Please click the button for Quran o Itrat Academy Whatsapp Channel.
Whatsapp Channel
Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (482 Questions)


Showing 450- 482 questions from 482 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
123093
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-20

Question: Kia Rozay ki halat main agar cigarette ya vape penay se roza batill hojata hai kun cigarette ya vape se to na gala geela hota hai na hi koi khuraak jati hai.

Answer: Rozay ko baatil karne waali cheezon me sirf khana aur peena shaamil nahin balke is ke alawa 7 cheezen aur bhi hain jo rozay ko baatil kar deti hain aur kul mila kar 8 chezain hain jo rozay ko baatil kar deti hain:
(1) Khana aur peena.
(2) Jimaa (intercourse) karna.
(3) Istimna (masturbation). Yani mard apne sath ya kisi dusre zariye se jimaa ke alawa koi aisa kaam kare jis ke natije main mani khaarij ho.
(4) Khuda-e-taala, Paighambar e Akram(s.a.w.w) aur in ke jaansheenon se ehtiyat e wajib ki bina par koi jhooti baat mansoob karna.
(5) Gubbaar halaq tak puhnchana ehtiyat e wajib ki bina par.
(6) Azaan subah tak jaanabat, haiz ya nifaas ki halat main baqi rehna.
(7) Kisi siyaal cheez se huqna (eneema) karna.
(8) Qeh (vomiting) karna.

Note: Rozay ko baatil karne waali cheezon me 5 number jo mubtil hai isi gubbar me se cigarette ya vape aur tambakoo bhi hai ke jis ke peene se roza Ehtiyat e wajib ki bina Baatil ho jata hai.

(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1587)
[Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123111
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-23

Question: Jb periods khtm hojayen lekin ghusal na kia ho to kia roza rkha ja skty hai?

Answer: Ghusl haiz kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare. Ramazan ki qaza mein agar jaan bhoojh ke ghusl ya tayyamum na kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo us din ka roza nahin rakh sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608).
[Updated on 24-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
123114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-23

Question: Me and my husband had intercourse during fast , pls lemme know how to recover it

Answer: 1: Roze ki halat me jima (intercourse) karne se roza baatil ho jata hai.
Agar koi shakhs ramzan ke roze ko jaan bojh kar jima ki wajah se baatil kare jab ke jabar (zabardisti) aur naachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to is par roze ki qaza ke alawa kaffarah bhi wajib ho ga.
2: Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko, jima ki wajah se baatil karay to is par qaza(repeat) ke alawa kaffara bhi wajib hoga. Kaffara ye he ke in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 Maheenay is tara Rozay rakhay ke aik poora mahena or is se agle mahene ke aik din tak musalsal roze rakhe or ise tarah baaqi mahene ke roze bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhe lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan waja shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe or uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day.
3: Agar rozedaar roze ki halat main apni rozedaar biwi se jima kare to agar us ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kaffara or ehtiyaat ki bina par zaroori hai ke apni biwi kw roze ka bhi kaffara day or agar biwi jima par razi ho to har aik par aik aik kaffara wajib ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1565,1568,1630,1632,1633,1649).
[Updated on 24-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-25

Question: Sir Kya hair removing cream private parts per use Karne se roza toot jata hai

Answer: Nahin, hair removing cream private parts par use karne se roza baatil nahin hota, balke Rozay ko baatil karne waali cheezen 8 hain jo rozay ko baatil kar deti hain:
(1) Khana aur peena.
(2) Jimaa (intercourse) karna.
(3) Istimna (masturbation). Yani mard apne sath ya kisi dusre zariye se jimaa ke alawa koi aisa kaam kare jis ke natije main mani khaarij ho.
(4) Khuda-e-taala, Paighambar e Akram(s.a.w.w) aur in ke jaansheenon se ehtiyat e wajib ki bina par koi jhooti baat mansoob karna.
(5) Gubbaar halaq tak puhnchana ehtiyat e wajib ki bina par.
(6) Azaan subah tak jaanabat, haiz ya nifaas ki halat main baqi rehna.
(7) Kisi siyaal cheez se huqna (eneema) karna.
(8) Qeh (vomiting) karna.

