agr tumse shadi na huyi to mai marjaaongaa sirftum meri ho..mai bhi usse shadi karna chaty hoon wo kahta hai shadi k baad tum shia hi rahnaa app batao kia ya shadi hosakty ha kuch log bhi to sunni mai gaye hai mera naam plz app show nahi karna plzz mai kai karoon muja kuch samjh nahi ata meri mushkil asan karay..wo kahata hai k hum muslaman hai sirf na koi shiana koi sunii? muja app jawab do plzzz

Answer: Agar aap key gumrah honay ka khoof na ho to shadi karna jayez hay. Ham aap ko har soorat mein taqwa aur parhezgari kee naseehat kartey hein. Ref: Mujtahid Sey Poochay Gaye Sawalaat (Part 1) Ques No. 134 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
190
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-24

Question: kya aik nomuslim(convertedfrom ehl-e-kitab--christainity) se shady kerna jaiz hai? jabkey uskey pass abhee koi tehreery sanad nahy haijo yah show kerey k wo muslim hai magr shawahid hain.. aur wo pichley 6 saal se islam (fikah-e-jafriya)ko follow ker raha hai..uskey dost wageraa bhee mostly shia hain magr uskey gher walay christian hain magr wo yah baat jaantay hain k yeh converted hai...jabkey uska kehna hai k wo cerificate show ker dega to usky family usko bicot ker k gher se nakaal degy magr wo iss baats e bhy khofzada nahee hai..aur mai yah chahaty hun k usko aik achy aur islmic zindagy dun...magr mujay dar hai k mery family walay nahy manangay...aisy surat mai mujay kya kerna chiaye?plz mujay mail ker k fikahyy knoledge ki roshny mai reply keren.. i will b surely thankful...

Answer: Aap key liye un sey shadi karna jayez hay laikin agar aap bakira (kunwari) hein to ahtiyat-e-wajib kee bina par apney waalid (father) ya dada (grand father) sey ijazat laina zaroori hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2385 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
194
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: Asalam walikum... sawal kuch is tera seh hai ...jin larkyu ki shadya nahi hoti ya koi rukawat hoti hay ..tou is rukawat ko kis teradour kya ja sakhta hay....aisa koi wazifa hai jis seh is ko dour kya ja sakhay.... shukerya ALLAh hafiz

Answer: Ulama bayan kartey hein keh Sora-e-Maryam kee tilawat sey es probelem ko khatam karney mein madad mil saktee hay. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
197
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-24

Question: salam 0 alaikum mery qs. id 190 hai aur aap ke jawab ke mutabik dada(grand father) ya abbu(father)se ijazat lena ahtiyaat e wajib hai... mera sawal hai k agar in dono mai say koi zinda na hon to kya kerna chaheye?....mai apnay taya ke saath rehty hun.ssince 8 years.aisy soorat mai mujay kya kerna chiaye kya unki ijazat zarury hai?...

Answer: Agar walid (father) aur dada (grand father) zinda na hoon to phir es mamlay mein kisee kee ejazat kee zarorat nahi hay. Ref: Istiftaat Aqai Sistani. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
211
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-24

Question: salam ale kum, aik shia ladka aur aik shia ladki shadi karni hai jaha ladki kei maa baap tayar (raazi) hai magar ladkei(boy) kei maa baap raazi nahi hai. dono balig hai. ladkei(boy) ki maa kehti hai kei agar iss ladke(boy) nei iss ladki(girl) sei shadi ki toh ladkei(boy) ki maa ussei apna dudh nahi bakshengi.toh in halat mei kya woh shadi kar saktei hai.woh dono balig hai.

Answer: Is soorat mein larka larki sey shadi kar sakta hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 2385 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-26

Question: salam ale kum, kya shawal mahine mei akad nahi kiya jaa sakta hai ??.

Answer: Shawal mahine mein aqd kiya jaa sakta hay (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-27

Question: Assalomoalikam< If someone can do relation with her wief if she has performing some Mustaheb Roza what will she do, her Roza will be over or what else ?

