Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Jhoot (26 Questions)


Showing 0- 26 questions from 26 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
52472
Mujtahid:
no Date:

Question: salam, ma na apni zindagi ma bhut gunha kiya hain ma bhut pachtati hn ma kiya karn ka mara dil ko qarar ajay ma bhut jhoot bolay hain apni life ma ma kiya karn ma nhi bolna chati hn

Answer: Wssalam o alykum, Imaam Jafar o Sadiq (a.s) ne farmaaya, jis ka mafhoom ye hai ke ager banda apne gunah ka is terhan iqraar kar le ke is ne apne Khaliq Allah Taala ke diye gaae hokum ki nafarmaani ki hai, or is nafarmani ki waja se is ko esei pashemani ho jis ki waja se wo dubara gunah na kar sake to ALLAH TAALA bhi is ko muaaf kar ke is ki toba qabool kar leta hai. (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
57717
Mujtahid:
Date:

Question: A/w...mera naam Rijwan khan hai main nepal ka rahne wala hu...meri saadi ek ladki se hone waali hai...usse meri baat 3 saalo se hoti hai...maine usse kayi jhut bole...wo mujh per bahut bharosa karti thi but kuch mahino se usne mera 2,4 jhut pakad liye hai..ab wo mujh per sak karne lagi hai..kahti hai tumhara kisi aur ladki k saath chakkar tha...wo kahti hai ki aap hume sabkuch such such batado hum aapko nhi xodenge aur saadi v aapke saath karenge aur aapko kavi jaaleel v nhi karenge aur na wo baat kavi nikalenge marte dam tak.. lekin aap kurane paak per haat rakh ker kasam khawo...to kiya main us ko apne bareme such batadu????? kuraan ki jhuti kasam khalu????

Answer: Wssalam o alykum, jooth boolna chor dain, or Allah Taala ko Hazir o Nazir jaan kar dobara koi galat kaam (masalan jooth, larkiyoon se dosti karna etc) na karne ka wada karain, or jesa k apne btaya k wo apki biwi banne wali hen to ager ap us ke sath ache o sache Aklaaq ka muzahira kare ge to wo dubara ap per bharosa kare gi.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009)(Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e emaan o kuffur , baab # 188 , riwayat # 4)(Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic # behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
57866
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa mein Jana chati Han aik baat meri aik czn hai os ne muj par ilzam lagy or jhoot bola or Quran par hath rakha qasam jhooti the os ne apni izat k leay ye kasm khai the kaya os ko saza mila gi jhoot Quran ki

Answer: Wssalam o alykum, jhooth Guhnaah e Kabeera hai, lekin Allah Gafoor o Raheem us ko muaaf kare ga ya saza de ga ye Allah Qadir o Tawana ka muaamla hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen , Part # 1 , Maslah # 30 , eidition # 2009) , (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 202 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
84426
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Agar hum koi jhoot bol kr gair muslim country se pese lelen kia wo haram hoga? Jhoot bolna kisi bure kaam k liyan nahi bs humra faida horha hoga baqi kisi ka nuksan ya kisi ko takleef nahi hogi.. tou kia yeh wo pesa jo jhoot bol kr aya hai kisi gouv se wo haram hai?

Answer: Nahi, is tarah say paisay nahi lesaktey ye haram hoga q k jhoot boolna ya dhooka daina haram hai balkeh un ko be wajah sataney ki bhi mumaniat aai hai. (Ref: Minhaj us saliheen part 1 masla#30). Update on dated 22-12-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
93319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-26

Question: mere behnoi nei mujh sei quran mere sar par rakhwa kar aur mera hath bhi quran par rakhwa kar pocha kei tumhari kabhi us larkei sei baat hoi hai aur mei nei jhoot bol diya kei nahi hoi. jab kei meri 5 6 baar us larkei sei baat hoi hai . Mei kabhi jhoot na bolti lakin wo mera bhai nahi behnoi tha aur mei nei apni izzat bachanei kei lie bol diya. mei ek larki hun kiya mei agar roze rakh kar kafara ada karun tu kufara ada hu jae ga?

