Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Muta (275 Questions)


Showing 50- 100 questions from 275 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
8296
Mujtahid:
ahle-sunnat Date:

Question: islam mein nikah -al-moota ki ijaazat hey ?? aur zina uar moota mein kia farq hey ??

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Nikah ki 2 aqsaam hain 1. daimi(permanent marriage), 2. ghair daimi / muta(permanent marriage).or agar kisi aurat k saath mutaa karna agarchah lazzat haasil karnay k lie na ho tab bhi sahi he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328 ki heading & 2385).
Note: Jo faraq naikah or zina main hay wohi faraq muta or zina main hay.Q k muta bhi nikah hi ki aik qism hay or is main bhi nikah k sighay perhay jatay hain is main bhi iddat hoti hay. Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9054
Mujtahid:
Date:

Question: Mera sawal yeh hai k agar koi larki sirf paisay k liye mutah karti ho aur usay rozgar k tareqa banalay agarchay wo muta ki sharait poray karay tou kya yeh us k liye jaiz hai?

Answer: Jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
9782
Mujtahid:
sistani Date:

Question: kya muttah kunwari larki se kia jaa sakta hai ? aur muttah ki mukammal sharait kia hain?

Answer: 1) Jee haan kanwari lerki se bhi muta kia jasakta hay.laikin ye wazeeh rahay k kawari(virgin) lerhki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerhki ka Baap ya Dada lerhki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larhki khud mukhtaar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
2) Nikah ki do qismain hain 1:Daimi nikah 2:Gair daimi nikah(Mutaa) aur donoo ki shriat aik jaisi hain.
Aqd e nikah ki shara,it me hain k :-
1- Ehtiyaat wajib he k sahih arabi me parha jae.
2- ye k mard ya orat ya uska wakeel sigha parhte waqt qasd e insha rakhte hon.
3- sigha parhne wala aaqil ho aur agar apne lie parhe to baligh hona bhi zaruri he.
4-mard aurat mu’aiyan hoon
5)-mard aur aurat shadi per razi hoon.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2335) Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
9835
Mujtahid:
agha ali hussain sistani Date:

Question: Salam mera sawal yeh hy k chiristian konwari larki se muta karny k liay bhi bap ki ijazat zarori hy halankeh yeh on k nazdik ajeeb bat hogi mainy pehly bhi sawal kia tha likin rply nhn aia

Answer: Wssalam o alykum, Jee haan ghair mustaqil kanwari larki k liye baap ya dada ki ijazat zarori hai, haan agar us k baap ya dada kisi bhi musalmaan larke se shadi o mutah nahi karna chahte to phir ijazat zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 394 , 395, Pg # , Eidition# 5). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
10090
Mujtahid:
aaqa sistani Date:

Question: salam, muta kb jaiz hy. aur is k kya ahkam hy.kya do baligh larka larki Allah ko hazir o nazir jaan kr dil se aik dosre ko mia biwi manty hy to kya wo halat e muta me hy?plz reply.

Answer: Ws-salam o alykum, Muta nikah ki aik qism hai, or in dono ki sharaet bhi aik hi hain magar ye k Muta k sahi hone main muddat (time) or meher ka muayyan karna shart hay or Allah ko hazir o nazir manne se muta nahi hota balke nikah ki tarah is ki sharaet main se aik ye hai k ghair mustaqil kanwari larki k liay baap ya dada ki ijazat ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # after 2327 , 2334 , 2340 , 2341). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
11616
Mujtahid:
sistani Date:

Question: kia larka larki muttah khud parh saktey hain???

Answer: Jee khud perh sakte hain.or agar wo lerki Kunwari ho or khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335).Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13835
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Is it possible to have more than one mutah at a single time? same like a man can have four nikah at the same time?

Answer: Yes it is permissible to have many temporary wives at a time although you have four permenet wives too. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #202 , Eidition 1427 hij). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13836
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: If I do mutah wid some one, and when the duration is finish can i do mutah next day again with the same girl? is it possible to extend the decided time of mutah if both girl n boy agrees?? thanx

Answer: If a man contracted a temporary marriage with a woman, and the period of her Iddah has not ended yet, he is allowed to contract a permanent marriage with her or renew a contract for temporary marriage with her,but is not permissible to extend time of muta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2396). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
13961
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Sir muttah ka tariqa kia hai plz tell.