Answer: Salam un alaikum,

Agar aurat key mustahib roza rakhnay sey shohar kee haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram hay aur ehtiyat-e-wajib yeh hay keh agar shohar kee haq talfi na ho tab bhi us kee ijazat key bagair mustahib roza na rakhay.
Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani (Probe No. 1749)

Print

Id:
272
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-29

Question: kya muta kisi non-muslim sai jaiz hai shohar apni biwi kai kon kon sai jism kai hisson ko bosa de sakta hai kya shohar biwi kai saath peeche sai jama kar sakta hai is sai nikah to nahi tootta agar koi apni sharamgah ko mani na nikalne ki niat sai harkat de aur sirf lazzat kai liye to kia use gunah mile ga

Answer: A.Sistani kay nazdeek ,Yahoodi aur eesai aurtoon say muta karnay main koi haraj nahi laikin aihtiyat-e-lazim ki bina par un say daaimi aqd na kiya jaey aur majoosi aurat say aihtiyat-e-wajib ki bina par nikah hatta kay muta bhi nahi karna chahiye aur baaz firqay masalan naasibi jo apnay aap ko musalmaan samajhtay hain kuffaar kay hukum main hain aur musalmaan mard aur aurtain un kay saath daaimi ya ghair daaimi nikah nahi kar saktay aur yehi hukum murtad ka hay...Aurat ki marzi kay baghair peechay say jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki marzi kay saath bhi shadeed makrooh hay laikin is say nikah batil nahi hota(toot-ta).mard aurat say mutaaraf jinsi lazzaat hasil kar sakta hay (masalan bosa dena) laikin ghair mutaaraf lazzaat (masalan peechay say jima karna) kay liye aurat ka raazi hona zaroori hay...Agar uzu-e-tanasul ko harkat dena mani nikalnay ka sabab na banay to aihtiyat-e-lazim ki bina par aisa karna jaiz nahi hay aur agar mani nikalnay ka sabab banay to haram hay.Ref:I-44,I-38,I-39,Tauzeehul Masail Masala No.2357. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
282
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-29

Question: kya kisi non-muslim kai saath muta jaiez hai agar koi shaks apni wife kai saath peeche sai jaama kare to nikah toot jaata hai agar koi apni shramgah ko sirf lazzzat kai liyeh harkat de aur maani nikalne ki niyyat naho aur maani nikle hi nahi to gunah mile ga? wsalam

Answer: A.Sistani kay nazdeek ,Yahoodi aur eesai aurtoon say muta karnay main koi haraj nahi laikin aihtiyat-e-lazim ki bina par un say daaimi aqd na kiya jaey aur majoosi aurat say aihtiyat-e-wajib ki bina par nikah hatta kay muta bhi nahi karna chahiye aur baaz firqay masalan naasibi jo apnay aap ko musalmaan samajhtay hain kuffaar kay hukum main hain aur musalmaan mard aur aurtain un kay saath daaimi ya ghair daaimi nikah nahi kar saktay aur yehi hukum murtad ka hay...Aurat ki marzi kay baghair peechay say jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki marzi kay saath bhi shadeed makrooh hay laikin is say nikah batil nahi hota(toot-ta).mard aurat say mutaaraf jinsi lazzaat hasil kar sakta hay (masalan bosa dena) laikin ghair mutaaraf lazzaat (masalan peechay say jima karna) kay liye aurat ka raazi hona zaroori hay...Agar uzu-e-tanasul ko harkat dena mani nikalnay ka sabab na banay to aihtiyat-e-lazim ki bina par aisa karna jaiz nahi hay aur agar mani nikalnay ka sabab banay to haram hay.Ref:I-44,I-38,I-39,Tauzeehul Masail Masala No.2357. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
307
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-30

Question: do u know any body in dubai who is vakil of aqai seestani and can recite talaq

Answer: Salam un alaikum,
Aqai Kahsmiri is a vakil of Aqai Sistani in dubai who can recite talaq.

Print

Id:
600
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-30

Question: Assalam-o-alaikum! I feel very shy to ask these question but many of my friends discuss with eachother and finally we deceide to ask thr your channel. Q.no 1: What is the limitation during the sex with your wife? can she sack the male organ? Q.no.2 can man sack the female sensitive place? I am very sorry again to ask these question. Kuda hafiz.

