Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Ghusl (119 Questions)


Showing 100- 119 questions from 119 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
3179
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mara sawal yeh ha k jab ham gusal kar rahe hote ha to during the gusal agar phesab k katre nikal jaye ya hiwa harij ho jaye to gusal ho ga ya nahi yar agar nahi to kia karna chaye jab aap ko sure no ho k peshab k katre nikle ya nahi thank

Answer: Agar koe ghusl k doran peshab kar de to is ghusl ko tark kar k new siray se ghusl karna zarori nahi he balkeh wo apnay is ghusl ko mukammal kar sakhta he ,is surat me ehtiyaat e lazim ki ki bina per wuzu karna bhi zaruri he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 384).
Or agar aap ko yaqeen nah ho k ghusl k doran paishab ya hawa(gas) kharij hoe hay tu aap apnay is ghusl ko mukammal kaain or agar ye ghusl wajib(siwaay ghusl e istehaza e muta,was,sita) or mustahb ho tu wuzu karna bhi zaruri nahi ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 299, 384, 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3182
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam ager kisi larki ki dead body mily tu kesy pata chaly ga k woh muslim hai ya non muslim uss dead body ka koi ata pata nahi hai plz answer me

Answer: Har wo mayyat(deead body) jo musalman mulk se milay tu wo zahiran musalman hay or isi terah agar os mayyat ko musalman k ghar se uthaya gaya ho, balkeh ehtiyaat e lazim ki bina agar kafir k ghar k liay yehi hokum(yani os ko musalmaan samajhna) hay jab os mayyat k musalman hone ka ehtemaal ho. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah# befor 303 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
3185
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aoa hazrat sb. ghusle janabat mein kano mein geeli ungali phairni hoti he ya duya jata he plz. jawab jaldi degiaga

Answer: Ghusl me agar baal barabar badn bhi un dhula reh jay to ghusl batil he lakin kan aur nak k androni hissoon ka aur har us cheez ka dhona jo batin shumar hoti ho wajib nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 373)

Print

Id:
3186
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aoa hazrat sb. ghusle janabat ka in real islam kaya tariqa he (molvion ke point of view se nahi) ur ye jo kaha jata he ke ghusle janabat mein pure jism per pani bahana chaheye koi jaga khusk reh gaye to ghusal nahi hoga > ibadaat nahi ker sakte plz. quran ke roh se sahi guide kerein

Answer: Ans : 1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha.
2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi.
3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he.
4)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
5)ghusl me agar baal barabar badn bhi un dhula reh jay to ghusl batil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #360-365, 357,383, 344 , 356,373) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3201
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: mani nikalnay kay bachanay ka tareeqa?

Answer: Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253)
1)First of all you must repent and pray to Almighty Allah (swt) for forgiveness and promise yourself not to do that sin again and always remember that Allah (swt) is looking at you and by doing that sin you do obey devil and disobey Allah(swt). Also try to engage in some useful activities such as sport reading ..etc and avoid anything that may arise your sexual desire. Also if you cannot control yourself then you must get married.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010)
2)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 3)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) ghunahoon se bachnein k bohat se tariqe hain jin me se chand ye he k 1)mout ki yaad ko dil main bassa’en 4) ye tassawur karain k khuda aap ko har waqt dekh reha hay. 5)khaas taur per namaz e shab ki pabandi karain. 6)Pakiza aur halal ghiza kahain…. etc (ref : kitab tark e ghunahan k 40 tareeqe). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3208
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: sex ke bad ghusl ki dua ladki ke liye

Answer: Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Working in Saudi Arabia. Need following:1-procedure of Gusl e mase mayyat. 2- Procedure for giving ghusl to mayyat. 3- procedure for namaz e maayyat. 4-about waseeyat. pl. pl. pl. send article on my mail address in URDU/ENGLISH.

