Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Khums Ke Ahkam (156 Questions)


Showing 50- 100 questions from 156 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
11715
Mujtahid:
sistani/ khoei Date:

Question: I have a question that i used my wedding jewellery on my wedding day and few time after that as well but from last five years or so it is not in my use so do i have to pay khums onit because i heard in Molana Sadiq hasan dars that according to agha sistani if an item used then khums is not wajib on it. what is the correct rulling please tell me according to khoei and sistani

Answer: 1- Agar koe shaks khums ada kerne se pehlay apni tijarat k munafe se ghar k istemaal k liay samaan khareeday tu jis waqt bhi os samaan ki zarorat khatam hojaay tu ehtiyaat e mustahab ye hay k os par khums ada karay. Or yehi zananah(Ladies) zewaraat(jewellery) ki hay jab aurat ka inhain batauray zeenat istemaal kerne ka zamana guzar jaay.(Ref:Ayatullah khoe(R.h) Tauzihul masa,il, Maslah#1790 )
2- Agar koe shaks khums dayne se pehlay apne munafe se ghar k istemaal k liay samaan khareeday agar oski zarorat munafa hasil hone walay saal k baad khatam hojaay tu zarori nahi hay k oska khums day.Aurat k liay jin zewaraat(jewellery) ko batauray zeenat istemaal kerne ka zamana guzar jaay ,os par bhi khums nahi hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#1751
). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
12276
Mujtahid:
AYAT ULLAH SISTANI Date:

Question: asak, mera sawal hai ki jo raqam betiyon ki shadi ke liye kuch saalon ke liye jama ki jaye kya us par bhi khums wajib hai.

Answer: If a person cannot prepare all the dowry for his daughter at the time of her marriage, and has to do so over a few years, and if it is deemed unbecoming for him not to give away any dowry, Khums will not be liable on what he purchases during the year, provided it is within his means. But if he exceeds his means, or spends the profit of one year to buy the dowry in the following year, he will pay its Khums.( Rcvd: Email rcvd from A.Sistani(d.b),Dated: Jan 13, 2012).
Translate: Agar koe shaks apni baiti k liay shadi k waqt tamaam jahaiz tayyaar nah ker sakta ho, or agar wo chand saal isi terha guzar jaa,in or ye smajha jaay k wo khuch bhi jahaiz nahi day sakay ga tu os cheez(yani jahaiz) par khums wajib nahi hoga jo os ne saal k dermiyaan khareedi thi, is shart k saath k wo os ki shaan o hasiyat k mutabiq ho.Laikin agar wo os ki haisiyat o awqaat se berh ker ho ya aik saal k perofit(salary/money) se dosray saal main jahaiz khareeda jaay tu wo shaks inka khums day ga.(Email Rcvd A.Sistani(d.b), Dated: Jan 13, 2012 )
Note: oper k maslay se wazeh hoa k wo raqam jo jahaiz k liay jama ki jaay tu os par khums maaf nahi hay. Balkeh sirif os jahaiz k saman par khums maaf hay jo insaan ki haisiyat o shan k mutabiq ho saal k doraan saal k munafe se khareeda gaya ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
12342
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Please send me a List of Ulma in Karachi authorized to collect khums

Answer: Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
13571
Mujtahid:
ayatullah syed ali sistani Date:

Question: ager koi larki anay jahaz k leyea raqam jama karay tu sal guzarnay k bad kia oun payson par khums wajib hoga?

Answer: If a person cannot prepare all the dowry for his daughter at the time of her marriage, and has to do so over a few years, and if it is deemed unbecoming for him not to give away any dowry, Khums will not be liable on what he purchases during the year, provided it is within his means. But if he exceeds his means, or spends the profit of one year to buy the dowry in the following year, he will pay its Khums.( Rcvd: Email rcvd from A.Sistani(d.b),Dated: Jan 13, 2012).

