Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Namaz (74 Questions)


Showing 50- 74 questions from 74 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1135
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: maghrib aur isha ki namaz ka time kab tak rehta hai?kia isha ki namaz ka time namaz e subah se pehle tak rehta hai?

Answer: Maghrib aur Isha ki Namaz ka waqt Mukhtar Shakhs (wo shakhs jis kay liye Namaz ko waqt main parhna mumkin ho aur sharaan koi uzr na rakhta ho)kay liye aadhi raat (Raat ka hisab Sooraj guroob honay ki ibtidaa say tuloo e fajr tak hay) tak rehta hay laikin jin logoo ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya Haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say agar wo aadhi raat say pehlay wo namaz na parh sakay hoo to un kay liye maghrib aur isha ki namaz ka waqt tuloo e fajr tak baqi rehta hay.Agar koi Ikhtiyari haalat main maghrib aur Isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to aihtiyat e wajib ki bina par zaroori hay kay Azan e Subh say pehlay Ada aur Qaza ki niyyat kay baghair in namazoo ko anjaam dain.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.724,728.

Print

Id:
1137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kya Quran TARAKUS SALAAT ko kafir kahta hai

Answer: Taarikus Salaat Kaafir nahi balkay Gunahgaar hay.Ref:Istiftaat A.Sistani S-23.

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1138
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: 3 rakat aur 4 rakat namaz mai ager shak ho kay hamari 3 rakat hai ya 4 tou kia hukum hai?

Answer: 1.Agar 3 rakaati Namaz hay masalan teesri aur chouthi rakaat main shak ho to Namaz Batil hay.2.Haan agar chaar rakaati namaz ho masalan Zohar,Asar aur Isha aur teesri aur chouthi rakaat main shak hoto wo samjhay ga kay chaar rakaat parhi hain aur Namaz ko Tamaam karay ga aur baad main aik rakaat Namaz e Aihtiyaat kharay hokar ya 2 rakaat baith kar parhay ga.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1152(2),1186(5)

Print

Id:
1139
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: zohar,asar,isha ki tesri aur choth rakat kay shak k baray mai kia hukum hai?

Answer: Is soorat main wo samjhay ga kay 4 rakaat parhi hain aur Namaz ko tamam karay ga aur baad main 1 rakaat Namaz e Aihtiyat kharay ho kar ya 2 rakaat baith kar parhay ga.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1186(5)

Print

Id:
1146
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Tashhud mai Ashhado anna Ali Wali Allah perna jaiz hai?

Answer: Aihtiyaat ki bina par JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org (I-1)

Print

Id:
1152
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-21

Question: aslaam o alikum jnaba meera swaal ye hai k nmaaz mein ali un wali ulaah parhna jaez hai ya nahi

Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa (Aliun Waliullah) ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org

Print

Id:
1207
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamo likom. namaz e joma key bad zoher ki namaz parni chaey ya nahen. agr parni cheay tu iss ki neayet keya ho ge. walikomsalam. hamid shah

Answer: Agar Namaz-e-Juma ki tamam sharait maujood hoon aur phir juma ki namaz parhay to phir ye Namaz-e-Zohar ki kifayat karti hay.(yani Zohar parhna zaroori nahi hay)Ref:Tauzeeh ul Masail A.Sistani Masala No.720.

Print

Id:
1216
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: SALAM KIA JUMA NAMAZ PHARNA WAJIB HAI OR KHUTBA SUNE K KIA EHKAM HAI TAI PHANA HARam hai ya nahi

Answer: Ghaibat e Imam(AS) kay zamanay main Namaz-e-Juma Wajibe-e-Aini nahi hay,balkay Wajib-e-Takheeri hay.Is se muraad ye hay kay Juma kay din mukallaf ko Ikhtiyar hay kay Agar Namaz-e-Juma ki Sharait maujood hoon to Juma ki Namaz parhay ya Zohar ki Namaz parhay.Lihaza Agar insaan Juma ki Namaz parhay to wo Zohar ki Namaz ki Kifayat karti hay.(Yani phir Zohar ki Namaz Parhna zaroori nahi hay)...Aihtiytat-e-Wajib ki bina par dono khutboon ka sunna wajib hay laikin jo log khutboo kay meaning na samajhtay hoon un kay liye sunna wajib nahi hay...Tie pehenna bazaat-e-Khud Haram nahi hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.722,720...Book-2 Q.No.185,Pg.185.

