Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Mubtilaat-e-Roza (478 Questions)


Showing 400- 450 questions from 478 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
114707
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Din me roze ki halat me sex ho jye to aurat ka roza toot jayega

Answer: Jee han, roze ki halat men jima(intercourse) karne se roza batil ho jata hai. aur is ke elawa agar shohar roze ki halat me apni apni rozedar biwi se jima kare to agar is ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kafara aur ehteyat ki bina per zarori hai k apni biwi k roze ka bhi kafara day aur agar biwi jima per razi ho to har aik per aik aik kafara wajib ho jata hai. Agar koe aurat apne roze daar shohar ko jima karne per majboor kare to is per shohar k roze ka kafara wajib nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1649,1650).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114709
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: A.o.a sir Kia roze ki halat mein under shav Kar saktey hain.

Answer: Rozay ki halat main gair zaroori baalon ka kaatna jaaiz hai. albatta Daarhi mondna ya mundwaana(Shave kerna ya kerwana) tu aam dino main bhi ehtiyaat e wajib ki bina(base) per haram hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1553,2042).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
114731
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-25

Question: Mera sawal yeh ha k mtlb apka roza ha or ap sehri kr k so gye and koi ghatiya means galt khawab aya or ap wet ho gye roza toot jata ya ni? Halanke ap na soty howy us k bary sochen pr phir b agr esa ho

Answer: Agar rozedaar roza rakh kar so jaey or din main ehtilam ho jaey tu os ka roza batil nahin hota. lekin is par gusl e janabat (namaz aur is jesi ibadaton ke liye) wajib ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1571).
[Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114743
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-05-03

Question: kya rozy ki halat mn nafs ko sehlany sy roza tot jata ha agarchy mani kharij na ho?

Answer: Agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi to os ka roza sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1575,1576).
[Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114744
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-05-03

Question: kya rozy ki halat mn nafs ko sehlany sy roza tot jata ha agarchy mani kharij na ho?

Answer: Agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair chairh chaarh or hansi mazaq kare or isay itminaan ho k mani kharij nahi hogi to os ka roza sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1575,1576).
[Updated on 03-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114759
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-21

Question: fajar ki azan kay darmiyan vomit ajay to roza hoga ya nai

Answer: Agar be ikhteyaar ulti(vomit) aajaye tu roza batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1618).
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114766
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-21

Question: Assalam.O.Alaikum! Mjh sy Rozy ki halat me Ek Gunah hua hai, or mai bht Shirminda. Subha Park me Aik Aurat sy Baten ki, usko Touch kiya, Jiski wja sy Mra paani nikal gya, tw mjhy Bta den K mai kya krn ub?? Mai bhttt Shirminda hun, mainy Suchi Toba bi ki hai, or us Aurat ka Number bi delete kr diya hai jo usny mjhy diya tha..

Answer: Agar rozedaar mani nikalne k irade k baghair kisi aurat se cheerh chaar or hansi mazaq kare or osay itminaan ho k mani kharij nahin hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey, tu os ka roza sahi hay, albattah agar osay itminaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576).
[Updated on 21-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114794
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-11

Question: Assalamualaikum. . .Agr isha k baad mani nikala jaye haath sai toh gusul sehri sai pehlay krna hai yaa baad mai . .

Answer: 1-Istimna(Masturbation) (apne ikhtiyaar sai mani nikaalna) haraam or gunah e kabira mai sai hai hay. Chahe ramzan ka mahina ho ya is ke elawa koi aur mahina ho.(Ref: Minhajus Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #2009, Maslah #30).
2-Ramzan main azaan subh tak janabat ki halat main rehna rozey ko batil kar deta hai, zaroori hai k azan subh se pehly ghusl karey. or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah karey to zaroori hai k is din ka roza pora karey or phir ek din or roza rakhey or pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhey or ramzan k baad bhi jis din roza rakhey or os main qaza ki niyat nah karey. Is k alawa is per roze ka kaffara bhi wajib hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1591,1630).
[Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114796
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: Rozay ki halat ma sex videos dekhay or mani b kharij na ho, kia hukumm h?

