Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Rozay Ke Ahkam (308 Questions)


Showing 250- 300 questions from 308 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
122938
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-04

Question: Salam. Ma Joensuu, Finland ma rehta or aj kal mujay sehri or iftari ka time ka confusion haii. Ma divine pearl ak app haii us ko use krta hun jo ki namaz timings batata haii, jis ma kafi calculation methods haiin or her ak difference namaz timings hain. Phelhal ma institute of leva qoum ko follow krta hun. Mera sawal ya haii ki fajar ki namaz say kitni time phelay sehrii band ki jaye or iftari ka lia kia time chose krun? Dosira ya ki namaz time ka lia kon sa method follow krun jaisa ki university of karchi, muslim instutite, institute of geophysics tehran ya sab different times show krtay hain. Ma Agha Sistani ka muqlid hun or yhn namaz roza timing ka koi schedule dastiyab nahe.

Answer: 1. Bina bar Ehtiyat, Fajr k exact waqt se thora pehle Sehri mukammal krlije aur un kamo se parhaiz klein jin se Roza batil hojata hai jis staah umoman 10 min pehle parhaiz shuru kia jata hai albatta wajib to yh hai k roza Fajr se lekr Maghrib tk rakha jae..
2. Namaz timings k liue ap daikhein k waha rehne wale afrad knsa method use krte hai taa k apko itminan ajae..
umoman Divine Pearls k timings near to exact hote hai..
[Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122966
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: Assalamualaikum Agr sehri ka time end hojya or ap ki neend na khula Mtlb Roza chut jya magar Jan bhuj kr na chorain ho tu Kya krna Cahiye

Answer: Jo shakhs (mard, aurat) Ramazan ke Rozon aur isi tarah wajib Rozon mein jin ke din muyyin hain, Rozay ki niyaat kiye baghair Azaan-e-subh se pehle so jaaye agar wo zuhr se pehle bedaar ho jaaye (to agar roze ko baatil karne wala maslan khana, peena wagera nah kiya ho) aur Rozay ki niyyat kar lay to us ka roza sahi hai aur agar wo zuhr ke bad bedaar ho to zaroori hai ke ehtiyaat karte hue qurbat-e-mutlaqa ki niyyat se baaqi din khud ko roza baatil karne waali cheezon se bachaaye aur is din ke roze ki Qaza bhi baja laaye.

Note: khud roza rakhna wajib hai jabke roze main sehri karna wajib nahin balke mustahab hai aur bager sehri ke bhi roza ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1535).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
122967
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-28

Question: Kya roze me baby ko feeding kra sakte hai

Answer: Jee han, kara sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553).
[Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122976
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-28

Question: Rozay ki halat main nikkah karna jaiz hai

Answer: Jee, Rozay ki halat main faqat nikah karna jaiz hai lekin nikah ke baad rozay ki halat main shohar or biwi jima nahin kar sakte warna roza baatil ho jaye ga aur ramzaan ke rozay ko jima ke zariye baatil karne se rozay ki qaza ke awala kaffara bhi wajib hota hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1565,1630).
[Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122983
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-06

Question: Assalam alaikum Janab mera sawal hai ki agar shauhar kisi wajh se roza nhi h..or shauhar k upar gusl janabat wajib h .or shauhar gusl krne se phle chah rha ho ki uski wife jo roza h wo shauhar ko hand practice se mani kharij kar de to kya aisa kiya ja sakta h

Answer: Aap ka sawal waazih nahin hai ke aap ke liye konsi wajh paish aayei hai ke jis ki bina par koi sharaei hukum hona chahiye ya nahin Q ke kuch wujoohaat (reasons) aisi hoti hain jin ki bina par roza to baatil ho jata hai aur ramazan ke baad us ki qaza karna zaroori hoti hai aur mumkin hai kafffar bhi aa jaye lekin roza baatil hone ke ba-wujood bhi maah e ramazan me din ke waqt imsaak karna (yani roze ko baatil karne waali cheezon masalan khane, peene, jima karne, ya biwi ke zariye khud ko mujnib karne ya is ke alawa kisi aur mubtil se parhaiz karna) kabhi fatwe ki bina par aur kabhi ehtiyat ki bina par Waajib hota hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #160,161,162).
[Updated on 06-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122984
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-29