Print

Id:
1219
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: how to perfom namaz-e-ijara

Answer: 1.Zaroori hay kay ajeer Namaz kay Ajzaa o Sharait aur is kay munaafi cheezoon aur khalal kay aihkaam waghaira ko Ijtihaad ya sahih Taqleed kay zariye janta ho,haan jo shakhs na mujtahid ho aur na hi muqallid ho agar wo aihtiyat ki kaifiyat say aashna ho aur aihtiyat par amal pera ho to baeed nahi kay usay ajeer banana jaiz ho..2.Ajeer ka aadil hona shart nahi haybalkay is ka is tarah ameen hona kaafi hay kay Itmeenaan ho jaey kay wo sahih taur par anjaam day ga.baeed nahi hay kay baaligh hona zaroori na ho agarchay aihtiyat ye hay kay baligh ho..3.Mard aur Aurat main say har aik ko dosray ka ajeer banana jaiz hay..Namaz buland ya aahista awaz main parhnay ,badan chupanay,aur libaas ki sharait main jo namaz parh raha hayus ka khayal rakha jaey ga na kay marnay walay ka..4.Agar namaz kay mustahibbat ada karnay kay lihaaz say namaz ki kaifiyat moien na ki gae ho aur ijaray say bhi is ka pata na chalta ho kay namaz main mustahibbat ko anjaam dena wajib hay ya nahi,to qunoot aur rukoo ki takbeer waghaira jaisay maroof mustahibbat ka baja lana wajib hay..5.Qaza main Tarteeb wajib nahi hay.Ref:Tehreeul Waseela Imam Khumaini Part-1 Masala No.3,4,7,8,12.

Print

Id:
1233
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamolikom. namz e janaza mey jand bato key mutalq batae,1- keya wazo karna lazme ha? 2- keya paon sey jotey otarney cheyn ? 3- kasi gair shia key leyey dua e magferat parni chaey?4/ marney waley key gar jaa kar 3 den ka kahna kana chaey? hamid madina Gujrat

Answer: 1:Zaroori nahi hay.(Ref:Tauzeehul Masail Masala No.586)...2:Mustahab hay kay Namaz-e-Mayyat nangay paaon parhi jaey (Ref:Tauzeehul Masail Masala No.601)...3:Shia aur ghair shia kay hawalay say chothi takbeer kay baad dua main kuch farq hay.is tarah kay shia(momin) kay liye alag dua hay.mustazafeen yani wo log jinhoon nay Haqq ko qabool nahi kiya laikin agar un kay samnay haqq aashkaar hojaey to wo isko qabool kar laingay,un logoon kay liye alag dua hay aur jin logon ka haal maloom na ho un kay liye alag dua hay(Urwatul Wusqa Pg.328)...4:Mustahab hay kay mayyat kay aihl-e-khana kay liye 3 din tak khana bhaija jaey,un kay paas baith kar aur un kay ghar khana khana makrooh hay.(Ref:Tauzeehul Masail Masala No.622)..Duain.Shia(momin) kay liye « Çááåã Åä åÐÇ ÇáãÓÌøì ÞÏÇãäÇ ÚÈÏß æÇÈä ÚÈÏß æÇÈä ÃãÊß äÒá Èß æÃäÊ ÎíÑ ãäÒæá Èå ¡ Çááåã Åäß ÞÈÖÊ ÑæÍå Åáíß æÞÏ ÇÍÊÇÌ Åáì ÑÍãÊß æÃäÊ Ûäí Úä ÚÐÇÈå ¡ Çááåã ÅäÇ áÇ äÚáã ãä ÅáÇ ÎíÑÇð æÃäÊ ÃÚáã Èå ãäÇ ¡ Çááåã Åä ßÇä ãÍÓäÇð ÝÒÏ Ýí ÅÍÓÇäå æÅä ßÇä ãÓíÆÇð ÝÊÌÇæÒ Úä ÓíÆÇÊå æÇÛÝÑ áäÇ æáå ¡ Çááåã ÇÍÔÑå ãÚ ãä íÊæáÇå æíÍÈå æÃÈÚÏå ããä íÊÈÑà ãäå æíÈÛÖå ¡ Çááåã ÃáÍÞå ÈäÈíß æÚÑøÝ Èíäå æÈíäå æÇÑÍãäÇ ÅÐÇ ÊæÝíÊäÇ íÇ Åáå ÇáÚÇáãíä ¡ Çááåã ÇßÊÈå ÚäÏß Ýí ÃÚáì Úáííä æÇÎáÝ Úáì ÚÞÈå Ýí ÇáÛÇÈÑíä æÇÌÚáå ãä ÑÝÞÇÁ ãÍãÏ æÂáå ÇáØÇåÑíä æÇÑÍãå æÅíÇäÇ ÈÑÍãÊß íÇ ÃÑÍã ÇáÑÇÍãíä »..Mutazafeen kay liye dua ..« Çááåã ÇÛÝÑ ááÐíä ÊÇÈæÇ æÇÊÈÚæÇ ÓÈíáß æÞåã ÚÐÇÈ ÇáÌÍíã ¡ ÑÈäÇ æÃÏÎáåã ÌäÇÊ ÚÏä ÇáÊí æÚÏÊåã æãä ÕáÍ ãä ÂÈÇÆåã æÃÒæÇÌåã æÐÑíÇÊåã Åäß ÃäÊ ÇáÚÒíÒ ÇáÍßíã »..Majhoolul Haal kay liye dua..« Çááåã Åä ßÇä íÌÈ ÇáÎíÑ æÃåáå ÝÇÛÝÑ áå æÇÑÍãå æÊÌÇæÒ Úäå »