Answer: Jhoot boolana gunahan e kabeera hai lekin is ka koi kaffara nahi hai bus Allah sai tauba karni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 2633)
[Updated on 26-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
93526
Mujtahid:
Date: 2018-12-14

Question: Asslamo Alaikum Dear Sir, me office me telephone operator ki duty krta hun. Mera BOSS jb call nai leta tu mujy kehta hy keh bta do BOSS office me nai hy? ye jhot hy kia is ka Gunehgaar me hun ya BOSS. kiun k me tu apni duty deta hun or paband hun or aisa kehny ko BOSS kehta hy. Muhammad Nadim 03222176525

Answer: Was Salam. Jhoot boolna haram hai leki tauria kia jaa sakta hai tauria yaani aap ka iraada kuch or ho lekin zahiri alfaz kuch or hoon jese misaal k tor par aap sai koi boss ka pooche tu aap ye kahein k nahi boss yahaan nahi hain aap dil mai iraada karey k aap k kamray main nahi hain lekin saamnay wala samjhay ga k boss office main nahi hain.(Email rcvd from ayatullah seestani)
[Updated on 14-Dec-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
101240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aisa jhoot jis sevkesi ka nuksan naa ho yaani k bila vaja ka jhoot like mere full marks ay h or mere pass bhi ye dress h etc bas apna hi loss ho bari bari baten krna gup lagana gunnah h ?? Is se kaise control keya jay ya bacha jay??

Answer: Jhoot bolna gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30)
Update on dated 22-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
103580
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-02-13

Question: Salam Agha meri wife or meri mother k darmian ikhtalafat door karne k lye .in dono ko milane k lye me jhoot bolon to ye munafqat kehlaye ga please jawab dejye

Answer: Momineen k darmiyan sulah karwane k liay jhoot boolna jaiz hay, ehtiyaat e wajib ye hay k tauriyah nah kar saknay ki sorat main iqtesaar kia jaey.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#38).
[Updated on 13-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110811
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-14

Question: Asalam o alaikum Janab mera sawal ye hai ky agr ghr Waly mujhe koi cheez lany ky liye paisy dedy hai or mai us cheez ka rate ghr walo ko zyadh batakr wo paisy apny liye rakh leta hun to asy krna jaiz hai

Answer: Nahi, ye jaiz nahi, Q keh ye dhoka hay.(Ref: minhajus saliheen, jild#1, maslah#30)
[Updated on 14-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111192
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-01-28

Question: Asslam alikum sir hmara sawal hy ke agr hum fb use kr rhe hon or hmare 3 4 account hon or fake naam se account houn or hum se koi larki kuch poch ly k wo kidhr hai matlb hmari hi dosri fake naam wali id waly ka poche jo k hmari hi fake id ho or hum joth bol dein k wo tu hospital main h or bhut bemar hai jo k hum khud hi hounge tu kia humein is joth ka gunnah mile gaa or kya dua kabol nae hogi plzz reply dein hum bhut preshn hyn

Answer: Jhoot bolna ya likhna jaiz nahi hay.(Ref: Minhajus saliheen, jild#1, maslah#30). [Updated on 28-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111440
Mujtahid:
Don't know.. I am syed.. My name is Sabika Ahmed Date: 2020-11-12

Question: Kia esa jhoot jis sy ksi ka nuqsan na ho jaizz he? Jesy choty jhut ke yh kam usne kia ho Par me boldu ke nahi kra is trha ke? Pls mje clear krden

Answer: Jhoot bolna gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30)
[Updated on 12-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111937
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-11

Question: Kia apny izat bchany k lye jhoot bola jaa sakta hay?

Answer: Jhoot haram hai jhoot yani wo khabr dena jo haqeeqat mai na ho. Aur is mai koi faraq nhi k jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai. Laikin agar tauriyah kia jae to koi haraj nahi hai. tauriyah yani alfaaz k zaheri mafhoom ko chor ker dosray mutlab ki niyat karey maslan agar koi zalim kisi ko aziat dena chaea aur kisi dosray shakhs se pochey ke kia tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay k mein ne use nahi dekha aur qasad (irada) ye karay k us waqt sai 5 minute pehlay mai nai use nahi dekha. (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Minhaj us salaheen part #2, masla #38) & (Ref: Ayatullah sistani(d.b), Tauzeeh e ul masail masla #2638).
[Updated on 11-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115482
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-16

Question: Nadani mai hui galti lekin mere shohar wohi galti ke liye quran ki kasam khane bole aur maine jhuti kasam khali quran ki toh iska kaffara kya hoga

Answer: Is tarah ki qasam durust nahin hai lehaza kaffara nahin hoga lekin jo aap ne jhoot bola hai (yani jhote qasam khaie hai )ye gunah e kabeera hai or is ki tauba aap par laazim hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2633,2634).
[Updated on 17-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115892
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-08-12

Question: Paisy day k sirf Vaccination card banwa sakty hain ????

