Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Ghusl (119 Questions)


Showing 50- 100 questions from 119 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
2005
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: dabar mai dakhol k baad gusal wajib hai? agr pora dakhol na howa ho?

Answer: agar koi shakhs jema kare or uzue tnasul supari ki miqdar taq ya us se ziyada orat ki farj main dakhil ho jae to Khawah ye dukhul farj main ho ia dubar me or khawah wo baligh ho ya nabaligh or khawah mani kharij ho ya na ho duno mujnib ho jate hai (masalan no. 348, tawzuhul masail Ayatullah sistani (d.b.)) or mujnib hane ki bina par gusale janabat wajib ho jaega.

Print

Id:
2072
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: mujhe ghusal ka tarrekah batadein

Answer: bismehi taala, ghusal k qasd se pahele sar aur gardan aur phir jism ka baqi hissa dhoya jae aur ahteyate wajib ki bina par pahle bayan hissa aur phir dayan hissa dhoya jae. (istfitaat aur jawabat part 1 Aytullah Khamenai (d.b.)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
2074
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: ghusal jinabat karne k baad wazoo karana chahiye ya nahi,plz mujhe is ka bata dein,thanks

Answer: bismehi taala, ghusale janabat k baad wuzoo zaroori nahi (ref: istiftaat aur jawabat part 1 Aytulla Khamenei (d.b.) page no.62)

Print

Id:
2085
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mujhy Ghusal ka Tariks Btadain

Answer: bismehi taala, Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367

Print

Id:
2149
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assal-o-alikum, men ya puchna chahta hun ke hum miyan biwi pager chadar daly milty hen is men koi harj to nahi ha jabke humne ak dosry ko pura dakha bhi ha.

Answer: w.s. Mian bewi aik dosray ka poora badan dekh saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.327 Aytullah Seestani (d.b.)

Print

Id:
2151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: pls dont publish my email id aurat ka shehwat se mani nikalne ka matlab samjhaiye kya aurat ko bhi inzaal hota hai jaisa mard ko hota hai janbish ke saath pls reply soon

Answer: bismehi taala, Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 Pg.62.

Print

Id:
2168
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mera sawal ye hai k ghusal kin halaat main farz hai...yani k esi kon c cheze hain jin ki bina per ghusal wajib hai?

Answer: bismehi taala, wajib gusal sat hain: 1. gusle janabat 2. gusle haiz 3. gusle nifas 4. gusle istihaza 5. gusle mase mayyat 6. gusle mayyat 7. wo gusl jo mannat ya qasm wagera ki wajeh se wajib ho jaye. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) page no.58)

Print

Id:
2169
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mujhe ek or sawal poochna hai k...agr koi esi baat karne se pani aajye to kya ghusal wajib hota hai?ya kuch sex k bare mai suna jaye to gela hone se kya ghusal wajib hai??plz do ans me plz plz plz

Answer: bismehi taala, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352

Print

Id:
2180
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia shohar apni biwi ki breast or sharmga chaat or chus (suck) sakta hai?

Answer: bismehi taala, yeh cheez jaiz hai laikin sharamgah se nikalney wali ratoobat ko peena ya moon mai lena jaiz nahi hai Ref:Istiftaat Ayatullah Sistani

Print

Id:
2193
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: salam un alikum i would like to ask kia koi shsks or us ki biwi aik dusray ki sharamgah ko suck kar saktay hain.plz send the answer.kia ya halal ha?

Answer: w.s., aap k sawal k jawab k liye Aytullah Khamenei ka refrence availabe nahi he, aap apne sawal k liye www.wilayah.org ya www.khamenei.de par ruju karain.

Print

Id:
2196
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salamun alikum sawal ya ha k agr biwi apny mian k uzwe tanasul ko itna chusay k inzal ki had ajay or mian apny ap ko bahir discharge kar day.is halat mai us ka mujib hojana halal ha ya haram.kia ya istamna k zumray mai tu nai ata.

Answer: w.s., Aisa karna Jaiz hay,magar ye kay ratoobat Halaq say na niglay. Ref:Istiftaat A.Sistani I-2.

Print

Id:
2260
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: tamaam ghusuloon ki duaian

Answer: bismehi taala, ghusl k liye kisi khas dua ka padhna zaroori nahin he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.)page no.62)

Print

Id:
2272
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: can you please explain in details of what exacly to do or recite, to become paak again after having sex?