Print

Id:
1235
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: jamat namaz parhte parhte furada namaz ker sakte hai ya nahi?

Answer: Zahir ye hay kay Namaz-e-Jamat main kisi bhi maqam par Furada ki niyyat karna Agarchay ikhtiyaar

kay saath ho JAIZ hay,chahay pehlay hi say is ka irada kion na rakhta ho.laikin Aihtiyaat ye hay

khusoosan jab pehlay hi say is ka irada rakhta ho,furada ki niyyat na karay magar ye kay zaroorat

is baat ka taqaaza karay.agarchay wo zaroorat dunyavi aitibaar say hi kion na ho.Ref:Tehreerul

Waseela Pg.483.Masala No.7.

Print

Id:
1236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: aok, if a person wants to offer jumma as well as zohar prayers then what will be his niyat for both zohar and jumma prayers?

Answer: Agar Namaz-e-Juma apni tamam sharait kay saath ada ki ja chuki hay to zohar ki namaz parhna jaiz nahi hay...Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720,I-23.

Print

Id:
1240
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslamo likom. app ney ik sawal key jawab mey kaha,(key ager joma ki namaz ki tamam saraid mojod hon). baraey karm. keya app wo sharaet bata saktey han walikom salam . hamid...madina gujrat

Answer: Juma ki Namaz wajib honay ki chand shartain hain.jo mundarja zail hain...1:Waqt ka dakhil hona,jo kay Zawal-e-Aftab hay.aur is ka waqt Awwal-e-Zawal-e-Urfi hay pas jab bhi is say takheer hojaey is ka waqt khatam ho jata hay.aur phir zaroori hay kay zohar ki namaz ada ki jaey...2:Namaz parhnay waloon ki tadad jo kay Imam kay saath 5 afrad hay aur jab tak 5 musalmaan ikathay na hoon Juma ki namaz wajib nahi hoti...3:Imam-e-Juma ka Jamiush-Sharait hona masalan Adalat waghaira.Agar ye sharait poori na hoon to Juma ki namaz wajib nahi hoti...Juma ki Namaz sahih honay ki chand shartain hain jo mundarija zail hain ...1:Ba-Jamat parha jana...2:Namaz say pehlay 2 Khutbay parhna...3:ye kay Juma ki 2 namazoon kay darmiyaan 1 Farsakh say kam Fasla na ho (yani jin 2 jaghoon par Juma ki Namaz Qaim ho unkay Darmiyan 1 Farsakh yani 5.5 KM (Sarhay Paanch Kilometer) ka fasla maujood ho)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.123 Masala No.720.