Answer: 1)Ghusl e mas e mayyat karnay ka tareeqa :
Ghusl e mus e mayyat ghusl e janabat ki tarah he aur is k bad wuzu ki zarorat bhi nahi rehti. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah# 519 , 360-365). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/62.htm)

2) Ghusl mayyat ka tariqa :
1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha he
2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein.
1. Aisay pani se jis me baari k pattay milay hua hoon.
2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho.
3. Khalis pani se.
3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qarbat ki niyat rakhta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 539-558).
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/66.htm)


3) Namaz e mayyat ka tareeqa :
Namaz e mayyat me 5 takbeerain hein.Aur agar namaz parhnay wala shakhs nechay di gae tarteeb k saath 5 takbeerain kahay to kafi he. Niyat kernay aur 1st takbeer k bad kahay.( اشھد ان لا الہ الا اللہ و اشھد ان محمدا رسول اللہ ) (ASH,HADO AL LAA ILAA,HA IL,LALLAAHO WA ASH, HADO ANNA MUHAM,MA,DAN RASOO,LUL LAH)
2nd takbeer k bad dOrood parhay. (اللھم صل علی محمد وآل محمد)
3rd takbeer k bad kahay ( اللھم اغفرللمومنین و المومنات )(ALLAA HUM,MA IGH,FIR LIL,MOOMINEENA WAL MOO,MI,NAAT)
4th takbeer k bad agar mayyat mard ho to kahay (اللھم اغفرلھذا المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZAL MAYYAT)
Aur agar miyit aurat ki ho to kahay (اللھم اغفرلھذہ المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZIHIL MAYYAT)
Aus is k baad 5th takbeer kahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 598).

Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm)

4) Wasiyat :
Wasiyat ye he k insan ta,qeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie.
Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2687-2690)
Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/65.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3265
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalaelaikum kya biwi ko hambistari kebaad koi ghusl karna padta hai aur agar jasmaani taaluqaat na bane par uske jism par agar mera sharmgaah se nikla liquid lag jae pto use ghusl karna padega? meharbaani karke us ghusl ko karne ka tareeqa bhi bataein shukriya

Answer: Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay jis mai sai aik jima krna (intercourse) hai. aur agar koi shakhs aurat sai jima kray aur azu e tanasul (penis) supari ki miqdar tk ya is sai ziada dhakil ho jae to ye dhokool faraj mai ho ya dubr(back side) aur chahae balig ho ya na balig aur chahae mani kharij ho ya na ho donoo mujnib ho jatay hain. Aur namaz ya is jaisi doosri ibadatoo k lie ghusl e janabat krna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 343,348,356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
3308
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AssalamuAlekum! Dear Sir mey ek Married hoon, Mujhey Maloom Karna hey k Mujhey Qatron ka marz hey, mey so ker uthoon or kapron per koi nijasat na ho lekin ye shak hey ya yaqeen hey k qatra aaya ho ga to kya gussal wajib ho ga? Kya sirf Khayal anet se ya biwi se Kiss kerney se Qatra aaey to Gussal wajib ho ga?

Answer: 1)Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee.
Mani ki 3 alamatain hain.
i) Shewat key saath niklay ii) Uchal ka nikley iii) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
2) Jo ratubat shawat ubharnay per ya aurat k sath chair char k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta he wo paak he aur os se ghusl bhi wajib nahi hota.aur na hi wo wuzu ko batil karti he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345 , 70). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3318
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: KIA SERF SAFED PAANI NEKL AANE SE GHOSAL WAJIB HOTA HE BAGHER KISI KO CHOVE ?

Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee.
Mani ki 3 alamatain hain.
1) Shewat/ lazzat (Lust) k saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemaar honey ki sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.
or wo rutubat jo kabhi kabhi lazzat k aanay per merd k paishaab ki naali say nikalti hay, osko mazi kehtay hain wo paak hay.mazi nikalnay per ghusl bhi wajib nahi hota or naa hi wuzu baatil hota hay.(Ref:Ayat ullah Khamenae(D.B)Istiftaat Part #1,sawal#99 & taleemul ehkaam Pg # 27,67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3321
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: gozal karnay ka sahi tarika or neyat?

