Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Nigah Daalne Ke Ahkam (83 Questions)


Showing 50- 83 questions from 83 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3035
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.mera sawal ye he k agar kici ka face naturally attractive ho tu kia usko cover krna wajib he jab k cover karne se usko yaqeen ho k isko bura samjha jata he aur loog deen se door horahe hn aur usko pata ho k face cover karne se wo logo ki nazron me ziada ayegi yani shurat ka sabab he tu kia kare,ya bhi bata dije k seestani sahab k yaha face cover krna ahtiat wajib he agar han tu phir me sistani sahab k baad kis marje ki taraf rujo kar sakti hn means yani kece pata chale ga k sistani sahab k baad kon aalum he jis ki taraf hum ruju karen?plz mujhe is sawal ka jawab zaror chahye

Answer: Aurat namehram merd k saamne chehra or kalaeyo tak hath khule rakh sakti hay,laikin agar aap ko haram main mubtila hone ka khoof ho ya kisi merd ko (hath ya chehra) dikhana haram main mubtila kerne k irade se ho tu in dono soorto main inko chupana wajib hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3036
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam sir .mera sawal ye he k agar koi shadi ho k combine family me jaye tu wo har waqt socks nahi pehn skti is surat me wo kia kare gi ?kbhi aesa hota he k ghar me buht mehman hote hn aur hum socks na pehne hn tu kisi ki nazar nahi parti aur phno tu sub point out krte hn is surat me kia kia jaye.plaz reply

Answer: 1)Aurat na mehram k samnay apna chahra aur hataili zahir kar sakhti he. Ba’shartay k is se fail e haram me mubtila honay ka khatra na ho, is ka maqsad mardoon ko haram me mubtila karna na ho aura am tor per fail e haram me mubtila honay ka sabab na babay warna agar fail e haram me mubtila honay ka khatra ho to mehram mard se bhi parda karna wajib ho ga.
2)aur aurat k lie jaiz nahi he k wo apnay qadmoo ki pusht na mehram mardoon k samnay zahir karay.
(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 501 , 502 pg # 265) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3043
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam, kiya mangni k baad mei apni mangetar se baat cheet aur mulaqat aur use ba hijaab dekh sakta hu, aur us se shariyat k daire mei reh kar izdawaji zindagi k baare mei baat kar sakta hu, chatting aur sms k zariye aur kiya mein us se phone per baat karsakta hu aur ham ek dusre ko email per apni pictures send kar sakte hain kiya?? inshallaH v will get married soon

Answer: mangaiter apas main na mehram hain.Mangni k baad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho.
2)Agar be’hijab tasveer he to Tasveer ko lazzat k sath dekhna jaiz nahi he bal’ke bagair lazzat k bhi ethiat ki bina per jaiz nahi he. (ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115 , 116 pg # 57) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
3157
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam! Is light make up which is Invisible and just brings freshness on the face, No lipstick, no eye make up, just light face powder and cream) allowed for ladies in a public gathering?

Answer: If makeup and powder so light that which are not consider as a cosmetic(i.e zeenat) then it is permissible for women to open their face in front of Na-mehmam men.but if you do this work(using light makeup and powder) with intention of cosmetic perpose(i.e zeenat) then it is obligatory to conceal their faces from na-mehram men. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 136, pg # 68). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3158
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: How much make up is allaowed for ladies?

Answer: It is lawful for ladies to do makeup.But it is obligatory (wajib) for them to conceal their face from Na-mehram men. (Ref : A.Sistani(d.b),Sawalaat or jawabaat 10 maraja e karam k fatwoo k mutabiq, pg#96, sawaal#161). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3160
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: If a ten years old boy is not mumayyaz, is it neccessary for a women to do hijab from him?

Answer: As an obligatory precaution, women should conceal herself even from a Na-baligh boy who is able to discern between good and evil, and could probably be sexually excited. But If he is not mumayyaz then its not necessary to conceal. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#2399) . Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
3169
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: meri mangni ho chuki hay kia may apni mangetar say phone par baat kar sakta ho? ya oral sex kar sakta ho?

