Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Jamaat K Ahkaam (124 Questions)


Showing 100- 124 questions from 124 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
110773
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-03

Question: Aoa. Aksar ahle sunnat Fateha kay baad sirf kuch ayaton ki tilawat kartay he aur rukooh me chalay jatay hein to agar ham ahle sunnat imam kay pichay namaz parh rhay hon to ham uski jaga aik choti puri surat parh lein?

Answer: jee ahle sunnat k peeche namaz parhte howe mukamal qiraat aap hi ko karni hai.(Ref tauzeeh ul masail jamay part 1 maslah no 2091).
[Updated on 03-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
110775
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-02

Question: Aoa. Ahle sunnat namaz me aik hi salam do dafa parhtay hein(Assalamo Alaikum wa Rehmatulah Barkato) to agar ham unke pichay namaz parh rahay hon to ham to 3 salam partay hein to 2 salam khud hi parh lein aur teesra salam Unkay saath 2 dafa parh lein ? Aur salam kay lie left aur right munh bi morein unke saath?

Answer: Aap ehle sunnat k sath jab namaz perhain aap apni namaz k tamaam zikr khud perhain wo jo perhte hain os ka khayaal rakhna aap ki zimme daari nahi hay. (Ref: Jadeed masael, part#4, pg#181) [Updated on 02-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
110784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-06

Question: Aoa. Ahle sunnat kay saath namaz parhnay ki kia ruling he?

Answer: Ayatullah Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga). Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.Ref:Istiftaat I-40.
[Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar jaata farmaey]

Print

Id:
110787
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-10-06

Question: Aoa. Ahle sunnat aksar namaz me fateha kay kuch ayeten parh kr rukooh me chalay jatay he, agar ham unkay pichay jehri namaz parh rhay to ham apni koi choti aur mukamal surat parh lein?

Answer: Ayatullah Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga)..Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.Ref:Istiftaat I-40.
[Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111148
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-12-06

Question: 1) sunni imam k peechay namaz jaiz hai ? 2) university k samne ahle sunat masjid hai kya rooz wahan jamaat sey namaz parhi ja sakti hai ? 3) is soorat mein jamaat k kya ehkaam hai ? misalan dua e kunoot aur tashud aur salaam k hawalay sey ?

Answer: Ans 1: Jee han, jaiz hai. Ans 2: Jee han, jaiz hai. Ans 3: Jab koi ehle sunnat k sath namaz perhay to wo apni namaz k tamaam zikr khud perhay ga, aur Sunni pesh imam jo zikr perhta hai os ka khayaal rakhna is shakhs ki zimmedaari nahi hay,(Ref: Jadeed masael, part#4, pg#181)
[Updated on 06-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111229
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ruhollah Khomeini Date: 2021-12-01

Question: Kiya nimaz mein Imam k pichy surat fateha parno chaye

Answer: 1) Agar muqtadi namaz e subah, maghrib or isha ki pehli or doosri rakat main Imam e jamat ki Al-hamd or sorah perhne ki awaaz sun raha ho tu chahay wo kalimaat (yani zikr) ko theek terah se nah samajh sakay zarori he k Al-hamd or sorah nah perhay or agar Imam e jama,at ki awaaz nah sun pay tu mustahab he k Al-hamd or sorah perhay, laikin zarori he k ahista perhay or agar sehwan (yani bholay se) buland awaaz perhay tu koe haraj nahi. 2) Muqtadi ko namaz e zuhar or asr ki pehli or dosri rak’at main ehiyaat e wajib ki bina per al-hamd or sorah nahi perhna chahiay or mustahab or afzal ye hay k on k bajaay Zikr e ilahi or dorood perhay.or isi terah zarori hay k muqtadi namaz e fajr,maghrib or isha ki pehli or dosri rak’at main al-hamd or sorah nah perh’hay(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1443,1447)
[Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
111824
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-04

Question: Agar hame pata na ho ki jamat abhi Baki he or galti se jamat ke Bina namaz padhli

Answer: Furada ki niyat se aap ki namaz sahi hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani(d.b), Editon 39th, mafhoom e maslah #1404)
[Updated on 04-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
112145
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2020-12-22