Question: Agar roza mn bar bar dakar ahy

Answer: Agar khud ba khud aa rahe hain to koi haraj nahin
Lekin agar dakaar li jaye aur koi cheez halaq ya monh main aajaye to zaroori hai ke use ugal diya jaye aur agar wo cheez bay ikhtiyaar pait main chali jaye to
roza sahi hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1623,1624).
[Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123001
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-02

Question: Asslamoalikum..!main japan main hoti hun or yahan imambargha hamary ger say 57 kilometres door hy kia main zohur ky bad safar kr k iftar imambargha ker sakti hun kia mera roza mukamal mana jaega…?

Answer: Jee han, Agar zuhr ke baad safar karen to imambarghah men iftaar kar sakti hain aur roza sahi ho jaye ga, Q ke agar safar ki ibtida zuhur ke baad ho to ehtiyaat ki bina par us din ke roze ko poora karna zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1685,1692).
[Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123012
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-05

Question: As salamu alaikum Mera sawal ye hai k Mujhe fissir ki Takleef hy jiski wajha se jism se khoon bheta hai....ye agar musalsil jari raha too jism me khoon ki kami hoti hai.....too is wajah se jism ki kamzori bhi hoti hai....too ky mera blood loss hote hue bhi roza rakhna sahi hai ya nhi.... meri sehat ko madde Nazar rakte hue?? taqleed E Marja: ayatullah sistani sahab.

Answer: Meayaar ye hai ke agar roza rakhna nuqsan ka sabab ho ya roza rakhne me shadeed haraj ho to roza chorha jaa sakta hai albatta sehtmand hone ke baad us ki qaza karni hogi aur aik saal tak qaza me taakhir ki soorat me qaza ke alawa har roze ke badle fidya bhi dena hoga.
Agar koi shaks bemari ki waja se ramzaan ke roze na rakhe or us ki bemari aaenda ramzaan tak lambi hojaay tu jo roze us ne na rakhe ho in ki qaza is per wajib nahe hay or zarori hay ke har din ke lie 750 gram gamdum ,ya ju ya roti sharhe faqeer ko de .
(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0564/, tuiziul masail,aqa sistani,pg no.254, masla no:1673).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123018
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-05

Question: کیا روزے کی حالت میں ہیر کلر کر سکتے ہیں

Answer: Jee han, Kar sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123036
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-12

Question: agr koi shakhs is ehtamal pr k uska roza batil ho chuka ha aur wo roza torny ka srf irada kry to kiya uska roza batil ho Jayega?

Answer: Roza torne ka irada karne ke baad agar dobara roze ki niyat nah ki ho to roza baatil ho jaye ga aur agar dobara roze ki niyat ki ho to ehtiyat-e-wajib ye hai ke is din ka roza poora kare or baad main is ki qaza kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1551).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123043
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-13

Question: Kya bemari ki halat mn roza mn tablet kha skty hn?

Answer: Agar dawai zaroori ho yani agar aap dawa nahin len ge to yeh aap ke liye buhat nuqsaandeh hai to dawai kha sakte hain lekin yaad rahe ke is se roza baatil jo jaye ga. phir is rozay ki sirf qaza karni hogi.
(Ref: Mujtahid Say Poochay Gaye Sawalat (Roza) sawal #23).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123067
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-16

Question: روزے کی حالت میں دانت صاف کرنا

Answer: Rozay ki halat me daant saaf kar sakte hain Q ke brush aur tooth paste ke zariye daant saaf karna rozay ko baatil nahin karta. jab tak daanton ki safaei ke douran luaab dahan ke sath mili huei kisi cheez (tooth paste waghera) ko roza daar nigal na lay. Albata luaab dahan ke sath ghul mil jane wali cheez se roza baatil nahin hota.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #103).
[Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123087
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-18

Question: Salam mera ek sawal hy k jb mere haiz ka akhri k dinon me jese 8/9 day ko khoon ana ruk jata hy to gusul lene k bad brown discharge hota hy to kya wo b haiz me shumaar hoga or uske lye dubara gusul lena zaruri hoga?