(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553)
[Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123137
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-25

Question: Roje me baalo me mehandi laga sakte hai Roja tutega to nahi

Answer: Jee rozay ki halat me mehndi laga sakte hai aur is roza nahin toote ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553).
[Updated on 26-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123151
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-26

Question: Salam Kya Ramzaan mein nikah mutta toot jata hai, or kya Ramzaan mein mutta kerny ki koi khaas shart hai. Meherbani ker k urgent reply kerny bohut bohut shukriya

Answer: 1: Jee nahin, Jab tak nikah e muttah me tay ki gayei muddat khatam na ho jaye ya maaf na kar di jaye tab tak nikah e muttah nahin toote ga.
2: Koi khaas shart nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2395,2473).
[Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123155
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-27

Question: Salam .mah.e.ramzan me naswar Ka Kia hukom ha . ayatollah Khomeini

Answer: Agar maloom na ho ke halaq tak puhnchay gi to Naswaar lena makrooh hai, lekin agar maloom ho to jaiz nahin.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Khomeini(r.h), maslah #1652).
[Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123159
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-27

Question: Rozay ki halat main Galti say Mani Nikalna aur is baat ka ilm na hokay roza toot sakta hai Tu is kafara Kia hai is kay baray main tafseel bata dain plz jazakallah

Answer: 1: Agar ikhtiyaar se mani khaarij ki jaaye to roza baatil hoga, baad me qaza bhi karni hogi.
2: Agar Ramazan ke roze ko khaane, peene, Jimaa, istimna (masturbation) ya janabat pe baaqi rehne ki wajah se baatil kiya ho jabke jabr aur lachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to qaza ke alawa kafffara bhi waajib hoga. Lekin jin umoor ka zikr kiya gaya hai agar koi un me se kisi kaam ko anjaam day jabke use pukhta yaqeen ho ke is amal se us ka roza baatil nahin hoga to kaffara wajib nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1569,1630,1631).
[Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123173
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-29

Question: naswar khany say roza toota hay ya nhii

Answer: Agar naswaar ke ajzaa halaq men daakhil na hon to roza sahi hai, lekin agar is ke ajzaa halaq men daakhil ho jayen to roza toot jaye ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554).
[Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-02

Question: Roza ki hakat main bhool kr Pani pena

Answer: Rozay ki hakat main bhool kar paani peenay se roza baatil nahin hota balke roza sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554,1624).
[Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123205
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-02

Question: Rozy mn oil lagana ya chehry pe cream lagai ja sakti hy?

Answer: Rozay ki halat me oil ya cream laga sakte hain, lekin wuzu aur ghusl karne ki soorat me agar wuzu aur ghusl ke liye wo oil ya cream rukawat bane to use hatana zaroori hai, warna wuzu ya ghusl sahi nahin hon gay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #289,376,1553,1629).
[Updated on 03-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123211
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-03

Question: Roza ki halt ma rasha niklna

Answer: "Rasha niklna" se aap ki kya muraad hai ?
[Updated on 04-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123235
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-06

Question: agar ap ko na maloom ho kai mani se roza toot jata hi to rozaa toote ga ya nhi

Answer: Agar mani be ikhtiyaar nikle to roza baatil nahin hota lekin agar jaan bhooj kar aur ikhtiyaar se khaarij ki jaaye to roza baatil hoga baad me qaza bhi karni hogi or kaffara bhi adaa karna hoga. Aur agar mani kharij karne ke zariye rozay ke baatil hone ke baare me ilm nahin tha to roza phir bhi baatil ho jaye ga lekin kaffara nahin aaye ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1569,1570,1630,1631).
[Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123239
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-07

Question: Me aik msla sy guzar rha hu k mera mani ni nikaltaa sex krny k baad mtlb maza ata ha Lekin kuch ikhraaj ni hota toh Kia mera roza tot jaye ga Agr me masht zani kru Lekin kuch bhi ni nikly.

Answer: Agar mani nikalne ke Irade se chher chhaar aur dil lagi ki thi lekin mani na nikli to agar dobara roze ki niyat na ki ho to roza batil hai aur agar dobara roze niyat kar li ho tab bhi ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us roze ko poora karen aur ramazan ke bad is ki qaza bhi karen. Aur agar mani nikalne ka Irade nahin tha aur is tarah ka kam kiya tha to roza sahi hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #1553,1575,1576).
[Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123242
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-10

Question: Aoa Rozy k daoran husband wife bos o kinar krty hue mard ka nafas aurat k andar ghalti sy chala jae mgr mani kharij na ho to kia roza tot jae ga?

