Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Pardah (Hijab) (104 Questions)


Showing 100- 104 questions from 104 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
124370
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-05-14

Question: Salam agha sahb mera sawal h k kya aurat ka apny paoun na mehram sy chupana wajib h ya nhi?

Answer: Na mehram se parda karna wajib hai yahan tak ke pairon ka chupana bhi wajib hai is tarah se ke maslan paon me mauze (Socks) pehenne se chupaya jaa sakta hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2397,2399).
[Updated on 15-May-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126124
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Assalam o alikum kia azan ka waqt aurton ko sir par dupata lana zaroori hn yah nhi?

Answer: Parda na-mehram se karna zaroori hota hai, is ke alawa kisi aur cheez ke liye zaroori nahin nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399).
[Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
126318
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-15

Question: kya aurat ko apny chachy, taya yah mamu se parda krna lazim ha

Answer: Na-Mehram se parda karna zaroori hota hai, lekin mehram se parda karna zaroori nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2397,2399).
[Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126336
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-17

Question: Kya aurat ghr sy bahir mtlb university main normal kapry kameez aur shalwar pehn kar ja sakti hai?

Answer: Maslah #27. Aurat ka hijaab aur parda - jo ke Quran kareem aur Ahadees ahlbait (a.s) mein bayan hua hai - musallamaat-e-shariat mein se hai aur zarooriyaat-e-deen mein se hai, aur is ki riayat nah karna gunah aur maasiyat samjha jata hai.

Maslah #28. Aurton ke liye behtareen chadar aur hijaab, kaali chadar hai. aur aurton ke liye munasib hai ke woh usay na-mehram ke samnay mukammal aur behtar hijaab ke taur par istemaal karen, agarchay wajib miqdaar chadar ke baghair hi Q nah chhupi huei ho.

Maslah #29. Aurton ke liye sar ke baal aur apne pooray jism (siwaye chehray aur kalayeion se unglion ke suron tak hathon ke) na-mehram mard se chhupana wajib hai.
Albata is baat ka yaqeen karne ke liye ke is ne wajib aaza ko chhupa liya hai, zaroori hai ke woh chehray ke ird gird ka kuch hissa aur kalayeion se kuch neechay tak na-mehram se chupaye.
lehaza sar ke balon, kaan, gala, thhorhi ke neechay ka hissa, hathon (bazuon aur kalayeion) aur peeron hatta ke takhnay se neechay ke pooray hissay ko na-mehram mard se chhupana wajib hai. aur aisa libaas jo sar ke baal ya jism ke mazkoorah aaza ko wajib miqdaar mein nah chupayen, (to aisa libaas) na-mehram ke samnay kaafi nahin hai.

Maslah #30. Aurat ke liye apne chehray aur hathon ko kalayi se le kar unglion ke siron tak chhupana zaroori nahin hai, siwaye teen sooraton mein ke jin mein inhen mehram mardon se bhi chhupana wajib hai:
1. Yeh dar ho ke un hisson ko nah chhupana ghunah mein mubtala honay ka baais banay ga.
2. Un hisson ko nah chhupanay se is ka maqsad, dekhnay walay ko haraam nigah mein mubtala karna ho.
3. Un hisson ko aam taur par aur mamool ke mutabiq nah chhupana, is cheez ka sabab banta ho ke doosron ki tawajah apni taraf ho aur lazzat amaiz nigah parre".

Maslah #31. Na-mehram mardon ke samnay aurton ke hijaab aur parday mein, is cheez ke sath sath ke wajib miqdaar ko dhanpe - jo ke maslah 29 aur 30 mein bayan huei hai. darj zail khususiyaat ka haamil hona zaroori hai:
1. "Patla aur jism numa" nah ho. lehaza aisay kapray pehnana kaafi nahin hai maslan aisa scarf ya bareek mozay jo jism ke baal ya jild ko nah chupatay hon aur inhen numaya karte hon, na-mehram ki samnay kaafi nahin hai.
2. "Tang aur chipka" hua nahin hona chahiye, is tarah se ke aam taur par doosron ki tawajah ko apni taraf mutwajjah karne aur lazzat amaiz nigah ka sabab banta ho. lehaza aisa libaas pehnana jaaiz nahin hai jis se aurat ke jism ke ubhray hue hisse zaahir hotay hon.
3. "Zeenat wala" nahin hona chahiye. lehaza na-mehram ke samnay kisi bhi qism ke libaas bashmool chadar, coat, shalwaar, scarf, mozay waghera jo riwayati taur par rang ya silai ke aitbaar se ya deegar khususiyaat ke lehaaz se "zeenat" walay hon, pehnana jaaiz nahin hain.

Maslah #32. Aurton par wajib hai ke woh apne makeup aur zeenat ko na-mehram se chupayen. lehaza masnoi baal aur whigs, nail polish, haath ki mehndi, aankhon ke rangeen lens, kuch qism ke tattoos ya palken ya masnoi naakhun jaisi cheezen agar mamolan zeenat samjhi jati hon to na-mehram se chhupana lazim hain.
Yeh baat qaabil-e-zikar hai ke zeenat mein se surma lagana, bhanwain banana, chehra ke baal saaf karna, chhalla aur anghutiyaan, choorian aur kangan" mustasna hain, maslah 30 mein mazkoor teen sharait ki riayat ke sath inhen chhupana wajib nahin hai, Albata ehthyat-e-mustahab hai ke yeh zeenat bhi na-mehram se chupayen.

(Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #4, maslah #27 to 32).
[Updated on 18-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print