Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Meras (210 Questions)


Showing 0- 50 questions from 210 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1570
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: AGHA SAHAB MERAS MY BATA , BATI , OR BIWI KA HISA KITNA HY?HISABI SHAKAL MY LIKH KAR BATAEN?SHUKREYA.

Answer: Marne wale k maal se mali wajibaat nikaalne k bad jo maal bache us ka 1/8 hissa(bivi ko zameen se koe hissa nahi milta balkeh zameen k oper ki imarat, fasal or degar cheezo se hissa milta hay) biwi ko dene k baad jo maal bache wo is tarh taqseem Karen ge k bate ko beti k muqaable me dugana hissa mile ga. misaal k taur par marne wale ki aik biwi, aik beta aur aik beti ho aur meraas ki raqam 75,000 rs ho tu 9,375 rs. biwi ko 43750 rs. bete ko aur 21,875 rs beti. Milen ge. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2689-2723). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2378
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ASSALAAM O ELEKUM . 8400000 rupees left by ma father , we r 2 brothers , nd 6 sisters , all married , mother is alive , how much for each person ? Thanks a lot . ALLAH HAFIZ . Suhail

Answer: Agar keo maali wajibaat hain tu pehle wo pore kerne k baad agar merhoom k waaldain zinda nahi hain tu merhoom ki bivi yani aap ki Mother k liye 1/8 hissa(bivi ko zameen se koe hissa nahi milta balkeh zameen k oper ki imarat, fasal or degar cheezo se hissa milta hay) hoga , or is baad baaqi meras 10 hisse kiay jain gaey, or is main se Har behen ko 1 hissa or bhai ko 2 hisse diay jain gaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2740-2779). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
4070
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia karrki k naam ghar ya jaidad ka hisa likhwana islam me zarori he

Answer: Zarori nahi. Update on dated 06-06-2015. (Ref : Minhajus Saliheen, part#2,Ayatullah Sistani d.b. masla #1336 ). (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
4910
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: asa keya walid apne pure jaydat kese ek ladka ka nam karsakte hai

Answer: Jaiz hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
5974
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: kya baap k marne(death) k baad us ki Islamic books per siraf baray beta ka haq hai ya sub baiton ka barabar haq hai? marne walay ne koi waseat nahi ki answer me please thanx a lot

Answer: Marhoom ki Books par us ke sare wurasa ka brabar haq hai, Albattah Marhoom k quraan per faqat barhe bête ka haq hota hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691-2737). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
7677
Mujtahid:
Date:

Question: Kya ager marhoom ki bewi, beta or beti mujood ho to warasat main marhoom k bhai, behn, chacha, taya, mamoon ko hissa milay ga ya nahein

Answer: In ka keo hissa nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9007
Mujtahid:
Mamla Date:

Question: Marhoom ki pehli biwi se talaq hogaya aur unse 2 ladkey hai, 1 majood nahi hai aur 1 majodd hai. marhoom ki dosri biwi se koi aulad nahi hai. Marhoom ki walida, 2 bhai aur 1 behan hai. marhoom ki muzabani wasiyath hai ke unki behan ko 200sq.yds mein se 100sq.yds dena hai. Shariyath ki roshni mein kiss tarha iss ka faisla hoga. Inayath farmiye. Allah Hafiz

Answer: 1)Marhoom ki zameen jo k 200sq yds ka faqat teesra 3rd hissa merhoom ki behen ko bataur e wasiyat diya jaey ga, Q k wasiyat faqat maal k 1/3 hisse men chalti hai, or wasiyat teesre 3rd hisse se ziyada ho to baqi 2 hisson men agr marhoom k wurasa raazi hoon to wasiyat ko pura kerne kia jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2685).
2)Q k marhoom k pehli biwi se ek olad maujood hay or walida bhi maujood hai, to wasiyat per amal kerne k baad in 2 afraad k hote hoe kisi or ko marhoom ki milkiyat men se kuch bhi nahi mile ga, wasiyat ko pura karne k baad marhoom k baqi maal ka 8th hissa(1/8) marhoom ki (mojuda) biwi ko diya jaey ga is tarh k us k shohar ki milkiyat men se zameen,baagh,khet men se aurat ko meeras nahi milti or naa hi uski qeemat.Sirif raqam or zameen k oper ki imarta or samaan or fasal ki qaeemat ka 1/8th hissa mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2728).
3) Os k baad baqya milkiyat k 6 hisse kiay jaen ge jin men se ek marhoom ki maa ko or baqi 5 hisse uski maujoda aulad ko diya jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2698). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10890
Mujtahid:
baap k marnay k baad jaidad mai haq Date:

Question: Salam, Mera sawal hai aap logo kay topic say alag hai, kyun kay mai iss forum mai first time ayei hoon mujhai nahi pata mai kisay orr kahan post karong..... please meri help karain.. Masla yeh hai mene 8 saal pehlay shaadi ki orr mai bohat khosh haal zindagi guzarr rahi hoon apnai shohar k sath ... laikin aap problem yeh hai mere husband k bussiness mai investment lost hogay hai..... mere husband nay bohat koshish kari k koi investment karday magar koi tayarr nahi... phir mene shocha mai apni ami say cash lailoon ... meri 3 behan hain orr mere abu ki death hogay hai mere abu ki 1 corer say bi ziyada ki properties hain ... abb woo sub properties meri ami kay pass hain .... mene ami ko bola ami aap koi property sale kar k mujhai cash deidain tu unhoon nay kaha k mai kal soch kai bataoongi ... phir mai dusaray din gay apni ami k pass tu unhoo nay mana kardia orr kehnay lagi abhi nahi sale karongi .... phir kabhi time ayega tu dekhoongi mene kaha mujhai bohat zarorat hai mai barbaad hojaongi ..laikin ami nay meri aik na suni jab mene ziyada zidh kari k aaj abu hotay tu woo mujhai dai daitay aap kesi maa hain tu unhoon nay kaha meri marzi meri property mai jis ko chahoon doon jiss koo chahoon naa doon........ aap logo say iss maslay kaa haal chahti hoon ... yeh sari properties mere abu ki hain islam mai baap k marnay k baad bewa aurat kaa kitna haq hai shohar ki jaidad par ..... mai apna haq kese mango apni maa say joo mere abu chorr kar death hogayn hain ....... meri ami nay sari properties mai kabza karlia hai ...mene jab unko kaha k aap mera haq daidain abu ki jaidad mai say sub total karlain properties phir hum sister mai divide kar k mujhai daidain orr mene yeh b kaha aap nay meri shaadi mai jita paisa lagaya woo bhi kaat lain orr joo banta hai mujhai daidain tu unhoo nay kaha sub mera hai mai kuch nahi dongi tumhe tumhari shaadi kardi yehi bohat samjhoo orr meri sisters nay bhi mera sath nahi dia sub nay dhakay marr k mujhai ghar say nikal dia ..........aap loog mujhai haal batain mai kesay apna haqq apni ami say loon mujhai haal dain mai bohat paraishan hoon mai kiss tarhaan apna haq unsay loon orrr kistarhaan divide karoon .. meri 3 sisters hain brother nahi hai aab kistarhan calculation hogi orrr kisss tarhaan unsay apna haq looo ??????

Answer: 1)Aap k walid ki property men aap ki walida ka faqat (Aathwaan 1/8) hai, or baqi property ko aap or appki teeno behno men braber taqseem kiya jaey ga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 991-1058, Eidition 1417 hij)
2)Lekin aap ki waalida ko jaedaad main se ghar ki zameen or is hi terhan or dosri zamenain men se keo hissa nahi mile ga, (chahe in per ghar bane hue hoon ya nah hoon, or chahe in per baghaat waghera hoon ya nah hoon) or nah hi zameen ki qeemat main hissa hoga, lekin agar khali zameen per taameer shuda chezo ko beecha jaey (jese zameen per ghar ya baghaat waghera) to in ki qeemat se merhoom ki bewa(yani aap ki waalida) ko 1/8 hissa mile ga or is hi terhan dusri cheezoo main bhi hissa mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2728).Or agar aap k liay apna hissa adalat ki taraf ruju kiay baghair mumkin nah ho to ghair islami adalat k zariay apna hissa lena jaiz hoga.(Ref : Aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 225 , eidition # 5). Update on dated 29-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
14003
Mujtahid:
Date:

Question: zindagi mein baap nay kisi ko kum jaidad aur kisi ko ziyada diya kay yeh is kay naam hai aur yeh is kay naam ....baad mein un kay marnay kay baad jub sharai tor par jaidad ki taqseem ho gi tou us mein jis ko ziyada hissa phelay baap ki taraf say mila ho us ko bhi dena parey ga tou is tarhan jis kay hissay mein kum jaidad aye tou us ki haq talfi nahin ho gi is tarhan say .....agar bhai hoon tou aapas mein barabri nahin ho sakti baap kay marnay kay baad

Answer: Jis maal ka insaan apni zindaghi me kise dosere ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shaks ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal walid apne baito ko zindagi men de dedeta hai wo baito ka maal hoga.Baap k inteqaal k baad jo maal Baap ki milkiyat main tha or sab baito baitiyo or biwi main meeras ki makhsoos taqseem k mutabiq taqseem hoga.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32227
Mujtahid:
Ayat ullah Sistani sahib Date:

Question: janab maira question ya hay kay quran may jagha jagha ya nasihat mojood hay kay yateem ka khayal rakho yateem ki parwarish karo or Ahadees may bhi sarihat kay sath yateem kay sath acha salook rakhnay ka huqam hay magar aik yateem ko dada kay tarqy may say warast qun nahi de jati (maray walid mary dada ki zindagi may he intaqal kar gay thay laiqin mary taya nay dada kay intaqal kay bad mujhay or mairi waldako ghar say nikal dia or sari jaidad apnay nam karli or fatway bhi laia ka yateem ka dada ki jaidad may haq nahi hay or hamary ahly tashi ulma nay fatway bhi diay jin may say mirza yusaf hussain sahib ki tahreer or un ki mohar wali tahreer bhi molana sahib nay di thi. sawal ya hay kay ya tazad nahi hay kay ya to yateem ki parwarish karo ya har cheez say mahroom kardo.