Answer: Agar maloom tha ke rozay se hain to chahe mani kharij na bhi ho roza baatil ho jaye ga. lekin agar bhool gaye the keh rozay se hain to roza baatil nahin hoga, Albatta agar jima ki halat me yaad aa jaye ke rozay se hain to fauran jima tark karna zaroori tha aur agar yaad aane ki soorat me fauran jima tark nahin tha to roza baatil hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1565,1568).
[Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123256
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-09

Question: Haiz k roze main ehkam

Answer: 1: Haiz aur nifaas wali aurat ke liye roza rakhna wajib nahin hai aur agar wo roza rakhe gi tab bhi roza sahi nahin hoga. lekin ramzan ke baad us ki qaza karna zaroori hai. lekin Haiz aur nifaas wali aurat ke liye namaz parhna Haram hai aur jo namazain aurat ne haiz ya nifaas ki halat main nah parhi hon un ki qaza nahin hai.
2: Jo aurat pehle haiz aur nifaas se paak ho lekin Roza rakhne ke baad haiz ya nifaas ka khoon aa jaye to agarche maghrib se aik lamhe (second) pehle hi aaye, roza baatil ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #8,22. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #459,1612).
[Updated on 10-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123262
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-12

Question: Sir Assalam Alaikum, Sir Aj Karne K Baad Fajar K Namaz Se Phle Mujse Mustzani Hogaae The Us Waqt Mene Roze K Niyaat Bhi Nahi Ke The, Uske Baad Mene Ghusal Kiya Aur Phr Roze K Niyaat Ke Aur Fajar K Namaz Parhe To Kya Mera Roza Hoga?

Answer: 1: Istimna (mani nikalna) or khud lazzati (hand practice/masturbation) karna ye Haram or Gunahaan e kabeera me se hai chahe hath ke zariye ho ya film or tasweer par nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. aur baaz riwayaat me ise zina se bhi barah ghunah shumaar kiya gaya hai Q ke ye fitri amal nahin hai.

2: Azaan e subh se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai Q ke maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main baaqi raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye balke fajar ka waqt daakhil hone baad ghusl kiya hai to is soorat me zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #544. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1591,1625,1630).
[Updated on 13-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123264
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-12

Question: Asalm o aliakum agah jan agr roze ki halat mia itlam ho jy or mani ka qatra ap k nafs mia kuch baqi reh jy ap osy nafs ko jila jula k nikal lo is sy roza batil ha k nhe apki niyat ha thi k andr phasy mani ko niklna ki

Answer: Agar insaan roza rakh kar din me kisi waqt so jaye aur din hi me use ehtilaam ho jaye to us ka roza baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1571).
[Updated on 13-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123266
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-14

Question: AoA... M Alhamdu lillah sary rozy rakhta hn, mera monnny nikalnny ka irada nai ta lekan m ny Rozy ki halaat m apny penis ko bar bar hath lagaya jis ki wja sy na chaty joy b monnny kharij ho gai. Mera irad nai ta lekan insani jazbat ki wja sy es howa. Mj py kafara lazim ho ga. Kindly guide kr dain.

Answer: Agar rozedar mani nikalnay ke irade ke bager ye kaam kare aur use itminaan ho ke mani kharij nahin ho gi to agarchah mani kharij ho jaye, is ka roza sahi hai. Albatta agar use etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaye ga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576).
[Updated on 14-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123307
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-19

Question: اگر اذان فجر کے وقت الٹی آ جا ے تو کیا روزی سہی ھے

Answer: Roza sahi hai Q ke agar be ikhteyaar ulti(vomit) aajaye to roza baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1618).
[Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123323
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-11-21

Question: Rozay ki halat main biwi se sex kr liya jaye tou uska kiya kafara adda krna hoga or kb

Answer: 1: Roze ki halat me jima (intercourse) karne se roza baatil ho jata hai. Agar koi shakhs ramzan ke roze ko jaan bojh kar jima ki wajah se baatil kare jab ke jabar (zabardisti) aur naachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to ramazan ke baad rozay ki qaza(repeat) karna zaroori hai aur is ke alawa kaffarah bhi wajib ho ga.

