Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Shohar Biwi K Ahkam 1 (1359 Questions)


Showing 1350- 1359 questions from 1359 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
126236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-20

Question: Mera sawal hai ke pure 1 saal ke kin kin dino or raaton me biwi se mubashrat kerna afzal hai and jyada sawab hai? Pura batayen.

Answer: 1: Hambistari ki dua: Mustahab hai ke hambistari se pehlay apna haath biwi ki peshani ke baal (hair of forehead) par rakhay or ye dua perhay: (“Alla humma alaa kitaabeka tazwwajtoha, wa fee amanateka akhaztoha, wa be kalemateka astahlalto farajaha, fa in qazayta lee fee rahmeha shyan fajalhoo musliman saweeyyan wa laa tajalahoo shirkashshaitan”).
2: Biwi ke saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai ke bismillah parhi jaaye, or baa wuzu hon khaas taur par jab biwi haamla ho, or Allah taala se dua kare ke Allah use naik, baa barkat or pakiza aulad ataa kare. or jima ke waqt jo kaam makroh hain un main se kuch ye hain: 1. soraj or chaand gerhan ka hona, 2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat ke din ke, 3. guroob e aaftaab ke waqt ka hona, 4. chand ki aakhri 3 raaton main jima karna, 5. fajar ke baad soraj nikalnay say pehlay, 6. islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat (chaand raat) main, 7. islami mahinay ki darmiyaani or aakri taarikh main jima karna, 8. qiblay ki taraf rukh ya pusht karna, 9 .barehna (naked) halat main jima karna, 10. ehtilaam ke baad baghair wuzu ke jima karna, 11. jima ke waqt biwi ki sharamghah dekhna, 12. jima ke doraan baat karna siwaay Allah ke zikr ke. ye tamam kaam makrooh hain jin se parhez karna behtar hai.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #5).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126241
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Mera sawal hai ke shoher ke liye mustahab hai ke wazu kare and Bismillah padhe mubashrat ke liye, Kya biwi ko wazu karna and Bismillah padhna zaruri hai ya nahi?

Answer: Biwi ke liye bhi hukum hai ke mubashrat ke waqt mustahab hai ke wazu kare and Bismillah parhe.

(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #5).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
126244
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-19

Question: Mera sawal hai ke Agar shoher biwi ke sare kapde utar kar (Full Naked) karke apni god me baitha ker foreplay jinsi hissen jaise Pistan, pet(stomach), raan, sharamgah and buttocks me haath ferte and khelte time Allah ke zikr ker sakta hai? Kya Deen, Quran wo hadees ki baat Biwi ko bata sakta hai?

Answer: Jima ke waqt aam baaten karna makrooh hai lekin Allah ka zikr kar sakte hain.
(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #3, Maslah #5).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126328
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-18

Question: Kiya shohar ka bivi ko bta k jana k kahan or kidhr ja rahy hn or kb tak ayn gay jaiz nhi??? Kindly don't mention my id or anything... Me un k liya preshan hoti rehti hon wo kehty hn kaheen quran o hadees me nhi or me mard hon btana zarori nhi smjhta kahan ja raha hon kb tak aon ga... Kindly rehnmae krain quran o hadees ki roshni me or wo sara din busy hoty hn 2 ghari mery sath bethny ka time hota raton ko b 12 1bjy tak aty hn me wait krti rehti hon preshan hoti rehti hon

Answer: Ghar se baahir jate waqt shohar pe wajib nahin ke wo apni biwi se ijazat le ke jaye ya use bata ke jaye.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2376).
[Updated on 19-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126331
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-16

Question: bivi ki indaame nahani me nafs ke ilava nafs jaisi koi doosri cheez dalna jayaz hai ya haram

Answer: Khud shohar aur biwi apne badan ke kisi bhi hisse ko dusre ke badan ke kisi bhi hisse se chhoo (touch) sakte hain, (maslan shohar ka biwi ki sharamghah main apni ungli daal kar mani nikalana, isi tarah biwi ka apne haath se shohar ke uzw tanasul (penis) lay kar hand practice/masturbation) kar ke mani nikalna, jaiz hai). lekin jism ke hisse ke alawa koi aur cheez (maslan sex toys, vibrator wagera) sharamghah main ehtiyaat ki bina par kisi bhi surat men dakhil nahin kar sakte.

(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #406, pg #236).
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126332
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-16

Question: Bivi ki indaame nahani me azutansul ke ilava koi doosri cheez dalne se kya bivi par gusl jinabat vajib ho jayega

Answer: 1: Khud shohar aur biwi apne badan ke kisi hisse ke alawa koi aur cheez (maslan sex toys, vibrator wagera) sharamghah main ehtiyaat ki bina par kisi bhi surat men dakhil nahin kar sakte.

2: Uzway-e-tansul ke alawa koi doosri cheez dakhil karne se ghusl wajib nahin hota, Han agar daakhil karne se biwi ki sharamghah se mani kharij ho jaye to ghusl wajib ho jaye ga.

(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #406, pg #236. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #344).
[Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126352
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-20

Question: Assalam-O-Alaikum. Mera sawal hai k agr Biwi Apny maa baap k ghr Gai ho rehny k Liye to Kya wo Apny Shohar ki ijazat k Bina Ghar se Bahar ja skti hai??

Answer: Jis aurat ka daaimi nikaah ho jaaye us ke liye apne shohar se ijaazat liye baghair ghar se baaher nikalna Haraam hai chahe us ka nikalna shohar ke haq ke manafi nab hi ho, magar yeh keh koi aham zaroorat pesh aaye ya ghar mein rehna us ke liye nuqsaan ka sabab ho ya ghar us ke munaasib nah ho. Aur shohar bhi apni biwi ko ghar se bahar jane se rokne ka haq rakhta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2376).
[Updated on 20-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126391
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-28

Question: Agar koi ladki 10 saal sy alag reh Rahi hai toh kya woh talaaq suda hai.sohar sy koi connection 10saal sy nahi hai.

Answer: Nikah baaqi rehta hai aur nikah e daaimi ho jane ke baad Jab tak talaq waaqe na ho nikah khud ba khud khatam nahin hota chahe miyan biwi waale taluqaat qaaim na bhi kiye hon.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2462,2472).
[Updated on 29-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126394
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-29

Question: Biwi ko lund dalni ka sahi rasta matlab biwi ko age se kare ya pechy wali side se

Answer: Shohar or Biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram (yani halal) hain.
Dusri baat ye ke jima (intercourse) agli sharamghah me karna hota hai. lekin ghair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par biwi ka raazi hona lazim hai. Ab jab biwi razi nah ho to ethiyaat e wajib ki bina par biwi ke peechay ke maqam (maqam e pakhana) main hambistari(sex) karna Haram hai aur agar biwi raazi ho to jaiz hai lekin shadeed makrooh hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #259,261).
[Updated on 30-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print