Answer: 1: Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k baghair ye kaam kare aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he. Albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani, Edition #42, Mafhoom e Maslah #1629,1576).
2: Ehtiyat e wajib ki bina per fahash filmon aur tasweeron ka dekhna haram he, agarchah shak aur lazzat k baghair dekha jaey.
(Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani, Edition #5, Mafhoom e maslah #463, pg #254).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114806
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-05-04

Question: Rozy ki halat main jima krny k bary main kia hukm hai?

Answer: Agar roze daar ikhteyaar se jima kare tu os ka roza batil ho jata hay. or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffara ye hay k 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1567,1632).
[Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114807
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-05-04

Question: Mare dost sa during Ramadan roze ki halat ma gar mahram larki ka pastan muh ma dale or usi wqt us na muh sa Nekal lye or wo farig b nh hua. Is ka kafara kia hai.??

Answer: 1: Na mehram k sath jinsi lams(bos-o-kinar) (begair intercourse k) zina nahi samjha jata hai laikin haram hai aur is se tauba karna lazim hai.
(Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)
2: Agar us ne mani nikalne ke Irade se is tarah ka kam kiya tha lekin mani na nikle to agar dobara roze ki niyat na ki ho to us ka roza batil hai aur agar dobara roze niyat kar li ho tab bhi Ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us roze ko poora kare aur ramazan ke bad is ki qaza bhi kare.
Aur agar us ka mani nikalne ka Irade nahin tha aur is tarah ka kam kiya tha to us ka roza sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1575,1576).
[Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114809
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-05-04

Question: AoA. I feel very uncomfortable telling u that. One of my class fellow' Male have sucked the breast of Non. Mahram during Ramadan where he was in fast and the girl was not. And there is no money ejected during this. What is the punishment of this sin??? This is considered zina? He feel very ashamed till now. Plz give me a satisfactory answer jzakAllah.

Answer: 1: Na mehram k sath jinsi lams(bos-o-kinar) (begair intercourse k) zina nahi samjha jata hai laikin haram hai aur is se tauba karna lazim hai.
(Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70)
2: Agar us ne mani nikalne ke Irade se is tarah ka kam kiya tha lekin mani na nikle to agar dobara roze ki niyat na ki ho to us ka roza batil hai aur agar dobara roze niyat kar li ho tab bhi Ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us roze ko poora kare aur ramazan ke bad is ki qaza bhi kare.
Aur agar us ka mani nikalne ka Irade nahin tha aur is tarah ka kam kiya tha to us ka roza sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Mafhoom e Maslah #1575,1576).
[Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114812
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-05-04

Question: mubtilaa roza kya hae

Answer: Mubtilaat e Roza ( yani wo cheezen jo roze ko batil kar deti hain ) 8 hain: 1. Khana aur Pina, 2. Jima(Intercourse) karna, 3. Istimna(Hand practice) karna, 4. Allah, pegambar e akram(s,a,w,w) aur in k janashinon sai ehtiyat e wajib ki bina par koi jhoti baat mansoob karna, 5. Gubar halaq tak pounchana ehtiyat e wajib ki bina par, 6. Azan e subah tak janabat, haiz ya nifas ki halat mai baqi rehna, 7. Kisi sayal(liquid) cheez sai huqna(anima) karna, 8. Ulti karna.
(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Editon #42, Maslah #1553).
(Note: Upar bayan ki gayei 8 cheezon me se kisi aik ko bhi anjam de diya jaye to roza batil ho jata hai ).
[Updated on 05-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114818
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-09

Question: mara swal ya ka roze ki halat ma na mahram ka pastan muh ma dalne sa roza toot jata hai.. or ya kbera gunahoo ma ata hai, kindly detail sa btaye

Answer: Is say roza batil nahi hota albatta Na mehram aurat k jism k kisi hissay ko choona ya kiss karna haram or gunah e kabira hai, chahae lazzat k iraday k sath ho ya is k baghair. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553 , 2397).
[Updated on 09-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114833
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-06

Question: Kya khoon ki ulti aany sy roza toot jata hai?