Answer: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak ghusl nahin kiya jaa sakta, Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon-e-haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai.
Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royi(cotton) rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa k baaz aurton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikaal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Ps agar wo Heyz ki mo’eyin ‘adat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi uski aadat ke din tamam nah houe hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar 10 din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen(10) din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya 10 din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #496).
[Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123088
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-18

Question: period ka khatam hona per nahanana ka baad little blood aa jay to roza rakh sakta hai ?

Answer: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak ghusl nahin kiya jaa sakta, Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon-e-haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai.
Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royi(cotton) rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa ke baaz aurton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikaal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah hua ho ya thora sa zard pani laga ho. Ps agar wo Haiz ki muyyin aadat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi uski aadat ke din tamam nah hue hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar 10 din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen(10) din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya 10 din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #496).
[Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123091
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-18

Question: Assalam o alaikum, agar ramzan me sehri karte karte aaan ho jaye aur kuch Time upar ho jaye aur sehri kare to kya Yeh Roza ho jayega ? 5 10 mint aaan se upar ho jaye to ?

Answer: 1: Rozay daar ke liye zaroori hai ke Azaan e subh(fajr) se maghrib tak roze ko baatil karne waali chezoon se perhaiz kare.
2: Jab roze daar khana(food) khaa raha ho agar use maloom ho jaaye ke subah(fajr) ho gaye hai to zaroori hai ke jo luqma mooh (mouth) main ho use ugal day. Aur agar jaan boojh kar wo luqma nigal lay to us ka roza baatil ho jaaye ga aur kaffara bhi daina hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554,1555,1630).
[Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123098
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-20

Question: جب غسل فرض ہو توکیا غسل کیے بغیر روزہ رکھا جاسکتا ہے ؟

Answer: 1: Ramzaan ke wajib roze ya us ki qaza karne men Ghusl janabat ,haiz ya ghusal nifaas kiye bager roza nahin rakh sakte balke jaan bhooj kar Azan e Subah tak halat e janabat par baqi rehne se roza batil ho jata hai.
2: Agar koi shakhs azan e subah tak ghusl na kare to zaroori hai ke us din mafi-u-zimmah ki niyat se roza rakhe (yani jo bhi Allah Taala ke nazdeek mere liye zimmedari hai us ko Allah Taala ke liye anjaam de raha hon), aur phir ramzaan ke baad isi roze ki qaza kare lekin is main qaza ki niyat na kare balke mafi-u-zimmah hi ki niyat kare, aur Azaan e Subah se pehle gusal e janabat na karne ki wajah se kaffara bhi ada kare.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1592,1630).
[Updated on 21-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123126
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-24

Question: Rozay me ihtelam hojaye to nimaz aur tailwat ker sakta hai aur gusal pir aftari kernay k baad karay????

Answer: Agar rozedaar roza rakh kar din me kisi waqt so jaye aur use ehtilaam ho jaye to us ka roza baatil nahin hota. Aur quran ki chaar wajib sajde waali ayaton ke alawa baaqi quran ki tilawat bhi kar sakta hai lekin namaz aur is jesi ibadaton aur quran ke alfaaz aur allah taala ke naam ko choone ke liye ghusl e janabat karna wajib hai yani ghusl kiye bager namaz sahi nahin hogi aur quran ke alfaaz ko bhi choo nahin sakte.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,356,1571).
[Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123131
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-26

Question: A.o.A. SIR, Agar Rozay ki niyat rkhta ho ore Rat ko Ehtlam ho jaye ore us WaQt nahaye bgaira Roza rkha ja skta ha kia k Subah uth k naha lay ga..

Answer: Jee nahin, balke maah e ramazan main azaan subah se pehle ghusl e janabat karna laazmi or zaroori hai Q ke maah e ramazan ya main azaan subah tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subah se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630).
[Updated on 26-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123147
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-26

Question: Can we clean ear in situation of ramadhan

Answer: Jee, Ramzan me kaan saaf kar sakte hain aur is roza baatil nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553).
[Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-27

Question: Agr rozy ky ly lat uthy to

Answer: Jo shakhs (mard, aurat) Ramadhan ke Rozon aur isi tarah wajib Rozon mein jin ke din muyyin hain, Rozay ki niyaat kiye baghair Azaan-e-subh se pehle so jaaye agar wo zuhr se pehle bedaar ho jaaye (to agar roze ko baatil karne wala maslan khana, peena wagera nah kiya ho) aur Rozay ki niyyat kar lay to us ka roza sahi hai aur agar wo zuhr ke bad bedaar ho to zaroori hai ke ehtiyaat karte hue qurbat-e-mutlaqa ki niyyat se baaqi din khud ko roza baatil karne waali cheezon se bachaaye aur is din ke roze ki Qaza bhi baja laaye.