Print

Id:
1242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: a.o.a molana kia namaz awaz k sath per saktya hain athni awaz kay telawaty ke awaz sirf kud ko hee aay. thx allah hafiz

Answer: 1:Mard par Aihtiyaat ki bina par wajib hay kay subah,maghrib aur Isha ki Namaz main Alhamd aur Sura Buland awaz say parhay...2:Mard aur Aurat Dono par Aihtiyaat ki bina par Wajib hay kay Zohar aur Asar main Alhamd aur Sura Aahista parhain...3:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main Aurat Alhamd aur Sura buland awaaz say ya ashista jaisay chahay parh sakti hay laikin agar Na-Mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho aur us ka sunna haram ho to Aihtiyaat ki bina par aahista parhay...4:Awaz kay buland aur Ahista honay ka mayaar Urf-e-Aam hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.979-981.

Print

Id:
1259
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: as salam o alaikum. kya sunni fiqah ke pesh-imaam ke peeche namaaz e jamaat parhi ja sakti hai? is soorat mein niyyat kya hogi? aur juma ki namaaz ki jamaat ke baare mein kya hukm hai, aur niyyat kya hogi?

Answer: A.Sistani kay nazdeek Jamat namaz sunni ki imamat main parhna jaiz hay laikin aap ko qaraat khud karni hogee agarchay aahista aawaz main hi kion na karay (niyyat jamat ki hogee tareeqa furada wala hoga yani qaraat aur zikr khud parhna hoga)..Juma parhna bhi jaiz hay laikin ye juma kaafi nahi hoga juma kay baad zohar ki namaz bhi parhna hogee.Ref:Istiftaat I-40.

Print

Id:
1271
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya aik niyyat say mutaddid mayyatoon ki namaz-e-janaza ada ki jasakti hay?

Answer: Agar chand Janazay jama ho jain to un sab janazoon kay liye aik namaz-e-mayyat parhna jaiz hay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.309.

Print

Id:
1272
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Kiya aik niyyat say mutaddid mayyatoon kay liye Namaz-e-Wehshat ada ki jasakti hay?

Answer: Rajaa ki niyyat say parhnay main koi qabahat nahi (yani rajaa ki niyyat say parh sakta hay).Ref:Istiftaat A.Sistani I-34

Print

Id:
1309
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam/mujhe hath dhony,taharat karte waqy aur khas taur par ghusle janabat karte huay bauhat shaq (doubt) hotay hain. main iss masalay main pechlay 14 years say giraftar hoon aur ab main khud bhi bauhat tung hoon aur meri family bhi. Allah, mola kay wastay dua karain aur koi aasan hul batain. shukria

Answer: Choonkay aap kaseeru-sh-Shak hain aur waswasay ki beemari main mubtala hain is liye aap ko shak ki parwa nahi karna chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chahiye.Ref:Istiftaat A.Sistani I-49.

Print

Id:
1316
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: SALAM. KYA NAMAZ-E-FAJIR SUBBAH TUK QAZA NAHI HOTI.

Answer: Namaz e Fajar ki qaza ka waqt Tuloo e Aaftaab tak hay.Ref:Tauzeeh A.Khaminae Q.No.372.

Print

Id:
1323
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar kisi nay jan kar wazoo kay baghier namaz ada ki halan kay wo janta hai kay us ka wazoo namaz mein toot gaya hai hai lakin wo namaz mein raha to ab kya karna chiyay us ko

Answer: Agar Namaz kay doraan hadas waqay ho jaey to namaz toor kar wuzu karna zaroori hay.Lihaza aap ki zimmedari hay kay agar waqt baqi ho to namaz dobara ada ki niyyat say anjam dain aur agar waqt khatam hogaya ho to us namaz ki qaza karain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.301.