Answer: bismehi taala, First and foremost is recommended urination (Testbre), even if out any moisture suspected semen after washing do not have to return. And then purified into the impurity so that your body is clean of any impurity and remove any blocker prevents water from reaching the skin (dye nails for example). Now comes first intention Vtnoi (bathed ghusl (for example) an act of worship to God Almighty) and faith enough in the purpose of self does not need the term. Then wash the head and neck pouring water on them an engine of your hands to make sure that the water has reached all parts of the head and neck that did not reach water, but to do so. Then wash the rest of the body on the safe side first you wash the right side of the body is first poured water on it and move your hand to ensure the water to all parts of the right side, including money Alaourtan Wei Shi joint venture between the left and right. And do not forget the soles of the foot and between the fingers. Then wash the left side pouring water over them and move the hand to ensure that the water to all parts of the body, and as it did on the right. Then they have completed the washing. And you can move your hand in any direction you want during the washing and what you want you can pour water in the body should be as dry as some believe, but must have most of the washing water from the humidity. This type of Washing-called ordinal. There is another type called Alaratmasi is that all your body immersed in the water a lot (the river, for example) one time and faith. Incidentally, all Alagsal whether obligatory or desirable only differ in intention (except to wash the deceased) and substitute for ablution (except istihaadah and Alagsal which is not proven mustahabb).

Print

Id:
2339
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: gusul karne ki niyat plz tell me right now bcoz mere pass time bohat kam hai plzzzz

Answer: bismehi taala, yeh zaroori nahi k gusal k waqat niyyat kare k wajib gusal kar raha he, balk faqat qurbatan allllah yaani Allah taala ki reza k irade se gusal kare to kafi he.(ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.364)

Print

Id:
2346
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: agr roza ki halt ma soty hoy insan napak ho gya to fraz gusal kis trha kry

Answer: bismehi taala, Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)(agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye)

Print

Id:
2350
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalmu alikum-me ye janna chahta hu k ek shohar ka uski bewi k sath sex karne ka islam ki roshni me kya tarika hona chahiye..plz tell me.

Answer: w.s., Aala-e-Tanasul ghair mutaaraf tareeqay say daakhil karnay main zaroori hay kay Aurat bhi raazi ho. Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par Aurat ki razamandi kay baghair Dubur-pakhany kay maqaam- main Jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki razamandi kay daath dubur main jima karna sakht makrooh amal hay.Ref:www.sistani.org Arabic-Jima.19,23

Print

Id:
2351
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir ji main gusul pehle aise karta tha apne btana hai ke wo sahi tha ya galat jahan per janabt lagi hoti thi usko pak karna phir poora wuzu karna aur phir 3 bar right shoulder per pani bahana aur phir 3bar left shoulder per aur phit pore jism main tu kiya main ye gusul sahi karta tha ?

Answer: bismehi taala,(agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye aur us k baad) Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380) (agr is tariqe se aap ne ghusal kiya ho to saheeh he)

Print

Id:
2352
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir jee 7 gusul farz hai apne bataya tu iska tareeqa bhi bata de ?

Answer: bismehi taala, Ghusl kay 2 tareeqay hain.1.Ghusl e Tarteebi 2.Ghusl e Irtimasi.Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Aihtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur iskay baad badan dhoay aur behtar hay kay badan ko pehlay dain taraf say aur baad main bain taraf say dhoay.Ghusl e Irtimaasi ka tareeqa ye hay kay Irtimaasi Ghusl 2 tareeqay say Anjaam diya ja sakta hay.1.Dafae. 2.Tadreeji. Ghusl e Irtimasi Dafae ka tareeqa: Ghusl e Irtimasi Dafae main zaroori hay kay aik lamhay kay liye poora badan pani main ghir jaey laikin ghusl karnay say pehlay aik shakhs kay saray badan ka pani say bahir hona zaroori nahi hay.balkay agar badan ka kuch hissa pani say bahir ho aur ghusl ki Niyyat say pani main ghouta lagaey to kaafi hay.Ghusl e Irtimasi Tadreeji: Is main zaroori hay kay ghusl ki niyyat say urfi aitibaar say aik hi dafa main badan ko pani main duboo day is ghusl main zaroori hay kay badan ka poora hissa ghusl karnay say pehlay pani say bahir ho.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.360-366-367

Print

Id:
2353
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Salam! Mjhe ye bataden kay islam main shariat kay mutabiq wife sey humbistary ka kya tariqa hai please?