Answer: Mangni k bad aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat na ho koe haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat haasil nah ho aur naa hi haram me perhnay ka dar ho.(ref : Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
3227
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aslamoalikum mufti gi kiya aurat call center main parday kay saath naukri kar sakti hai

Answer: 1. Agar mulaazmat k doran lerhka,lerhki k dermiyaan raabtay main , agar koe burae ka sabab nah banay or shar,e hudood ka khiyaal rakha jaay, tu koe haraj nahi.(Ref: sawalaat or jawabaat 10 maraje karam k fatwo k mutabiq, part#1, pg#66, sawaal#100).
2. Aurat k lie jaiz he k wo apni awaz ajnabi mard ko suna,ay magar ye k haram me parhnay ka khof ho ( is surat me jaiz nahi ho gi) albatta aurat k lie apni awaz ko is tarah dil kash banana jaiz nahi he k sunnay walay k lie aam taur per hejaan awar ho agar chahah sunnay wala mehram ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 510 pg # 266-267). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3279
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mai r ek larka apas m shadi karna chahtay hain.hum ubi phone pai baat kartay hain kia hum gunah sai bachnay k liye ghar walon sai chup k mutaa kar saktay hain??qk aesa na ho k hum chotay gunah sai bachtay bachtay bara gunah kar bethain.agar nai to is ka koi solution btain...shukriya

Answer: 1)kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutaa) nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).
2) Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. (Ref . Isteftat Aqai Sistan)
3)phone per bat cheet karna jaiz nahi he q k fasad me parhnay ka khof he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 124 , 125 pg # 65)
Wazifa:
1. Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.)
2. Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41)

Print

Id:
3360
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: is it haram to have a boyfriend

Answer: 1)jins e mukhalif se dosti or muhabbat kerna jaiz nahi Q k ghunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
2) kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahi he. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 4, ques # 125, pg #65 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3389
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera swal ye he k kia aik larki apne mangaiter se mulaqat ker sktihe ager wo apne walid ki ijazat le ker mulaqat kre or ager mulaqat k duran aik dosre k hath per kiss ker di ho, laikin ab shadi ho chuki he or wo larki apni us se mulaqat or hath per kiss krne per shirminda ho ri he or apne gunah ki muafi allah se mangti he,app is baray me btain wokia kre plz reply me soon,w/slam

Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
3402
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam.. meri alhumdoillah kouch maheno pehlay mangni howi hai aur shadi may aabi sirf 6 mahenay baqi hain.. kia mangni k baad appni mangetar se mobile pea sms k through ya calls k through baat kar na jaiz hai iss neyat se k ham aik dosray k baray may kouch jaan saky..?? aur agar iss baat ka yaqqeen ho k haram mai mubtila nai hogay phr kia hukam hai???

Answer: Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3425
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Q1:- Kaya nikah se pahle jab ki dono ki sadi date final ho choka ho kaya baat ker na jaiz hai?. Q2: kaya nikah se pahle baat kerna jaiz hai?.

Answer: Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3451
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam kia hum larki jo k dost hy ios sex ki batey kar sakty hy gunah hy

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69)

Print

Id:
3461
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: sallam . main jis larkay semohabat karti huus se meri ladai bht hoti hai or wo meri koi bat sahi tareeke se sunte hinahi haimain bolti kuch hu wo samajte kuch haior jazbati bht hai har galat buri bat per inshaAllah lagate hai plz koi wazifa dain jisse hamari larai na ho shukria

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69)

Print

Id:
3469
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: me ak ladki ko chahta hun wo bhi chahti he lekin kuch dino se wo door hoti ja rahi hai kuch wazaif bataiye taki wo fir se chahne lage me kafi pareshan hun. khuda hafij

Answer: Jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69)

Print

Id:
3573
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia mobile phone per sms ke zarye kese na mehram larki se baat ker na jaiz hai ya nai?

Answer: Agar is ki wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi. Aur agar baat cheet hidayat aur saaleh kaam per mustimal ho, jab k haram me waqae honay ka khof bhi na ho to koe haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66).