Answer: Agr merne walay ki aulaad uski zindagi men hi intaqal ker jaey to uski us aulad ka Merne wale k tarqe men koi hissa nahi hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 1001, Eidition 1417 hij).Note : Is meeras men Quran O sunnat hi k ehkaam ki bina per aap ka koe huq nahi banta. Or rahi baat k Quran ne yateem ka khayaal rakhne ko kaha hay tu os se muraad ye nahi k agarche aap ka meras men koi haq nahi bhi banta ho to bhi yateem ko meraas main hissa diya jay, balkeh wahaan muraad ye hay k agar yateem ki meraas ho tu uski meraas ki hifazat ki jaey yahaan tak k wo baligh or rashhed ho jaey tu uski meraas os k hawale kerdi jaey or oska maal zulm or ziyadati k sath apnay liay halaal nahi samajh liya jaey. Or mukhtalif maqamaat per yateem k sath husn e solook rakhne ka hokum bhi diya gaya hay laikin ye aik mustahab amal hay nah k wajib.(Surah # Israa # 17. Ayat # 34 http://quran.ksu.edu.sa/tafseer/tabary/sura6-aya152.html) Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32990
Mujtahid:
Jaidad Date:

Question: Mera walid pauth hogaya hain, mere 2 behan hain au aik main hon, mera aik behan bi fouth hochoki hain, ab jadad mere au mere 1 behan main taqseem hogi , ya jo behan fouth hochoki hain us ke bacho ko bi melega?

Answer: 1)Agar aap k walid ki wafaat k waqt aap ki behan zinda thi tu unka hissa unki aulad ko mile ga lekin agar walid ki wafaat se pehle hi wo faut ho chuki theen tu meras men on ki aulaad ka koe hissa nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691)
2)Agar aik behen walid sahib ki wafaat se pehle faut ho gae thi tu meeras k 3 hisse kiay jain gay or phir 2 hisse aap ka aur 1 hissa aap ki behan ka hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691-94). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
33052
Mujtahid:
Date:

Question: As Salam o Alikum mufti shab mere walidein faut ho chuke hai hum inki aaulad mein teen (3) ladkhiya aur duo (2) ladkhe hai bahiyon ne aapas mein hi hissa kar liya meri baheno ko mujhe kuch bi nahi maila main apna hisha chaati hu .

Answer: Agar qanoon ki madad se aap k liay hissa lena momkin hay tu aap k liay apna hissa lene ki koshish karna jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed Fiqhi Masail, Mafhoom e Maslah #). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46262
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: allama sahab shia fiqha k mutabiq baap ki jaidaad mein sy beti aur betay ka kya hissa ho ga?

Answer: Her bete ko beti se dugna (double) hissa milay ga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
46996
Mujtahid:
??? Date:

Question: Mera sawal yah hai k maa baap k marne k bad uski jaidad ki taqseem kese ho gi ??? ager maa baap dono ka intqal ho gia hai aur unki sirf 1 beti hai to kya jaidad beti ko milly gi ??? Aur baap jis ka intqal ho gia hai uska bhai b majood hai?? Yani beti uska taya ??? Ab ap muje yah btaye k jaidad me beti ka kya hissa ho ga unki jaidad beti ko milly gi ya taya ko sab tafseel se bata de shukriyaa...

Answer: Agar marhoom k waaldain zinda nah hoon or bivi bhi nah ho tu aulad mojood hone ki surat men uski tamaam meeras uski aulad ko mile gi, marhoom k bhai ka koe hissa nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 06-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
50995
Mujtahid:
AAGH SISTANI Date:

Question: SALAM... Agha sahab mre sawal ye hai k mre shoher ka intaqal ho gaya hai or unki sirf aik hi beti hai jo 15 mah ki hai mujhy ye bata dain k un ki jaidad may mra yani unki biwi ka or un ki beti ka or un k walid ka kitna hissa banta hai or un ki walida bhi hain lakin wo sotali hain to unka bhi koi hisa banta hai or kia un k bhaiyon ka bhi hisa hoga is may mujhy tafseel say bata hain k kis ka kitna hisa banta hai

Answer: Meraas main sub se pehle merhoom ki biwi ko 1/8th (aathwaan) hissa diya jaayega, lekin is men bhi kuch sharten hen k biwi ko zameen nahi mile gi balkeh zameen per bani hue imrat ki qeemat ka 1/8th mile ga, or baqi jaidad dusre afrad ki taraf taqseem hogi, Matlab aap ko aap k shohar k maal men se 1/8th (aathwan) hissa milega or baqi jaidaad k 4 hisse honge jis men se 1 hissa merhoom k walid matlab aap k susar or baqi 3 hisse merhoom ki beti k honge, or soteli maa ko koe hissa nahi milega. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2700-2728). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
51824
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamu alaikum. Meri walida ka inteqal hogaya. Aur unka mall yani zewar ki takhseem kis tarha ki jani chahiay. jo k sab ko acha lagay aur islam k mutabiq rahe.

Answer: Agar aap ki wailda k inteqal k baad aap k walid zinda hon or walida k waaldain nah hoon tu aap ki walida k pore maal ka (chotha ¼) hissa aap k walid ko or baqi maal ko aulad men is tarah taqseem kiya jaey ga k har bête ko beti se dugna(double) hissa mile hoga, or agr aap k walid bhi zinda nahi hen to aap ki walida ka sara maal is tarah taqseem hoga k aulad men se har bhai apni behn se dugna(double) hissa paey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52128
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: s.a my mother died before 10 year my father marry to my aunt .my father died before 3 year .would there be a share of my new mom on my father property which is in name of my father and my mother .