Note: khud roza rakhna wajib hai jabke roze main sehri karna wajib nahin balke mustahab hai aur bager sehri ke bhi roza ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1535).
[Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123206
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-05

Question: Aoa. I was in the condition of Junub and had niyyah to perform Ghussal, but somehow gorgot to perform it and suddenly remembered that i didn't perform ghussal after 3 hours of azan e fajar. During this time, i performed my prayers as regular too. Is my roza batil or should i keep it?

Answer: Agar ramzan me ghusl karna bhool gaye the to faqat is roze ki qaza karna wajib hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1659).
[Updated on 06-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123221
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-05

Question: Salam Mai sure ni thi fajar time k Paak hu k nii to mainy sehri kr k nyat ki hai rozy ki lkn ghusal ni Kya to Kya subha 10 bjy ghusal kr k roza shuru kru or Kya is rozy ki phr qaza ho gee or ghusal haiz k lye haii

Answer: Jab tak paak hone ka yaqeen ya itminaan nah ho Roza nahin rakh sakien. aur agar yaqeen ho jaye ke paak ho gayei thein to Roza rakhne ke hawale se sharaei maslah ye hai Azaan e subh se pehle Ghusl kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare. Aur ramazan ke Rozay ki qaza mein agar jaan bhoojh ke ghusl ya tayyamum na kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo us din ka roza nahin rakh sakti.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608).
[Updated on 06-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123231
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-06

Question: Salam I by mistake aftar my roza 4 minutes before time after realizing I stopped and perform qulli but taste of dates was in my mouth Afterwards I waited for actual time What’s shariat says about JazakAllah

Answer: Rozay ki hakat main galati se khana ya peenay rozay ko baatil nahin hota balke roza sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1554).
[Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-07

Question: Rozy ki halt m plaking kerwa sakty han ya nhi

Answer: Agar is se muraad Eyebrows set karwana ya banwana hai to jee han, Rozay ki halat me Eyebrows banwa sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123258
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-14

Question: Assalam alaiykum..Mera sawal ye Hai k Maine glti se azaan ki awaz ko shayran ki awaz sun kr Pani pi liya kya Mera Roza mana Jaye GA..

Answer: 1: Sehri ke ikhtitam karne ke waqt me meyaar azaan nahin hai balke jaisay hi insaan ko itminan ho jaye ke fajar tulu ho chuki hai, to usi waqt insaan par roza band kar dena wajib hai aur agar azaan se yeh itminan haasil nah ho raha ho to phir is maslay ka azaan se koi talluq nahin hai.
2: Agar insaan ko yeh yaqeen haasil ho jaye ke us ne haqiqatan fajar tulu hone ke baad khana khaya hai ya paani piya hai to is ki zimma daari hai ke is rozay ki qaza kare. Aur ehtiyat e wajib ki bina par maghrib tak mubtilaat e roza se bhi parhaiz kare. Haan, agar us ko sehri karte waqt fajar tulu ho jane ka yaqeen nah ho to us ka roza sahi hai.

(Ref: Mujtahid se pooche gaye sawalat, part #roza, sawal #3,6,7).
[Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123295
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-17

Question: Agher roza rakh ker kl fajar ke baad buhaar ho jaye or 12 am se pehle roza toor dain to kia kerna chahiye........ Mere se aisa hua hai plz kuch bataye is bary mai

Answer: Agar bukhar itna shadeed ho gaya tha ke qaabil e bardasht na raha ho to roza torne ki soorat me ramzan ke bad sirf qaza karna zaroori hai aur kaffara wajib nahin hoga.
Lekin agar qaabil e bardasht tha aur phir bhi roza tor diya tha to is soorat me ramzan ke bad qaza aur kaffara dono wajib hon gay.

(Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0564/ ).
[Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123312
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-20

Question: Kia Istehadah Mai roza rkh skty hain?

Answer: Jee han, Istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dena zaroori hai
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #392,393,394).
[Updated on 21-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123319
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-21

Question: roza ma daliy routine ki dawai kha sakty han jo dr. na lazmi hidayat ki ha.fits ki

Answer: Khaane ya peene se roza baatil ho jata hai. Han injection aur drip lagwane se roza baatil nahin hota lehaza aap injection ya drip lagwa sakte hain, lekin dawai nahin khaa sakte.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #1554,1557).
[Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123339
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-26

Question: Aslam o Aalikum Mulana Sahib Mera swal ye h mra haiz khtm hogya mri neit thi roza rakhun gi or sahri mai naha lon gi lkin ankh ni kholi to kya roza hoga or din mai naha skti hn ab

Answer: 1: Agar koi aurat ramzaan me fajar ki azaan se pehlay haiz ya nifaas se paak ho jaaye to ghusl ke liye waqt na ho to us aurat ke fareeza ye hai ke use tayammum karna zaroori hai (jabke sehri karna zaroori nahin hai). jab tayammum kar lay gi to us ka roza sahi hoga. aur baad me ghusl kar lay.

2: Agar aurat ramzaan me fajar ki azaan se pehlay haiz ya nifaas se paak ho jaaye to fajar ki azaan se pehlay pehlay ghusl haiz ya nifaas kar lena zaroori hai (jabke sehri karna zaroori nahin hai) aur agar wo ghusl karne me kotaahi aur laparwahi kare aur fajar ki azaan tak ghusl na kare aur waqt tang hone ki soorat me tayammum bhi kare to zaroori hai is din ka roza poora kare aur qaza bhi kare.
lekin agar kotaahi na kare to chahe wo teen dafa soye aur fajar ki azaan tak ghusl na kare aur tayammum karne me bhi kotaahi na kare to us ka roza sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1610,1611,1614).
[Updated on 27-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123380
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-13

Question: Sir my iftar time to open roza has been delayed . Iftar time was 6:52 but I woke up around 7:19 . I reside alone and I was extremely tired and not realizing I was fasting . Are there any problems with it ?

Answer: Iftar ka waqt hote hi roza iftar karna wajib nahin hai balke agar jaan bhooj kar bhi der se roza iftar kare tab bhi koi haraj nahin. balke rozay daar ke liye mustahab hai ke rozay iftar karne se pehlay maghrib aur isha ki namaz parhay, lekin agar koi doosra shakhs us ka intzaar kar raha ho ya use itni bhook lagi ho ke huzoor-e-qalb ke sath namaz na parh sakta ho to behtar hai ke pehlay roza iftar kare, (bad me namaz parhay) lekin jahan tak mumkin ho namaz fazeelat ke waqt mein hi ada kare.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1720).
[Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123413
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: Slm agr Roza me nightfall hi gayee tu gusul ma hogayee kisi bo waja sy or wazo kry nmz kry kal per Roza raky bghr Gusul ke kya os tarha ho Sakta hy Plz Ansme

Answer: Agar rozay ke dauran yani ke din me maslan kisi waqt sote hue ihtilaam ho jaye to is se roza baatil nahin hota. lekin bager ghusl kiye sirf wuzu kar ke namaz parhne se namaz sahi nahin hoti, balke namaz ke liye ghusl karna zaroori hai. Aur kal ka roza rakhne ke liye bhi fajar se pehlay ghusl karna zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,1553,1571).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123428
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-27

Question: Assalam alaikum, Mera sawal yeh hai ke kya fajr ki azan ke dauraan sehri jaari rakh sakte hain? Mtlb ke azan khatam hone tak? Jaise azaan horhi toh kya main khana khaa sakta hon azan band hone tak?

Answer: Ye yaqeen hasil karnay ke liye insan is tamaam waqt me wo rozay se reha hai zaroori hai ke kuch dair azan e subah se pehlay aur kuch dair maghrib ke baad bhi aisa kaam karnay se parhaiz karay jis se roza baatil ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1531).
[Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123429
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-21

Question: Asalam o alaikum. Mera sawal hai k agr koi rozy k bary main confirm soch le k roza rakhna hai lakin niyat nahi ki/parhi. Sath he shohar k sath mubashirat b kr le or fajar ki azan b guzar jaye is main kya hukam hai?