Answer: 1. Ehtiyaat wajib ye he k Nikah sahi Arabi men parha jaey,or agr khud mard or aurat sighah arbi main nah perh saktay hoon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh sakte hain or kisi ko wakeel banana lazimi nahi hay.
2. Sighah parhne wala aqal-mand ho or agar apne liay perh raha ho to baligh bhi hona zurari hai.
3. Mard or aurat or uska wakeel sighah parhte waqt qasd-e-insha rakhte hoon (matlab ye niyat ho k abhi nikah ko Ejaad ker rahe hen)
4. Nikah Muta parhne se pehle Muta ki muddat or Meher taey kerliya jaye.
5. Pehle Orat kahe (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahe (قبلت) (qabilt) tu nikah hojayga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-5). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14012
Mujtahid:
Aqae Shestani Date:

Question: Is Muta Marriage with Shemale for pleasure is allowed ?

Answer: 1)Aqad e izdiwaaj k zarie aurat mard par aur mard aurat par halal ho jatay hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #357).
2)Ab ye dekhna paray ga k khunsa -yani wo k jis k pas mard aur aurat donoo ki sharam gah(peshab ka makhraj) hon- mard hay ya aurat. Agar kisi terha say pta chal jay to osi k ahkam jari hoon gay aur agar pta na chal sakay to os ko pechannay ka ye tareeqqa hay: Dekhain gay k wo peshab kaha say karta hay agar mard ki sharamgah say kartay hay to mard ho ga aur agar aurat ki sharam gah say karta hay to aurat ho ga. Agar wo donoo sharamgahoo say peshab karta ho to ye dekhain gay k sab say pehlay kis say peshab karta hay agar mard k aalay(sharamgah) say niklti hay to mard aur agar pehlay aurat k aalay say niklti hay to aurat samjhain gain. Aur agar donoo say sath peshab karta ho to kaha gya hay k ye dekha jay k aakhir may kis makhraj say khatam karta hay agar mard say to mard aur agar aurat say to aurat samjhain gain. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #1094 , Eidition 1427 hij). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14300
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Asalam o Alakum Ya Ali Madad Hazrat meri madad farmeye mainne aik talak shuda orat ko Nikah e Mutta ki niyat se sighah parrhaya or baad main ose wazeh kiya ab kiya mera os se nikah e mutta hogeya ya nahin or mene ose kai baar sms main sighah likha jo os ne parrha or mene jawab main qabilt kaha hay yahi nahin ose sighah ke word sunae bhi hain meharbani kar ke madad farmeye . dosera masla ye hay ke agar hum Nikah e Mutta karte hain or zahir nahin karte to kiya hum par gunnah hoga . main shadi nahin kar sakta wajha sirf halat ki hay to kiya ese main mujhe par mutta jaez hay ya nahin. sighah parrhne se nikah hota hay ya nahin ?

Answer: Agar seeghe parhte waqt aap dono ki niyat muta ki thi, or seeghe parhne se pehle muta ki muddat or haq e meher taey ker liya tha to aap ka nikah e muta sahi hai, (sms waghera ya phir kaghaz per seeghe likhne ka koi share aytebaar nahi hai), Or aap chahe shadi ker sakte hoon ya nah ker sakte hoon aap k liay nikah muta kerna jaiz hai, aap per koe gunah nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2328-2335). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14319
Mujtahid:
aaytullah sistani Date:

Question: ek ladki ka 3 saal ke liye mutah kiya hua hai aur 2 saal baad usaki shadi hai aur mutah ka jo time hai (1 saal baki hai wo ) vo pura nahi hua to kya is surat me mutah maff karwana padta hai ?? ya shadi hone par automtcly mutah maff ho jate hai.shadi usi ladke se ho rahi hai jiske sath mutah kiya gaya hai

Answer: Agar wohi shakhs us larki se muta ki muddat k mukamal hone se pehle nikah-e-daaimi perhe tu ye nikah batil hay laikin wo ye ker sakta hay k baqi rehne wali muddat ose bakshe or os k baad nikah e daimi karae. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2396). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14468
Mujtahid:
NONE Date:

Question: MUTTHA KIYA HY KIYA PAR NY KY BAD AP APNY GIRL FRND KY SATH SEX KAR SAK THY HO PLZ REP FAST?