Answer: Jaiz hay,magar ratoobat ko halaq say nigalna jaiz nahi.Ref:Istiftaat I-2. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
601
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-30

Question: Assalam-o-alaikum! I feel very shy to ask these question but many of my friends discuss with eachother and finally we deceide to ask thr your channel. Q.no 1: What is the limitation during the sex with your wife? can she suck the male organ? Q.no.2 can man suck the female sensitive place? I am very sorry again to ask these question. Kuda hafiz.

Answer: Jaiz hay,magar ratoobat ko halaq say nigalna jaiz nahi.Ref:Istiftaat I-2. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
631
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date: 2018-06-03

Question: ek bivi ka shoher lapatta hogeya hai aur iski bivi kaee saaloon se iska intazzar ker rahi hai,jabkeh iske 4 aur 5 saal ke bache bhi hain aur gher ki zimmadaria bhi hain . kia woh aurat doosari shadi ker sakti hai ya nahain? sharaee toar se woh kitne saal tak intazzar ker sakti hai

Answer: Jis aurat ka shohar lapata ho jaye agr wo dosra shohar karna chahe to zarori hai k mujtahid aadil se ruju kre take wo (halat ka jaiza lekr) is ke masle ko hal kare.(Ref: Ayatullah Sistani d.b,Tauzeehul masael ,Mafhoom e maslah # 2504). Update on dated 04-08-2015. (Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
646
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: Two Question 1- Kia wife kadoodh alowed hai shohar kai liyah? aur aisa kernay walay kai liyah kia hukum hai 2- Kia back side per jimah kerna sahi hai?

Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org)
Biwi k peechay (back )k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
651
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: I also Want Fatwa of Tabrizi Sahab, If u reply me. I am Married with a girl. I mean Nikah was held. Not that she came in my house and lived with me. So sometimes comes in our home to meet with my Mother and Father. And also anyother reason. I want to ask that after Nikah is it permissible that I kiss her and touches her private parts of body(Nor entercourses). Similarly, permissible for her to do that with me. And after that is the Nan-O-Nafqa on me. I mean that is that WAJIB on me, or after entercourse. Sorry for that question but reply me.

Answer: Har bewi aur shohar kay liye aik dosray kay jism ko dekhna zahiri tor par aur batini tor par aur aik dosray ki sharamgah ko dekhna aur aik dosray kay aazaa ko mass karna lazzat kay saath aur baghair lazzat kay jaiz hay...Agar aap kay moashray main nikah kay baad aur shadi say pehlay nafqa denay ka riwaj nahi hay to naan-o-nafqa wajib nahi basoorat-e-deegar wajib hay...Agar aap kay moashray main riwaj yehi hay kay aurat nikah kay baad aur shadi say pehlay apnay aap ko shohar kay liye pesh nahi karti to aisi soorat main aurat mana kar sakti hay aur us par koi gunah bhi nahi hay.Ref:Fiqh Lilmughtaribeen Masala 404,Book-4 Pg.70,Pg.No.149. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
662
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: Salam, as you replied someone in Question# 646 answer# 1 that " Aisa karna jayez hai" would you plesae quote me any verse which explains matter and under which curcumstances its allowed.

Answer: Aisa karna jaiz hay magar ye kay ratoobat ko nigalna jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-2.

Print

Id:
717
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is the use of condom during Jima permissible in the view of Ayatullah Seestani ???

Answer: Bewi ki ijazat kay saath Condom istemaal karna jaiz hay.Ref:Istiftaat I-31. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
732
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamoalakum .my age is 30 years.i am rizvi syed ..i want to ask u whether i can get married with non syed shiya if family is nice ..the problem is that there are no good proposal for me from syed family..what should i do ?my parents are worried about my marriage. Allah Hafiz

Answer: Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-32 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
736
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam U alikum Please dont mention my email address to any one. the question i have is that wether blow job in islam allowed or not. (I hope you understand what I mean, Is it hallal for a Husband to give a blow job for his wife and for his wife to give a blow job to him) Im really confused about it as many people say its hallal as their is nothing I have read about it. Your help will always be appreciated.