Answer: If the man has child from that or another wife, the wife gets 1/8th of the estate, and the remaining part will be inherited by his other heirs. A wife does not inherit anything from the land of a house or a garden or a farm, or from any other land, nor does she inherit from the proceeds of such lands. She does not also inherit from that which stands on that land, like the house and the trees, but she inherits from their proceeds. The same rule applies to the trees and crops and buildings standing on the land of a garden, and on agricultural land, or on any other lands. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2728). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53373
Mujtahid:
Date:

Question: Assalamuelekum Agha Ali Raza Mehdvi sb, A father has died leaving some sons and daughters. Sons say that since they renovated some part of the house so they want the value of that renovated part before division of share to all. Is that allowable under Asna shari inheritance law?

Answer: Sons can take that amount which was invested for renovating.(Ref : Mujtahid se poche gaae sawalaat , hissa # 4 , mafhoom e question # 183). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asslamun alikum Mera sawal yeh hi mera ek makan hi mai aur mere husband dono oss ghar me rehte hi..mare 3 ladkia ek ladka hi ladkio ki shadi ho gai hi ladke ke bhi shadi ho gai hi.ab yeh makan mai shariyat tour pe kiske naam karu..isme ladkio ka bhi koi hissa hoga..

Answer: Agar aap apni zindagi men hi ye makan apni aulad ko dena chahti hen to phir jis tarah aap chahe on k hawale ker dain. Or agar aap apni zindagi main on ko malik nahi banati tu aap ki wafaat k baad agar aap k shohar zinda rahe to wo is makan ka (chotha=¼) hissa paenge or phir baqi makan or chezo k 5 hisse kiay jaen ge 2 hisse aap k bête or baqi 3 hisse aap ki 3 betiyo ko milenge, lekin agar aap k shohar bhi zinda nahi rahe or aap ki death k bad makan or maal k 5 hisse kiay jaey gay 2 hisse aap k bate ko or baqi 3 hisse aap ki 3 betiyon ko milen gay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53880
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam o alaikum.meri jab shadi hui thi to mere father in law ka mere maa baap se yeh kehna tha k pakistan mai dono ghr hamarey betey k hai.hum to america mai ha or jo kuch bhi ha hamare iklotay betey ka hai.mager bad mai wo apni bat se phir gaye or pakistan aker dono gher bech ker sara paisa leker chaley gae.mughe ot mere shoher ko derbader ker dia.mrey shoher ki aamdani bhi itni nhi k hum koi chota sa flat hi khareedly.hum apne bacho k sath karaye k ghero mai dhakey kha rhey hai.mrey susar ab kehtey hai k jab tak mai zinda hu koi hiissa dena ferz nahi hai.or merney k bad mera sab kuch meri biwi ka ha.ap bataye kiya mrey shoher spney walid sey jaidat mai hissa mangney k haqdar nahi.or kia yeh gunnah hai k bap k jetey hue us sey apna hisa mangna?? Shukriai

Answer: Jab tak aap k susar zinda hen tab tak to tamaam jaidaad k malik aap k shohar k walid matlab aap k susar hi hen Albatta onki wafaat k baad unki biwi ka tamam jaidaad main se faqat 1/8th hissa zameen k elawa men hay(yani zameen main se biwi ko meraas nahi mile gi zameen k oper buling ki qeemat se meraas mile gi) baqi tamaam jaidaad on k aklote bête yani aap k shohar k hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2728). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
54591
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam-o-alikum mera Q ye hai key ager hum per kisi ka qarz hai or hum thora thora ker ky osy wapas bi ker rahy thy per ab os shaks ki jis ka hum per qarz hai os ki death ho gai hai ab hum os ka baqi qarz kesy wapis ker sakty hai.

Answer: Qarz ki raqam merhoom k on tamaam wurasa jin ka meraas main haq hay ko di jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2243). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
58747
Mujtahid:
Date:

Question: Aslam ulaykum maira swal ye hae k ma k nam sari jaydad ho to kya bytiyon(daughter) k nam sirf jaydad hoti hae ya bayton (son)k nam b hoti hae bad mae

Answer: Agar kise marne wale k waris kuch bete aur betiyan hoon to maal ko yun taqseem kiya jaey ga k har beta, beti se dugna(double) hissa pata hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
58833
Mujtahid:
Date:

Question: mere do bhai hai aur hamare waliden ka intekal ke baad saare paise sona mere bhai ke mamu ke paas diye te ab my mere bhai se pucha to o batate hai ki paisa nahi hai sona hai abmay kya karskta hu ?

Answer: Agar kise marne wale k waris faqat betay hoon to tamaam maal (chahe pese hoon ya sona ya ghar) un k darmiyaan barabar taqseem kiya jaey ga. Or aap apne bhai se apne hisse ka mutaalba ker sakte hain.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61028
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam-o-Alaikum. Janab mera sawal ye hai ke mere Grand Father ki death ke bad jaidad taqseem honi hai. jisme unke 6 larke aur 2 larkiya hain usmese aik ki death ho chuki hai.ab jis bande ki death hwi us se uski aik beta hai ab sawal ye hai ke uske bete ka hissa hoga ke ni?