Answer: Nahi banwa sakty q kay yah jhoot or dokha dahi hay, or jhoot or dhoka dahi haram hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #29 & 38)
[Updated on 12-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115893
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-03-10

Question: Assalam O Alikum , mera question ya hai ky ager phli shadi mai wife to talaq di ho or dobra shadi kerni ho tu ,,,,,jider baat ho rhe rishta ki waha ager phali shadi ka na btya ho or nikah namay mai khnwara larka hi likhwa skty hai ya nhi ... please guide me

Answer: Jhoot or dhoka dahi haram hay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #29,38)
[Updated on 10-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120411
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-09

Question: Assalam o alaikum...mujh sa bohat ghltian hui hain...jin ki waja sa mujay skoon ni mil raha ...mana kisi ko jhoot bola lakin ab usa sach b ni bata sakti mana Allah sa maafi mangi ha lakin mujay skonn ni mil raha. kia mujay Allah sa maafi mil jay gi please thori help kr dain

Answer: 1: Jhoot bolna haram or gunah e kabira hay. is se bachen aur Allah taala se tauba talab karen. or sab gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahiye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta hai. aur aisa hargiz nahin ho sakta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tauba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shakhs zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zaroori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahin hoti, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mazboot irada or os ka tadaruk laazim hay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zaroori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakshnay wala hay. or tauba karnay walo ko doost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main aya hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.
2: Hazrat Imam Jafar Sadiq(a.s) irshad farmaty hain k:”Jo Surah Ankboot (sorah #29) ko likhe or os ka pani piye tu ye us k Dil ko sukoon Aata kare ga or us ky seene ko kushada kare ga”. 7 roz tak agar surah e alam nashrah (surah #94) ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn o ghum door ho jain gay.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #29. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01766/. + email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011. + Duniyaan wa Ahkirat ki 100 Parishaneon ka Hal, Pg #20,92,94).
[Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121037
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-12

Question: EMAN BACHANE K LIYE KYA JHOOTA EHAD KR SKTE HAI

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121038
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-12

Question: EMAN BACHANE K LIYE KYA JHOOTA EHAD KR SKTE HAI or kya bohri larke sy nikah jayaz hy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).
1: Agar pehle tauriya ya taqayya kiya jaa sakta ho to pehle yahi karna hoga aur agar is se bhi maslah hal na ho to jhoota ehad kiya jaa sakta hai. waise aam haalaat men Jhoot bolna (ya wada or ehad karna) yani wo khabar dena jo haqeeqat mai na ho gunah e kabeera hay chahay is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin ke jhoot mazaq mai bola jae ya sanjeedgi mai.
2: Jhoot bolna faqat do maqamaat par jaiz hai, 1. Apni jaan bachane ke liye. 2. Do logon men islah karane ke liye.
3: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dosray matlab ki niyat karey maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt sai 5 minute pehlay mene use nahin dekha.
4: Agar apne mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf na ho aur apne wazaaif ke anjam deny men rukawat banne ka koi khouf bhi na ho to buhri larke se shadi kar sakti hain, aur agar apne mazhab ke tabdeel ho jane ka khouf ho ya apny aamal apnay wazifay ki bina par anjam nah day saknay ka khouf ho to jaiz nahin hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38, part #3, mafhoom e maslah #215. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 12-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-03-18

Question: AoA Mera aik sawal h ke Kia hum salary ke bare jhoot bol Skte he maslan Meri salary h 20 hazar mein ye jhoot bol skta hn ke Meri 15 hazar salary he Kia ye Jaiz he??

Answer: 1: Jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat mai na ho ye gunah e kabeera hai chahe is se kisi ko nuqsan pohnche ya nah pohnche. Is mai koi faraq nahin ke jhoot mazaq me bola jaye ya sanjeedgi men.
2: Jhoot bolna faqat do maqamaat par jaaiz hai:
1. Apni ya momineen ki jaan bachane ke liye.
2. Do logon men islah karane ke liye.
3: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dosray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Maslah #38. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 18-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122535
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-07

Question: kisi ki izzat agr apki wjah say khrb hyi ho r ap bad may usi ki izzat bachanay kay liye sara ilzam khud pr daal saktay ho?