Answer: Jaiz hay magar ratoobat ko halaq say nigalna Jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-2 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
786
Mujtahid:
-- None -- Date: 2018-05-27

Question: Aik Mard nai aik Aurat k saath zana kiya dono is zana pai raazi thai aur dono shaadi shuda hain aur oon k bachay bhee hain. Ab oos mard ka beta oos aurat kee baitee sai Shaadi karna chahta hai.Kiya yai shaadi ho sakti hai YA wo larki oos pai haram hai kioon k oos k BAAP nai oos ki MAA k saath zana kiya tha. Pls reply as per Ayat-ullah Seestani & Ayat-ullah khoie.

Answer: A.Sistani kay mutabiq larka us larki say shadi kar sakta hay kion kay ye larki un aurtoo main say nahi banay gee jin say nikah karna haram hay.masalan mehram rishtay daar ya apni bewi ki maa,nani,dadi waghaira ya apni bewi ki larki ,nawasi ,poti waghaira jin say nikah karna haram hota hay.aur mazkoora soorat main aisa koi masala nahi hay.Ref:Tauzeehul Masail Masala No.2370,2344...A.Khoie ka bhi yehi fatwa hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khoie Masala No.2393,2420. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
798
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: CAN A WOMAN DO BLOWJOB WITH HER HUSBAND AND CAN A MAN DO THE SAME WITH HER WIFE?

Answer: Jaiz hay magar ratoobat ko halaq say utarna Jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat I-2. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
799
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: kia mian biwi jimah kerte waqt aik dosre ko kissing ker saktey hain?

Answer: Jee haan aisa karna Jaiz hay.Ref:Minhaajus Saaliheen Part-3 Masala No.11. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
843
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Kya ek aurat ki doosri aurat ke saath ham-bistari haraam hai?

Answer: Ji haan yeh amal Haram hai aur Gunah e Kabeera hai . Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhaajus saliheen,part#1 maslah #30, eidition2009) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
858
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya nikah ke baad shadi ke pehli raat ko he jimah zarori hai?ager biwi es ke liye kuch time maange to kitna time de saktey hain ziada se ziada?

Answer: Aurat kay liye zaroori hay kay jab bhi shohar jinsi lazzatain hasil karna chahay to is ki khuwahish poori karay aur sharee uzr kay baghair shohar ko hambistari say na rokay.Haan shohar ki razamandi say takheer karna jaiz hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani 2371. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
865
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: islam ki nazar mein kya husband ke liye biwi ki andaam nehaani per haath lagana ya chatna allowed hai?

Answer: yeh cheez jaiz hai laikin sharamgah se nikalney wali ratoobat ko peena ya moon mai lena jaiz nahi hai Ref:Istiftaat Ayatullah Sistani .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
870
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: 1 )kiya islam mein husband ke liye biwi ke pastaan suck kerna allowed hein? 2)ager biwi aur shohar ke dermian humbistari ho aur iss se aulad ho jaye kiya yeh jayez hai? 3)kiya shohar aur biwi ke darmian honton ka choomna jayez hai kisi bhi muslim ke liye?

Answer: 1)jaiz hain 2)jaiz hai 3)jaiz hai Ref:Isteftat Ayatullah Sistani .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
871
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia kisi nahmehram lardka say is soch say baat karlana ka ma is say sahdi karon gi or woh bhi sahdi ka lia tayar ho baat ki ja sahkti hai?

Answer: Agar Haram main mubtila honay ka khouf na ho to Jaiz hay.Ref:Ques 44 www.sistani.org .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
964
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-03

Question: salam o alaikum ...... may ak married hoon..akser mujay sehwet aati hay aur wife kay liay jimma doctors nay mana kia hay..... kia may apni wife kay haathoo junub ho sakta hoon.,??/ plz reply

Answer: JAIZ hay.Ref:www.sistani.org/html/ara (Istimna) Q.No.7 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1007
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamualaikum! kiya humbistari kay baghair bi mian biwi clothes uttar ker so saktey hein?

Answer: Mian Biwi aik doosray kay Badan ko dekh saktay hain aur isi tarah Lazzat aur Baghair Lazzat kay aik doosray kay Badan Khud kay Badan say Mass kar saktay hain.Ref:Minhaaj us Saliheen A.Sistani Part-3 Masala No.11 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1080
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AOA. is it okay to copulate the wife from the back!! ur comments plz.

