Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Na-Mehram (735 Questions)


Showing 50- 100 questions from 735 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
4447
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam-o-alikum, mera sawal yeh hai k islam aurat ko pyar krne ky ijzat deta hai ya nh

Answer: Ghair ikhtari kaam par koi hokum nahi lagaya ja sakhta. Agarchah is ka muqaddima ikhtiari hay.agar haram ho to is ka murtakib na hoon. Lakin har surat may shawat aur lazzat wala kaam nikah say pehlay haram hay. (Ref : Ayatullah Sistani d.b. official website http://sistani.org/index.php?p=827020&id=972 Q#1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4473
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agr ik larki ka chractar kharab ho tu agr koi larka us larki ko thek karne ke liye us se dosti kare tu kia ye jaiz ha

Answer: Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam per mushtamil ho, jab k haram me waqae honey ka khof bhi na ho to koe haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
4734
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia aurt key sath aslam hath mila ker le ja sakti hai. ager nehien to hadees key metabiq is ke waga

Answer: Na-mehram aurat say haath milana jaiz nahi hay, haan agar darmiyaan main koe perdah maslan dastaney wagaira hoon to koe haraj nahi. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 131, pg #64 )

Print

Id:
4782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya facebook use karna haram hai?

Answer: Agar is ki wajah se fassad ka khof ho to jaiz nahi. Aur agar bat cheet hidayat aur salah kam per mustimal ho, jab k haram me waqae honay ka khof bhi na ho to koi haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66)

Print

Id:
4989
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Q1. hum jahan rahty hain wahan bhai bahny chacha chachi cousin sub mil k rahty hain wahan hamary ley na mahram ka keya hukam hai?

Answer: Jo aurtain merd k liay mehram hain yani on k saath azdawaaj kerna haram hay.maslan: maan, behen, baiti, phophi, khala,bhatijee, bhaanji or saas,tu agar lazzat k iraday or haram main mubtila honay ka khof k baghair hu tu(siwaay sharamgaah k) tamaam badan per nigah ker saktay hain.or na-mehram aurton per lazzat k iraday or haram main mubtila honay k khof k baghair chehray or hathoo ko kala’e tak daikha jasakta hay,laikin baaqi jagaho per lazzat k iraday k baghair bhi nigah daalna haram hay.((Tauzee hul masail, maslah#2349, Nigah or Libaas Sawaal#23,24).

Print

Id:
5266
Mujtahid:
Date:

Question: Asslamu alaikum… I am a 24 year old Muslim sister I fell in love with a Muslim boy who is religious and very good by his character. He is my college mate. We liked each other at first we had telephonic conversations. Later his mother called my mother and asked me for his son. My mother was happy with it. Our relationship continued over phone and we started to live like husband and wife by informing each other our every single activities and health conditions. For past three years we came to know about each other very well. We are stable in our love and it is increasing day by day. Only today i came to know that communicating with each other is a sin even though In sha allah I am going to marry him .Days are going on like this. As since it is taking time for him to get settled I have to continue my phone conversations. Please help me for I don’t know whether I can communicate with him without any sinful talks. Can I just enquire his health and ask him about whether he is having his food properly? Can I tell him my salaam after every prayer? Both of us feel deadly without texting.. is decent conversations to my fiancé allowed in Islam? He is so good loving ,caring and trust worthy. Please help me I need your guidance to seek allah and to be pure by heart and soul. I want to live with him in both the worlds for i want to be in jannath with him.. in sha allah aameen.. I hope there are many girls in my situation let my question help them to follow the righteous path of allah…

Answer: 1)Agar larki se is niyat se phone per bat ki jey k bad me us ko propose karey ga aur shadi karey ga to agar darmian me agar koi aisi bat na ho jo aik musalman k shaya ne shan nahi he to koi haraj nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 124, pg # 65)
2)Agar lazzat ka irade aur haram mein mubtila hone k khof k bagheir aur kisi burai ka baa’is na bane to koi haraj nahei he. (REF : KITAB NIGAH AUR LIBAS ques # 77 pg # 57)
3)Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5325
Mujtahid:
mangni Date:

Question: mara ap se question ha ka insan ko mangni kay bad kaya karna chayia jab ka shadi ma do saal paray hauy hain i mean ka kabi kabi mil lana chayia ya nai

Answer: Aam mamool ka mutabiq baat cheet karney me jis k ander koe shehwat angaix guftugu nah ho, koe haraj nahi lakin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat haasil nah ho aur na hi haram me perhnay ka dar ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
5343
Mujtahid:
mangni Date:

Question: mangni kay bad insan ko kaya karna chayia

Answer: Mangni k bad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho.(ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
5409
Mujtahid:
Date:

Question: aslam-o-alikam sir main aik larkiyo jaisa larka hon aur 17 sal sy aik larky k sath muhabat karta hon wo larka bi muj se muhabat karta hai main namaz bhi parta hoon pichly 20 sal sy ham dono galt taluqat rakhty hain khabi khabi wo larkiyo sy bi taluqat bana laita hai jis ki waja sy main marny wala ho jata hon us ki shadi hui to tab bi mere halit marny wali thi main buhat mushkil sy bacha tha phir thory arsy bad wo theeq ho gia phir mere shadi ho gai phir us ny muj sy mon mur liya tab bi meri halit buhat buri ho gai thi main us k beghar nahi rah sakta tha likan waqt k sath sath mujy us sy nafrat ho gai lekin phir bi us k beghair nahi rah sakt wo police me hai us k bazari aurto k sath taluqat hain main ne 1 mahina pahly us ko aik larki k sath pakr liya jis ka mujy buhat ranj hua yahan tak k main khudkashi k liy sochny laga lekin ab main ne dari mubarik rakh le hai aur mere dil main ab bi us k bary main waswasy aty rahty hain har waqt us k bary mein sochta rahta hon main ne allah s wada kiya hai k zana nahi karon ga aur apni sari zindagi islam k mutabiq guzaron ga lekin dil main y khiyalat aty hain k main y sb kuch us k liy kar raha ho agar wo mujy phir kahy ga to main tayar ho jaon ga. lekin ab main sab kuch khatam kar dina chahta hon aur apni zindagi allah k nabi k bataiy huy asolon k mutabiq basar karna chahta hon. ap se guzarish hai k ap kui asan sa hal batain ta k meri us k tarf sy muhabat khatam ho jai aur main apni bivi sy buhat ziada muhabat karny lag jaon mian ny pichly 17 sal buhat mushkil main guzary hain har waqt us k bary main sochna us k liy sab kuch karna guna karty rahna main ny is sy pahly bhi buhat wazify kiy hain lekin mery amal main pata nahi kun kam nahi hota lekin ab main ny allah talah sy toba kar le hai aur main sirf aur sirf islam k mutabiq zindagi guzaron ga. ap koi ayat ya koi dua bata dain asan ta k main is ka hal nikal sakon aur mere us ke tarf rughbat khatam ho jai main ap ka buhat shukar guzar hon ga. baqi allah ja chahy ga ho ga. aur mujy yaqin hai k allah ki tarf main ja raha hon to allah bi mujy pasand kary ga. mery jism sy napaki khatam ho jai ap k liy dua karta rahun ga..mera nam shoaib mohammad meri walida ka nam sughran bibi us ka nam mohammad ashraf us ki walida ka nam sharifa bibi

Answer: 1)Zina or lawaat(merd ka merd say bad faili kerna) gunahaan e kabeera hay or isi terah tamaam jinsi lazzaat(sexual relation-ship) ka kisi k saath haasil kerna siwa’ay biwi or shohar k ,azeem gunah hain.(Ref: Minhaajus saliheen part#1,Pg#30).
2)Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). 3).
3) kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (Ref: naeemul a’amaal,pg#314).
4) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41)
5) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafaat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601)
wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).

Print

Id:
5427
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: Q1. aj kal larkiyan be nohy parrthi hain our in ki video b agayi hain inko sunna or dekhna kaisa hai?