Translate: Agar koe shaks apni baiti k liay shadi k waqt tamaam jahaiz tayyaar nah ker sakta ho, or agar wo chand saal isi terha guzar jaa,in or ye smajha jaay k wo khuch bhi jahaiz nahi day sakay ga tu os cheez(yani jahaiz) par khums wajib nahi hoga jo os ne saal k dermiyaan khareedi thi, is shart k saath k wo os ki shaan o hasiyat k mutabiq ho.Laikin agar wo os ki haisiyat o awqaat se berh ker ho ya aik saal k perofit(salary/money) se dosray saal main jahaiz khareeda jaay tu wo shaks inka khums day ga.(Email Rcvd A.Sistani(d.b), Dated: Jan 13, 2012 ) Note: oper k maslay se wazeh hoa k wo raqam jo jahaiz k liay jama ki jaay tu os par khums maaf nahi hay. Balkeh sirif os jahaiz k saman par khums maaf hay jo insaan ki haisiyat o shan k mutabiq ho saal k doraan saal k munafe se khareeda gaya ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
13751
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: main apni salary se or makan ke rent se 10000/= bachat hoti hey iss per khums hai ya nahi

Answer: Jis shakhs nai kafiyat kar k saal bhar k akhrajaat k baad kuch raqam bacha li ho to zaroori hai k os bachat ka khums dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1726)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
14322
Mujtahid:
aaytullah sistani Date:

Question: salam baap dada ke time ki purani zamin thi kab li thi uspe khums nikala tha ke nahi wo kuch nahi pata .. abhi wo zamin bech di hai to kya us par khums dena padega ? kyu ki agar baap ka karz baki hai to pahele karza ada kare ki khums ? ya karza ada karke jo amount bachti hai us par khums dena hai ? plz ans me

Answer: Agar kisi shaks ko miraas milay or osay maloom ho k jis shaks se osay miraas mili hay os ne oska khums nahi diya tha tu zarori hay k waris oska khums day.isi terah agar khud os maal per khums wajib nah ho or waris ko ilm ho k jis shaks se osay wo maal(maslan zameen) wirsay main mila hay os k zimmay khums wajibul ada tha or os ne ada nahi kia tha tu zarori hay k os k maal se khums ada kia jaay. Laikin dono sortoon main jis shaks se maal wirsay main mila ho agar wo khums dainay ka aqidah nah rakhta ho ya ye k khums daita hi nah ho{yani kabhi dia hi nah ho} tu zarori nahi hay k waris wo khums ada karay jo os shaks per wajib tha.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1725).
Jaisa k abhi btaya tha k agar merhoom khums dainay ka aqidah nah rakhtay hoon ya ye k khums daitay hi nah thay tu waris par miraas se merhoom ka khums ada kerna wajib hi nahi hay,laikin agar merhoom khums dia kertay thay thay tu agar waris ko yaqeen ho k merhoom k zimmay khums wajib tha ya miraas main jo maal mila hay os per khums wajib tha tu phir merhoom per jitna khums wajib tha os ko miraas se ada kia jay ga or mukammal qarz bhi ada kia jay ga.qarza ada kerne k baad baaqi bachi hoe raqam ka khums daina sahi nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1725,2682) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14708
Mujtahid:
Date:

Question: khums kya hota hay

Answer: 1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
14830
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: khyms mal ka kitna fisad (percent)hota hay

Answer: khums maal ki bachat ka paanchwa hissa, 1/5 ya twenty percent hota hai)
1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15128
Mujtahid:
aqa sistani Date:

Question: may private company may job krta hou aur her month salary say kuch paisay bachata hou to kia saal guzarnay k bad un paiso per Khums wajib hai?

Answer: (khums maal ki bachat ka (paanchwa hissa, 1/5) or twenty percent hota hai)
1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
15870
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Kia khums niklnay ka saal tabdeel karna jaiz hai?

Answer: Agar koi shakhs pichlay saal ki tamaam kamai ka hisab kar k is ka khums nikal dai to aglay jis din osay faida hasil ho ga wo is k khums k lie new saal ka pehla din ho ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 84 , pg # 52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15871
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Na-balig bachay k maal mai sai khums niklna wajib hai ya mustahabb?

Answer: Na-balig bachay k maal mai sai khums niklna wajib hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 85 , pg # 52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15872
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date: 2018-09-08

Question: Kafi saal mai nai khums nhi nikala, kia un kaproo aur musalloo par jin ka khums nhi nikala gya, namaz sahi hai?

Answer: Agar khums osi kapray par jisay pehn kar namaz mai satarposhi ki thi ya musallay par wajib ul ada tha to ehtiyat ki bina par namaz batil ho gi, lakin agar osay ilm na tha ya jahil e qasir tha to namaz sahi mani jae gi. Albetta chon k aam tour par kaproo wagira ki khareed o farokht b-tor e kulli insan k zimay par hoti hai, lehaza khums bhi insan k zimay aa jata hai, khud kapray par nhi aata. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 86 , pg # 52) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15873
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Jab kisi ko shak ho k khums os par wajib hua hai ya nhi ya shak ho k is nai khums ada kia hai ya nhi to is ki kia zimay dari hai?