Answer: Kunwari larki ka nikah mutta k liye apne walid ya dada se ijazat lena zaruri hai wrna mutta nahi hoga, Agr mard or orat khud Muta ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat (period) aur meher tay karney k bad pehlay aurat ye kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم) (Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma`loom) Or os k baad merd foran marf kahe (قبلت)(qabilto) tu nikah ho jay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-2343). Update on dated 22-05-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
14524
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: kia muta may mahar k bagain b nika ho jay ga.

Answer: Jee nahi Mehar k baghair nikah Muta nahi ho ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2383). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15033
Mujtahid:
Date:

Question: YA ALI MADAD KYA ME MUTTA APNI SISTER SE KAR SAKTA HON? MERI BABI MUJSE MUTTA KARNA CHATI HEN KYA INKE HUSBEND SE PERMITION LENI HOGI ?

Answer: 1)Behen(Sister) se nikah chahe wo mutta ho ya permanent nikah, haram hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2349)
2) Isi tarah wo aurat jo kisi k nikah ya iddat main ho os se nikah e daimi ya muta kerna haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 22-05-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15275
Mujtahid:
ayyatolah sistani Date:

Question: a.o.a aik shadi shuda lartki se nikhe ghardaimi karna chahta hon us k husband mulk se bahar ha shadi k bad un k darmyan hum bistari nhe hue kya huma nikha ghardime kar sakta hn or karsakta hn tu procedure kya ho ga

Answer: Shadi shuda aurat k sath shadi kerna (chahaey daimi ho ya ghair daimi) haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2366). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15604
Mujtahid:
Agha sistani (R.A) Date:

Question: Kiya koi shadi shuda mard sirf sex k liye kisi aurat sy mutta kr sakta hai ? Plz is ka jawab zaroor dijiye ga

Answer: Jee haan shadi shuda mard muta ker sakta hay, albatta jis orat se mutta kare agar wo Eesae (chiriston) or Yahudi ho tu ehtiyat e wajib ki bina per bivi ki ijazat se bhi in se nikah nah kia jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2362). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
15794
Mujtahid:
Date:

Question: salam sir! mara sawal ya ha k kya muta k wak qabooliat k alfaz mard k liya adda karna zarori hain ya ejaab mard aur qabooliat aurat ki taraf say bhi ho sakta ha?

Answer: Nikah (daimi/mutah) mai ehtiyaat ki bina par aijaab qabool se pehle ho, Ehtiyat is men hai k eijaab aurat ki janib sai ho aur qa bool mard ki janib sai ho, Agrch is ka ulat bhi jaiz hai. Laikin merd agar aijab ka segha perhe tu wo zawwajtuka nah kahe balkeh zawwajtuki kahe. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 30-31, Eidition 1417 hij). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
16100
Mujtahid:
aytullah sistani Date:

Question: salam sunni hazrat ke nazdik muta jaez nahi hay aysa urfe aam hay, to kya kisi shia ka kisi sunni larki ke sath ya kisi shia larki ka kisi sunni larki ke sath mouta karna sahi hay ?

Answer: Jab tak Sunni larka ya larki Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhen tab tak kisi sunni larke ya larki k liay Nikah e muta sahi nahi hoga. (Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16175
Mujtahid:
mere swal ka jwab 1648 aapne diya tha Date:

Question: aslam alaikum main ek shadi suda aurat se mutaa kar sakta hoon jab ki meri bivi bhi hai aur uska sohar bhi hai kiya mutaa karke ham dono zina kar sakte hai esme to koi gnah nahi hoga aur mutaa ki muddat kitne hoti hai.

Answer: Jee nahi Shohar daar aurat se mutah e nikah ya daimi nikah karna haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2366). Update on dated 21-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16525
Mujtahid:
Sistani Sahab Date:

Question: AssalaamOallaikum, Kya Gair Shadi Shuda Mard Mutah Kar Sakta Hay?

Answer: Jee han kar sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2385). Update on dated 13-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16526
Mujtahid:
Sistani Sahab Date:

Question: Kya Ek Bazaro Larki Se Mutah Hosakta Hay?