Answer: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3381
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Kia aurat aur mard k ghusl-e-janabat main farq hai ya nahin agar farq hai to kia farq hai

Answer: Mard aur aurat k ghusl e janabat krnay mai koi faraq nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-389)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
3401
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A.A mera sawal yeh hai kai main janabat kay baad jab gusal karta hoon to pehlay nijasat dhota hoon phir wazo karta hoon phir apnay jism par 3 baar pani bahata hoon yahan tak k koi jaga sokhi na reh jae (pehlay right side per phir left side per phir sur per 3 baar pani bahata hoon) kaya mera ghusal ho gaya ya nahi. please jawab dain aap ka bohat shukraya ALLAH HAFIZ.

Answer: 1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha.
2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi.
3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he.
4)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( Çááåã ØåÑ ÞáÈí æÊÞÈá ÓÚíí æÇÌÚá ãÇ ÚäÏß ÎíÑÇð áí ¡ Çááåã ÇÌÚáäí ãä ÇáÊæÇÈíä æÇÌÚáäí ãä ÇáãÊØåÑíä )
(allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen) (ref : sistani(d.b),urwatul wusqa part#1, [683] ka masla#22 ).
5)ghusl me agar baal barabar badn bhi un dhula reh jay to ghusl batil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #360-365, 357,383, 344 , 356,373) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3510
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aoa...main 17 saal ka hogya hun aur meri money nikli hai tou ghusal karne ka tareeqa kya hai? mainkaise pak hunga??

Answer: 1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehai ke gusl ke waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar reha he bulka faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357)
2)Agar ghusl k baad shak karay k ghusl saahi kia he ya nahi to dabara ghusl karna zaruri nahi. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 383)
3)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)
3)Ghusl e janabat ki dua mustahib he wajib nahi or dua ye hay k .
( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: KAYA KISI MARD YA AURAT KA KISI NA MAHRMA PAY DBARAH QASDAN NAZAR DALNAY PER GUSUL FARZ HOJATA HAI?

Answer: Do cheezo say insan mujnib(halat e janabat) ho jata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. Is k alawa ghusl wajib nhi hota. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 344) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
3586
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ya ghusal kay faraez poray karnay se ghusal ho jata hay?

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein.

1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365).
(Aur gusl ki niyat) Ye zarori nahi ke ghusl k waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar raha he balkeh faqat qurbatan ilallaah yani baargah e alaahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3650
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mujhe gusl ki sahi niyat ke bare me janna hai?

Answer: Ye zarori nahi k ghusl k waqt ye niyat ki jay k wajib ghusl kar reha hoon bal keh faqat qurbatan illaah yani baargah e illahi me farotni or aajizi k ireda se ghusl karay to kafi ha. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 357) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3773
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agr gusal karna zarorri ho aur jism par zakham ki waja se pani lagana mana ho tu kya karna chaayie?

Answer: Agar badan per zakham ya phora ho to to mukkalaf ko ghusl ya tayammum ka ikhtiar he. Agar wo ghusl ko ikhtiyar karta he aur zakham ya phoray per jabira(patti) na ho to ethiat e mustahib ye he k zakham ya phoray per pak kapra rakhay aur us kapray k upper mussa karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 338)
(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
3781
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: asalam ale kum jab shohar zabardasti har raat ko sex kare aur ghusal utarne ka roz time nahi milta ho kyonki 6 bacchon ke sath orat ko sara waqtghar ke kaam main guzarta ho to koi gunnah hai

Answer: 1)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur is jaisi dosri ibadaat k lie wajib hota he.laihaza namaz o roza or dosri ibdaat k aap ko ghusl kerna wajib hoga,warna aap gunah gaar hongi. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)
2) Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) haasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e uzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay.(tauzee hul masail,Ayatullah Sistani(d.b),maslah #2376)
3) Haiz ki halat main jima(intercourse) kerna shohar or b.v dono k liay haram hay.Agar mard apni biwi se haiz ki halat me jima karay to is ke lie zurari he ke estigfar karay aur kaffara dena wajib nahei he. Agarcha behtar he ke kaffara bhi de. (ref :Ayat ullaha sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#450). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print