Answer: 1: Agar aap ne wo kaam nahin kiya aur dusron ko kahen ke ye mene kiya hai (yani ilzaam apne sar lay lena) ye jhoot kehlaye ga aur jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat me nah ho ye Haram aur ghunah e kabira hai. chahe is se kisi ko nuqsan puhnche ya nah puhnche.

2: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. Tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dusray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30, Part #2, maslah #38. + sawal o jawab website agha sistani Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 08-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122797
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-22

Question: Aslamualaikum agr koi insan apny rishta dar ki madad krna chahy or wo kisi ko bta na k sky k mery rishta dar ko madad ki ya paiso ki zrurt ha to kya kisi se jhut bol k paisy liye ja skty hain k aik family ha usko paiso ki zrurt ha or agr madad krnh waly ki niyaat b saf ho or paiso me b imandari dikhhaye or jis k liye mang rhy ho usko e sary paisy diye jain plz iska jwb dy dain kya ye gunah to nhi?

Answer: Agar aap is tarah se kahen ke kisi mustahab family ko imdad ki zaroorart hai us ke liye paise chahiyen to jhoot nahin keh laye ga.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30).
[Updated on 23-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122841
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-01

Question: Non mehram se peecha chudane ke liye jhoot bol sakte hae

Answer: 1: Jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat me nah ho ye Haram aur ghunah e kabira hai. chahe is se kisi ko nuqsan puhnche ya nah puhnche.
2: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai. Tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dusray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fullan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur qasad (irada) ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30, Part #2, maslah #38. + sawal o jawab website Ayatullah Sistani(d.b), Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 02-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122899
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-17

Question: salam, sir mai aik digtial marketing office mai job kar raha hun mera kam company k facebook pages pe fake comments karna hai yani product achi hai is trah k feedback banane k liye me comments krta hn alag alag id se kya ye theek hai . fake id se rviews bnane k lye fake comments karna ???

Answer: Yeh Jhoot kehlaye ga aur jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat me nah ho ye Haram aur ghunah e kabira hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30. + Part #2, maslah #38).
[Updated on 18-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122917
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-26

Question: Salam. Facebook pe fake ids se comments kar ke apne page pe reviews upload karna page permotion k liye aur product asal mai bhi achi hai to kya fake comment kr k reviews bnane mai koi gunah to nahi ? Rehnumai farmayen

Answer: Nahin, is tarah nahin kar sakte hain Q ke ye jhoot or dokha dahi hai aur jhoot or dhoka dahi Haram hai.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30. + Part #2, maslah #29,38).
[Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123375
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-19

Question: hamnay dono family nai decide kia hai kai haq mehar sirf bola jayega 20 lakh family ko show karnay kai lia magar likha jayega 2 lakh kia yeh thik hai dono family ki rzamandi hai isme?

Answer: Family ko show karnay ke liye 20 bata kar 2 lakh likhna, yeh sahi nahin hai,kyu ke jhoot or dhokhe me shumaar hota hay, Albatta nikah sahi hoga Q ke agar nikah e daaimi me meher muayin nah kiya jaye to nikah sahi hai, aur agar mard, biwi ke sath jima (hambisrti) kare to zaroori hai ke us ka meher usi jaisi aurton ke meher ke mutabiq day.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #2373).
[Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126166
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Assalamualaikum mera sawal ye hy k agar mere 80% marks ayein or hum jhoot bolein k 90% marks ayein izzat bachany k liye tho kia ye jhoot ho ga kia taleemi maidan mein izzat bachany k liye jhoot bolein tho wo jhoot ho ga or agr hy tho kia kfara ho ga

Answer: 1: Jhoot bolna yani wo khabar dena jo haqeeqat me nah ho ye Haram aur ghunah e kabira hai. chahe is se kisi ko nuqsan puhnche ya nah puhnche.

2: Agar tauriyah kiya jaye to koi haraj nahin hai.
Tauriyah yani alfaaz ke zaaheri mafhoom ko chhor kar dusray matlab ki niyat karna maslan agar koi zaalim kisi ko aziyat dena chahe aur kisi dosray shakhs se pooche ke kiya tum ne fulan shakhs ko dekha hai? Aur is ne us shakhs ko aik minute pehlay dakha ho to wo kahay ke mein ne use nahin dekha aur irada ye karay ke is waqt se 5 minute pehlay mene use nahin dekha.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, maslah #30, Part #2, maslah #38. + sawal o jawab website Ayatullah Sistani(d.b), Link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01776 . + Tauzeeh ul masail, edition #42, Maslah #2638).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print