Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Auqat-e-namaz (105 Questions)


Showing 100- 105 questions from 105 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
116465
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-21

Question: السلام علیکم سوال نمبر ١ میؓ نے اپنی عمر کے ٢٨سال تک نمازیں نہیں پڑھیں مگر اب اَلْحَمْدُلِلّٰه ۵وقت ادا کرتی ہوں مگر جو نہیں پڑھتی تھی کیا انکا کوئی کفارہ ہوسکتا ہے؟ سوال نمبر ٢ میری ایک آدھی دفعہ فجر مِس ہوگئی ہے کیا وہ قضا ادا ہوسکتی ہے ضہر کے ساتھ؟ سوال نمبر ٣ میں نے سُنا تھا کہ ضہر اور عصر ، مغرب اور عشاِ ایک ساتھ پڑھی جاسکتی ہے اسکی کیا حقیقیت ہے گائیڈ کردیجیےع جزاک اللّٰه

Answer: 1: & 2: Jee nahin Kaffara nahin hota lekin Jis kisi nai apni yomia namazain in k waqt main na parhi hoon to zaroori hai k in ki qaza baja laey. Jis kisi ki namazen qaza ho jain to zaroori hai k is ki qaza perhne me kohtae nah kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai.(balke thore thore kar k bhi perhi jasakti hain). Or Jan boojh kar namaz ka na parhna haram aur gunah e kabeera ha. or namaz e fajar jo qaza hoi hai wo zuhar se pehle ya zuhar ke bad parhi jasakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1356,1358. + Minhaajus Saliheen Part # 1, Maslah #30).
3: zohar or Asar isi tarah maghrib or isha ki namaz alag alag kar k parhna mustahab hai lehaza agar zuhar or asar isi tarah maghrib or isha aik sath mila kar parhna jaiz hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774).
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120442
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-21

Question: Agr nmaz talo e aftab ka time na pata hony ki waja sy parhi or thik talo e aftab k wqt py khatm hoi ho to kya uski qaza dobara parhni pary gi ya nmaz ho jaye gi

Answer: Subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. lihaaza agar aap ne waqt ke andar namaz parh li hai to dobara qaza nahin karni.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #729).
[Updated on 22-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
121331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-12-12

Question: Is it better to offer Asr prayers at Asr time (currently around 5 PM) or offer Asr in Jamat which is right after Zuhr? Which bears higher rewards?

Answer: Zuhr ke baad asr ki namaz ko jamat ke sath parhna ziyada sawab rakhta hai.
Q ke wese to mustahab hai ke namaz guzar apni namaz ko fazeelat ke waqt namaz parhay aur fazeelat ke waqt namaz parhnay mein jaldi kare aur jis qadar woh apni namaz fazeelat ke awal e waqt ke qareeb parhay, behtar hai. magar ye ke ziyada ahem surtain hon jaise ke intzaar kare ke namaz ko fazeelat ke waqt, jamaat ke sath parhay

(Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #964,1873).
[Updated on 12-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121625
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-06

Question: Fajar ka waqat kb shuru hota hy

Answer: Subah ki namaz ka waqt: subah ki azaan ke qareeb mashriq ki taraf se aik safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai. Jab ye safedi phail jaaye to fajr-e-duwwum aur subah ki namaz ka awwal waqt hai aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #729).
[Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123378
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-15

Question: Kya fajar ki namaz ka time suraj tk hota h ya kabi b prh skty hn zuhr se phly ?

Answer: Namaz-e-fajr ka waqt:
Subah ki azaan ke qareeb mashriq ki taraf se aik safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai. Jab ye safedi phail jaaye to fajr-e-duwwum aur subah ki namaz ka awwal waqt hai, us waqt parhni hogi aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. yani suraj nikte hi namaz qaza ho jati hai aur phir qaza ki niyat se parhni hogi.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #729).
[Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print