Answer: 1)Ajnabi aurat ki Awaz sunna jaiz he is shart k saath k lazzat or shewat ki niyat se na ho aur fail e haram me mubtila honay ka khof na ho. Al’batta aurat ko apni awaz ko is terha dilkush aur khoobsurat banana jaiz nahi k sunne walay k liay aam taur per hejaan awar ho agarchah sunne wala mehram ho.
2)Aurat na mehram merd k samne apna chahra aur haath ki hathaili zahir kar sakti he. Is shart k saath k is se haram me mubtila honay ka khof nah ho, aur is ka maqsad mardoon ko haram nigah me mubtila karma na ho aur aam taur per fail e haram me mubtila honay ka mojib na bine. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 510 , 501pg # 266 , 265)

Print

Id:
5431
Mujtahid:
saza Date:

Question: assalam o alaikum mera sawal ye hai ke quran pak and hadees pak me larkion ke parda na karne ki saza kea hai

Answer: 1)Aurat per ajnabi mard se mulaqat k mauqae per hijab ko farz qarar dia he. (ref : jaded fiqhi masayl masla # 512, pg # 267)
2)Jo apnay baal mardoon se nahi chupati thein rasool farmatay hein k wo auratain apnay sar k baalon se latki hui thein. (Ref : qasas ul ulma pg # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5686
Mujtahid:
Date:

Question: kya shadi se pehle ladki or ladka mil skte hai?

Answer: Agar lazzat k iraade aur haram me mubtela hone k khouf k beghair aur kise buraae ka baais nah bane to shadi ki gharz se mard k namehram aurat se ghuftaghu karna jaiz hai. ( ref: nigha o libaas, jild:1, pg:57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5838
Mujtahid:
Quran o sunnat ke lehaz se Date:

Question: Mera swal he meri mangne ho gye he aur me apne mangtar se pear krne laga ho wo bi krti he kia hum dono aik dosre ko kiss kr skte he ya gahr akhlaki bte kr skte he agr 2no ke rza mndi ho to kia kia kr skte he plz jldi btye ga.

Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
5839
Mujtahid:
Nigah daalne ke ahkam Date:

Question: Kia mangne ho jye to mngter ke sth sex ya kiss krna chahaye ya oske chut ko mou me lena chaye apna urethera oske mou me dena chahaye mgr shadi se phele plz jldi ans de do

Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
5858
Mujtahid:
Date:

Question: mera ap say yeh question hai kia kisi larky say dosti rakhna jaiz hai? ager humari koi ghalat neeyat na hoo...bas hum ak dosray say dosti rakhein? plz jawab zaroor dia ga..

Answer: Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. (Ref . Isteftat Aqai Sistan)

Print

Id:
5864
Mujtahid:
aqae sistani Date:

Question: salam,keya khushbu laga kar ghair mehram k pas jana jaiz hay?

Answer: Agar ye mardoon ko ghumra karnay ka sabab na ban reha ho aur osi laganay walay ka maqsad mardoon ko haram me mubtila karna bhi na ho to jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 135, pg # 65)

Print

Id:
5868
Mujtahid:
Date:

Question: asalam o alkium..meray dosti ak larky say hoi thi 1yr hojayaa ga and hum bohat achay dost hain..tu kia main us say bat karti hon woh thek hai ya nahi...lakin koi ghalat kam nahi.plz jawab zaroor dein

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
5917
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam ale kum, Mai ek ladki se pyaar karta hu, aur usey apni life partner bhi banana chahata hu.....kabhi kabhi mai ussey sex ki baate bhi kar leta hu... mai aapse ye malum karna chahta hu k according to islam shadi k pehle us ladki se sex ki baate karna sahi hai ya galat ?

Answer: Shadi sai pehlay larki na-mehram hoti hai aur na mehram sai fawash batain karna jaiz nahi hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2 masla # 34)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
5997
Mujtahid:
mangni Date:

Question: mara ap say sawal ha kay kaya insan ko mangni kay bad apni mangatir kay sat bat karni chayia ya nai i mean kay phone pe

Answer: Mangiter bhi na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho, koi haraj nahi he lakin is me bhi shart hai kay is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho warna haram he. (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6054
Mujtahid:
islaah Date:

Question: shaadi se pehle mangetar se milna kaisa hai?