Answer: bismehi taala, Aala-e-Tanasul ghair mutaaraf tareeqay say daakhil karnay main zaroori hay kay Aurat bhi raazi ho. Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par Aurat ki razamandi kay baghair Dubur-pakhany kay maqaam- main Jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki razamandi kay daath dubur main jima karna sakht makrooh amal hay.Ref:www.sistani.org Arabic-Jima.19,23

Print

Id:
2357
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aa jana biwi ko back siad karna os ke marzi b ho.ghunnah ha ya nikaha tota ha thank u

Answer: bismehi taala, peechay se jima karna aurat (women) ki marzi kay bagair ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai aur agar aurat razi bhi ho to yeh kaam shadeed makrooh hai. (REF: www.sistani.org)

Print

Id:
2367
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir jee agar ghusl janabt mujh per farz ho gaya hai aur jumma bhii hai tu iski kiya niyyat hogi plz batana lazmi thanks

Answer: bismehi taala, ghusale janabat aur ghusle jumma dono ki niyyat kar ke ek hi ghusal kiya ja sakta he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.395)

Print

Id:
2372
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salaam mera Question yea he ke mara shohar aghar khud ke or meri marzi se muje back me karna chai tu kya ye jaiz he.

Answer: w.s., agar aurat razi ho tab bhi yeh kaam shadeed makrooh hai. (REF: www.sistani.org)

Print

Id:
2381
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir jee agar mujhe per ghusl janabt farz nahi hai aur jumma hai tu uski niyyat kiya hogi aur wo ghusl kaise karna hai plz jaldi bata dena bcoz kal jumma hai isliye thanks

Answer: bismehi taala, ghusle juma karta hoo qurbatan elal-llah, yeh niyyat karna kafi he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.651)

Print

Id:
2385
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir jee jaise apne kaha ke sab se pehle sar aur gardan ko dhona chahiye ye humne wuzu karne se pehle karna hai ya baad main aur dosri bat ye ke sar dhote hue paani jism main bhi lag jata hai aur gardan ko kaise dhoye ge aur agar sar dhote hue shoulder per ya jism ke kise aur hisse main paani lag jaye tu usse kuch hota tu nahi thanx question thoda ziada lamba tha plz reply lazmi karna bye thakz

Answer: Ghusl main ehtiyaat e lazim ye hay k niyat k saath pehlay sar or garden ko mukamal taur per dhoya jaay,or os k baad pora jism ko dhoya jaay,or behtar ye hay jism ko do hisso main dhoya jaay pehlay jism ko daain taraf(right side) say or baad main jism ko baain taraf(left side) say jism ka koe bhi hissa khushk(dry) nah rehjaay.sar or garden ko dhotay waqt agar paani jism k kisi or hissay(maslan shoulder) per bhi lag raha ho tu koe maslah nahi. Tamaam wajib or mutahab ghusl k kernay k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay albatta mustahab hay k wuzu karain. Laikin ghusl e janabat k baad tu zarori hay k wuzu nah karain.or ghusl e istihaza e mutawassitah (aurato ka aik ghusl) k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna hoga. (ref”Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#360,389) .

Print

Id:
2398
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar mujhay sir rozay main nend ma ahtlam hojat to us ka main kesay ghusal karoo

Answer: bismehi taala,(agar jism par koi najasat lagi huee ho to ghusal se pehle use hata lena chahiye aur us k baad) Niyyat karney key baad sab sey pehlay sar aur neck ko dhona zaroori hay. Us key baad pooray badan ko dhoona zaroori hay aur badan ko dhonay mein behtar yeh hay keh pehlay seedhay hissay ko aur baad mein ultay hissay ko dhoya jaye. Gusl mein agar baal barabar badan bhee dhulnay sey reh jaye to gusl batil hoga. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)

Print

Id:
2407
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir agar roozay k dauraan gusal farz hojaay to gusal krtay waqt kuli aur naak mai paani daal sktay ha issay roaza tootay ga to nai plzzzzz sir jaldi answer day dain

Answer: bismehi taala, gusal me kuli karna aur nak me pani dal-na zaroori nahin (ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)