Answer: 1: Niyyat, zabaan ya dil se adaa karna zaroori nahin balke faqat iraada ho to ye kaafi hai.
2: Maah e ramazan main azaan subah se pehle ghusl e janabat karna laazmi or zaroori hai Q ke maah e ramazan ya main azaan subah tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subah se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1531,1591,1625,1630).
[Updated on 22-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123432
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-22

Question: Assalam o alaikum shdeed piyaas me roza tor sakty hyn jo k bardashst nh ho rahi jy neend b nh arahi hy piyas ki shiddat se aik din pehle pani b thk se nh piya howa tha

Answer: Agar rozedar ko itni peyas lage ke use peyas se marjane ka khauf ho ya use nuqsan ka andesha ho ya itni sakhti uthani pare jo is ke liye na-qabil-e-bardasht ho to itna pani pi sakta hai ke in umoor ka khauf katam ho jaye balke agar mout aur is jaisi cheez ka khauf ho to pani peena wajib hai. lekin us ka roza baatil ho jaye ga aur agar ramzan ho to ehtiyat-e-lazim ki bina par zaroori hai ke is se ziyada pani na piye aur din ke baqi hissay me wo kaam karnay se parhaiz kare jis se roza batil ho jata hai. (Lekin ramzan ke bad agle ramzan se pehlay is roze ki qaza baja laani hogi warna is din ke roze ke liye aik mud {750 giram} taam(khana ) bhi faqeer ko day).
Albatta Insan kamzori aur naqahat ki waja se roza nahin chor sakta lekin agar kamzori is had tak ho ke umooman bardasht na ho sake to phir roza chorne me koi haraj nahin.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1562,1564,1676).
[Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123499
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: Rozay ki halat ma mehndi laga skty han

Answer: Jee han, Rozay ki halat me mehndi laga sakte hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123601
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-29

Question: Agr galti se mozzin magrib ki azan 5 mint phle de de or koi bnda roza khol le to kya hukm h

Answer: Agr ek rozedaar ne yh Yaqeen rkhte hue k Maghrib ka waqt dakhil hgya hai apne roze ko iftar krle to uss ka roze batil nhi hta lekin jese hi pata chal gya k Maghrib ka waqt dakhil nhi hua khane or peene ko rokna wajib hai aur jo giza Mu mai hai use nkalna wajib hai agr jan boojh khaaliya to Roza batil hai aur kaffara wajib hai
(Reff : Tauzih ul Masail ,39th Edition, page number 239)
[Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123629
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-22

Question: Kia shia bv sunni shoher k sath roza iftar kr sakti hy?

Answer: Ahle Sunnat ki rozay ki timing ke mutabiq sunni shohar ke sath shia biwi roza iftaar nahin kar sakti, aur agar us ke sath roza iftaar kar lay to shia biwi ka roza baatil ho jaye ga.
(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, chapter roza, sawal #9,10,11, pg #20,21).
[Updated on 23-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-24

Question: Assalam Alaikum rozay ki halat mein personal parts ke hair remove kar saktay hain !

Answer: Jee han, rozay ki halat mein hair remove kar saktay hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
125825
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-26

Question: AoA rat m niyt thi k roze knliye sehri krungi lkin nhi Uth saki or Subah k 10 Mene rozy ki niyt krli Kiya Mera roza hoga??

Answer: Agar roze ko baatil karne wala kaam maslan khana, peena wagera nah kiya ho aur Rozay ki niyyat kar li ho to us ka roza sahi hai.