Answer: Mangetar namehram hai.aur Aik (namehram) khatoon se aise baatain ki jasakte hai jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aise baat bhi na ki jarahe ho jis ka kise ajnaben khatoon k saath kiya jana munasib na hota ho. ise tarah beghair lazzat k irade k is ki baten bhi suni jasakte hen jab k haram me bhi na perne ka itmenaan ho. Albata aurat ki zimedare bhi hai k wo apne awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo isaan k jazbaat ko obharne wali ho.
(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) (Ref:nigha aur libas pg: 31 eidition 1)

Print

Id:
6063
Mujtahid:
Yes Date:

Question: A/a sir, meira aik dost ladkiyon say phone pe baat karnay kay baad ya kisi khoobsoorat ladki ko dekhnay waqat apni azoo makhsoos say goond (paste) of watery colour niklana ussay shuroo hota hai, kya aysay main ghusal karna farz hojata hai ya nahin. Jawab kay saath ref. aur hadith bee quote kijeayaiga.

Answer: 1) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi q ke ghuna me mubtila honay ka khof majood he (Ref: kitab nigah aur libas ques # 106,pg # 69)
2) Agar kisi shaks k badan se koi ratubat kharij ho aur wo ye na janta ho kay ye mani hai ya phishab ya koi aur chease ,agar wo ratubat shewat k sath aur uchal kar nikle ho aur is nikalne k baad badan suss ho gaya ho to wo ratubat mani ka hokum rakhti hai laikin agar in 3 ealamaat me se sari ki sari ya khuch moujood na ho to wo ratubat mani ka hokum me nahe aai ge (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah # 345 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6068
Mujtahid:
Date:

Question: kia larki se fone per sex karna jaiz hai or kya larki ki gaand marna jaiz hai

Answer: Na mehram se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(intercourse) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay.(Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6183
Mujtahid:
Date:

Question: Assalm-o-laikum!mai ne apk answer parhe ap ne kaha k mangater se aam mamol ki guftagu jaiz hai.lkn mangater tu nameham hota hai aur namehram mard ko awaz sunayi de tu ye tu gunah hai.

Answer: ager ye awaaz lazat or haraam main mubtala hone ke koof ke bager suni jaye to koi harj nahi, or ager lazat ki niyat se ho ya haaram main mubtala hone ka khoaf ho to is ka sunna jaiz nahi.
(Ref : Nigah or Libaas, Masla # 84)(ALLAH apki tofeeqat men izafa farmaye).

Print

Id:
6283
Mujtahid:
agha sistani Date:

Question: Q.ma hosptal ma kam karta ho during operation hamen aurato ka jism ko hath lagana parta ha aur wo eza jenhen dakhna jaiz nai hota un eza ko b dakhna parta ha e.g bache ki peidaish ka waqat aurat nurs na ho to hamen hi dakhna parta ha plz hamara shari fariza kia ha?

Answer: Agar insane kisi shakhs ka illaj karnay k silsilay me is ki sharamgaah per nigah dalnay per majhboor ho to ethiat e wajib ki bina per osay chahaiay k aaina(mirror) samany rakhay aur is me dekhay. Lakin agar sharamgah per nigah dalnay k alawa koe aur charah(zarya) na ho to aisa karnay me koe ishkaal nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2406). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6284
Mujtahid:
ayat ul sistani Date:

Question: hum ek ladki se pyar karte hai mera dil chata hai ki hum uskai saat waqt guzarna chate hai to kya islam mai iski ijazat hai us waqt mai usko hum bus dekhana chate hai aur usse baate karna chate hai

Answer: 1)Fuqaha e karaam is baat ki tasreeh kartein hein k shak aur lazzat ki niyat se auratoon ko dekhna haram he aur lazzat ki nigah ka matlab ye he k un ki taraf shehwat se dekha jaay aur shak ki nigah ka matlab ye he k fail e haram me mubtila hone ka khof ho. (ref : jaded faqhi masayl masla # , 458 pg # 253)
2) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6330
Mujtahid:
Date:

Question: salam Kia me apni mangetar sy bat ker sakta hun.

Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6342
Mujtahid:
Date:

Question: Kaya hum apni mungater say shadi say pahlay mobile per baat kar saktay hai.. Jab kay wo cusion ho..

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat nah ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shert he k is se koe jinsi lazzat hasil nahi ho aur nah hi haram me perhnay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6384
Mujtahid:
Sistani Date:

Question: Is "sali" sister of wife a mehrum

Answer: Jee nahi Sali na-mehram hay .(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 90)
2) Agar koe shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan(yani sali) se shadi nahi kar sakta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6448
Mujtahid:
Date:

Question: agr larka larki kbi milein na hon r relation ho r koi galat kam na hua ho tou gunnah hay? r agr woh larka jhuti batain phela de k larki k bare mein tou larke ko gunnah mile ga?

Answer: 1)kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 )
2) jooth Kabira ghunahoo me shumar hota he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. masla # 29) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6461
Mujtahid:
Date:

Question: may ek lerkey se bhot pyaar kti hun aur wo b mujse ub wo brek up chahrehahai q k humari misunderstandin rehti hai aur wo muje humesha gelet semjta hai k mayusko dhoka dey rei hun ya ussey cheat kr rei hun ..aur ub keh reha hai brek up chaiye hai aur dubara call ya sms nai krey ga nahi jawab dey ga ..muje koi esa wazifa btayen jissey wo mere pass khud wapez ajaye ya muje call krey plzz sahib e alam....aur dusri baat wo nashey bhot krta hai kuch btayen k wo nashey krna chor dey may nai chahti k wo berbad ho pllzzzz....

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
6497
Mujtahid:
Date:

Question: Aoa.sir mujy apsay poochna k ma aik larky ko pasand krti hon or aksar aisa hota k us say bat krty waqt mujy feel hota k jesy kuch kharij howa lakin main yah samj nhi pati k wo mani hy ya mzi,,,,kindly ap in dono chezon ki tafseel bta dain or yah b k kia muj py ghusal wajib hota...general topic py bat hoti hain phir b kharij hoti hai koi ratoobat...apka bht shukria

Answer: 1)kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 )
2)larkay aur larki ka baat karnay me agar lazat aur haram me parhnay k khof ho to haram he. (ref : kitab nigah aur libas Sawal # 84 Pg # 59)
2)Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Kharij hoti hay Agar is Had tak ho k usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intehaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6572
Mujtahid:
ayatollah sistani (m) Date:

Question: kia kisi larki k jism ko sirf choona bhi zina kehlata hai?

Answer: Nahi, zina nahi samjha jata laikin haram hay gunah e azeem hay . (Ref : nigah or libaas, part# 1, ques # 109, pg # 70, (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6620
Mujtahid:
Date:

Question: pahli shohar ki beti dosre shohar k lye mehram ha k nae

Answer: 1)Agar koi shakhs kisi aurat say nikah karay aur is k sath hambistri karay to phir is aurat ki larki is mard ki mehram ho jati hay chahae wo nikah k waqt majood ho ya bad may paida hon.
2)Agar koi shakhs kisi aurat say nikah karay aur is k sath hambistri na ki ho to jab tak wo aurat os k nikah may rehay ethiat wajib ki bina par os waqt tak os larki say nikah na karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2351-52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
6814
Mujtahid:
Date:

Question: Asslam-o-Alikum! kia khawateen ka beautician ka cource ya kaam jaez hai?

Answer: Beautician ka cource kernay main ba-zaat e khud koe haraj nahi rakhta he. (ref : kitab nigah aur libas Sawal # 161-2 Pg # 96) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7426
Mujtahid:
syed Ali Sistani Date:

Question: Assalam o Alaikum jesa k aap ka fatwa hai k koi na mehram larhka or larhki apas men bat nai kr sakte.meri fiancee ne jb se aap ka ye fatwa suna hai us ne muj se bt karna chorh di hai or wo muj se bt kiay bina na kuch khati hai or na piti ha kunke wo muj se boht pyar karti hai or bemar b ho jati hai to kea ham dono apas men aik dusre se baat kar sakte hain? ham log sirf mobile per chat kar sakte hain?