Answer: Potay (Grandson) ko hissa nahi mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61283
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Mere father ki warasat ka cause court ma thaa mere dada ne mere sab beto ka brabaer hisa rakh kr 3 khandan k logo ko gawah banaya thaa aur mere walid ne khud apni zindagi ma apne bhaion se apni warast talab ki jis pe unho ne kaha k dada ne apka hisa nhi rakha ha tamam jaidad humen hiba fe sabeel illah krdi ha jis pe mere walid ne mujhe mukhtar banaya ma ne sharyat court skardu ma cause kia magar 1 saal taq wahan sheikh sadiq sahab ne cause ko solf nahi aur humen boht mayausi hoi koi faisla na aane pr.us k baad ma ne court ma cause kia aur 5 saal tak larne k baad adalat ne ye keh kr cause kharij krdia k walid jis bete ko chahe hisa de jisko chahe na de.mere chacha mere dada se hen mgr meri sagi dadi se nhi ha.kia yahe insaaf ha?

Answer: Agar aap k dada ne apne tamaam beton (jis men aap k walid bhi shamil the) ko baraber ka hissa diya tha tu is sorat main sharan aap k walid ka us main hissa tha, lehaza ager qanoon ki madad se aap k liay hissa lena momkin hai to aap k liay meraas ka hissa lene ki koshish karna jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed Fiqhi Masaail, Mafhoom e Maslah # 1320). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
61480
Mujtahid:
Date:

Question: Mary uncle ki death ho chuki hn ur in ki koi aulad nhe hn ab in ki property ka Islam ky nazar ma sahi haqdar kn hn?

Answer: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti.
1st Group: Waaldain or aulad hote hen.
2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen.
3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala.
Bas Agar aap k uncle ki biwi maujud hen to property men se chautha (¼) hissa unko milne k baad baqi property uper wale 3 tabqon k mutabiq tarteeb-waar taqseem ki jaey gi, Or Agar aap k Marhoom uncle ki wife bhi nahi hen to phir puri property meeras k 3 tabqo k mutabiq taqseem hohi. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61642
Mujtahid:
Date:

Question: salam o alikum. sawal ye hai k mery mamo nay meri maa say jaidad say nikalny k garaz say ghalat yani k jhoot bol kar angota lagaya hai aur gawahan bhe apny marzi ka likha hai jab k gawaho ko pata he nahe hai to keya ab us jaidad mai say mary maa ka haisa baqi hai k nahe islam mai is qisam kam ke koi saza hai aur agar ham un k khelaf adalat mai kaise karty hai to keya hamara kaise jaiz hai k nahi

Answer: Wssalam o alykum, Jee haan aap ki waalida ka Sharee taur per us jaidaad men hissa hai, or aap ki waalida ka us ko adalat k zarye wapas lena jaiz hai.(Ref : Aqai Sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 225 , eidition # 5 ). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61819
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam walecum mera sawal yeh hai ke maa ki jaidad(zevar aur paisay) mein kia beti ka utna hi hissa hai jitna walid ki jaidad say mila yani betoon say half yeh Maa ke sub kuch beti ka hota hai agar koi wasiyat na ho to

Answer: Aulad me agar beta or beti dono moujood hoon to marhoom maan ya baap k maal se bete(son) ko beti (daughter) k se dugna(double) hissa mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
61952
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal hai ke quran aur sunnat ki roshni ma BIWI ki Milkiyat ma shohar ka kia hissa hota hai agar wo intaqaal kar jaye? Doosra sawal ye ke mere aik dost ki biwi wafat pa gayee aur us ka aik bacha hai, us ne doosri aurat se shaadi ki jo ameer hai aur us ke apne 2 bache aik beta aur 1 beti hai. ab un dono ka bhi 1 beta ho gaya. Ab un ke 4 bache hain. aik us aadmi ka beta, 2 us aurat ke bache aur 1 un dono ka beta. agar biwi ko kuch ho jata hai to us ki biwi ki milkiyat ma us ke shohar aur us ke bete ka aur un dono ke bete ka aur us aurat ke 2 bachon ka kia hisa ho ga.

Answer: 1-Agar aurat la-aulad ho to shohar ko meraas ka adha (½) hissa milta hai or aurat ki meeras ka baqi adha hissa us k wurasa ko mile ga, lekin agar aurat ki aulad ho to shohar ko meraas ka chotha (¼) hissa milta hai or baqi sara maal aulad ka hoga.
2- Aap k doost ki pehli biwi ko meeras se chautha (¼) hissa mile ga or or baqi sari meeras us k bête ki milkiyat hogi, Isi tarah dusri Biwi ki wafat se bhi us aurat k maal ka chautha (¼) hissa aap k doost ko mile ga or is k baad baqi meraas k 5 hisse kiay jaen gay, 2 hissay aurat k pehle baite ko, or 2 hissse aurat k dosray baite ko jo abhi aap k doost se peda hua hai, or 1 hissa aurat ki baiti ko diya jaey ga. Aap k dost ka wo beta jo unki pehli biwi se paida hua tha wo dusri biwi k maal se kisi hisse ka haq nahi rakhta)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2727+2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
62930
Mujtahid:
Date:

Question: Asalam u alekum.mufti sab meray dada nay 2 shadian kehe thay.peli bewi say os ka 5 betay aor 2 betian thay.jb kay dosri bewi say os kay 5 betay aor 7 betian hen.dada nay apnay zindagi may wrasat sirf apnay 10 bethon kay nam krdi.aor hr betay ko apna apna isa day daya.ab dada kay fout wnay k 20 sal owey a.kia os kay os jaidad may jo os nay apnay bethon pay tksim kya tha, os kay bethyion ka isa bnta a?aor jo jaidad abi tk tksim nai owa os may b os kay bethion ka haq bnta a?aor agr bap nay apny zindagi may apnay kesi ek betay ko wasiat ki wo k meray mrnay k bad meray jaidad may meray bethian b saray jaidad may haqdar a.to kya os wasiat say os kay bethian tksim shuda jaidad may haqdar a?shariai jawab chaiay