Answer: Ehtiyaat wajib ki bina per zina main mash,hoor aurat se muta jaiz nahi, Haan Agar wo Bazaru larki (apne guzishta amaal ki Toba ker le (is tarah k goya wo toba kerne men bhi mashoor ho jaye) to phir jaiz hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2364). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
16927
Mujtahid:
Date:

Question: KYA TALAK SHUDA 2 MARD SE AIK SATH MUTA KER SAKTI HAI. DONO KE SATH LAZZAT K LIYE MUTA KARNA CHAHTI HAI

Answer: Jee nahi, aik aurat aik waqt men faqat aik mard k sath hi nikah ker sakti hai chahe wo nikah daimi ho ya muta ho yahan tak k agar aurat iddat mai bhi ho os waqt bhi iddat ki muddat khatm kerne sai pehle nikah nhi kr sakti hai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 189, Eidition 1417 hij). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
17007
Mujtahid:
ali seestani Date:

Question: kia mutaa 17 sala larka 14 sala larki se karaskta hai? plz help me

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17854
Mujtahid:
Ayatullah Sestani Date:

Question: Asalam o Alaikum. Mera sawaal hai kay kia aik balig ghair shadi shuda larka kisi ghair shadi shuda larki se mutah kar sakta hai? aur agar wo larki shadi shuda ho tw us k liye kia hukum hai? Kindly Reply. Thanks

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335).

2)Shadi shuda aurat se nikah karna haram hai, chahe nikah daimi ho ya mutah ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2366). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
17935
Mujtahid:
Ayatullah Seestani Date:

Question: Asalam o Alaikum, Agah sahab mera sawal hai k kia aik un married larka(BOY) jo k balig hai.. kia wo muslim unmarried (virgin) larki (girl) se mutah kar sakta hai.. please reply.. w.salaam.

Answer: wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
19858
Mujtahid:
Agha Seestany Date:

Question: janab M n ak kwari larky s mutah kia tha magar us n apne baron se ijazat ni li thi. Albata us Bap or Dada Wafat krgae hain. or Muta ke mudat pury hochuki he Ki hamara muta shi tha

Answer: Jab aap ne nikah e Muta kiya tha agar us waqt larki k walid ya dada zinda nahi the to aap ka nikah e muta sahi hoga is liay k larki ka apne wali (bap or dada k alawa kisi or se nikah ki ijazat lena zaruri nahi hai). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341-42). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
31895
Mujtahid:
aaqa sistani sahab Date:

Question: ye nikah e mutta q jaiz hy hmary shia mazhab me kya daleel hy iski aiyma a.s ki trf sy?

Answer: 1-Quran majeed k sorah nisa ki ayat#24 main hay k “…………pas jab in aurtoon se muta karay on ki ujrat bataur e fareeza day day or fareeza k baad apas main riza mandi ho jaey tu koe haraj nahi bay shak allah aleem bhi hay or hakeem bhi hay” 2-Is ayat main aqd e muta ki taraf ishara kiya gaya hai jo tamam musalmano k ittefaaq se Sarkaar-e-do Aalam k ehed (zamaane) men halal tha or iska zikr sahi bukhari “kitabut targheeb fin nikah”. Sahi muslim baab e nikah e muta main maujood hay or fakhar razi (sunni alim or mufassir e quran) or allama tabri ( sunni alim or mu,arrikh) ne apni tafseer main iska ayteraaf kia hay or Peghamber e Islam (s.a.w.w) k bad umar bin khattaab ne osay haram qarar diya hay jis ka ayteraaf tamaam mufasireen o mo,arrikheen ne kia hai. Allama qoshji ne sharah e tajreed main likha hay k hazrat umar ne muta e nisa, muta e hajj(hajj e tamattu) or hayya alaa kheril amal teeno ko haram qarar de diya hay. Or fakhar e razi or tabri ne tafseer main Hazrat Ali a.s ka ye qawl naqal kia hay k agar umar ne muta haram nah ker diya hota tu siwaay bad bakht aadmi k koe zina na karta.Baaz ehl e sunnat nay riwayaat k saharay hokum e ayat ko mansookh sabit kerna chaha, halan keh ayat, riwayaat e ahaad (wo riwayat jo tawatur ki had tak nah ho) se mansookh nahi hoti or phir hazrat umar ka qaul, riwayaat k jaali honay ki wazeh daleel hay warna onhain haram kerne ki zarorat nahi perhti. Aqd e muta mehr, wirasat e aulaad, iddat waghira main nikah jaisay qawaneen ka hamil hay, sirif muddat k aytebaar se dono main farq rakha gaya hay.(Ref: Anwaarul Quran, Tarjuma Allama Zeeshan Haider Jawwadi, pg#197). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32485
Mujtahid:
Aga e Sistani Date:

Question: salam, sir i want to ask u that if some one get mutah but only girl and a boy know about this mutah not their parents aware of this muthah so this mutah is commited?? if no so if during that time boy touched her phiancy many times so what is its kaffara? & then after words there is any problem in nikah with the same person or they can do nikah?? plz sir reply me soon plz

Answer: If a girl has reached the age of bulugh and is virgin and mature (i.e. she can decide what is in her own interest) wishes to marry, she should, obtain permission from her father or paternal grandfather, and if she may be looking after her own affairs it is obligatory precaution for her also to get permission from them . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32533
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Janab mujhay maloom yeh karna hai kay. seghayee mutta...kiya urdu mai par saktay hain... agar haan tu kiya parha jayee...matlab usku kis tarahan say ada kiya jayee k sahi hooo?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per nikah (nikah k alfaz) arabi me parhe jaen agar khud mard aur aurat sahi arabi me nah parh sakte hoon to arabi k alawa kisi aur zaban me nikah parh sakte hain. Misaal k taur per pehle meher aur muddat (waqt e muta) moayan karne k baad aurat kahe k ((mene is meher per jo moayan ho chukka hai aur os waqt tak jo moayan ho chukka hai apne aap ko tumhari zaujiyat main diya)) us k foran baad mard kehe ((me ne is qabool kiya)) to nikah e muta sahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 22-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
32815
Mujtahid:
sistani Date:

Question: Aslamoalikum sir main aik shia larka hun and meri aik bht achi sodt hay wo sunni hay wo or main aik dusre ko pasand arte hain or sex karna chathe hain us larki ka nikkah bhi hua tha kisi ka sath lakin ab divorce ho gai hay lakin wo abhi tak virgin hay or main or wo milte hain tou aik dusre se control nhi hota hum intercore nhi karte lakin uper uper se lazat ayte hain hazrat aik virgin larki se muttah karna us ka baad ya dada ki ijazat ka beghair jaiz nhi hay lakin hum muttah karna chatha hain take ya ghalat haram kam fail na dain or agar wo apna baap se ijazat laygi tou wo kabhi bhi ijazat nhi dain ge or wo ya bat kar bhi nahi sakti tou ap mujhe batain hum kia karen bht pareshan hain hum or haram kam bhi nahi kara chathe kia hum muttah kar len uska baap ya dada ki ijazat ka beghair plzz mujhe is ka koi hall batain uska baad usko ijazat nahi dayga or hum intercore nhi karna chathe jus lazat layna chathe hain uska lia muttah karlen na plzz plzz batain

Answer: 1)Agr wo larki abhi tak kunwari hai, or us k guzishta shohar ne uska kunwara-pan ko khatam nahi kiya ho to is surat me us k walid ya dada ki ijazat k bger us se mutta nahi kiya ja sakta.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341).
2)Jab tak Sunni larka Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhe tab tak kisi sunni larkay k liye Nikah e mutta sahi nahi hoga. Isi tarah ye nikah agr larki k apne deen o mazhab se gumrahi ka baais ho to bhi jaiz nahi hai.(Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11+ Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, Mafhoom e pg # 70). Update on dated 21-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
33000
Mujtahid:
Aga-e-Sistani Date:

Question: Salam Mujhe ye poochna hai ke me pakistan se bahir rehta hu aur yahan me ek larki se mutah krna chahta hu jo ke christian hai aur na usay arabic aur na hi urdu ati hai tou nikah k seghayee kaise parhe jaye ? aur yahan normally maa baap ko pata hota hai k unki beti kunwari ho chuki hai to unke baap ya dada se ijazat lena phir bhi zaroori hoga ? aur kia prostitute se mutah kr sakte hai ya nahi?

Answer: 1)Muslman mardoo ka ahl e kitab(yahoodi aur christian) auratoo sai mutah krnay mai koi haraj nhi hai lekin agr us masalman mard ki koe musalman biwi mojud ho to phir muslman bivi ki ijazat se bhi ehtiyaat e wajib ki bina per ehl e kitab se muta jaiz nahi hay.
2) wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai.
3) Agar lerki ko sahi arabi main seghe nahi aate hoon tu on ka kisi doosri zaban main seghe perhna sahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362, 2341. 2328-2335). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
36146
Mujtahid:
Aqa Ali Sistani Date:

Question: Muta k woh seeghay jo boy aur girl apas me baghair ksi gawah ya molana k parhtay hain woh konsy hain? woh seeghay bta den.plz reply as soon as posible