Print

Id:
3688
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Apni cousions yani phophi zaad,khala zaad,chacha zaad behno k baalon (hair)or jism k dusre hison per nigah k kya ahkam hain? jab k aisa aik gher main hon to aksar aate jaate nazer per jaati hai.

Answer: Phophi zaad,khala zaad,chacha zaad behnain na-mehram hain.or na-mehram or
na-mehram aurton per lazzat k iraday or haram main mubtila honay k khof k baghair chehray or hathoo ko kala’e tak daikha jasakta hay,laikin baaqi jagaho per lazzat k iraday k baghair bhi nigah daalna haram hay. (Tauzee hul masail, maslah#2349,2397). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3725
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: asalam o alaikum mera sawaal yh hai k aik dafa meri ammi ne meri khala k betay ko doodh piladia tha aur meri khala ne mere bhai ko mai khala ki beti se shaadi krna chahta hun kia yeh jaiz hai kyunki mainay suna hai k hum behen bhai hogaye hain?

Answer: Doodh pila kar mehram bannay ki 8 shartain hein jis me se aik ye he k bachay ko is qadar doodh pilaya jay k is ki haddiyaan(bones) is doodh se mazboot ho jain aur badan ka ghost bhi banay or agar is baat ka ilm(yaqeen) nah ho keh is qadar doodh piya hay ya nahi tu agar is nay 1 din or 1 raat ya 15 mertabah pait bher ker dhoodh piya ho tab bhi(mehram honay k liay) kafi hay. agar 8 shara’it per amal kar k doodh pilaya gaya ho to wo lerki aap ki mahram ho gi aur aap ka on say shadi karna haram ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2438).

Print

Id:
3780
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera sawal hai. kya shadi se pahile biwi se phone per baat kar ya mulakat kar sahi. pls. answer me. khuda hafiz

Answer: Agar darmiyaan me koe aisi baat nah ki jaay jo aik musalman k shaya nay shan nahi hein to koe haraj nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4 ques # 124 pg # 65) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3804
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia koi aurat agar ladies perfume laga kar bahar jati hay aur us orat ki k jism se mehakne wali khusbo koi na mehram soongh le to kya us orat pe ghusal wajib hota he ya nahi.

Answer: Agar ye mardoon ko ghumra karnay ka sabab na ban reha ho aur usi laganay ka maqsad mardoon ko haram me mubtila karna bhi na ho to jaiz he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 135, pg # 65)

Print

Id:
3823
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: SIR MUJHY YE BTAIN K HAND PRACTICE KIA THEEK HAI? APNI MAGATER KO CHOOM SAKTY HAIN?

Answer: 1)Hand practice karna kisi bhi zarie se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
2) Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki bat cheet karney me jis k under koi shawat angaiz bat na ho , koi haraj nahi he lakin is me bhi shart he k is se koi jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57)

Print

Id:
3835
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya devar = bhabhi aapas me romontic batey aur ched chad karsakte hain....? aur limit kitni honi chahiye...?

Answer: Bhabhi devar apas main na-mehram hain. Devar ka bhabhi say romantic batey or chiarh charh kerna jaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), ),nigah or libaas,part#1,pg#57-61).

Print

Id:
3919
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamo Alaikum Main ye janna chahta hun ki mangetar k sath phone pe sex ki batein ki ja sakti hai jo agey shadi shuda zindagi me zaruri hai

Answer: Mangeter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shewat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat hasil na ho aur na hi haram me perhnay ka khauf ho,warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3984
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamoalykum ! 1)Ya Ek ladka or ek Ladke Shadi ke Pehle Ek Baar Apas main Baat Kar Sakte Hai ? 2) Or kya ek ladka ek ladke se shadi ke pehle mil sakta hai?