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat haasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7438
Mujtahid:
Hanfi Date:

Question: kia nikah se pehlay apni mengetar se phone pe baat ker sakta hon sirf is liay k mera khayal kisi or ghalat cheez pe na jay balke usi se batain ker k dil laga rahay.

Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.
Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
7508
Mujtahid:
sistani Date:

Question: is love is rong in islam and also love marrieg

Answer: Kisi bhi ghair ikhtari amal per shariat koi hokum nahi lagati he lakin yad rahey , shariat kisi bhi aise artibat ki ijazat nahi deti jo inhein haram ki taraf le janay wala ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65)
jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).

Pasand ki shadi ko islam na-pasnd nahi samajhta.balkeh munasib hay k merd jis khatoon se shadi kerna chata hay os main in sifaat ko paish e nazar rakahy jo aik misaali khatoon main honi chahiay jo paak daaman, shareeful asl or naik ho or dunyavi or ukhravi mamilaat main shohor ki madad gaar sabit ho.merd k liay munsib nahi hay k bivi k intekhaab main iski nazar sirif oska zahiri husun wa Jamaal or maal o daulat ho.
Isi terah aurat or os k wali(baap/dada) ko chahiay keh on sifaat or khasaais ko ehmiyat dain jin ka shohor main hona zarori hay.aurat ko chahiay keh wo aisay merd ko apnay rafeeq e hayaat k taur per muntakhab karay jo deendaar,paak daman,or baa akhlaaq ho.sharabi nah ho or buraeyoo or muhliq gunaho ka irtekaab nah kerta ho.( Ref:A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, masalah # 386,387) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7546
Mujtahid:
zina Date:

Question: agr kisi grl ko hum touch bi kr lain to kiya zina ha ya us ki sahram gaha ko bi just touch kr lain to kiya zina ha aur is ka kufara kaisy ada hogga umed ha ap mery 2 sawal han us ka ans jadl daingy

Answer: 1)aurat k lie na mehram Mard par Lazzat k qasd sey nigah daalna Haram hay jab k lazzat k qasd k baghair on hisso par nazar dalain jinhain aam taur per chupana zarori nahi maslan (sar,dono haath etc)to aisa karna Jaiz hai magar in hisso k ilawa baqi jism par nigah daalna Haram hay.Isi terah merd k liay sirif aurat k chehray or hathaylioon(palms) per lazzat k baghair nazar daalna jaiz hay is k ilawa baqi jism or baal per nigaah kerna haram hay.(Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani(d.b)Prob No 2397).
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7656
Mujtahid:
Date:

Question: hmari baat teh ho gai hai k hm2 ki shadi hog,,kea hm msg k zrihe baat kr skte?or koi treka jis se gunha na ho?its so important,,plzz rixp

Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat angaiz baat na ho, koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat haasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
7658
Mujtahid:
ayat ullah seestani Date:

Question: allama sahib ,kia 25 saala lrki mehram k bgher trip k sath ja skti he jis mei 40 saal ki aurten bhi mojod hun?, plz jldi jwab bhejiey ga, shukria.

Answer: Wajibaat e sharie ka khayl rakhtay huay jaiz trip per jana jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 119, pg # 63) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7696
Mujtahid:
Date:

Question: Agr hum ampni mangaitr say baat cheat shuru ker lain.aur baat jinsi lazat tak aa Pohnchy. Asy mn hum harig bi Bo Jain. Is ka kya guano hy. Aur tauba kasy ki jay?

Answer: 1)Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)
2) Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7716
Mujtahid:
Date:

Question: kia islam me lrky aur lrki ka piyar krna jaiz he?aur kia islam me iski koi misal milti he?