Answer: Jee nahin, Is se roza batil nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1618)
[Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114834
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-07

Question: AOA, agr roza ho 0r khwb me gandy chz nazar aye 0r subh uthne pr shawar ki ek jaga wet ho to gusal wajib ha 0r roza batil .agr wo nh sochta pr us k ikhtiyaar k bagr nikl 0r pata na ho ki Mani ha ya nh to Kia kry ?

Answer: Roze main khuwab aana roze ko batil nahin karta he. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553).1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay
1. mani k kharij honay se
2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main).

2) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota hai. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 356)

3) Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi.
1. Uchal kar niklay.
2. shehwat k saath niklay
3. badan sust hojaye.
jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai. or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai.
jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156)
[Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114837
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-07

Question: Agr rozy ki halat main mani nklny ki niyat k bgher istimna kia jay to kia roza batil ho jata?

Answer: Agar rozedar mani nikalnay k iraday k baghair ye kaam kare aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he. Albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani, Edition #42, Mafhoom e Maslah #1629,1576).
[Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114840
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-07-12

Question: Roze ki halat ma biwi k sath pyar krty hovy agr achnak inzal ho jaye (mani ka agraaj ho jaye) to is ka kia hukam hai aur is say roza tuta hai ya nahi agr toota h to is ki qaza kia hai ( bas 1 roza ya 60 rozy ) please guide kr dain Sukriya

Answer: Agar rozedaar mani nikaalne k irade k baghair misaal k taur per apni biwi se cherh chaarh or hansi mazaq kare or osay itminaan ho keh mani kharij nahi hogi tu agarcheh ittefaqan mani kharij ho jaey, tu os ka roza sahi hay. albattah agar osay itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1576).
(Note: Pehli soorat men roza sahi hai aur aap par kuch bhi wajib nahin hai. Albatta Doosri soorat men Roze ki qaza bi karni hogi or is k sath kaffara bhi dena hoga or kaffara main ye chezein deni hoti hain 1 ghulam azad kary ya 2 mahiny rozy rakhy ya 60 faqeeron ko pait bhar kar khana khely ya har faqeer ko 750 gram ghandum ya jow ya roti wagaira day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1632 1630).
[Updated on 08-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
114842
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2021-09-07

Question: Assalam u alaikum Agha me kisi na mehram se romantic batain kr raha tha.. mera koi irada nahi tha ke mani kharij krun magar shehwat itni barh gai ke mani kharij hogai or me chah kar bhi nahi rok paya tou kya mera roza sahi hai ya nahi? Or agar batil hogaya hai tw kya kaffara hoga?

Answer: 1) Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota .or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. (Ref: Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66) (Ref: nigah aur libas pg 31, edition 1) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/).
[Updated on 07-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
2) Agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair misal k taur per apni bivi se charirh cchaarh or hansi mazaq kare or osay itminaan ho keh mani kharij nahi hogi tu agarcheh itteffaqan mani kharij ho jaey, os ka roza sahi hay. Albattah agar osay itmenaan nah ho tu os sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga.(Ref: tauzihul masael, sistani, maslah#1575)

Print

Id:
120618
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-02

Question: Kia rozay me bhool sy paani pi liyaa phir thori dair me realised hoaa .