Print

Id:
2408
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir apne bata ya nahi ke uchal se kiya murad hai aur shehwat kise kehte hai plz tell me fast maine yahi sawal apse kaye dafa kar diya hai but apne answer nahi diya plz jawab bata de aur maine apse ye bhi pochna tha ke agar mazi nikle ya ratoobat tu kapre napak tu nahi hote aur ye ratoobt kiya hoti hai plz tell me fasat thankzzzz

Answer: Mani ka uchal ker nikalnay say muraad hay k wo aik dam say bahar aati hay(yani jump maar kar),or shehwat say muraad hay k mani k jism say bahar aanay per aik lazzat(lust) si mehsoos hoti hay.or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul masail Maslah#70,71,345).

Print

Id:
2409
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Every 3 to 4 times a day a sticky substance comes out of penis I think it is mani. it comes out even i am no thinking of sex. I offer 5 times prayer. I m very worried will i get gunah.

Answer: bismehi taala, Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352

Print

Id:
2418
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir eid ul fitr ko ghusl karna sunnat hai aur is ghusl ki niyyat kiya hogi ?

Answer: bismehi taala, eid ul fitr aur eide qurban ka ghusal musthab he aur is ka waqt subh ki azan se suraj ghurub hone tak he aur behtar yeh he k eid ki namaz se pehle kar liya jaye (ref: tawzihul masail Aytullah Seesatani (d.b.) masaala no.651) niyyat qurbatan elalllah hogi.

Print

Id:
2447
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamoalaikum...sir mer sawal ye hai k ..gusle janabat karnay sai phlay pooray jism ko acchi tarhan dhona zaroori hai ...ya sirf wohi hissa dho laina kafi hai jo nijiss hai..or agar gusal sai phlay jism ko dho laina wajib tha ..tu kya mere sary(all) rozay or namaz batil hain .... shukriya

Answer: w.s. sifr wahi hissa dhona kafi he jo najis ho (Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Seestani Probe No (367 & 380)

Print

Id:
2466
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamoalaikum.sir mere satt aksrr assa mehsaoos hoota hai ..kai mere pisab ki jaga sai kuch drops kharij hoo gai hai...so plzz iss mai gusall karna hota hai ..ya voo pkk hai ......ALLAH HAFFIZ

Answer: w.s., Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani Probe No. 351 & 352

Print

Id:
2489
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: sir mera sawal ye hai apse ke agar kapro per mani lag jaye tu usko pak karne ka kiya tareeqa hai plz answer me fast thanks

Answer: Agar mani lag jaye tu usko paak karne ka tareeqa ye hay k mani ki nijasat ko door ker k aik mertabah os jagah per paani daala jaay,jab wo paani beh jaay tu wo cheez paak hojati hay,laikin libaas or is jaisi hi chezoo ko nichornah bhi zarori hay.(ref:Ayat Ullah Ayat Ullah Seestani(d.b), (d.b), Tauzee hul masail, maslah#155).

Print

Id:
2493
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kya aurat ki vagina ki sucking halah ha ya haram ha, or ky mard k penis ki sucking halah ha ya haram.

Answer: bismehi taala, (mian-biwi k darmiyan) Aisa karna Jaiz hay, magar ye kay ratoobat Halaq say na niglay. Ref:Istiftaat A.Sistani I-2.

Print

Id:
2509
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: rat ko sote waqt koi sexy khawab dekh raha ho or mehsos ho k ahtlam ho raha ha or usi waqt ankh khol jae. apni sharamga ko dekhe to us me se koi ratubat (mani,mazi,gadi)na nikle to kia ghusal wajib ho jata ha

Answer: agar kisi shaks ko shak ho k os k jism say mani nikli hay ya nahi tu os per ghusl e janabat wajib nahi hay.mazeed ye k mazi,wazi,wadik nikalnay per ghusl wajib nahi hota.(Ref:Ayat ullah Seestani(D.B)tauzee hul masail Maslah#351 & 70).

Print

Id:
2539
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mera swaal yeh hai k nahaney ke doran wuzu ho jata hai ya alahda karna parega.agar nahaney ke doran sharmgah ko haath lag jai to wuzu baqi rahe ga .Nahaney ke doran wuzu ka kia tariqa hai?