Answer: kunwari larki ka nikah mutta k liye apne walid ya dada se ijazat lena zaruri hai wrna mutta nahi hoga, Agr mard or orat khud Muta ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat (period) aur meher tay karney k bad pehlay aurat ye kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم) (Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma`loom) Or os k baad merd foran marf kahe (قبلت)(qabilto) tu nikah ho jay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-2343).Nikah men gawahon ka hona or nikah ka aylaan kerna wajib nahi hay balkeh mustahab hai, (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 3, Eidition 1417 hij) Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
36374
Mujtahid:
AGHA SISTANI Date:

Question: SAALM MUTTA KYA HAI CONTRACT MARRIAGE OR US MAI KYA DIFFERENCE HAI? IS K FIQA JAFERIA MAI KYA HAQIQAT HAI KYA AB B MUJTAHIDEEN ISK EJAZAT DAITY HAIN

Answer: 1) Contract Marriage (Muta) me aap ko nikah ki muddat aur meher mo`ayyan karnay k baad nikah ka seegha parh saktay hain or ayatullah sistani d.b is ki ijazat dete hen or aap nikah ki sharaet par amal kar k muta karay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334-35).
2)wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
39393
Mujtahid:
sahi bukhari Date:

Question: aslam o alikum mn aik suni larki hun or mn ye janna chahti hn k kia quran mn mutah hy????????????????????? kis surah mn hy??????? kia is sy related koi ayat hadees ya koi b isara hy?????????????????????? ye halal hy ya haram???????? plz i want to know tell me every thing wrong or right plz

Answer: Sorah e nisa(sorah#4) ki ayat#24 main muta k halal hone ka zikr hay.(Ref: Quran).
Sunni o Shia dono muttafiq hain k hamare Nabi Muhammad (s.a.w.w) ne muta ko halal kiya tha, Lekin Mazhab e Shia o Sunni ne is baat main ikhtilaaf kiya hai k is k halaal ker ne k baad is ko Aap (s.a.w.w) ne haram kiya ya nahi. Or Mazhab e Shia is baat ke qaail hain ke Aap (s.a.w.w) ne is ko halal kiya or aap (s.a.w.w)ki hayaat e Tayyaba k baad bhi umar khattab ki hukumat k ibtidae zamane main halaal raha lekin Umar khattab ne hukumati sata per is k karne wale ke liye saza ka elaan kiya jis ki waja se aam loog is ki haqiqat se jahil rehe, or is hi wajah se baad k logo main is k karne wale ko bura samjaha gaya pas Muta Nikah hi ki aik qism hai.(Ref : Shia jawaab dete hain , fasal # 5 , topic muta , Mafhoom e pg # 115). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
42752
Mujtahid:
mujtahit aqa syed ali sistani sahab Date: 2018-09-08

Question: Assalamo alaikum plz let me know that, this is allowed in islam to do muta with non muslim prostitute????? اسلام میں غیر مسلم طوائف کے ساتھ نکاح متعہ کرنا جائز ہے در اسلام مجاز به انجام موتا با فاحشه غیر مسلمانان

Answer: A male Muslim cannot marry a non-Muslim woman who are not Ahl-ul-Kitab, However, There is no harm in contracting temporary marriage with Jewish and Christians women. Translation: Muslman mardon ka Ahl-e-kitab (yahoodi aur christian) auratoo sai mutah krnay mai koi haraj nhi hai. Albatta kafir auraton sai mutah nhi ho sakta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362)
2- Marrying a woman who is known publicly as an adulterer is not permissible as a measure of precaution except after repentance (tawbah).(Ref:http://www.alulbayt.com/rulings/11.htm )
. Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
44359
Mujtahid:
Sistani sahib Date:

Question: Sir mera question ye hy k muta k ley larki ki man ijazat dy dy .ya us ki man ye kahy k main ny is k bap sy ijazat ly le hy to nikah mutta ho sakta hy y a larly ke us k bap sy khod bat karna zarori hy

Answer: Barah e rast walid ki ijazat k alfaz zaruri nahi hen balke koi bhi aysa sabab jis se bap ki rizayat ka yaqeen o itminan hojaye k larki ka bap razi hai to kaafi hai, lehaza agr larki ki maa k kehne se apko yaqeen or itminan ajaye k ye sach bol rahi hen k larki ka bap nikah e muta per razi hai to Nikah e mutta jaiz hoga. Albatta faqt larki ki walida ki ijazat kafi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
46544
Mujtahid:
Aoytullah sistani Date:

Question: S/a kya mutah ke lie baap ya dada ki ijazt zururi hai? Ya phir sexual intercourse ke lie ijazat zururi hai? Plz btae.