Answer: Pehli surat mai jab kisi ko shak ho k khums os par wajib hua hai ya nhi to zaroori hai k jis miqdar mai khums wajib honay ka ehtimal hai is ki nisbat apnay mujtahid ya os k vakil sai musalihat karay. Jab k doosri surat mai jab shak ho k aap nai khums ada kia hai ya nhi to is surat mai khums ki adaigi wajib hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 87, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15874
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Bagir kisi zaroorat k srf khums sai bachnay ki khatir agar koi shakhs kisi kitab k chand safhaat parhay to kia is sai khums sakit ho jae ga?

Answer: Khums sai bachnay k lie kitab k chand safhaat ka parhnay sai khums sakit nhi hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 88, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
15875
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Bagir kisi zaroorat k srf khums sai bachnay ki khatir agar koi shakhs kisi kitab k chand safhaat parhay to kia is sai khums sakit ho jae ga?

Answer: Khums sai bachnay k lie kitab k chand safhaat ka parhnay sai khums sakit nhi hota hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 88, pg # 53) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
17204
Mujtahid:
aytullah sistani Date:

Question: salam mera sawal ye hai k agar kisi khatoon k do bete hon dono berozgaar hon aur woh khatoon ek retired teacher un ko jo paise government ki taraf se mile ho uske wo saving certificate daal deti hain jis se un k ghar ka guzara hota ho ek beta nafsiyati mareez ho aur woh kuch bhi na karta ho aur us ki ebiwi aur bachchi ka kharch bhi un khatoon per hai to un k liye kya hukm hai kya un k liye khums nikalna wajibb hai aur certificate ki raqm un k halal hai ya nahi aur agar haram hai to woh apna guzara kaise karien?

Answer: 1-Saal k tamaam akhrajaat se jo raqam baqi bachay os par khums wajib hoga.or certificate ki raqam bhi agar saal bhar istemaal nah ho tu os ka bhi khusm daina hoga. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1722).
2) (i)-sarkari(Government) bankoon me is surat me raqam rakh saktay hain or profit lay sakhtay hain jab raqam raktay waqt profit ki shart nah ki gei ho tu is surat main profit lay saktay hain or is profit ka aadha hissa kisi deendar(shia) faqeer ko dena hoga tu aadah profit aap k liay halaal hoga. (ii)-Private bank me agar raqam rakhte waqt is faide ki shart na rakhi gye ho to usi lena jaiz he agar chah ye jante hoon k bank faida de ga. Isi terha kafir bank me bhi yahi hokum he balke is me agar shart bhi rakhi gye ho tab bhi faide ko hasil karna jaiz he (Ref: Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 01 , ques # 113, pg # 62). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
17219
Mujtahid:
sawal Date:

Question: mai apne ghar banwana chahta tha or mere paas haram maal hy kya mai us haram maal ko ghar banwane me gla sakkta hu, ya ha haram maal ko sahi me kaise tabdeel kiya jata hy batayen

Answer: Agar halal maal haram se mil(mix) jaay or insan ko haram ki miqdar(quantity) ka ilm nah ho laikin is maal k malik ko pehcahaanta ho or dono aik dosray ko raazi nah ker sakain tu zarori hay k jitni miqdaar k baray main yaqeen ho k doosray ka maal hay wo osay day day. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1785). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
18957
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: agar aik aadmi khums ada nahi kia ab tak lekin us ko ehsas hai kai adday karna chayeh aur woh aik date fix kar laia hai 30 june 2012 hisab karney par abhi us kai pas 3 lac cash hai aur 30 june ki balance sheet kai mutabiq payable 388715 aur receiable 435994 hai us kai upar kitna khums wajib ho ga (sal kai doran us shaks nai may mai hajj application bhi submit ki hai 231975 ki please answer me on my email address as soon as possible

Answer: Agar aap nai abhi tak khums nahi mikala tha aur chahtay hain k aik date fix karain to aap Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot sai vakeel maujood hain, un sai rabta karain. jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain. aur Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). address: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32219
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: salam .... do we have to pay khums on th clothes n stuff we buy on our wedding for us n just wear once....... and if its not in use for more than a year and do we have to pay khums on th things dat a husband buy fr his wife which is used once n not in use fr more than a year

Answer: If a person purchases household accessories with the profit earned by him before paying Khums, it is not necessary for him to pay Khums on them if their need ends after the year ends.
There will no liability of Khums if their needs cease to exist during the year, but they must be those articles which are kept for many years, like the winter and summer dresses. Other than these, Khums will be, as an obligatory precaution, liable as soon as their need is over. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1751). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
32644
Mujtahid:
Allama Sestani Date:

Question: asallam aallakum bray maharbani ya bata dain iagar mara doost mujahay koi perfum gift karta ha our woo saal kay akher may bach jat ha tu kay main us per khumas ada karoon ga agar karoon ga tu pl reason bayan kar dain jab kay wo gift ho. Jazak Allah

Answer: Agar kisi ko kamai k bagair koi cheez hasil ho jae maslan gift aur wo sall bhar k akhrajaat sai ziada ho to zaroori hai k os ka khums dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1723)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32669
Mujtahid:
ayatullah sistani d.b. Date:

Question: KHUMS GHAR ME KIN -KIN CHIJO PAR WAJIB HAI TAFSIR SE BTAAE,

Answer: 1)Jo samaan kise shak ne saal bhar istemaal karne k lye apne munafay se khareeda ho agar saal k aakhir me us me se khuch bach jaay to zaroori hai k us ka khums de aur agar khum us ki qimat ki surat me dena chahay to jab wo samaan khareeda tha us ki qimat ziada ho gae ho to zaroori hai k saal k baad jo qimat ho us k hisab sai khums dai.
2)koi shak khums dainay se phele apne munafay me se ghar k istemal k lye samaan khareede agar is ki zaroorat munafa hasil hone wale saal k baad khatam ho jay to zaroori nahi hai k is ka khums dai aur agar doran-e-saal is ki zaroorat khatam ho jay laikin wo samaan un cheezo me se ho jo umooman aainda saalo me istemaal k lye rakhe jate ho jise sardi aur garmi k kapre to is per khums nahi hota. is surat k ilawa durain saal agar is samaan ki zarorat khatam ho jaay to ehtiyat-e-wajib ye hai k is ka khums de.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1750-51)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32924
Mujtahid:
Ayat ullah Sistani Date:

Question: Asalam alikum. me khums ke hawale se sawal karna chati ho.mere pas gifts hai. jis ko 2 sal hogae h. or mene is par khums nai nekala he.ab is par khums kese nekalo?

Answer: Agar gift saal k durain akhrajat me istemal na ho to phir is par khums wajib ho ga.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 97,pg # 56) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
32942
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Assalaam O Alaikum, My question(s) are related to KHUMUS. Just before now, i had thought i had calculated my KHUMUS correctly last night, but was going through the Q&A on your site, and reading the Ayatullah Sistani verdicts and some sample KHUMUS worksheet available on internet, i am kind of confused (in doubt) as to the correctness of the KHUMUS amount and process. I am putting my questions below for the earliest reply. JAZZAK ALLAH Please note, that - I have never taken KHUMUS money out and this is first time. - For the year 1998, I worked as full part-time to support my education and personal expenses - For the year 1999 to date I am working full time (14 Years) - Married in 2004 and have three children aging 7.5, 4.5, 2.5 Years - I am a salaried person with only one source of income - Living on rent Questions: 1) How do i calculate KHUMUS for the past years? Please, advise what to do? (where i do not have any record (bank & domestic) of all the years, and think will not be possible to get records from the bank for all the years and to recall memory for the same for domestic expenses. Though i have not tried as yet) 2) What do i do with things i bought during last year ended a day before, as i do not have record of all and even if i do it would an estimate. 3) Do i need to keep track of every item that i buy for the whole year if it is consumed or not? DO i need to keep a separate "account" of spending for each family member of mine with all day-to-day items for year ! This may include things from needle to cloth, candies to toy, razors, pens, copies etc. I mean everything consumed, worn, used. 4) Please elaborate that what is the meaning of ...exceeds his own annual expenses... Since, "exceed annual expense" is used often in different context (say gifts etc.). Where expenses for the years generally remains same (a figure with little change) and fulfilled through the pay/salary one gets. So, than if i get gifts, would "...exceeds his own annual expenses..." mean that : a) individual value of a gift that i get (out of many gifts) is so high that it exceed the annual expense - here the annual expense is used as a benchmark for evaluating either the KHUMUS is to be paid or not? Even though if someone has accounted for the expenses in a regular manner (Ref. Rule 1762) - OR - b) individual value of a gift is added to the yearly expenses until they reach to the annual expense figure and then any gift added from this point on is liable for KHUMUS? 5) My wife also has some savings from last years, which i gave her on account of her pocket money. Does she has to deduct KHUMUS from her saving as we understood and did? Please, clarify. 6) For the KHUMUS for the year 2012 i did following: a) Took balance of my bank account and deducted 20% from it b) Summed the value of unused items (which can be counted and the form we bought in) and took value of 20% out (One question here, we bought a pack of Erasers for our son and consumed one out of it, it came in a bundle) We accounted for the packet as whole not each eraser in it!!! Is that correct? c) Estimated the value of gits & cloth and took value of 20% out d) Took 20% value of a book not yet read e) summed all these deductions and deducted from the bank balance f) my wife simply withdrew 20% of her saving Please, help. In case if you need any further information in this regard, please do let me know. Sibtain