Answer: kisi bhi ghair akhteri amal per shariyat koe hukum nahi lagati laikin yaad rahey k shariyat kisi bhi aisay raabtay ya mulaqaat ki ijazat nahi deti jo in’hain haram ki taraf le janey wala ho. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 137, pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7943
Mujtahid:
Date:

Question: kia larka or larki aik dosary se mail saktay hain.ta k un ko pata chal sakay k dono kasy hain.tell me about islami law.and hawala jat2

Answer: Agar gunah or buraae main mubtila honay ka khoof maujood ho tu oskay saath mail joul or rabitahj jaiz nahi hay. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 102). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
7984
Mujtahid:
Date:

Question: Salam, Ma ik larki sa bohat pyar kerta hon, but wo mje pyar nahi kerti kisi aur sa pyar kerti ha, mery sath pehlay pyar kerti thi lakin 3 sal howe wo mje chor chuki ha. Ma kia karon k wo mujhy dobara mil jaye ma usko hamesha k liya pana chahta hon. Please mujhay koi rasta batain. Mera name Saeed Ansari Ha and Uska Sameen Yameen ha

Answer: jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8036
Mujtahid:
Date:

Question: ek larke ne mujhe purpose kia or dunu k parents k darmian shadi ki bat shit chalne lagi os larke se kissing wagera ho gai or dono ne ek dosre ko bina cloth k dekh lia or cho lia but sex nai kia islam mai is ki kia saza hai...? os waqt ye socha k shadi hone wali hai is liye ye sub hua but shadi nai ho saki parents k dermian ikhtalaf ho gaya.... kia saza hai islam mai is ki,,,,? plz tell me

Answer: Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai.Isi terah merd k liay sirif aurat k chehray or hathaylioon(palms) per lazzat k baghair nazar daalna jaiz hay is k ilawa baqi jis or baal per nigaah kerna haraam hay.(Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani(d.b)Prob No 2397).
Toba karain. 1)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407)
3)Ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe).

Print

Id:
8250
Mujtahid:
Date:

Question: Meri sali mujhe pasand nahi karti hai mai kiya karu

Answer: 1) jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
2) Agar koi shakhs kisi aurat se shadi karay to chahae wo daimi nikah karay ya mutaa karay jab tak wo aurat is k nikah me he wo shakhs is ki behan se shadi nahi kar sakhta. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2355)

Print

Id:
8976
Mujtahid:
Dua,wazifa Date:

Question: Main ek ladke se char saal se pasand karti hun,bohat pyaar karti hun usko. Lakin 3 saal ke baad main ne usko kahan ke main usey pasand karti hun.wo bi muje like karta tha aur baat karne laga aur mujse shaadi karna chahata tha .wo bohat gusey wala hai,choti se baat ko leke 2 months hogaye wo mujse baat nai karta aur wo kehta hai ki ab muje kabi baat nai karne hai,kuch bi nai manta wo.plz muje bolia main kya karun jis se wo wapas plz,aur jaldi rply kariye ga plz

Answer: Sab se pehli bat to ye hai k jins-e-muitazad se dosti ka is had tak izhaar krna k us se kaha jaye k (jesa k apne frmaya ) mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahi hai q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, mgr ye hai islam pasand ki shadi ki ijazat deta hai us hawale se wazeefa apko dete. Khuda apko gunah men mubtala hone se mohfooz rakhe.
(Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1ST Eddition, Page#69, Ques#106)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
8994
Mujtahid:
Date:

Question: Assalam alaikum meri shadi hone wali hai aur mai usse bahut zyada baate karta hu, aur hum log sex k v bate karte hai kya hone wali bivi se sex ki bate kar sakte hai plz. Bataye

Answer: Jab tak apka nikah nahi hojata tab tak wo apk liye na-mehram hai or shohar or biwi k ilawa kise or se Fahash baten krna haram hai.
(Ref : Minhaj us salaheen Ayat-ullah sistani (d.b). part # 2, masla # 34)

Print

Id:
9002
Mujtahid:
Date:

Question: Larka shadi sy phly larki sy baat kr skta ha.y nahi

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
9008
Mujtahid:
Date:

Question: apni mangatar say bat kar sakta hu

Answer: Mangayter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koi shehwat angaiz baat na ho, koe haraj nahi he laikin is me bhi shrt he k is se koi jinsi lazzat haasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print