2: Kaffara dene me zaroori hai ke insaan kotaahi na kare lekin fauri taur par dena zaroori nahin. Albatta agle ramazan se pehle pehle ada kar liya jaye warna fidiya e takheer bhi dena hoga.

3: Kaffara ye hai ke in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 maheenay is tarah Rozay rakhay ke aik poora maheena aur is se agle maheene ke aik din tak musalsal roze rakhay aur isi tarah baaqi maheene ke rozay bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhay lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan wajah shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe aur uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day.

4: Agar rozedaar rozay ki halat main apni rozedaar biwi se jima kare to agar us ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kaffara aur ehtiyaat ki bina par zaroori hai ke apni biwi ke rozay ka bhi kaffara day aur agar biwi jima par razi ho to har aik par aik aik kaffara wajib ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1565,1630,1632,1633,1649,1655,1676,1677).
[Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123368
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-12-14

Question: rozay ki halat ma hath sy mani nikalny sy roza batil hota ?

Answer: Jee han, Istimna (mani nikalna / masturbation) se roza baatil ho jata hai Q ke rozay ko baatil karne waali cheezon me sirf khana aur peena shaamil nahin balke is ke alawa 7 cheezen aur bhi hain jo rozay ko baatil kar deti hain aur kul (total) mila kar 8 chezain hain jo rozay ko baatil kar deti hain:
(1) Khana aur peena.
(2) Jimaa (intercourse) karna.
(3) Istimna (masturbation). Yani mard apne sath ya kisi dusre zariye se jimaa ke alawa koi aisa kaam kare jis ke natije main mani khaarij ho.
(4) Khuda-e-taala, Paighambar e Akram(s.a.w.w) aur in ke jaansheenon se ehtiyat e wajib ki bina par koi jhooti baat mansoob karna.
(5) Gubbaar halaq tak puhnchana ehtiyat e wajib ki bina par.
(6) Azaan subah tak jaanabat, haiz ya nifaas ki halat main baqi rehna.
(7) Kisi siyaal cheez se huqna (aineema) karna.
(8) Qeh (vomiting) karna.

(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553).
[Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123497
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-01-07

Question: Haiz se pak hogaye houn lekin ghusal na kia ho to kia roza rkhna sahi h?

Answer: Agar yaqeen ho jaye ke paak ho gayei thein to Roza rakhne ke hawale se sharaei maslah ye hai Azaan e subh se pehle Ghusl kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608).
[Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126066
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-25

Question: Mijy roza Rakh ka kl bi ahtlam huwa aur subah bi roza Rakh ka ahtlam huwa is ka bra ma Kuch bta da roza tota ga ya nhi

Answer: Ehtelam se Roza baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masial, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1570).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126113
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Mene Apni GF k Sath Cherh Charh ki roze k halat mein Halake Mani Nklne ki Wajah se nh pr Shewat ki wajh se nkl gyi ..kya mera Roza Toot gya

Answer: Agar rozedar mani nikalnay ke irade ke bager ye kaam kare aur use itminaan ho ke mani kharij nahin ho gi to agarchah mani kharij ho jaye, is ka roza sahi hai. Albatta agar use etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaye ga.

2: Albatta wazih rahe ke Kisi merd or aurat ke liay na-mehram mard o aurat se doosti ya muhabbat kerna jaiz nahin hay. Haan aap faqat us ke ghar nikah ka paighaam bhej sakte hain or dua kar sakte hain.

3: Shohar aur biwi ke alawa kisi aur tareeqe se jinsi lazzat hasil karna ghunah e kabira hai.

4: Jo shaks shadi na hone ki waja se Haram kaam me mubtela hota ho is par wajib hai k shadi kar lay

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576,2407. + Minhajus Saliheen, part #1, maslah #30. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal #106, pg #69).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126122
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-27

Question: If by little talk vaginal discharge is done. Did roza break or not

Answer: 1: Agar mani nikalne ke iraade se cherh chaarh aur dil lagi ki ho lekin mani nahin nikli to agar dobara roze ki niyat na ki jaye to roza baatil hai aur agar dobara roze ki niyat kar li jaye tab bhi ehteyat-e-laazim ki bina par zaroori hai ke is roze ko tamaam kiya jaye aur bad me is ki qaza bhi ki jaye.