Question: Kya shia namaz men jamat sy sath namaz parhna zarori hai jo 24saal tk jamat k sath namaz na parhy wo kesa hai matlab momin hai ya kafir? Meherbaani shia ki authentic kitaab sy hawala deen

Answer: youmia namazon (namaz e panjgaana) ko jamaat k saath parhna mustahab hai lehaza jo insaan jamaat tark kar dey tou usay sawaab kum milay ga lekin wo momin hi rahay ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1380).
[Updated on 22-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
115634
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-05-15

Question: Imam ke nahonepar imam ke jaghe par khade hokar namaaz padhasakte hai

Answer: Agar imam jamat ki sharait mujood hain to namaz parha sakte hain.
Imam e jamat ki sharait ye hain. 1) Balig ho. 2) aaqil ho. 3) shia isna ashri ho. 4) aadil ho. 5) halal zada ho. 6) namaz sahi parh sakta ho. Aadil honay ka matlab hai k insan wajibaat ko anjam deta ho aur haram kamon ko tark karta ho.
(Ref: Tauzeh ul masail, Ayatiullah Sistani(d.b) edition #44, Maslah #1434).
[Updated on 16-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120407
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-06-09

Question: Salam mera sawal ye hai k kabhi web series or English movies me hot scenes ajaty hai or ousko dhekty hue ous waqt aO tanasul b sakth ho lazat b mhesoos hoti hai ous k bad peshab wale hole me kuh gel jese qatre ate hai kya wo pak hai ya phr gusal wajib hai?? . . .

Answer: 1: Fehesh manaazir (sexy movie/ picture/ hot scene) lazzat ki nigah say daikhna haraam hai. or ehtiyaat e wajib ki bina par lazzat k baghair bhi daikhna haram hain.
2: Wo ratoobat jo kabhi kabhi shehwat(sex) ubharne pr mard k aalaa-e-tanasul se kharij hoti hai use Mazzi kehte hain or wo paak hai. aur is se ghusl wajib nahin hota.Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti,laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay.
3:Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #492,493.+Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #70, 345,2407).
[Updated on 10-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120778
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-04

Question: Kya masjid mai sirf imam he namaz parha sakta hay ya koi bhi namazi masjid mai jamat karwa sakta hay? Please answer

Answer: 1: Imam e raatib (wo pesh imam jo har roz namaz parhata hai) ki maujodgi me us se muzahimat (mudakhilat) karna (yani pesh imam kahe me parhaon or dosra shakhs kahe me parhaon) ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahin. Han us se ijazat le kar or rizayat maloom kar ke parha sakta hai.
2: Albatta us namazi me imam jamaat ki sharait ka mujood zaroori hai warna wo jamat nahin parha sakta.
Imam e jamat ki sharait: 1) Balig ho. 2) aaqil ho. 3) shia isna ashri ho. 4) aadil ho. 5) halal zada ho. 6) namaz sahi parh sakta ho (yani qirat sahi ho) . Aadil honay ka matlab hai k insan wajibaat ko anjam deta ho aur haram kamon ko tark karta ho.
(Ref: Urwtul wusqa, Ayatiullah Sistani(d.b), maslah #1979. + Tauzeh ul masail, edition #44, Maslah #1434).
[Updated on 05-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120779
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-04

Question: Kya masjid mai sirf imam he namaz parha sakta hay ya koi bhi namazi masjid mai jamat karwa sakta hay? Please answer

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai.
[Updated on 05-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120826
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-09

Question: سلام علیکم ،حج میں امام کعبہ کے پیچھے نماز جماعت پڑھ سکتے ہیں؟

Answer: Jee han, parh sakte hain. lekin Jo shia namazi sunni pesh namaz ke sath namaz ba-jamaat parhe tu us ke liye zarori hai k alhamd, surah or tamam azkaar ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main hi q na parhay.
(Ref: Jadeed masail, Fuqaha o Mujtahideen ki nazar main, part #4, pg #183).
[Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120911
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-09-30

Question: Mara nikah ho gia ha lakin shadi ni hvi..or ma jb b bwi ky sath hota hn discharge hota hn..is ma koi gunah wali bt hatu plz batayea.