Answer: 1)jee haan,agar lazzat k iraday or haram main mubtila honay k khoof k baghair ho or kisi burae ka sabab nah banay tu koe maslah nahi.(Ayat Ullah Seestani(d.b),sawalaat or jawabaat,part#1,niggah or libaas,maslah #77).
2) agar gunah or burae main nubtila honay ka khoof maujood ho tu milnay jaiz nahi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), sawalaat or jawabaat,part#1,niggah or libaas,maslah #102).

Print

Id:
4003
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia facebook use karna jaiz hai? specially jab ke pichle dinon facebook par draw MUHAMMAD(PBUH) competition karwaya gya tha?

Answer: Agar is wajah se fasaad ka khof ho to jaiz nahi he. Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam par mushtamil ho jab ke haram mein parnay ka kauf bhi na ho to koi haraj nahi. REF: A.Sistani, mujtahid se poochay gae sawalat, hisa 3, ques no: 139. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4281
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalam-o-alaikum....! mera sawal ye hai k kya mai aik na-mehram sy mobile pe just messages pe baat kar sakta hon....?? jab k mai ny aaj tak us ki awaz b nhi suni.... na us ko dekha hai or na kabhi koi ghalt baat ki hai.... kya is me gunah hai...?? or agr rozey mei msg pe baat karo or islamic bat karon buri baat koi na karon...to kya roza makroh ho jata hai...?? answer me in detail plzzz....!

Answer: Agar is ki wajah se fasaad ka khof ho to to jaiz nahi he. Lakin agar baat cheet hidayat aur saleh kalaam per mushtamil ho, jab k haram me waqae honey ka khof na ho to koi haraj nahi hechahae roza ho ya na ho. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4384
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam ,mera quest hai ki i have a boyfriend and we live far away from each other, and its not possible to meet him . so while on phone at night we try to seduce eachother, is it haram?

Answer: Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. (Ref . Isteftat Aqai Sistani)

Print

Id:
4447
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalam-o-alikum, mera sawal yeh hai k islam aurat ko pyar krne ky ijzat deta hai ya nh

Answer: Ghair ikhtari kaam par koi hokum nahi lagaya ja sakhta. Agarchah is ka muqaddima ikhtiari hay.agar haram ho to is ka murtakib na hoon. Lakin har surat may shawat aur lazzat wala kaam nikah say pehlay haram hay. (Ref : Ayatullah Sistani d.b. official website http://sistani.org/index.php?p=827020&id=972 Q#1) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4473
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agr ik larki ka chractar kharab ho tu agr koi larka us larki ko thek karne ke liye us se dosti kare tu kia ye jaiz ha

Answer: Agar baat cheet hidayat aur saleh kalam per mushtamil ho, jab k haram me waqae honey ka khof bhi na ho to koe haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
4731
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: MEIN JUB B KISI LARKI KO GOR SE DEKTA HUN TO CHAND MINUTES K BAD MERE MONEY K KATREY BAH JAATEY HAIN ESE Q HOTA HAI MERE SATH,,,AUR IS KE ILLAAJ BATAIYE...

Answer: Faqha e karam is baat ki tasreeh kartein hein k shak aur lazzat ki niyat se auratoon ko dekhna haram he aur lazzat ki nigah ka matlab ye he k un ki taraf shewat se dekha jey aur shak ki nigah ka matlab ye he k fal e haram me mubtila hone ka khof ho. (ref : jaded faqhi masayl masla # , 458 pg # 253)

Print

Id:
4734
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia aurt key sath aslam hath mila ker le ja sakti hai. ager nehien to hadees key metabiq is ke waga

Answer: Na-mehram aurat say haath milana jaiz nahi hay, haan agar darmiyaan main koe perdah maslan dastaney wagaira hoon to koe haraj nahi. (Mujthid se poushey gye sawalat part # 3, ques # 131, pg #64 )

Print

Id:
4782
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kya facebook use karna haram hai?

Answer: Agar is ki wajah se fassad ka khof ho to jaiz nahi. Aur agar bat cheet hidayat aur salah kam per mustimal ho, jab k haram me waqae honay ka khof bhi na ho to koi haraj nahi. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 139, pg # 66)

Print