2: Agar mani nikaalne ke iraade ke baghair cherh chaarh aur hasi mazaq ki ho aur itmenaan ho ke mani kharij nahin hogi to agarche ittefaqan mani kharij ho jaaye, roza sahi hai. Albatta agar itmenaan na ho to is soorat mein jab mani kharij ho jaye to roza baatil ho jaaye ga.

3: Roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair koi shehwat angaiz karam kiya jaye aur faqat shehwat aane se jo rutoobat kharij hoti hai wo mazi kehlaati hai aur is se roza baatil nahin hota, aur agle roze ke liye ghusl bhi nahin karna hota. Haan! agar shehwat ke sath mani nikal aaye to roza baatil hoga aur agle roze ke liye ghusl bhi karna hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1575,1576,1629).
[Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126134
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Kia Roza ki halat mein Insulin le sakay hein, Doctor k mutabiq sonay se pehlay lena hai mein night shift karta hoon aur taqreeban sibh k 9 baj jatay hein.

Answer: Madical ke ahtebaar insulin ka istemaal roze me sahe hay ya nahe is silsele me doctor se rabta kia jaae or sharhe ahtebaar se Roza ki halat mein Insulin laye sakte hain Q ke insulin se roza baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b). edition #42, maslah #1557).
[Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126141
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Mera ik sawal hay agar video call pr baat krty karty aik dosry ka aghza dekliya apna khud ka hisy ko hath lagaya pr mushtzani ka irada sy nhi to kiya roza batil ha koi kaffara hy iska qaza?

Answer: Agar mani nikaalne ke iraade ke baghair is tarah ka kaam kiya tha ho itmenaan ho ke mani kharij nahin hogi to agarche ittefaqan mani kharij ho jaaye, roza sahi hai, (aur agar mani kharij na ho to bhi roza sahi hai). Albatta agar itmenaan na ho to is soorat mein jab mani kharij ho jaye to roza baatil ho jaaye ga. Albatta roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair koi shehwat angaiz karam kiya jaye.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576,1629).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126142
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Agr rozy ki halat main istimna kry kui r usy pukhta yaqeen ho k mani kharij nhi hony pay gi lekin mani kharij ho jay to kia roza batil ho jay ga?

Answer: Agar rozedar mani nikalnay ke irade ke bager ye kaam kare aur use itminaan ho ke mani kharij nahin ho gi to agarche mani kharij ho jaye, is ka roza sahi hai. Albatta agar use itmenaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaye ga. aur kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1575,1576,1630).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126143
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Assalamualaikum mera ik sawal hay agar larki ya lover sy video call pr krty karty wo kahhy mujhe dekna hy or osko video call pr apni dekay pr discharge hona ka irda say nhi or agar pani nikal jay to kiya is halat ma roza toot jata hy?

Answer: Agar mani nikaalne ke iraade ke baghair is tarah ka kaam kiya tha ho itmenaan ho ke mani kharij nahe hogi to agarche ittefaqan mani kharij ho jaaye, roza sahi hai. lekin agar itmenaan na ho to is soorat mein jab mani kharij ho jaye to roza baatil ho jaaye ga.
Albatta roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair bhi koi shehwat angaiz karam kiya jaye.
Jo shaks shadi na hone ki waja se haram me mubtela hota ho us per shadi karna wajib hay.Shadi ke begaire namehram aurat se jinse lazzat hasil karna maslan use lazzat se daikhna haram .

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576,1629,2406, minhajussuleheen jild no:1, masla no: 30)
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126144
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-01

Question: Kya kisi ko itna malum na ho ki bagair janabat ke roza nhi rakha sakta lekin usne rakh Kiya to uske liye kya hai hukum hai

Answer: Is soorat me sirf qaza karni hogi, lekin kaffara wajib nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1631).
[Updated on 02-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
126364
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-04-22

Question: Agr sehri time roza bnd huye 10 min hojaye r pani pi k roze ki niyat kr lain to roza hojati ha?

Answer: Agar fajar tuloo ho jaye to kuch khaa, pee nahin sakte warna batil ho jaye ga.
(Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, sawal #6).
[Updated on 23-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print