Answer: Agar aap apne sath koi chher chhaar nahin karte or aise hi mani kharij ho jati hai to aap gunahgaar nahin hon gay.(albatta mani nikalne ki waja se namaz perhne ke lie gusal janabat karna zarori hay)
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #1435, Maslah #2296).
[Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121049
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-14

Question: Makka ke imam yani dusre firke ke imam ke pichhe namaz parha quran hadees aur aimaye kiram ki roshni me kaisa hai?

Answer: Un ke sath jamaat me namaz parhna jaiz hai yani parh sakte hain. lekin Jo shia namazi, sunni pesh namaz ke sath namaz ba-jamaat parhe tu us ke liye zarori hai ke alhamd, surah or tamam azkaar ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main hi q na parhay, albatta Ahle sunnat ke sath namaz juma parhna kaafi nahin hai.
(Ref: Jadeed masail, Fuqaha o Mujtahideen ki nazar main, aqa sistani,part #4, pg #183).
[Updated on 14-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121094
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-10-21

Question: Salam Plzzz plzzz Mera sawal Ka jawab dein.main ny khayalat main bhot Baar sex Kia with different people.mera liye koi rishta b ni a ra.meri age b ziada ho Rai hai.please mje btain k main Kia krun? Main bhot pareshan hn.plz mje btain k khayalat main sex Karna Kia zina hai? Aor iski saza Kia hai? Kisi b mujtahid k nazdik khayalat main sex krna zina hai? Koi b mujtahid Jo khayalat main sex ko zina qarar Dy.

Answer: 1: Agar is tarah ke khayalaat, inzaal (mani nikalne) ka sabab banen to ye kam Haram hai aur agar inzaal ka sabab na banen to bhi Ehtiyat e mustahib hai ke is tarah ke khayalat ko tark kar diya jaye. lekin kisi bhi mujtahid ke nazdik ye zina nahin kehlata.
2: Jo shakhs shadi na karnay ki wajha se haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay.
3: Misbah e kafami mai hai ke agar kisi larki ke liye rishta na aa raha ho tu surah e taha ki ayat #131 or 132 ko kaghaz par likh kar bator e taweez apne bazu par baandh lay, Inshallah jald us ki shadi hogi.

(Ref: Mujtahid se pooche gaye sawalaat, part #2, ques #199, pg #82. + Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2407. + Naeem ul Amaal, pg #325).
[Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122486
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-07-25

Question: Agr Jumma ki namaz mic pe hoti hoo toh mic wali jumma ki namaz padhna kaisa ??

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Fiqh e jafferia ke mutabiq, jamaat ki sharaait me se aik shart ittesaal hona hai. lihaaza agar jamaat me paish imam aur muqtadi ke darmiyan aur isi tarah safon ke darmiyan koi cheez haail (rukawat) nah ho to parh sakte hain.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1392).
[Updated on 26-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122995
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-02

Question: Assalam o Alaikum mera sawal ye hai ke agar hum imam ke peeche tashudd na par ske bcz imam Allah o Akbar kha kr khra ho jata to us soorat me kya kre kch imam aiste prhte to bnda tashudd prh leta kch jldi prhte to bnda nhi pr pata poora to kindly bta dein kya krein.

Answer: Laazim hai ke muqtadi (imam ke sath jamaat se namaz perhne wala) betha rahay aur tashahud ko wajib miqdaar mein mustahbaat ke baghair jaldi se parhay aur phir khara ho jaye, chunanche teen martaba tabbeehaat-e-arba parhnay ka waqt nah ho to srif aik martaba parhay aur ruku mein khud ko imam tak puhunchaye aur agar aik martaba bhi tabbeehaat-e-arba parhnay ka waqt nah ho to phir bhi laazim hai fauran aik dafaa tabbeehaat-e-arba ko parhay aur is soorat mein agar imam ke ruku tak nah puhanche to ye mazoor hoga aur us ki jamaat (ke saath namaz) sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1951).
[Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122997
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-01