Answer: A.Sistani k Mutabiq Peechay k Maqaam say Jima karna Bewi ki Ijazat say Jaiz hay magar ye shadeed makrooh hay.aur Agar Bewi ki Ijazat na ho to ye ehtiyaat e wajib ki bina per Jaiz nahi hay.Ref: Minhaaj us Saliheen(Ibadaat) (A.Sistani) Masala 228. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1085
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia nikkah k baad aur rukhsati se pehle husband ko khud ko haath lagane se mana karna jaiz hai?is mai koi gunah to nai hai?

Answer: Agar riwaj yehi ho kay jab tak rukhsati nahi hoti larki apnay aap ko shohar kay liye pesh nahi karti to aisi soorat main aap ka aap kay shohar ko mana karna jaiz hay aur is main gunah bhi nahi hay.(Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 149, pg # 93 ). .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1089
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam o Alikum I have following Ques 01;can we do mutta with a sunni 02 can we marry with the girl whom i have done mutta after the time period mentioned is finish 03: can we do mutta with the girl who was my Ex wife 04:i have heard that we cant see the wife whole naked and cant suck the parts os her body is it rite Please answer as we can stay way from haram Allah Hafiz

Answer: 1: Shia mard ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho to wo sunne larki se shadi kar sakta hai aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho to jaiz nahe hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3 , masla # 215,200,4th eidition)
2:Mard ye kar sakta hay kay jis aurat kay saath is nay pehlay muta kiya ho aur abhi us ki iddat khatam na hoi ho,us say daaimi aqd kar lay ya dobara muta kar lay,laikin agar muta ki muddat mukammal nahi hoi hay aur wohi shakhs is aurat kay saath daimi nikah parhay to ye nikah batil hay,laikin ye kar sakta hay kay baqi manda muddat usay bakhsh day aur is kay baad aqd-e-damimi karay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.365...3:Jis aurat ko teen baar talaq dee jaey aur in talaqoo kay darmiyan dobara rujoo ya aqd hoa ho to wo shohar par haram ho jati hay ,haan agar un sharait kay saath jin ka zikr talaq kay aihkaam main kiya gaya hay wo aurat dosray mard say shadi karay to dosray ki mout ya is say talaq ho janay aur iddat guzar janay kay baad is ka pehla shohar dobara is kay saath nikah kar sakta hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.362...4:Mian bewi aik dosray ka poora badan dekh saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.327.In aazaa ko choosnay main koi haraj nahi magar ye kay ratoobat halaq say neechay utaarna jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-2. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1104
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: Kia shohar aur biwi aik doosre ko nehlaa sakte hain aur aik doosre ko istanja karwaa sakte hain ???

Answer: Jee haan aisa karna jaiz hai. Ref: Istiftat Ayatullah Khamnai. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1129
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia sunni larkay say shadi kii ja sakti hay ?

Answer: Is baat ka khouf ho aur ye dar ho kay kal ko aap gumraah hosakti hain(Jis ka Aihtimaal beher haal maujood hay) to phir aap kay liye us kay saath shadi karna JAIZ NAHI hay.Ham aap ko batoor e Khaas naseehat kartay hain kay aap is tarah ki shadi Na karain.Ref:Mujtahid say poochay gaey Sawalaat Book-2.Q.No. 136 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1142
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Oral sex with wife? What is the order about it in Islam?

Answer: There would be No Objection in it,If the emission (liquid) is not swallowed.Ref:Istiftaat A.Sistani I-2. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1174
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalam.o.kum molana shahib may apnay husband kay sath nahi rehthi but hum phone per batay kerthay hain.mera sawal hai kia hum log phone per masturbation ker sakthay hain takay sexualy releax ho jay? thx allah hafiz

Answer: Jee nahi apnay haath say is tarah karna jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani (I-4). .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1227
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: slam pela swal ye hai ke kya biwi mard ki sharamgah ko choose(suck) kar sakti hai or doosra swal ye he ke kya biwi mard ke sharmgah hathon main le ker masht zani kar sakti hai .....

