Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Khums Ke Ahkam (156 Questions)


Showing 150- 156 questions from 156 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123208
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-04

Question: Ye sawal khums say related hai Meray bank account mai mujooda raqam meray walid ki taraf say gift ki gai thi aur us amount par kabhi bhi khums na nikla tha. Even kay ab wo raqam meri malkiyat hai tu mai nay bhi kabhi khums nahi nikala. Aur ab usi account mai salary bhi arahi hai. Liken salary say sab roz marra kay ikhrajaat pooray hotay hain aur maheenay kay end mai salary mai say thodi hi raqam bachti hai aur wo raqam jo gift ki gai thi wo ziada istemal nahi hoti. Mera sawal hai kay kia khums salary par bhi niklay ga ya sirf gift ki hoi raqam par hi niklay ga?

Answer: Saal ke aakhir me (yani khums ki tareekh pe) salary aur gift me se jitne bach gaye hain un pe khums wajib hoga. Isi tarah is ke alawa agar koi cheezein bach gayei hon to un pe bhi khums aaye ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1722,1723).
[Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-02-04

Question: Salam kia hajj pa janay se pehlay ap ko khums ada karna zarori h

Answer: 1: Agar kisi shakhs par khums ya zakat wajib ho aur is ke paas itni miqdaar mein maal hai ke agar khums ya zakat ada kar day to hajj ke akhrajaat ke liye kaafi nah rahay ga to is par khums ya zakat ada karna wajib hoga. aur hajj wajib nahin hoga. is se farq nahin parta ke khums aur zakat isi maal par wajib ho ya is se pehlay par wajib tha aur maal ab mila ho.

2: Agar kisi par hajj wajib ho aur is khums aur zakat ya aur koi wajib haq ho to zaroori hai ke usay ada kare choonkay safar-e-hajj ki wajah se unki adaigi mein takheer nahin kar sakta. Agar tawaf ya namaz-e-tawaf mein sharamgah chhupanay wala kapra ya qurbani ki qeemat par khums wajib ho to is ka hukum wohi hai jo gasbi maal ka hukum hai aur woh yeh hai ke agar tawaf ya namaz-e-tawaf mein sharamgah chhupanay wala kapra gasbi to ahwat yeh ke is par iktefa nah kare, Agar qurbani ki raqam gasbi ho to hajj nahin hoga. lekin agar qurbani udhaar khareeday aur phir uski raqam gasbi maal se ada kare to is soorat mein hajj sahi hoga.
(Ref: Manasik e Hajj, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #30,35,36).
[Updated on 05-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123843
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Agar raqam account Mai hai or kharch na hui ho tou uska Kiya hukum hai or abhi sirf 3 months hi huay Hain account Mai add huay

Answer: ( agar aap un louqo me hay ke jin ke khums ki ko date moaiyan hay to) Khums ki date pr uss raqam ka bhi khums nikalna zarori hai..
(Ref: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Mafhom e Masla No. 1721)
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126189
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-23

Question: If father have no source of income and have some bank loan also can he can take the khums from his own son,

Answer: khums ke do (2) hissy hote hain:
1. Sehm-e-imam, jo ke zaroori hai ke Jame-us-sharaait mujtahid ya us ke wakeel ko diya jaaye, Yaa Jame-us-sharaait mujtahid ya us ke wakeel ki ijaazat se aise kamon me kharch kiya jaye jis ki wo mujtahid ijazat day Aur ehtiyat e laazim ye hai ke wo marja, aalam ho aur umoomi maslihaton se aaghah ho.
2. Sehm-e-sadaat, jo ke zaroori hai ke kisi faqeer syed ya yateem syed ya aise syed ko diya jaye jo safar mein laa chaar ho gaya ho.

(Note: Aap ke walid agar aap ke wajib-un-nafaqa afrad me se hain [yani aap us ke khane, peene, rehne, aur zindgi ke deegar zarooriyat ka bandubast karte hain] to ehtiyat-e-wajib ki bina par aap use sehme sadaat nahin de sakte).

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804 + Tauzeeh ul masail Jaame (farsi), part #2, maslah #837).
[Updated on 24-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-02

Question: Aoa, i have some amount for khums(sehm-imam), I wanted to ask can I contribute that about for the development of a imam bargah ? Thanks, Zeeshan

Answer: Aytullah sistani sahab ke mutabiq khums ka sehme imam wala hissa aise kaamo per kharaj kia jaae jis ki mujtahid jaame sharaait ijazat de or ehtiyat lazim ye hay ke wo mujtahid aalam ho or umomi ( aam) maslehato ko jaanta ho . Agar uppar bayaan kie hoe mujtahid se ijazat na li jaae tu aisi kamon me sehm e imam kharch nahin kar sakte.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804. + link; https://www.sistani.org/persian/qa/01084/ ).
[Updated on 03-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126426
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-06

Question: Aoa, i have some amount for khums(sehm-imam), I wanted to ask can I contribute that amount for the development of a imam bargah ? The people who are building the bargah are poor and they requested for some contribution. Thanks, Zeeshan

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) ke mutabiq, khums ka sehme imam wala hissa aise kaamo par kharch kiya jaaye jis ki mujtahid jaame sharaait ijazat de or ehtiyat lazim ye hay ke wo mujtahid aalam ho or umomi (aam) maslehaton ko jaanta ho. Agar uppar bayaan kiye hue mujtahid se ijazat na li jaaye to aise kamon me sehm e imam kharch nahin kar sakte.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1804. + link; https://www.sistani.org/persian/qa/01084/ ).
[Updated on 07-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print