Question: Salam.sir AP se ye sawal krna the ke auraton ka jamat ke Sath masjid mein namaz parhana kesa ha mard imam jamat ke peche agr ye jaiz ha tu ye behtr ha ke masjid mein bapatda imam ke Peche aurton ke Sath jamat mein namaz parhe ya ye behtr ha ke ghr mein namaz parhe . Dusra sawal ye ha ke Kiya jamat mein namaz ki tamam fazilatein auraton ke liye bhe wohi hein aur Kiya aurton ke liye bhe mustahib ha ke masjid mein jaa kr bajamt namaz parhein agr sahoolat mojood hu ya behtr ha ke wo ghr mein namaz parhane .sir agr aurton ka bhe jamat ke Sath namaz parhana mustahib ha tu phir AP bibi fatimah sa ke is hadees ko explain kr dein ke jis ka mafoom ye tha ke aurat namaz ke hatal mein agr wo ghr ke sehan mein parhe tu Khuda se khareeb hoti ha aur agr wo namaz baramde mein barhe tu Khuda se ziyada khareb hoti ha aur agr kamre ya hujre mein parhe tu Khuda se sab se ziyada kareeb hoti ha. Sir kuda ra in questions ke jawab dejiye .wasalam

Answer: 1: Jee aurton ka mard imam e jamaat ki iqtida mein (itteba karte hoe ) masjid mein namaz parhna Jaiz hai Albatta is soorat me ke agar Imam e jamaat mard aur muqtadi aurat ho to agar us aurat aur Imam e jamaat ke darmiyaan ya aurat aur dusre mard muqtadi ke darmiyaan jo aurat aur Imam e jamaat ke darmiyaan itsaal ka zariya ho, parda wagera latka ho to koi haraj nahin.
2: Auraton ke liye behtar hai ke namaz aisi jagah parhen jo na mehram se mehfooz hone ke lihaaz se doosri jaghon se behtar ho chahe wo jagah ghar ya masjid ya koi aur jagah ho.
3: Jee jamaat mein namaz ki tamam fazilatein auraton ke liye bhi wohi hain jo mardon ke liye hain.
4: Jee han, Aurton ke liye bhi mustahab hai ke masjid mein jaa kar bajamaat namaz parhein agar sahoolat maujood hai lekin agar na mehram ka masalah aa raha ho to is soorat me jese ke pehle zikr kiya gaya ke aurat ke hawale se jo jagh na mehram se mehfooz hone ke lihaaz se doosri jaghon se behtar ho auraton ke liye wahan namaz parhna behtar hoga, chahe wo jagah ghar ya masjid ya koi aur jagah ho.
5: Agar muqtadi sirf aik mard ho to mustahab hai keh woh Imam e jamaat ki daeen(right) taraf khara ho aur agar aik aurat ho tab bhi mustahab hai ke daeen taraf khari ho lekin zaroori hai ke Imam e jamaat se kam az kam itna peeche khari ho ke us ke sajde karne ki jagah Imam e jamaat se us ke sajde ki halat mein dozanon ke faasle par ho. Agar aik mard aur aik aurat ya aik mard aur chand aurtein hon to mustahab hai ke mard Imam e jamaat ki daeen taraf aur aurat ya aurtein Imam e jamaat ke peeche khari hon. Agar chand mard aur aik ya chand aurtein hon to mardon ka Imam e jamaat ke peeche aur aurton ka mardon ke peeche khara hona mustahab hai.
6: Janab e Fatima zahra(s.a) ki hadees waali fazeelat us soorat me hai ke jab aurtain ghar me namaz parrahi hon lekin agar mustahab pe amal kar ke masjid me wo Imam e jamaat ki iqtida me namaz parhein to ye ziyada sawab ka baais hai Q ke masjid me namaz parhne ki ziyada takeed ki gayei hai aur jamaat ke sath namaz parhna bhi mustahab hai, isi tarah muatabar riwayaat ke mutabiq bajamaat namaz furada namaz se pachees guna afzal hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #881,1380,1381,1414).
[Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123212
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-03

Question: Assalam o Alikum .kiya ehly sunnat waln k sth nimaz e jumma pari ja skti ha q k ma jahn duety karta hun wahn ehly sunnat waly hain pas koi ehly tashiyn ki koi masjid nh

Answer: Ahle sunnat ke sath jamaat me rozana ki namaz parhna jaiz hai yani parh sakte hain. lekin Jo shia namazi, sunni pesh namaz ke sath namaz ba-jamaat parhe to shia namazi ke liye zaroori hai ke al-hamd, surah or tamam azkaar ko khud parhay, chahe wo aahista awaaz main hi q na parhay, albatta Ahle sunnat ke sath namaz juma parhna kaafi nahin hai.