Answer: Tamaam wajib or mustahab ghusl k baad, namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay (siwaay ghusl e istihazah e mutwasitah k).or ghusl e janabat k baad namaz k liay wuzu kerna haram hay.Agar nahanay say aap ka matlab sirif aam nahana hay tu is say pehlay ya baad main namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori hoga.(ref: Ayat ullah Seestani (D.B),Tazee hul masail,Maslah # 389). or sharmgah ko haath laganay say wuzu batil nahi hota.wuzu sirif 7 Chezo say batil hota hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tazee hul masail,Maslah # 322).

Print

Id:
2558
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ghus le janabat ka asal islam mein tariqa keya he (na ke molvies ke point of view se) jese kehtein hein ke moon mein / nak mein is had taq pani jaye to ghusal hoga verna nahi jism ka koi hisa khusk reh jaye to nahi ho ga is mein haqeeqat keya he --- aghar mein sada naha lon beghair nak / moon mein panid dale / jism ka koi hisa khusk rehjaye to ghusle janabat ho jaye ga

Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- ehtiyaat laazim hay k sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar or garden ka koe hissa khushk hay tu dobaarah say ghusl karain or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif os hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), tauzee hul masail,maslah#359 to 364)

Print

Id:
2801
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalamualikum sir my question is k kiya hlate jnabat main quran majeed sunnay main koi gnah ha plz axplane me thanks ALLAH HAFIZ

Answer: Halat e janabat main quran majeed sunnay main koe gunah nahi hay.balkeh halat e janabat main quran majeed ka perhna bhi jaiz hay.laikin 7 say ziyadah ayaat ka perhna makhroh hay(yaani 7 ayaat k baad say sawaab khuch kam milay ga),or wo 4 ayaat perhna jin k perhnay per sijadah wajib hojata hay perhana haram haain.or janabat main quran majeed ki tehreer(writing) ko choona bhi haram hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#354,355).

Print

Id:
2804
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: as salam u alaikum.agar ghusal janabat kiay baghair bivi nashta bana dey or dono usi haalat mein khaa lien to woh halal hay k haraam?is k baray mein kia hukam hay?

Answer: Halat e janabat main khaana peena makhrooh hay, laikin agar haath(palm),monh(face) or kolli ker lay tu ye kaam makhroh bhi nahi hay, or agar sirif haath hi dhoolay tab bhi karahiyat(makhrooh) kam hojati hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#355).

Print

Id:
2811
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Gusl-e-janabat is wajib or not.

Answer: Ghusl e jannabat wajib namaz parhnay k lie aur is jaisi doosri ibadaat k lie wajib ho jata he. Lakin namaz e mayyat , sijdah e sawh , sajdah e sawh aur quran majeed k wajib sajdooh k lie ghusl e jannabat zurari nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2817
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Salam o Alekum, Mujay Ghosul e Janabat ka tariqa batadain

Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah Khoe(d.b), tauzee hul masail,maslah#367-372).

Print

Id:
2819
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalamu alaikum wat is the dua for gusul-e-jinabat(At first night(hambistari ke bad), mard our ourat keliye gusul ki duva kya hai?) 2) kya shadi se pehle hambistaree gunah hai?( shadi hone valee ladkike sath)

Answer: 1)Ghusl e janabat kertay wqat dua perhna wajib nahi hay.ye dua perhna behter hay.
Çáªã ØªÑ ÞáÈی æÇÔÑÍ áی ÕÏÑی æ ÇÌÑ)
(Úáی áÓÇäی ãÏ Íʘ æÇáËäÇÁ Úáی˜ Çááªã ÇÌÚáÀ áی تæÑÇ æ ÔÝÇÁ æ äæÑÇ Çä˜ Úáی ˜á ÔیÁ ÞÏ یÑ۔
“allaahumma tahhir qalbee washrah lee sadree wa ajri alaa lisaanee midhatak wassana.a alaik allaahummajalho lee tahooraa washifa awa nooraa innaka alaa kulli shaein qadeer.”

2)Nikah say pehlay hambistari kerna haraam hay.(Ayatullah Seestani(d.b),jaded fiqhi masail,maslah # 429).

Print

Id:
2854
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Ghusl kab wajib hota hae?