Answer: wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335) Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47003
Mujtahid:
any one Date:

Question: ASSALAM O ALYKAM MERA SAWAL HE K CHINA KI ORAT SE MUTTA JAEZ HE?

Answer: Chinees gher Ahl e Kitab kafir hen, lehaza unse nikah jaiz nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2362). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47020
Mujtahid:
Date:

Question: kea ek shia larke, ek sunni laky say mutha kar sakte hai? plz ans me.

Answer: Jab tak Sunni larka Nikah e Mutta k Sharee hone ka aqeeda na rakhe tab tak kisi sunni larkay k liye Nikah e mutta sahi nahi hoga. Isi tarah ye nikah agr larki k apne deen o mazhab se gumrahi ka baais ho to bhi jaiz nahi hai.(Ref: Mafhoom e Email.Rcvd from A.Sistani.org, dated:27.03.11+ Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 1, ques # 134, Mafhoom e pg # 70). Update on dated 13-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47217
Mujtahid:
ALI SISTANI Date:

Question: KIYA MARD APNI BIVI KA BINA BATAYE SHEMALE SE MUTA KAR SAKTA HAI?

Answer: Jee Haan agar ye sabit ho jaey k shemale larki hai or nikah ki sharaet mojood hoon tu muta kar sakta hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
47292
Mujtahid:
syed ali seestani sb. Date:

Question: salaam, agha agar mene kisi virgin ladhki se mutah bina uske ma baap ki permission k kar lia h or mujhe 1 saal ho gaya hai to kya ye mutah sahi hai agar nahi to mujhe kya karna hoga or ab m us ladhki se nikah karna chahta hu to kya nikah m bhi us k baap ki ijazat leni hogi.

Answer: 1)Ye muta sahi nahi tha or batil tha, or nikah k sahi hone k liay aisi kunwari lerki k liay jo apnay kamo main khud mukhtaar nah ho wali yani baap ya dada ki ijazat (permission) lena zaruri hoti hai or agar khud mukhtaar nah bhi ho tab bhi ehtiyaat e wajib ki bina per wali ki ijazat zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341 , 2342).
2) Lerki se agar jima kia gaya ho tu os ko chahiay k wo os se juda ho jaey or 3 haiz iddat rakhe or is k baad os lerke se wali ki ijazat se nikah ker sakti hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #567 , Eidition 1427 hij). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
49044
Mujtahid:
Ayatullah al Uzma Syed Ali As Sistani r.a. Date:

Question: kya koi apna muta k seegha khud pdh skta h,means kisi maulana ki madad k bagair.agr pdh skta h to iska tareeka kya hoga aur iske seeghe kya hoge?Pls rply in detail.

Answer: 1) Jee haan larka or larki khud apna nikah-e-mutta k seghay parh sakte hen,Ehtiyaat e wajib ye he k nikah ka seegha (alfaz) sahi arabi me parhe jaen, or agar seegha arabi main na perh saktay hoon tu arabi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana lazimi nahi hay, dono ka baligh hona bhi zurari hai, dono seegha parhte waqt qasd-e-insha (nikah ka irada) rakhte hoon.
2)Iska tareeka ye hai k nikah se pehle nikah ki muddat aur meher taey karney k baad pehlay aurat kahe k (زوجتك نفسى فى المدة المعلومة على المهر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad mard foran kahay (قبلت)(qabiltu) to nikah ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2334)
3-Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
49052
Mujtahid:
Aqa Sistani r.a. Date:

Question: Ladki baligh aur virgin h,aur muta krna chahti h,bt iske lye wo kisi wjhse apne baap dada ki ijazat nahi lena chahti to kya is surat me us ldki se muta kya ja skta h?

Answer: Nahi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2342). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
49184
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: me ye jan na chahti hu k muta krne k baad kya larki ko haq e zojiyat mlta hy ya nahi? aur mje ye b janna ta k muta k baad larki ka iddat me bethna zarori hy n agar wh ksi masley k tehat na beth paye tou iska koi kufara dy skti hy?