(Ref: Jadeed masail, fuqaha o Mujtahideen ki nazar main, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, pg #183).
[Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123524
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-09

Question: Kia mazoor shaks imamat krwa sakta hai.

Answer: Agar mazoor se muraad ye hai ke wo bilkul khara nahin ho sakta balke baith kar lait kar namaz parhata ho to us ki iqteda nahin kar sakte. lekin agar aisa mazoor hai ke khare ho kar namaz parhata hai to us ki iqteda kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1436).
[Updated on 10-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123784
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Asslam o Alikum Sir mujy puchna ya tha k ghusal wajib hony k bad kya kya nhi kr sakty kya kalma parh sakty hai ya koi sorah ayat ul qursi etc

Answer: Mijnib shaks pr 5 cheezein Haram hai
1. Apne badan ka koi hissa quran k alfaz, Allah k naam chahe kisi bhi zaban me ho, se mas krna behtr hai k Anbia Aimma or Janab e Zahra s.a k namo se bhi ane ap ko mas na kre
2. Masjid e Haram aor masjid e Nabavi mai jana khwa 1 darwaze se dakhil ho k dosre se nkl ae
3. Masjid e Haram aor masjid e Nabavi k ilawa baqi masajid me teherna agar 1 darwaz se dakhil ho k dosre se nkl jae to koi harj nhi hai. Ehtiyat e wajib ki bina pr Aimma k haram me teherne ka bhi yhi hukm hai
4. Masjid me koi cheez uthane k lie dakhil hona Ehtiyat e lazim ki bina pr yhi hukm masjid me koi chez rkhne ka bhi yhi hukm hai
5. Un ayat ki tilawat krna jin se sajda wajib hojata hai
Surah Sajda ayat 15, Surah Haa Mim Sjda ayat 37, Surah Najam ayat 62, Surah Alaq ayat 19
(Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 354)

[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125878
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-17

Question: Kia ehle sunnat imam k peachay namz perr sektay hein or Maghreb ki namaz khas tor perr sektay hein ya nhe q k time ka ferq ha na please rehnumai fermaein

Answer: Jee parh sakte hain lekin jo shia shakhs sunni pesh namaz ke sath namaz ba-jamaat parhe to shia shakhs ke liye zaroori hai ke Al-hamd or surah ko khud parhay chahay wo aahista awaaz main q na parhay, Isi tarah doosre azkaar bhi khud parhne hon gay.or sunni imam jamat ke peche namaz maqrib nahe perhe ghe kyu ke sunni namaz maqrib,waqt se phele perhte hay,or un ke sath namaz juma sahe nahe hay.

(Ref: Jadeed masail fuqaha o mujtahideen ki nazar main, part #4, pg #183).
[Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126112
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: assalamu alaikum agr imam teesri rakaat mai beth jaye to kia hukm hoga teesri rakat mai beth kr tashhud padhe or phr khada hojaye phr chohti rakaat mai phr tashhud mai beth jaye or sajda sahhu karle to namaz hojayegi kia ???

Answer: Agar ghalti se tashahhud parhne lage to namaz sahi hogi, Q ke agar Imam ghalati se aik aisi rakat mein qunoot parh day jis mein qunoot na ho ya aik aisi rakat mein jis mein tashahhud na ho ghalti se tashahhud parhne lage to muqtadi ko qunoot aur tashahhud nahin parhna chahiye lekin wo Imam se pehlay na ruku mein ja sakta hai aur na Imam ke khara hone se pehlay kharha ho sakta hai. balke zaroori hai keh Imam ke tashahhud aur qunoot parne tak intezar kare aur baqi maandeh namaaz us ke saath parhay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1460).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print