Answer: Ghalati se pani peena roze ko baatil nahin karta, Albatta baad ki surat jo aap ne bayan ki hai is se roza baatil ho jata hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1556,1565,1569).
[Updated on 02-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
120697
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2022-08-13

Question: اگر کسی شخص کا وضو قائم نہ رہ سکے یا نماز کے دوران ہی وضو ٹوٹ جائے تو کیا اسکی نماز ہو جائے گی؟

Answer: 1: Saat cheezein wuzu ko baatil kar deti hain: 1) Peshaab or jo masshkook ratoobat peshaab ke bad aur istebraa se pehle insaan se khaarij hoti hai woh bhi peshaab ka hukum rakhti hai. 2) Pakhana 3) Riyah yani made aur aanton ki hawaa jo maqad (peeche ki sharamghah) se khaarij hoti hai. 4) Neend jiski wajah se naa ankhein dekh saken aur na kaam sun saken, lekin agar ankhein naa dekh rahi hon magar kan sun rahe hon to wuzu baatil nahin hota. 5) Aisi halat jin mein aqal zaail ho jaati ho maslan diwaangi, massti ya behoshi. 6) Auraton ka Istehaaza. 8) Janaabat balkeh Ehteyaat-e-mustahab ki bina par har woh ka jis ke liye ghusl karna zaroori hai.
2: In men aik Riyaah(gas) (yani mayday or aanto ki wo hawa jo maqad se kharij hoti hay) kharij hone se wuzu batil ho jata hay, lihaza jab wuzu batil ho jaye to is wuzu ke batil hone ki wajah se namaz bhi batil ho jati hai aur dobara parhni hoti hai. Lekin is ka sharaei hal ke hai ke Agar kisi ko riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa parhne ki bhi muhlat nah milti ho tu os ka aik wuzu chand namazon k liay bhi kaafi hay. siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabiee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahin hay.Agar kisi shakhs ko shak ho kay us ka wuzu batil hoa hay ya nahi to usay ye samajhna chahiye kay us ka wuzu baqi hay.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #322,308,314,299).
(Note: 1. Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karen. 2. Namaz parhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karen, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rokne se bhi riyah(gas) ki beemari ho jati hay. 3. Khana khoob chaba kar khaya karen. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or riyah(gas) ka maslah nah ho). Aap Masood homeopathy company ki mother tincture HR-35 ko istemaal karain, Inshallah aap is beemari se nijat paa jain gay.(https://masoodstore.com.pk/product/hr-35-gastronex/)
[Updated on 13-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121742
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: Agr roza ke halat main temporary nikah Kar ke or dakhol دخول kia jaye or mani na nikale kia roza toot jata hain?

Answer: Jima (hambistri / dukhool) karne se roza baatil ho jata hai chahe uzu e tanasul supari tak hi dakhil ho aur mani bhi kharij nah huei ho.
(Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1565).
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
121743
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-02-27

Question: Agr roza ke halat main temporary nikah Kar ke or dakhol دخول kia jaye or mani na nikale kia roza toot jata hain?

Answer: Jawab de diya gaya hai.
[Updated on 28-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122808
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-08-23

Question: Main NY periods Ki wajah sy ramazan my chootny walla qaza Roza rakha aur Bhool Kar toffee kha Lee to KIA mera Roza toot gya

Answer: Agar jan bhooj kar nahin khayei thi balke bhool kar khaa lee thi to roza sahi hai.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #1553,1625).
[Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122860
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-05

Question: kya roza rakh ker novel perh sakte hein ?

Answer: Parh sakte hain, lekin rozay ki halat me koi bhi shehwat paida karne wala kaam karna makhooh hai lekin agar wo kaam shehwat paida karne wala nahin hai to phir rozay ki halat me ye makrooh bhi nahin hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1628).
[Updated on 06-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122861
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-05

Question: Roze ki halat me ghrare ka hukum

Answer: Rozay ki halat me bila wajah paani ya koi aur siyaal cheez munh me daalna Isi tarah Rozedaar ke liye ziyada kulliyan karna makrooh hai aur agar kulli ke baad luaab-e-dahan nigalna chahe to behtar hai ke pahle teen dafa luaab ko thook day.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1628,1660).
[Updated on 06-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122862
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-05

Question: Asslam o Alaikum Agr Hume Roza Ho Aur Hum Ksi Bat K Liye Rone Lag Jaye Tu Kiya Hamra Roza Toot Jayega ?