Answer: 1)Jis aurat k sath mutaa kiya gaya ho chahay wo hamla bhi ho jaey kharach (naan o nafaqa) ka haq nahi rakhti aur aurat shohar k sath raat guzarne ka bhi haq nahi rakhti.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2388-89).
2) Jee haan iddat zaroori hai q k jis larki ki umer puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, agar wo mutta kare to agar is ka shohar is se mujameat (jima/intercourse) kare aur mutta ki muddat khatam ho jaey ya shohar use muddat baksh (maaf kar) de to zaroori hai k wo orat iddat rakhe. Muta ki muddat pori hone k baad k iddat main kisi or shaks se sirif nikah kerna haram hay. Or koe kaam alag se wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2479). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad (s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52670
Mujtahid:
Still not Date:

Question: Aslamolaikum Pls give me a book reference where i can got all detail about mutta like what u will do before whan u will go to do mutta like do fasting and namaz also namaz e shab or like control ur self. if u not able to control then will do mutta? pls ans me and also i read Touzee of sestani sab but i didn t get all answer there... so pls guide me

Answer: wssalam o alykum, there is no different between nikah and muta except nikah has no limits or time while muta has, so for the information about the muta should read the compleat chapter of muta and nikha from touzee ul masail of Syed Ali Hussaini Sistani. Plz click on this link. (Ref: http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ ). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52827
Mujtahid:
sistani sahab Date:

Question: Asalam u Aaikum maine apni cousin se telephonic mutta kiya tha. mujy nai pta tha k larki ko bap ya dada ki ijazat lyna lazmi hoti hai. hm ne urdu main he seghay parhay. main lrki se buchpn se he be panah mhbt krta hun. maine telephonic rabtay k liye us se seghay parhay thay. lekin maine usay hath laga k pyar kiya. main us k bghyr or wo meray bghyr nai reh skti. mjy pata hai un k abu ijazt nai dytay mardyngay usay jan se. hm relatives hain boht qaribi. hm jb samnay hon to cotrol nai hota. mera mutta thek hai?main agar us se sex krun to thek hai? qplz btaen hm control nai rhty

Answer: Ye Muta sahi nahi hai, or nah hi sex kar sakte hain. Agr larki kunwari ho to walid ki ijazat k bagher nikah jaiz nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335+ Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30, Eidition 1430 hij). Update on dated 08-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
52829
Mujtahid:
agha sastani Date:

Question: salam agha mera sawl hy k kya ye haram hoga kisi na meram sy call pr baat krna ek dosre k body k bare me sawl krna jb k wo ek dosre sy shadi krna chahty hn? or dosra sawl hy k agr bap na ho or larki unmried boy sy mota krna chahti ho sirf es niyat sy k jb wo ed dosre ko sky pe cam pr dekhy to wo galat na ho to kya bahi ki ijazt leni pare gi jb k wo chota ho ya mama ki ijazat ka hona zariri hy or agr en dono sy h ijazat na li jaye tu kya mota ho sakta hy plz help me

Answer: Jee haan na-mehram se phone per is tarah ki guftugu kerna haram hai Q k is surat men gunah men mubtala hone ka khoaf mojud hai, chahe ap apas men shadi ka irada hi Q nah rakhte hon, (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Bk # Nigah or Libaas, Ed # 01,Mafhoom e Sawal # 84, Pg # 60) Agr larki ka wali (baap ya dada) in dono men se koi bhi zinda nah ho to is surat men larki ko nikah kerne k liay kisi se bhi ijazat lena zaruri nahi hai. (Ref:Ayatullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341). Update on dated 06-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id:
53057
Mujtahid:
Date:

Question: agha siastani to whom I follow assalam u alaikum.is it permissible to do mutta with prostitute.if yes then plz tell what are the conditions like is it necessary to take permission from her father or is it necessary that she should repent and leave prostitution.

Answer: Marrying a woman who is known publicly as an adulterer is not permissible as a measure of precaution except after repentance (tawbah). (Ref: AYatullah sistani d.b, Mafhoom e http://www.alulbayt.com/rulings/11.htm ). Update on dated 25-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
53496
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alekum ,kia jis sai mutaa kia ho tou kia us sai nikah ho sakta hai ya nahi

Answer: Jee Haan osi orat se permanent nikah ho sakta hai lekin ye zaruri hai k muta ki muddat jo un k darmiya tay hui thi wo khatam ho chuki ho.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2396). Update on dated 13-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print