Answer: Jis maal ka insaan apni zindaghi me kise dosere ko malik bana daita hay wo maal phele wale insaan ki milkiyat se nikal kar dosere shaks ki milkiyat me chala jata hai. Is bina per jo maal aap k dada ne apne baito ko zindagi men de diya tha wo baito ka maal hoga. Dada k inteqaal k baad jo maal dada ki milkiyat main tha wo tamaam baito or baitio or biviyoon main taqseem hoga. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah # 1320, Eidition 1417 hij).2) Agar kise mard marne wale k waris betay aur betiyaan hoon to maal ko yu taqseem kiya jaay ga k har beta ,beti se dugna(double) hissa lay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35, Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65620
Mujtahid:
Date: 2018-05-30

Question: agr walid k samne bete ki maut ho jati hai to kya bete aur uski aulaad ka dada ki jayedaad me koi hissa ya haq nahi rahta hai ? baraye meharbani is ka shariyat me kya hukm hai babtaye taki sahi haqdaar ko uska haq dilaya ja sake meri e mail id par bhej den tafseel se............assalam o aleykum

Answer: Agar baita baap ki zindagi main wafaat paa jaey tu os ka meraas per koe huq nahi or jahaan tak baat hay merhoom ka baita apne dada ki meraas paey gay a nahi tu oski 2 soratain hain, agar dada k inteqaal k waqt dada k maan, baab or aulaad main se koe aik shaks bhi maujood ho tu pote ko dada ki meraas nahi mile gi or agar in afraad main se koe bhi nah ho tu pota apne dada ki meraas paey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2691). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
65631
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie Date:

Question: kya baap k foot ho janay k baad agar us kay bhai hisa mangay to kya yeh hisa dena bunta hai aur agar dena par jae kisi majburi k tehat to kitna ho ga??

Answer: Agar merne wale k maan , baab or aulaad main se aik bhi shaks maujood ho tu kis or afraad ko meraas main se koe hissa nahi mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2691). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66916
Mujtahid:
Date:

Question: agar kisi shaks ki olad na ho to us ki wafat ky bad us ki biwi ka us ky warasat py kitna hisa ho ga

Answer: Meraas main sub se pehle merhoom ki biwi ko aulad nah hone ki sorat main 1/4th hissa diya jaayega, lekin is men bhi kuch sharten hen k biwi ko zameen nahi mile gi balkeh zameen per bani hue imrat ki qeemat ka 1/4th mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2700-2728). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70793
Mujtahid:
Date:

Question: meri mother ki death ho gai h...hum i bahi aur 3 sisterz hein....hum mein taqseem kese ho gi //??

Answer: Agar aap ki walida k maan or baap nah hoon or aap ki walida k shohar(yani aap k walid) bhi nah hoon, tu phir meraas k 5 isse kiay jain gay or bhai ko 2 hisse or behno ko aik aik hissa mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2694). Update on dated 27-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70830
Mujtahid:
Date:

Question: mera sawal ye hai ke agar kisi aurat ki chaar betiyan hain to kya uski property mein bhatijon ka hissa hota hai ya nhi. shariyat ke hiasab se.

Answer: Merhoom ki aulaad hone ki sorat main bhatijion ko meras nahi mile gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2691). Update on dated 15-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
71133
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Baap zindagi main betion k naam jaidaad lagwa sakta hai k nahin.aur ager woh yani baap marr jaye aur uss ki sirf betian hon to kia sari jaidad uss ki betion aur biwi main takseem ho gi.

Answer: Baap apnay maal ko apni zindagi main apni baitiyo k naam ker sakta hay or agar zindagi main naam nah kare tu bhi merne k baad bivi or baitiyo ko meraas k taur per milay gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2694). Update on dated 20-05-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
74414
Mujtahid:
Date:

Question: Aik shaks k 2 bahe hn. Maa baap hn. Aur aik bv ha. Olaad nahe ha. Sawal ya ha k aus shaks k marnay k baad aus ki jaidaad ki taqseem kesay ho ge?

Answer: Meraas main sub se pehle merhoom ki biwi ko aulad nah hone ki sorat main 1/4th hissa diya jaayega, lekin is men bhi kuch sharten hen k biwi ko zameen nahi mile gi balkeh zameen per bani hue imrat ki qeemat ka 1/4th mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2700-2728).
Merhoom k 2 bhaio ko tu meras nahi mile gi laikin on k hone ki wajah se merhoom ki maan ko 1/3 hissay k bajaey 1/6 hissa ile ga or baaqi maal merhoom k walid ko milay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2696). Update on dated 07-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
76974
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: السلام و علیکم محتر م آغا علی رضا مھدوی صاحب برائے مہربانی آپ جواب عنایت فرمائے میرے والد کا انتقال حال ہی میں ہوا ہے ہم آٹھ بہن بھائی ہیں سب کے سب شادی شدہ اور خود مختار ہیں والدہ ماشاءاللہ حیات ہیں تین بھائی والدین کے ساتھ رہتے تھے اب صرف والدہ ہیں والدنے اپنے ھوش و حواس اور چلتے پھرتے زمانے میں میرے ساتھ بینک میں اپنا جواءنٹ اکاؤنٹ کھولا تھا جس میں ان کی پینشن وہ ٹرانسفر کرواتے تھے اس سے میں یا ابو دونوں پیسے نکلواسکتے تھے۔ مکان میری والدہ کے نام ہے۔ والدین ۲۸ فروری کو ہر سال خمس نکالتے تھے چونکہ ابوکا انتقال ہوگیاہے اس لیے یہ فریضۂ امی نے وقت مقررہ پر ادا کردیا ہے۔حساب نصاب حصہ ترکہ یا جائداد کی تقسیم کس طرح ہوگی جواب مرحمت فرمائیں ۔ فقط دعا سید محمد علی نقوی