Answer: Jee nahin, is se roza nahin tootata.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #1552).
[Updated on 06-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122864
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-07

Question: Kya roza ki halat ma larki sa Pyar ka izhar karna sahi han

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).

Jins e mukhalif se is had tak dosti ka is had tak izhaar karna ke us se kaha jaye ke mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz hi nahin hai, (yani na-mehram se piyar o muhabat ka izhaar karna jaiz nahin hai), Q ke ghunah men mubtela hone ka khauf maujud hai. balke kisi na mehram se (muhabbat to door) dosti karna hi Jaiz nahin hai. lekin rozay ki halat me koi bhi shehwat paida karne wala kaam karna makhooh hai lekin agar wo kaam shehwat paida karne wala nahin hai to phir rozay ki halat me ye amal makrooh bhi nahin hai.

(Ref: Nigah or Libaas, 1st Edition, Page #69, Ques #106. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). + Tauzeeh ul masail, edition #44, maslah #1628).
[Updated on 08-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122887
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-12

Question: kiya seheri se pehele mustebete karne se roza hoga ya nehi

Answer: Istimna(Masturbation) (apne ikhtiyaar se mani nikaalna) haraam or gunah e kabira me se hai.
Istimna(Masturbation) karne ke baad agar maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko batil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye. or agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke is din ka roza pora kiya jaye aur phir ramzan ke baab aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is k alawa is par roze ka kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen, part #1, maslah #30. + Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #1591,1625,1630).
[Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122892
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-13

Question: Sim py jab phone kry to os py song lga hota ha . Kya rozy ki halat ma na chahty hvy b song suna prta ha . Is se roza toot to ni jata.

Answer: Jee nahin, is se roza baatil nahin hota (yani nahin tooteta).
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553).
[Updated on 14-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122914
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-19

Question: Kya rozay ki haalat men hont chabanay se roza toot jata hay?

Answer: Nahin, Is se roza baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 20-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122920
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-21

Question: Roze me honto per zabar pahirna kaisa hai.. Roze ki halat me baccho ka bosa lena kaisa hai... GhR me jab khana banta h ya kuch tala jata h ..to usse jo khasi aati h kY Wo bhi ghubar me shamil hoga Plz ap ghubar kya h btaye roze me mujhe bahr nikle hi wehm hota h ki ghubar halq me na chala jaye

Answer: 1: Jaiz hai.
2: Jaiz hai.
3: Yeh ghaarhe (heavy)ghubaar me shamil nahin.
4: Ehtiyat-e-wajib ki bina par ghaarhe(heavy) ghubaar ka halaq tak puhnchana roze ko baatil kar deta hai chahe ghubaar kisi aisi cheez ka ho jis ka khana Halal ho maslan aata ya kisi aisi cheez ka ho jis ka khaana Haram ho maslan matti.
Isi tarah ehtiyat-e-wajib yeh hai ke rozedaar cigarette aur tambaako wagahira ka dhuaa halaq tak na puhchaye.

(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1584,1587,1629).
[Updated on 22-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122936
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-26

Question: Kya roze ki halat me lence laga sakte he

Answer: Jee, laga sakti hain.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629).
[Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122943
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-26

Question: Salam. Mjy aksar khansi rehti hai. Rozay ke halat main ,agar balgm halq sy Indra chali jay to Roza batil ha ya nahe. Ya namaz me doran khansi aa jay to kya karain

Answer: Sar or seene ka balgham jab tak monh ke andar wale hisse tak nah puhnche use nigalne main koi haraj nahin lekin agar wo monh main aa jaye to ehtiyat e mustahab (behtar) ye hai ke use nah nigla jaye. Albatta roza kisi soorat me baatil nahin hota.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1561).
[Updated on 26-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122952
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-09-26

Question: Roze me ladkiyon ko dekhna Or unse baat karna jaiyaz hai?