Note: Roza rakhne ke liye sehri karna wajib nahin balke mustahab hai aur bager sehri ke bhi roza sahi ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1534,1535).
[Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126017
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-10

Question: Aoa If we get our period 5 minutr prior to aftar in roza is it considered complte

Answer: Jo aurat pehle haiz aur nifaas se paak ho lekin Roza rakhne ke baad haiz ya nifaas ka khoon aa jaye to agarche maghrib se aik lamhe (second) pehle hi aaye, roza baatil ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #22. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1612).
[Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126024
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-12

Question: Kya naa mehram ka hath pakrny sy roza tut jata hai?? Please my question

Answer: Na-mehram ka haath pakarne se roza baatil nahin hota lekin ye kaam khud Haraam hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,minhajussuleheen ,aqa sistani,jild #3,pg:20,masla no:16).
[Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126038
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-14

Question: Salam Mery pichly saal 2023 ma ramzan k 8 rozay hez ki wajah se reh gae the phr meri pregency hogai shawal ma tou ma rozy nhi rakhpai .. Kia mjhy mudd bata skty hain k kitna mudd niklna hoga?

Answer: Haiz (periods) ki wajh se na rakhay gaye rozon ko ramzan ke baad aur agle ramzan se pehlay ehtiyat-e-mustahab (yani behtar) hai ke un ki qaza baja layei jaye warna fidiya-e-takheer zimme aa jata hai.

Ab un 8 rozay ki qaza bhi karna zaroori hai aur fidiya-e-takheer bhi dena zaroori hai. Fidiya-e-takheer yani har din ke rozay liye aik mud (yani 750 giram) taam faqeer ko day.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1612,1676,1677, minhajussuleheen,aqa sistani,jild no: 1,topic roze ke ahkaam ).
[Updated on 14-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126039
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-12

Question: Meri sawa maheeny ki beti ha kia ma roza rkh skti hun is ramzan ma? Mai usko apna feed deti hun bus.

Answer: 1: Bachay ko doodh pilane waali aurat ka roza.
Woh aurat jo bachay ko doodh pilate hai aur is ka doodh kam ho agar roza is ke ya is ke bachay ke liye zarrar (nuqsaan ) rakhta ho to is par roza wajib nahin hai, aur har din ke liye( 750 gram ,ghehon, aata, ya chawal) fidiye ke taur faqeer ko day aur baad mein is rozay ki qaza baja laaye, lekin ehtiyat e wajib ki bina par yeh hukum is soorat mein hai ke bacha ko doodh pilana sirf isi tareeqay par munhasir ho, lekin agar koi dosra tareeqa mumkin ho. maslan dabbay ke doodh se istifada karen, to ehtiyat e wajib ki bina par roza rakhna lazim hai. lekin agar maloom ho ke toolani muddat tak bachay ko dabbay ka doodh pilana is ke liye zarar ka baais hai maslan woh bacha jis ke doodh peenay ke ibtidayei ayyaam hon aur dabbay ka doodh pilana baais bane ke bacha mah Ramazan ke baad maan ka doodh nahin piye ga aur yeh is ke liye zarar rakhta ho to is soorat mein bhi guzashta soorat ki tarah roza wajib nahin hai balkay har din ke liye (750 gram ,gheehon, aatta, ya chawal) fidiye ke taur faqeer ko day aur baad mein is rozay ki qaza baja laaye.

2: Fidya aise shakhs ko diya jaye jis men darj zel sharaait maujood hon:
1: Faqeer ho. aur faqeer woh hai ke jis ke paas khud apne aur apne ehal-o-eyal ke salana akhraajaat apni shaan ke mutabiq nah hon aur us ka bandobast karne mein kamzor aur natawaan ho aur Miskeen woh shakhs hai jo apni zindagi faqeer se ziyada sakht guzarta ho aur us ki zindagi guzaarne ke andaaz ki haalat na munasib tar ho jaise ye ke woh apne rozana ki zaroorat ke silsilay ka nafqa bhi nah rakhta ho.
2: Ehtiyat e wajib ki bina par baara imami shia ho yani 12 imamo ko maane wala ho.
3: Fidya kisi aisay shakhs ko nahin diya jaa sakta jis ka nafaqa khud Fidya dainay walay par wajib ho (maslan walidain, aulaad), lekin dosray mustahiq rishta daaron ko dena jaaiz hai. balkay afzal hai.
4: Fidya ki raqam ko haraam kaam mein kharch nah karta ho aur ehtiyat e wajib ki bina par us ko Fidya dena ghunah mein madad aur bure kaamon me shauq dilana shumaar nah ho.
5: Ehtiyat e wajib ki bina par sharaabi aur be-namazi aur khulam khula ghunah karne wala nah ho.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1700. + Tauzeeh ul masail jaame(farsi), part #2, maslah #807,1147,1148,1150,1151).
[Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126044
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-12

Question: Rozy ki halat m mu k andar jo pani ata h agr wo halaq m chala jaye to kia roza toot jata h

Answer: Monh (mouth) ka pani (thook) niglnay se roza baatil nahin hota, chahe kisi bhi wajah se monh me aa jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1560).
[Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126062
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-15

Question: Kya Naa mehram aurat ka Haath pakarne se roza batil hojata hai?