Answer: Agar merhoom ne apni zindagi main hi makan bivi ki milkiyat main day diya tha tu phir makan meras main taqseem nahi hoga, balkeh makan k alawa baaqi maal is terah taqseem hoga k bewah ko maal ka 1/8 hissa milay ga or baqya maal isterah taqseem hoga keh bhai ko behen se dugna hissa milay ga, maslan agar 4 bhai or 4 behnain hoon tu maal k 12 hissay kiay jain gay, or har behen ko aik hissa or bhai ko dugna hissa milay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2694,2728). Update on dated 10-03-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82159
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: aurat ki death k bad uski property usk husband, 2 sons and 1 daughter mn kis trah taqseem hogi??

Answer: Agar merhooma k maan baap hayaat nah hoon tu phir meras ki taqseem is tarah hogi k husband k liay property ka choutha hissa ( ¼ ) or baqi property k 5 hissay karen or do do( 2) har larky ko diay jain or aik larki ko diya jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2727,2694). Update on dated 02-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
82195
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: agar kisi ka qarz dena ho aur qarz leney wale ki death ho gai ho to kya us admi ki taraf se sadqa diya ja sakta hy?

Answer: Agar koe waris ho to usay den warna mujtahid ya us k waqeel ki janib rujoo karain. (Ref: Minhajus saliheen, jld#3, masala#1081) Update on dated 15-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85096
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asalam -o -alikum , mera sawal yeh hai agar walid ka intiqal hojye or unki ek biwi or 4 betiyaa ho , 4 bhai or 3 behnay hai , tu unki warasat kesy taqseem hogy ? bhai behan ka koi haq hoga unki jaydat per biwi or betiyo ky honay kay bawajood ya nhi ?

Answer: Bhai Bhehno ko kuch bhi hissa nahi milay ga, or biwi ko zameen ya pilot men say kuch bhi hissa nahi milay ga. Sab say pehlay biwi ko 1/8 ( aathwan ) hissa dia jaey or baqi jitni miraas bach jaey wo betion men brabar taqseem ki jaey, yani char hissy kiay jaen or har beti ko aik hissa dia jaey. (Ref: Minhajus saliheen, jild#3, masla#999). Update on dated 04-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
85101
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date:

Question: agar Marnay wali ki Aik sister aur aik Mother ho aur Chacha phopi ho tu jaidad ki taqseem kia ho gi?

Answer: Agar marne wali aurat ka shohar or aulad nah ho tu saari miras maan(mother) ko milay gi or sister, chacha , phopi ko kuch bhi hissa nahi milay ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2727 ). Update on dated 03-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aoa mara sawal ya ha ky ham 6 bahi han or 3 sister han hamary abu g ka intakal ho gaya ha or hamary sath hamari ami han hamary 2kily or 10 marly property the jo ham ny sale kar di ha jis ki price 2805000 ha ab ham is rakum ko bantna chahty han hamy pata nahi chal raha ky kis ky hisy ma kitni rakam ati ha

Answer: Was Salam. Is mai zojah ka hissa nahi hoga q k zojah ka zameen mai hissa nahi hota. Har beti ko 187000 miley gay or har betay ko 374000 miley gay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2694, 2727 ) Update on dated 01-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86707
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Ek shakhs ka inteqal ho gaya hai aur uski 2 biwi hai, ek biwi se 2 beti hai aur dusri biwi se bachche ni hai. Uske 3 bhai aur 3 behen hai to uski zameen aur uska ghar kisko milega?

Answer: 3 bhayon or 3 behno ka koi hissa nahi hoga or zameen mai biwion ka bhi koi hissa nahi hoga faqat betiyaan haqdaar hoongi or jahan tak ghar ka ta,alluq hai tou ghar ki zameen mai bhi biwi ka koi hissa nahi hoga lekin fizaa main jo imaarat qaaim hai us ki qeemat main sai aathwa ( 8th ) hissa biwi ko miley ga or baqi jo kuch bachay ga wo faqat betiyon mai taqseem hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2728). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
86717
Mujtahid:
Date:

Question: Meri Dadi ke naam ak zameen ti unka 1 beta or 2 betiyaan ti to meri Dadi ne apni zindagi mein apni zameen apne bete ko bukshish kar di ab mere papa ki bhene bol rahi hai ke is zameen mein hamara haq banta hai jb ke meri Dadi dada or mere papa intaqal kar gaye hai ab unka waris yani ke mein 1 beta or 4 betiyaan hai ab muje yeh bataye ke mere papa ki jayidad mein uski bhen ka hisa banta hai ya nahi jb ke uski olad zinda hai yani ke mein 1 beta or 4 betiyaan hai or documents mein mere papa mera or meri 4 bheno ka naam hai ab muje yeh bataye ke mere papa ki milkiyat mein uski bhen ka hissa ho sakta hai ya nahi .