Answer: 1: Bazat e khud na-mehram ko dekhne aur baat se karne se roza baatil nahin hota. lekin roze ki halat me koi shehwat angaiz kaam (maslan na-mehram ko shehwat ki niyat se dekhna aur unse baat) karna makrooh hai. Lehaza is tarah ki baat ki jaa sakti hai jo ke shehwat angaiz nah ho aur musalman ke shayan e shan ho.

2: Albatta yahan chand fiqhi masail zikr kiye jaa rahe hain jis ki taraf aap ko mutawajeh karna zaroori hai.
1. Mard ke liye na-mahram aurton ka jism dekhna aur isi tarah un ke baalon ko dekhna chahe lazzat ke iraade se ho ya is ke baghair, Haraam mein mubtela hone ka khauf ho ya na ho, Haram hai. un ke chehre par nigaah daalna aur hathon ko kalaiyon tak dekhna agar lazzat ke iraade se ho ya Haram mein mubteka hone ka khauf ho to Haraam hai. Balke ehtayat-e-mustahab yeh hai ke lazzat ke iraade ke bager aur Haram mein mubtela hone ka khauf nah ho tab bhi nah dekhay.
2. Na-mehram mard aur aurat aapas me aisi baatain kar sakte hain jin ka nateja kisi akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota .or agar ghunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho to baat karna jaiz nahin hay isi tarah gair akhlaqi or mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai.
3. Na-mehram aurat ki awaz sunna jaiz hai is shart ke sath keh ye ke lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur haram me mubtila hone ka bhi khof na ho, isi aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na mehram mardon ko sunaey magar ye ke haram kaam me mubtila hone ka khoof ho to is surat mai jaiz nahin hai. Albata aurat ki bhi zimedari hai k wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho.
4. Kisi mard aur aurat ke liye na-mehram mard o aurat se doosti karna jaiz nahin hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629,2397. + Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part #4, sawaal #127, pg #66. + http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ + Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #510. + Nigah aur libas Mafhoom e sawal # 106 pg # 69).
[Updated on 27-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122961
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-26

Question: Bleeding na hoi ho pr symptoms zhr ho rhya hon to roza Rakh skta

Answer: Jee rakh sakti hain, balke agar maah e ramzan hai to roza rakhna wajib hai. Han agar rozay ki halat me din ke dauraan periods aa jayen, roza batil ( khatam )ho jaye ga aur ramzan ke bad is ki qaza karni hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #22,23).
[Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122993
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-29

Question: Muje skin problem hai jis k liye muje prp krwani thi or is treatment k liye blood niklwaya jata hai ...is k liye m ny roza chora or jb k wo treatment b na krwa ski kisi waja sy ....jan boj k roza ni chora tu main kesy roza qaza kr skti ...please answer m boht confuse o please rehnumai farmye

Answer: 1: Khoon dene se roza baatil nahin hota hai albatta agar kamzoori ka sabab ho to rozedar ke liye makrooh hai. Waise aam taur par sample ke liye khoon daine se kamzoori nahin hoti Q ke sample ke khoon ki miqdaar buhut hi kam hoti hai, Aur aap roza rakh kar bhi blood nikawa sakti thein.
2: Ramzaan ke baad us ki qaza ke taur par roza rakh lain aur is ki wajah se kaffara bhi wajib ho chuka hai jo ke aap ko ada karna zaroori hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1629,1630).
[Updated on 30-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
122996
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-01

Question: Rozey ki halat ma Ganda khawab agr dekhy to is k bare ma kia hukum ha?