Answer: Wajib ghusl 7 hein. 1) ghusl e istehazah 2)ghusl e haiz 3)ghusl e nifaas 4) ghusl e janabat 5)ghusl e mas e mayyat 6)ghusl e mayyit 7) wo ghusl jo mannat ya qasam waghera ki wajah se wajib ho jay. In 7 ghusl me se pahle 3 ghusl auratoon se khas hein baqi 4 ghusl mard or aurat dono per wajib ho sakhte hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) pg # 62).

1. Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 ).
2. Haiz wo khoon he jo umoman har mahinay chand dino k lie auratoon k raham se kharij hota he aur aurat ko jab haiz ka khoon aye to osay haa’iz kehtay hein. Aur haiz se pak honay k bad ghusl e haiz kia jata he.
3. Jab Bachay ka pehla juz maa k pait se bahar anay k waqt se 10 din tak jo khoon aay wo nifaas ka khoon kehlata he. Aur is me bhi ghusl karna hota he.
4. Aurat ko jo khoon aata he agar wo 10 din se barh jay to os ko istehaza ka khoon kehtay hein. Is me bhi ghusl e istehaza karna hota he.
5. Agar koe shakhs kisi aisay murda insan k badan ko mas karay jo thanda ho chukka ho aur jisay ghusl na dia gya ho to chunay walay per ghusl e mas e miyyat karna wajib he.
6. Miyyat ko tarteeb se teen ghusl dena wajib he:
1 :Aisay pani se ghusl dena jis me bairi k pattay milay huay hoon.
2 :Aisay pani se ghusl dena jis me kafoor mila hua ho.
3 :Khalis pani se.
7. Agar koe shakhs mannat manay ya qasam khay ya ehed karay k apnay upper ghusl ko wajib kar le to phir os per ghusl karna wajib ho jay ga magar is me shara,it hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344-558) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2905
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: 1. Koi Shaks Ghusl Tertibi fix shower or telephonic shower mein karta hai to us ka Gusal sahi hai. 2. Agar ek office mein Washroom saaf karne wala Hindu hai aur hum waha wazu karte hei to us ke liye kya hukum hai? Wsalam,

Answer: jee haan, Tertibi ghusl fix shower or telephonic shower se kerna sahi hay. Laikin shower se ghusl kernay walay ko chahiay k wo sar or gerdan ko mukammal dhonay k baad ehtiyaat e wajib ki bina per apnay sar ko shower k pani se juda karay or is k baad dobara ghusl ki niyat se badan ko shower k paani main lay ker jay or badan ko dhoay. (Ref : Al-Masa,ilul shariyah,Part#1, Ayatullah Khoe (r.a.),pg#50, Masla # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
2909
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar begair kuch kiye koi sex story sun k ya soch k ya tv p sexy sen dekh kar jo pani nikalta ha wo pak ha k nai ya usk bad gusal wajib ha.

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah seestani(D.B)Tauzeehul masil,malah#70,354-353)

Print

Id:
2941
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: difference between mazi and mani?

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg#27,67)

Print

Id:
3010
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: can u send me a ghusl ayat if i had got wet in my email id thanking you

Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).

Print

Id:
3028
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ghosal karnay ka tarika compleat

Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3091
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalam-u-aalaekum, Ghusle Janabat krte howe jo pani ki cheentey jisam se pani wali baalti ya tab main girti hai kya uss cheenton se balti ya tab ka pani najas ho jata hai ya nahi? jawab dey kr mashkoor farmae.

Answer: Ghusl e janabat k doran girnay wala pani pani paak hota hay.jab tak k is main koe nijasat shamil nah ho.masslan mani ya paishab waghaira.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 114). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3172
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: ghusl e janabat ki dua

Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3178
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mara sawal yeh ha k jab ham gusal kar rhe ho to peshab k katre niklne se ya hiwa harij ho jane se gusal par koi asar parta ha yar phir bi gusal ho jaye ga

Answer: Agar koe ghusl k doran peshab kar de to is ghusl ko tark kar k new siray se ghusl karna zarori nahi he balkeh wo apnay is ghusl ko mukammal kar sakhta he ,is surat me ehtiyaat e lazim ki ki bina per wuzu karna bhi zaruri he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384).
Or agar aap ko yaqeen nah ho k ghusl k doran paishab ya hawa(gas) kharij hoe hay tu aap apnay is ghusl ko mukammal kaain or agar ye ghusl wajib(siwaay ghusl e istehaza e muta,was,sita) or mustahb ho tu wuzu karna bhi zaruri nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 299, 384, 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print