Answer: 1:Aisa karna Jaiz hay,magar ye kay ratoobat Halaq say na niglay...2:Jee haan Bewi kay haathoo say aisa karna JAIZ hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-2,I-15. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1249
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I want to asked one question about a Cast of Agha Khani (called Ismaili Comunity) are they called Muslims & can we marry anyone of there relgion family lady. Regards

Answer: Un par Najasat ka hukum nahi lagaya ja sakta(yani ye musalmaan hain)..Agar gumrahi ka khouf na ho to sahih hay,albatta ye tabeii toor par unhi logon main say ho sakta hay jo aihlibait say dushmani rakhnay walay na hoon(ham aap ko batoor-e-khas naseehat kartay hain kay aap is tarah ki shadi na karain).Book- Mujtahid se pochay gaey sawalaat 1 Q.No.19,134,Book-2 Q.No.136. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1260
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: if someone has sex before marriage and now wants to marry the same girl...is it possible?

Answer: Agar wo aurat bay shohar ho aur Iddat main na ho to aisi aurat kay saath zina karnay kay baad agar us say shadi karnay ka irada kiya hay to Aihtiyat-e-Wajib ki bina par is aurat kay tauba karnay say pehlay is say shadi nahi kar sakta.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2359. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1263
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.. i asked u a ques regardin premarital sex.. u didnt reply..plzz reply asap. my ques was " if sum1 has sex before marriage .. if he/she is allowed to marry the same guy/girl.. in future?

Answer: Agar wo aurat bay shohar ho aur Iddat main na ho to aisi aurat kay saath zina karnay kay baad agar us say shadi karnay ka irada kiya hay to Aihtiyat-e-Wajib ki bina par is aurat kay tauba karnay say pehlay is say shadi nahi kar sakta.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.2359. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1266
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a molana shahib ager during sex husband wife kay breast ko suck keray aur aus kay moo (mouth)may milk aah jay tho kia sahi hai ya ghuna hai?as time kia kerna chahay aus ko plz reply me allah hafiz

Answer: Aihtiyat-e-wajib ki bina par doodh ka nigalna jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-36 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1340
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Salaam.. sawaal karne se pehle guzarish ke email address plz publish mat kijeye ga.. Mera sawal ye hai ke mai ek shia larki hun..30 yrs old aur ek hum umr shia larke se pyar karti hun..larka mashallah qualified hai..dunyawi aaitbaar se bhi aur religous bhi hai..balkay samjhe Zakir Ahlebayt hai..hum dono shadi karna chahte hain magar mere waldayn razi nahi ..iss ki waja unka ye sochna hai ke ek Zakir ke sath mai khush nahi reh sakti jab ke mai ye sochti hun ke ye meri khush naseebi hogi ke mai ek Zakir se nikah karun.Iss soorat mai mai kya karun? Jo larka hai, woh ek zakir hponay ki wajah se bhaag kar shadi karne ke haq mai nahi..

Answer: Jo larki baligh & rasheeda (means apni bhalai aur burai samajh sakti ho) agar woh shadi karna chahay aur kanwari ho to aihtiyat-e-wajib ki bina par usay chahiyeh ke apnay baap ya dada (grand father) (kisi bhi aik se) ijazat lay.albatta, maa aur bhai ki ijazat laina zaroori nahi. (lekin agar larki kanwari na ho. ya kanwari to ho lekin baap ya dada se ijazat laina, in ke maujood na honay ya kisi aur waja se mumkin na ho aur larki shadi ki zaroorat-mand ho to (is soorat mein) baap ya dada se ijazat laina bhi zaroori nahi hai. (Ref: A.Khoie, tawzeeh-ul-masail, masla no. .2385,2386) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1357
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kia mard alai tanasul apni aurat ke jism ke kisi bhi hisa mai dakhil kar sakta hai?

Answer: Aala-e-Tanasul ghair mutaaraf tareeqay say daakhil karnay main zaroori hay kay Aurat bhi raazi ho.Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par Aurat ki razamandi kay baghair Dubur-pakhany kay maqaam- main Jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki razamandi kay daath dubur main jima karna sakht makrooh amal hay.Ref:www.sistani.org Arabic-Jima.19,23 .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print