Answer: Is se rozay par koi asar nahin pare ga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1630).
[Updated on 02-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123015
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-05

Question: Mein jab utah us waqat fajar ka time ho raha tha aur meray mu mein naswar thi aur bas ut k khuli ki aur rozay ki niyat kar li kya mera roza sahi hai hala k abi tak andharay tha

Answer: Agar naswaaar ke ajzaa halaq men dakhil nah hue hon to roza sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123020
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-05

Question: Aoa ager koi larka kisi larki say batien kur raha hoe ore usay ajeeb sa ho jaye but ( Mani ni ho LAkin liquid sa aye jis say dress kharab hoe ) kia us ka roza tot jaye ga

Answer: Roze main ye makhrooh hai ke mani nikaalne ke qasd ke baghair koi shehwat angaiz karam kiya jaye aur faqat shehwat aane se jo rutoobat kharij hoti hai wo mazi kehlaati hai aur is se roza baatil nahin hota (yani nahin tootata), aur ghusl bhi nahin karna hota. Haan! agar shehwat ke sath mani nikal aaye to roza baatil hoga aur ghusl bhi karna hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,344,1553,1629).
[Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123027
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-13

Question: jesa k boht say logo ko ghusal junabat ka pata hi nhi hota aur woh namaz aur rozay rakh rahay hotay hay to unk namaz aur rozay ke kya hasiyat hay

Answer: Agar ghusl e janabat ka pata nahin tha to is soorat me rozay sahi hain lekin namazen sahi nahin, namazon ki qaza karna zaroori hogi.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #786,787,1553,1591. + link, https://www.sistani.org/persian/qa/02313/#23294).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123037
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-12

Question: سیری کے وقت بیوی کے ساتھ ہم بستری کرنے یا مشت زنی کرنے سے روزہ پر بھی اثر پڑتا ہے یا نہیں

Answer: Maah e ramazan main sehri ke waqt biwi se humbistri kar sakte hain lekin azaan subh se pehle ghusl e janabat karna zaroori hai Q ke maah e ramazan main azaan subh tak janabat ki halat main baaqi raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subh se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630,2376).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123038
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-12

Question: Fajr ki azan se pehle main naswar(velo) moun se nikal deta hu or pani ka glass peeta hu lekin azan k bad bhi mujhe thora taste ata hay to roza sahi hay yan nhi mera?

Answer: Agar naswaar ke ajzaa halaq men daakhil na hon to roza sahi hai.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554).
[Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123069
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-16

Question: Roze me shave Karna

Answer: Daarhi mondna ya mundwaana (Shave karna ya karwana) ye to aam dino me bhi ehtiyaat e wajib ki bina par Haram hain. lekin agar koi shakhs roze ki halat me ghunah karte hue aisa kaam anjaam day day to is se roza baatil nahin hoga. lekin ehtiyaat e wajib ki bina par ghunahgar zaroor hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,2042).
[Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123071
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-17

Question: Aslam O Alaikum Ramzan ul Mubarek me Roza aftar se kuch waqt pehly peshab k saath Mani nikal aye to rozy k bary me kiya hukm hai?

Answer: Woh rutoobat jo kabhi kabhi peshaab ke baad nikalti hai usay Wadi kehte hain. aur ye rutoobat is surat mein paak hai jab apni jagah se nikalne ke baad peshaab mila hua nah ho. aur agar peshaab mila hua ho tab sirf us jagh ko najis kare gi jahan wo rutoobat lage gi. lekin kisi bhi soorat me roza baatil nahin hoga.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,119,1553).
[Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123072
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-17

Question: In the month of ramzan during ablution while putting water in mouth (kulli)some water entered in my mouth. Is my fast OK?

Answer: Agar be ikhtiyar halaq men chala gaya ho to Roza baatil nahin hota.
(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554,1661,1662).
[Updated on 18-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123093
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-20

Question: Kia Rozay ki halat main agar cigarette ya vape penay se roza batill hojata hai kun cigarette ya vape se to na gala geela hota hai na hi koi khuraak jati hai.