Answer: Agar dadi ne apni zindagi mai apni zameen ko bakhsh dia tha tu wo zameen aap k waalid ki hai or ab un k inteqaal k baad us zameen mai aap ki phuppi(walid ki behen) ka koi hissa nahi hoga or zameen ko faqat aulaad mai hi taqseem kia jaey ga is tarah sai k zameen k 6 hissay kiay jain gay k jis mai sai 2 hissay betay ko yaney aap ko or baaqi 4 behno mai sai har behen ko aik hissa dia jaey ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah#2694). Update on dated 03-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87012
Mujtahid:
Date:

Question: Meri Nani Ami ki wafaat abhi 2 mah pehley howi hai. Mera Nana Abu abhi hayat hain. Mera Nana aur Nani ki 6 betain hain aur koi beta nhi hai. Sawal ye hai k kia meri nani ka kuch zewar aur raqam [money] un ki wafaat k baad nikla hai. Kia in sab ko sirf betion mein taqseem kiya jaye ga ?ya nani ami k behan bhaiyon ko b hissa dena ho ga?

Answer: Or is tarah taqseem hogi k shohar ko ¼ (choutha) hissa dia jaey ga or baqi jitni meras ho wo sab betio men barabar barabar di jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2694/2727 ). Update on dated 09-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
87025
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam alaikum Mara sawal ha Agr Taya faut houjaein aur unki koe ulad aur biwi na hou aur na maan baap hun aur maiyat ka sirf 7 Bhai aur 4 bheny Hain aur aun mn SAey sirf 3 Bhai aur 2 bheny zinda houn tou Kia Miras mn hissa sirf zinda bhen bhaiun ka hoga ya jou faut hougaey hun unka haq unkey bachun kou dia jaiye ga.

Answer: Was Salam. Sirf zinda bhai behen ko hi miley ga lekin bhayo ko behno sai dugnaa hissa miley ga. (Ref:Minhaj us saliheen ayatollah seestani maslah no 1020). Update on dated 15-09-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88385
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam o alekum Meri marhooma walda ne tarke mn jo zewar chora ha usko kaise taqseem kia jai??hm 5 behne or 4 bhai hn.

Answer: Agar marhooma k walidain or shohar hayaat nah hoon tu zewar k 13 hissay kie jain gay or har behen ko aik hissa dia jaey ga or har bhai ko 2 hissay diay jain gay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 2694). Update on dated 13-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
88973
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Aslam o alikum sir plz sawal hai k meray abu foot ho gay hain 75 lakh ko takseem karna hai 4 behn 4 bahi 1 ami en me kitna kitna aye ga sir kuj es tara samjana plz raqam minshan kar k masal k tor pe k ami 2 lakh bahi ko 4 lakh behin ko 3 lakh pori pori raqam bata dain thanks gahr hai us ki qeemt 75 lakh hai us ki virasat taqseem karni hai plz sar jaldi bata dain thanks

Answer: Makan main se bivi ko zameen ki qeemat main se hissa nahi milta, or jo raqam aap k paas hay oski taqseem khuch yoonh hogi keh marhoom ki biwi ko 75 lakh ka aattwan (1/8 ) hissa milay ga yani 937,500 rupay milay ga. Or os k baad baqi raqam k 12 hissay kia jain gay har behen ko aik hisssa or har bhai ko 2 hissay milay gain. Yani har behen ko 546,875 rupay ki raqam milay gi or har bhai ko 1,093,750 ki raqam milay gi. (Ref: Minhajus saliheen, part#3, maslah#999). Update on dated 04-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Note: Ye faqat meras ki raqam k hiisay batanay k maqsad se meras ki taqseem bandi bayan ki gae hay. Warna meras taqseem kerne se pehlay agar merhoom maqrooz ho ya bivi ka meher ada nah kia ho tu pehlay os ka qarz ya meher ada kerna wajib hoga isi tarah agar merhoom per hajj wajib ho tu meras ki raqam se hajj ki raqam alag ki jaey gi or isi tarah agar merhoom khums daina ka aqeeda rakhta tha ya khums diya kerta tha ya khums k ada kerne ki wasiyat ki ho tu phir sab se pehlay khums ko ada kerna wajib hoga or os k baad meras ada ki jaey gi.

Print

Id:
89114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: mera sawal ye hai k mery nana aur nani ki death ko 20 saal sy b zid arsa hogaya hai aur ab mare walda ki b death hogai hai mery 6 mamu 2 khala aur ammi nay lafzi devied kr k apas main nana ki property main postion kr k bantliay thy mare walda ko b un k hisy ka postion mila tha ab mamu aur khala khetain hain k humare behain margai ab tumhara is postion main koi haq nai hai tum ghar khali kr k yehan sy chaly jao. to mera sawal ye hai k mare ammi ki death k bad mera haq khatam hogaya kia mare ammi k hissy k posstion sy?

Answer: Aap apni maa ki mirass k waris hen is liay ap ki walida ko jo hissa mila tha ab wo aap ka hoga or aap k mamu or khala k liay yeh jaiz nahi k aap ko wahan say nikalen. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #2694). Update on dated 27-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print