Answer: Na-mehram ka haath pakarne se roza baatil nahin hota lekin ye kaam khud Haraam hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553. + Minhaj-us-Saleheen, part #3, pg #20, maslah #16).
[Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126065
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-25

Question: AGAR HUM RAMJAN K PEHLE DIN ROZA NA RAKH SAKE TOH KYA HUM DUSRE DIN SE ROZA RAKH SAKTE HAI

Answer: Jee rakhne hon gay Q ke ramzan ke rozay rakhna wajib hain aur jan bhooj kar nahin chhor sakte, warna kaffara wajib ho jaye ga. aur jo pehla roza nahin rakh sake thay to agar wo jan bhooj kar nahin rakha tha to ghunahgar hon aur ramzan ke baad is ki qaza bhi karni wajib hogi aur kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1625,1630).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126070
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Assalamulikum sir sir Mera sawal ya ha ka agr Sehri ka waqt khatm hogeya hu to phir hamary hath ma koi chez hu. To ham Kya usay finish kar sakty ha jab ka Azan bhe ho rahai hu.

Answer: 1: Jis waqt namaz fajar ho rahi ho us se ihtiatan 10 minutes pehly roze ko batil karne wali cheezon se parhez kiya jaye. Q ke ramzan ke roze ki niyat ka aakhri waqt aik aise shakhs k liay jis ki tawju ho, azan se pehle hay.

2: Jab roze daar khana(food) khaa raha ho agar use maloom ho jaaye ke subah(fajr) ho gaye hai to zaroori hai ke jo luqma mooh (mouth) main ho use ugal day. Aur agar jaan boojh kar wo luqma nigal lay to us ka roza baatil ho jaaye ga aur kaffara bhi daina hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1533,1554,1555,1630).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126072
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: Haiz ka hona ka dar ho Matlb haiz hoi nhi lakin dard ho phala hi or khadsha ho ka roza ka doran ho jae gai tu kia karna Chiya

Answer: Aap ke liye pehay se ihtemam karna wajib nahin hai ke haiz ke aap haiz ki rok tham ke liye koi bandobast karen. Agar din me roza ke dauraan haiz aa jaye roza baatil ho jaye ga aur ramzan ke baad is ki qaza baja lani hogi.
Han, aap ye kar sakti hain ke haiz na aane ke liye aisi dawaein istemaal karen jis ki wajah se is ki haiz nah aaye, Q ke agar aurat haiz nah anay aur roza rakhnay ke liye aisi dawaon ka istemaal kare jis ki wajah se is ki aadat nah aaye to us ka roza sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #22,23).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126084
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-20

Question: بوجہ مجبوری اگر رات میں ہمبستری نہیں کرسکتے تو کیادن کو روزہ نہ رکھیں اور ہمبستری کر لیں بعد میں کفارہ ادا کردیں

Answer: 1: Jaan boojh kar roza na rakhna Haram aur ghunah e kabira hai aur is ke sath sath kaffara bhi wajib ho jata hai.

2: Agar koi shakhs Ramazan ka roza nah rakhe jabke jabr aur lachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to qaza ke alawa kafffara bhi waajib hoga.

3: Kaffara ye hai ke wo shakhs in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 maheenay musalsal rozay rakhay ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day.

Note: Do maheenay is tarah Rozay rakhay ke aik poora maheena aur is se agle maheene ke aik din tak musalsal roze rakhay aur isi tarah baaqi maheene ke rozay bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhay lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan wajah shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe aur uzr ke door hone ke baad dobara shuru karay.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443 hij, maslah #30. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1630,1632).
[Updated on 21-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Roza ma vicks ya bam Laga sakHta ha

Answer: Jee, ye rozay ki halat mein laga saktay hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print