Answer: Rozay ko baatil karne waali cheezon me sirf khana aur peena shaamil nahin balke is ke alawa 7 cheezen aur bhi hain jo rozay ko baatil kar deti hain aur kul mila kar 8 chezain hain jo rozay ko baatil kar deti hain:
(1) Khana aur peena.
(2) Jimaa (intercourse) karna.
(3) Istimna (masturbation). Yani mard apne sath ya kisi dusre zariye se jimaa ke alawa koi aisa kaam kare jis ke natije main mani khaarij ho.
(4) Khuda-e-taala, Paighambar e Akram(s.a.w.w) aur in ke jaansheenon se ehtiyat e wajib ki bina par koi jhooti baat mansoob karna.
(5) Gubbaar halaq tak puhnchana ehtiyat e wajib ki bina par.
(6) Azaan subah tak jaanabat, haiz ya nifaas ki halat main baqi rehna.
(7) Kisi siyaal cheez se huqna (eneema) karna.
(8) Qeh (vomiting) karna.

Note: Rozay ko baatil karne waali cheezon me 5 number jo mubtil hai isi gubbar me se cigarette ya vape aur tambakoo bhi hai ke jis ke peene se roza Ehtiyat e wajib ki bina Baatil ho jata hai.

(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1587)
[Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123111
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-23

Question: Jb periods khtm hojayen lekin ghusal na kia ho to kia roza rkha ja skty hai?

Answer: Ghusl haiz kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare. Ramazan ki qaza mein agar jaan bhoojh ke ghusl ya tayyamum na kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo us din ka roza nahin rakh sakti.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608).
[Updated on 24-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123114
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-23

Question: Me and my husband had intercourse during fast , pls lemme know how to recover it

Answer: 1: Roze ki halat me jima (intercourse) karne se roza baatil ho jata hai.
Agar koi shakhs ramzan ke roze ko jaan bojh kar jima ki wajah se baatil kare jab ke jabar (zabardisti) aur naachaari ki bina par nahin balke jaan boojh kar aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to is par roze ki qaza ke alawa kaffarah bhi wajib ho ga.
2: Agar jaan bhoojh kar Ramzan kay Rozay ko, jima ki wajah se baatil karay to is par qaza(repeat) ke alawa kaffara bhi wajib hoga. Kaffara ye he ke in 2 men se koi aik kam anjam day: ya to 2 Maheenay is tara Rozay rakhay ke aik poora mahena or is se agle mahene ke aik din tak musalsal roze rakhe or ise tarah baaqi mahene ke roze bhi ehtiyaat e wajib ki bina par zaroori hai ke lagataar rakhe lekin agar rukawat paish aa jaaye ke jise urfan waja shumaar kiya jaaye to is din ka roza na rakhe or uzr ke door hone ke baad dobara shuru kare ya phir 60 sharaei faqeeron ko pait bar kar khana khilaye ya har faqeer ko 750 gram gandum, roti wagera day.
3: Agar rozedaar roze ki halat main apni rozedaar biwi se jima kare to agar us ne biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kaffara or ehtiyaat ki bina par zaroori hai ke apni biwi kw roze ka bhi kaffara day or agar biwi jima par razi ho to har aik par aik aik kaffara wajib ho jata hai.

(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1565,1568,1630,1632,1633,1649).
[Updated on 24-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
123117
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2023-10-25

Question: Sir Kya hair removing cream private parts per use Karne se roza toot jata hai

Answer: Nahin, hair removing cream private parts par use karne se roza baatil nahin hota, balke Rozay ko baatil karne waali cheezen 8 hain jo rozay ko baatil kar deti hain:
(1) Khana aur peena.
(2) Jimaa (intercourse) karna.
(3) Istimna (masturbation). Yani mard apne sath ya kisi dusre zariye se jimaa ke alawa koi aisa kaam kare jis ke natije main mani khaarij ho.
(4) Khuda-e-taala, Paighambar e Akram(s.a.w.w) aur in ke jaansheenon se ehtiyat e wajib ki bina par koi jhooti baat mansoob karna.
(5) Gubbaar halaq tak puhnchana ehtiyat e wajib ki bina par.
(6) Azaan subah tak jaanabat, haiz ya nifaas ki halat main baqi rehna.
(7) Kisi siyaal cheez se huqna (eneema) karna.
(8) Qeh (vomiting) karna.

(Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553)
[Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print