Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Gunah se bachne ka wazifa (15 Questions)


Showing 0- 15 questions from 15 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
32256
Mujtahid:
Date: 2018-09-07

Question: assalam o alaikum mera aap say swal hay is ka jwab dena zaror. may namaz nhi krta or may 16 years ka hoo. nimaz k sath bilkul shoq nhi hay. koi wazifa day. or har waqt ganay sunta ho or dramas dekhta ho wazifa day. allah app ko jazaie khair day

Answer: Imam jaffer sadiq a.s fermatay hain k: “ jo shaks namaz e ghafil rehta ho wo 7 baar sorah e mominoon(sorah# 23) ki tilawat karay tu baqaidgi se namazain perhne lagay ga” Note: Be-namazi k liay koe doosra shaks bhi ye amal ker skata hay. (Ref: Dunya o Aakhirat k 100 Preshaniyo ka Hal, pg#05). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
59527
Mujtahid:
Date:

Question: husband ki death ho chuki ha 3 sal sy to baz oqat bury khyal mind ma aty han in sy roza rkhny k elaw koi hll btany k jan choot jay

Answer: Hazrat Imam Ali Raza a.s. sai marwi riwayat k mutabiq zawal k waqt 150 martaba “Ya Quddoos ” ka wird dil ko noorani kar deta hai aur osay shatani waswasoo sai aman mil jati hai. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 20) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
60440
Mujtahid:
Date:

Question: Mera nfs gndy kam krany k lia mjbor krta h mjy aisa wfiza btay k me gunah sy dor rhn

Answer: Hazrat Imam Ali Raza a.s. sai marwi riwayat k mutabiq zawal k waqt 150 martaba “Ya Quddoos ” ka wird dil ko noorani kar deta hai aur osay shatani waswasoo sai aman mil jati hai. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 20) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Hazrat Ali a.s irshad farmatay hain k Jo shakhs namaz e subah k baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat karay to os din wo koi gunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay. (Ref : Dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg # 42) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61231
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam alaikum Allah apka khair kare, mera sawal yeh hai ki mere Abbu sharab(acohal) pite hain aur kisi ki baat bhi nahi mnate halaki woh hosh mein toh rehte hain , bawajud iske bhi woh hemin kabhi kabhi galiyan deete hain Na auz billah,, aur woh heart patent hain aur woh ciggarrete bhi bahut piney lagein hain kya karein hum bahut pareshan hain iss wajah se jab unko gusssa ata hain toh woh kisi ki nahi sunte hain...aur khana khaye baagair hi kabhi kabhi so jatein main dua krta hun unke liye namaz mein halaaki main 5 waqt ka namaaz toh nahi padh pata kyuki main ek BPO meein kaam kartaa hun night shift mein iss wajah se main sirf fajr ki namaz padhta hun aur kabhi kabhi time mila hain toh aur bhi namaze adaa krta hun...filhal aap mujhe batein main kya krun main waise hi bhaut pareshan hun hamare upar karz bhi bahut hain kyunki abhi recently humne makaan liya hain apna iss wajah se..In sha Allah aage bhi aapse salaah lenge Ammen Allah hafiz

Answer: Tafseer-e-Burhan men Janab-e-Rasool-e-Khuda se riwayat hai k Surah Mubaraka HAJJ likh ker agar nasha kerne wale per taweez bandha jaye to wo nashe se khud hi nafrat kerne lage ga hatta k use chorh dega. (Ref : Tajalliyat-e-Quran, Published By Idarah-e-Fragh-e-Taleemat-e-Aaima(a.s),Page#84)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Fuqahaa(rizwanul laah e alaihim) fermatay hain k namaz kisi halat main bhi saqit(maaf) nahi, iska matlab ye hay k na safar main saqit hoti hay or nah is k alawa main. Agar namaz ka waqt tang ho(or manzil e maqsood tak pohanchne se pehlay qaza hone ka khadshah ho) tu musalman musafir par wajib hay k wo chahay jahaaz(aero plan) main ho, kashti(ship) main ho, car main ho, train main ho, ruka hoa ho ya harkat main ho, intezaar gaah(waiting room) main no ya aam baghichah(public garden) main, raastay main ya apne kaam or duty ki jagah, gharz jahaan bhi ho wajib hay k namaz ko waqt main baja laay. (Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 64) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61607
Mujtahid:
Date:

Question: Mere beta hai 6 saal ka usey aik kharab adat par gai hai kuch din se woh cheezen churata hai paise waghera ki samjh nahi hai khilone aur khane ki cheez ghr main alhamdulillah kisi cheez ki kami nahi rakhte hum phr bhi plz kpi dua bataen k uski yeh adat jald se jald khatam hojae Jazak Allah

Answer: Rozana raat ko sote waqt us per Sura e Yaseen tarjume ke sath pharain or is ka pani pilain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 102) , (Ref : usool e kafi , jild # , kitaab e fazal e Quraan , baab # 281 , riwayat # 1 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
65731
Mujtahid:
Date:

Question: Kindly do me a favour by avoiding a girl that I love ...because she is character less.. And I don't stop my self to involved in her .. Kindly suggest me helpful answer ..

Answer: Shaitani waswaso or bure khayalaat se mehfooz rehne k liay har namaz k baad or raat ko sone se pehle sorah mominoon ki ayat#97,98 ko perh lain. (Ref: Nawaey saliheen, Mafhoom e pg#335). Update on dated 21-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66798
Mujtahid:
Date:

Question: Please give me Nad-e-Ali wazifa and its procedure for Tazkiya Nafs

Answer: Tazkiya e nafs or roshan e qalbi k liay namaz e subah or isha k baad awwal o aakhir 7 baar salawaat k sath 100 baar sorah e shoora ki ayat#53 ko 100 baar perhain tu insha allah zahir o batini aalaisho o khabasatu se nafs bazaar hoga. (Ref: Nawaa e saliheen, pg#342). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70442
Mujtahid:
Date:

Question: Ashsalam walekum hajrat mera sawal aap se hai mere biwi ko gussa bahut aata hai har choti Choti baton me guess ho jate hai chirchira jate hai Mai bahut pareshan hu aap koi dua bataye

Answer: 1)Gussay ka ilaj chand cheezo par moqoof hai jis mai sai kuch aap ki khidmat mai tehreer kertay hain. 1: Un hadeeso ko parhain k jo ghusse ki muzammat mai warid hui hain. 2: Un hadeeso ko parhain jo ghussa nah kerne k sawab mai warid hui hain. Jaisa k hazrat paighambar s.a.w.w. sai marvi hadees hai k jo shakhs kisi par ghussa nah karay khuda rooz e qayamat is par azab nah karay ga. 3: jis shakhs par insan ghussa kerta hai to osay ghaur kerna chahiay keh os kamzor par jo qudrat osay hasil hoe hai, os sai bohat ziada khuda ghussa kernay wala hai pas halat e ghussa mai itna khayal kerna chahiay k khuda kaheen isi terah apna ghazab aap par jari nah karay. (Ref : Urooj us Sadaat, Mafhoom e pg # 348-52). 2)Gussay ko door karnay k lie surah e aal e imran ki ayat#134 ko cheeni(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pee lain insh Allah faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal, Mafhoom e pg# 369). Update on dated 15-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
92946
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2018-11-06

Question: Aoa, mere se ek gunah hoa tha or uska pechtawa buhat hota hai us ke barey mein soch soch kar dil darta hai or tension le kar meri left side pe bhi dard hota hai iss tension ko kaam karne ke liye mein islamic vidoes bhi dekhti ho lekin kuch din baad phir wesa hona shuru ho jaata hai shaitan darata hai ya yeh mere dil ka darr hai? Waswasey bhi buhat aate hai neend nahi ati us gunah ko sochti rehti ho buhat mushkil mein ho shaitan jann nahi chorta kisi kaam mein parhne mein dil nahi lagta please share karein

Answer: jo shaks namaz e subah k baad 11 martaba surah tauheed parh le wo gunah mai mubtila nahi hoga chahay shaitan jitni bhi koshish kar le (imam ali a.s).(Ref:Dunaya o akhirat ki 100 pareshani ka hall)
[Updated on 06-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
108017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-08-18