Print

Id:
1347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Assalamu alkum Meri age is waqat 33 saal hai mujh namaz qazai umerei aada karni hai kese ki jai gi

Answer: Qaza namaz parhnay ka wohi tareeqa hay jo Ada namaz parhnay ka hay albatta Qaza namazoo main tarteeb lazim nahi hay,siwaey un youmiya namazoo kay jin ki ada main tarteeb hay ,masalan zohar kay baad asar ya masalan maghrib kay baad Isha.Aur agar kisi ki namazain qaza hogaee hoon aur wo un ki tadaad na janta ho ya bhool gaya ho masalan 4 baqi hain ya 5 ya is say ziada to agar wo chotay adadkay hisab say parh lay to kafi hay,(yani jis kay baray main 100% yaqeen hay kay kam az kam itni namazain to qaza hoi hi hongee)balkay behtar ye hay kay itni namzain parhay kay usay yaqeen ho jaey kay sari namazain parh lee hain.(yani jis kay baray main yaqeen hay kay ziada say ziada itni namazain qaza hoi hongee,is say ziada nahi)Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.1361,1364

Print

Id:
1470
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: IS IT RIGHT TO SAY "YA ALI MADAD" WITH SALAM?IF RIGHT THEN TELL WEATHER IT IS MUSTAHAB OR MUBAH?

Answer: yeh salaam shumaar nahi hoga. REF: www.sistani.org

Print

Id:
1491
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mera sawal yeh hai k pakistan k time key mutabiq multan city mein "maghriban"ki azan takreeban 7:10 pm per hoti hai or taqreeban 7:25pm per pora andhera cha jata hai agar main kisi waja sey andherey k baad magrib ki namaz ada karoon to kiya meri "niyat","qaza" ki ho gi or yahi condition agar "namaz-e-fajr" ki ho jomein kabhi neend ki waja se nahin parh sakta to kiya mein 6:30am ya 7:30am per bhi fajr ki namaz qaza ki niyat se ada kar sakta hoon?

Answer: magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shaks kay liyay aadhi raat tak rehta hai. aur is dauran magrib ki namaz "ada" ki niyat se bajalae. aur agar koi shaks ikhtiyari halat me magrib aur isha ki namaz aadhi raat tak na parhay to ehtiyat-e-wajib ki bina par zaroori hai ke azan-e-subah se phelay qaza aur ada ki niyat kiyay bagair in namazon ko parhay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 724+728.
aur agar fajar ki namaz fajar kay waqt me anjaam di ja rahi hai to ussay "ada" ki niyyat se parhain gay, chahay faqat aik rakat ada karnay ka waqt hi baqi ho. aur agar waqt guzar janay ke baad anjaam di jai to "qaza" ki niyyat se parhi jai gi. aur fajar ka waqt yeh hai keh subah ki azan ke qareeb mashriq (east) ki taraf se aik sufaidi upper uthti hai jissay "fajar-e-awwal" kaha jata hai. jab yeh sufaidi phail jai to woh "fajar-e-dowwom" aur "subah ki namaz ka awwal-e-waqt" hai. aur subah ki namaz ka akhiri waqt suraj nikalnay tak hai. lihaza is waqt kay baad namaz "qaza" kar kay parhi jai gi, chahay ussay phir baad mein jis waqt bhi anjaam diya jai. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 729+736.

Print

Id:
1496
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: ASSALAM O ALIKUM. ] ALLAH APP KAY ILM MAY AUR IZAFA DAY AMEEN.. mujhey yeh poochna tha kay kisi insaan say qaza namazay hojati hay aur ab us ko yada nahi hay kay kitni namzay thi . aur woh ab tahajjud ki bhi namaz parhti hoon. kia namaz ki maafi hay

Answer: agar kisi shaks ko yeh yaad na ho ke us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay figure ke hisab se namaz parh lay to kafi hai. eg. yeh na janta ho keh subah ki 3 namazain qaza huwi thi ya 4 ya 5, to agar woh subah ki 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali example ke etibaar se behtar yeh hai ke subah ki 5 namazain parh lay. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1364
aur jis shaks ki namaz qaza hojai to zaroori hai ke us ki qaza parhnay mein kotahi na karay. aur jahan tak mustahib namazain parhnay ka taluq hai to jis shaks par kisi namaz ki qaza wajib ho to woh mustahib namazain eg. namaz e tahajjud par sakta hai. lekin is se qaza namaz ki zimidari saqit ya maaf nahi huwa karti. REF: A.Sistani, Tauzeeh ul masail, masla no: 1358+1359.

Print