Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Tashahud (55 Questions)


Showing 50- 55 questions from 55 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
107233
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-08

Question: Meri ammi Janna chahti h ki salam pherne sai pehele Konc Dua Pari jati h yani ki Tashshud ki Dua K bad or agar Vo Dua na ae to kya kren??

Answer: Note : namaz me namaz ke salam se phele tashahood ( ashadu allaailaaha illalaahu wahdahoo la shareeka lahoo wa ashadu anna muhammadan abduhoo wa rasoolu alla humma salle alaa muhammadin wa aale muhammad ) perhna wajib hay or tashahood se pehle perhe jaane wala zikar zarori nahe or tashahood ko kitaab me daikh kar bhe perh sakte hay ya kise shaks se khede ke wo namaz perhne wale ko perhaade or namaz perne wala us ke sath sath perhe .
[Updated on 09-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110655
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-04-09

Question: Kia nimaz mai wilayat ali ka iqrar krna jiaz hai tashud mai

Answer: Ehtiyate wajib ki bina par tashahud mai Ali un wali ullah parhna jaiz nahi hai. (Ref:mujtahid sy puchay gaey sawalat,q#90,pg#45,1st edition)
[Updated on 09-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
120871
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-23

Question: Assalamualaikum Mera swaal yeh hai k aaj kl log kehty hain k tashahud mein shahadat e salisa ki gawahi wajib hai mgr ulama ny isko mustarad kiya h jnb Ayatullah Aqeel ul Gharvi sahab ny kaha k aap sjdy mein zkr Ali krskty hain toh swaal yeh hai k kya hm tashahud k ilawa qanoot aur sajda mein Hazrat Ali (a.s) ka zkr kr skty hain aur un k qatilon py lanat bhej skty hain?? Aur iska tareeka kya hai? Ayatullah Seestani k mutabiq?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai parhna jaaiz nahi hai.
(Note: Namaz main quran, zikr e ilahi or dua ke alawa kisi bhi qisim ke izafay ki shariat ne ijazat nahin di hai).
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1122).
[Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120888
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-22

Question: Tashahud mein shahadat e Salisa k bary mein Ayatullah Seestani ka kya fatwa hai aur kya Mola Ali ka name qanoot aur sajdy mein ly skty hain?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai parhna jaaiz nahi hai.
(Note: Namaz main quran, zikr e ilahi or dua ke alawa kisi bhi qisim ke izafay ki shariat ne ijazat nahin di hai).
(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1122).
[Updated on 22-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
124423
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-16

Question: Kya Tashud mein ( Ali un wli ullah prhna chaye))?????

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina par namaz me parhna jaaiz nahi hai.

(Note: Namaz main quran, zikr e ilahi or dua ke alawa kisi bhi qisim ke izafay ki shariat ne ijazat nahin di hai).

(Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/01758/. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1122).
[Updated on 17-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print