Question: GuNaaH Se bachne ki dua aur NaF'S ko control krne ki dua bataye

Answer: Hazrat ali (a.s)irshad farmatay hain k jo shakhs namaz e subah k baad 11 martaba surah e tauheed ki tilawat karay to os din wo koi gunah na karay ga chahay shaitan kitni hi koshish karay ref dunya o aakhirat ki 100 preshanio ka hal pg 42
[Updated on 18-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111876
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Assalam o alaikum , sir mn buhat pareshan hun agar hum kisi se shaadi karrai hain or woh hum se aesi baat pouchai jo agar mene usko bata diya toh mene apnay gunnah ka saboot banaliya toh mn ussey jhute bolo ya sach

Answer: 1) Doosro k saamne apne gunah ka iqraar karna (yani ye batana ke mene fulan gunah ko anjam diya hai) jaiz nahin hay).(Ref: Mujtahid se poche gaye sawalaat, part#2, pg#88).
2) Jhoti qasam khana jaiz nahi hay. Albatta aap ko chahiay k aap tauriyah karain, yani aise alfaaz istemaal karain k jis se wo khuch or samjhain aap ki muraad khuch or ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2638).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112276
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-28

Question: Kya Zina ki Mafi qabool ho gi agar wo sachy dil se mangi jay aur apny ghuna per sharminda ho to ?

Answer: 1: Sab gunah maaf ho saktay hain, agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. (Ref : website Ayatullah sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888)
2: Aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010).
[Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112522
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-27

Question: Assalamo alaikum. Me bht preshan hun me bht gunehgar hun me ne lrko se bate b ki. Zana b kia kale jadu b krae. Jhut b bola. Aj me bht tkif me hu. Bht mafi mngti hu Allah se. Kia kru mje btao ta k Allah razi ho mj se

Answer: Sab gunah maaf ho saktay hain, Agar inssan tauba karay tou usay ye yaqeen hona chahye k parwardigaar e aalam ki rehmat bohat wasee hai wo maaf karne waala hai. Q k Parwardigar nai quran majeed mai wada kia hai k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta hai. aur aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday par amal na karay. Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay. or isi liay kaha gaya hay k “ nidamat hi tuba hay ”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k tark k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shaks zaroor bil zaroor apnay pichlay gunahon ka izala or tadaruk karta hay. agar os ka gunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zarori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day. taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk laazimhay. albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zarori hay k dobarah tauba karain. kyun keh Khuda kareen or meherban hay. or bakshnay wala hay. or tauba karnay walo ko doost rakhta hay. hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah r fikr karna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr karna hay. or isi liay hadees main ayay hay: “ tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se parhaiz karo k Khuda hazir or daikhnay wala hay ”.(Ref: website Ayatullah sistani(d.b) ques #1, toba, http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888) (Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011).
[Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112726
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-26

Question: Main Allah say waada karti hn k abb ye kaam nae karru gee( ma'am likh nae sakti kyun k sharminda hn) lakin kuch din phir wohi kaam karti hn ...phir maafi maangti hn phir gunnah karti hn. Abb lgta hai Allah Meri baat ka yakeen nae karain gay ... Mujay abb Kiya karnaa chaye kuch samjh nae aayaa rehnumaae farmaain

Answer: rasool allah ka farmaan hai k jo shaks surah e talaaq ki tilawat karay ga tou khuda us ki tauba qubool karay ga or wo gunah ki taraf na lotay ga.
(Ref:Dunya o aakhirat ki 100 pareshaaniyo ka hal pg 37).
Tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi. or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain. Yaqeenan Allah taala Gafoor o Raheem hai.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010).
[Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114068
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-11-22

Question: Mery bahi ko bohat kosa ataa ha hor pershan hota ha dil e damag ko sakoon nahi ha hor bohat jazbati ha koi quarni wazifa batay

Answer: Gussay ko door karnay k liye surah e aal e imran ki ayat no 134 ko chini(sugar) per 101 martaba musalsal 21 din tak parhain aur pe lain inshallaha faida ho ga. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 36).
Ayatullah kashmiri k mutabiq 7 rooz tak agar surah e alam nashrah surah #94 ko aik bar subah aur aik bar sham mai tilawat kar lia jae to tamam huzn gham door ho jain gay. (Ref: Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal, pg #94).
[Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print