Answer: Agar aap nai abhi tak khums nahi nikala hai aur chahtay hain k aik date fix karain to aap Ayatullah Sistani(d.b) Karachi main moujood vakeel sai rabta karain, jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain. aur Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain. or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). address: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
33112
Mujtahid:
ayatullah seestani Date:

Question: Assalamu alaikum.can i pay ur madrassa sehme sadaat.do u have the authority from ayatullah seestani to receive sehme sadaat

Answer: Yes : Madrasa quran o Itrat Academy contact number 021-32226948, 021-32237207 hay. For more detail about payment http://www.qoitrat.org/payments.asp . address: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
39146
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: a.o.a,,,sir Kazimeen mai hamary kon 2 imam dafan hai....???? or 2 sawal ye hai k Khums wajib honey k bad Foran nikalna zaroori hai k ni...???? plz ans..............

Answer: Wssalam o alykum, 7th Imaam Musa Al-Kazim (a.s) or 9th Imaam Muhammad Taqi (a.s) ka madfan e Mubarak kazmain main hai. Or ager kums wajib ho jaae to foran nikaalna wajib hai(Ref : 14 Sitaree , muallif # syed najam al-hasan , pg #28) , (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 111 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
40221
Mujtahid:
Agha Seestani Date:

Question: Mera sawal ye hai k agar meri khums ki date par jo bachat ko saal ho jae us par to khums wajib hai magar lekin agar due date se chand month pehle agar kuch raqm jama hui ho jisey ek saal ka arsa nahi hua to kia is izafi raqm par bhi khums lagey ga?

Answer: Jee han in paiso par khums lagay ga chahy ye paisay aap ko khums ki date sai aik din pehlay bhi milay ho to bhi khums lagay ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 93,pg # 48)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
40712
Mujtahid:
Ayatullah Sistani Date:

Question: Mere pass 2011 me job chornay k bad 80000 rs bach gaye jis ka may khums day chuka tha phir wo mal may kharch karta raha aur beech may kuch paisay pocket money/doosri choti moti job say dalta bhi raha jo 2012 k end tak 3000 rs bachay ab mera sawal yeh hay k agar 2013 tak dubara may nay 80000 rs bach jatay hay to kia is par dubara khums ho ga ya nahi ya agar 100000 bach gaye to mujhe pooray par khums dena hoga ya sirf 20000 par?

Answer: jab 2011 main bache howe 80,000 or 2012 main choti moti job se mile howe peso ko kharch karne ki waja se 2012 ke end main ap ke paas sirf 3,000 bach gaae to ager 2013 ke end main ap ke paas 80,000 ya 1,00,000 hain to in mian ager bache howe 80,000 manain to 77,000 per, or ager 1,00,000 manain to 97,000 per ap ko 2013 ke end main kums dena hoga, Or jahan tak 3,000 ki baat hai to ager ye 2011 ke bache howe 80,000 main se hain to in per kums nahi hai, Or ager ye 2012 ki kamaai se bache howe hai to ager apne in ka 2012 ke end main kums nikaal diya tha to in per kums nahi hai, or ager nahi nikaala tha to in ka bhi kums nikaalna ho ga. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 1722) , (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 120 , pg # 55 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
43969
Mujtahid:
Ayotullah Syed Ali Sistani Date:

Question: Salam I am little bit confused of Khums issue. Let suppose I am doing an internet based job earning and saving at the end of the year I saved 10,000. Just after the end of the year I won a lucky draw of 10,000 total saving 20,000. What will be the khums ? And just before the end of year I won a lucky draw of 10,000 . Total saving 20,000 than what will be the khums?

Answer: Wssalam o alykum, if you win the lucky draw of 10,000 befor the date of kums (even one day before the date of kums, as the date of kums is 1 January and you got the lucky draw of 10,000 at 31st December or before it) so you have to pay the kums of 20,000, means 4,000. Right if the lucky draw of 10,000 was gotten at 1st January or after it so the kums of 10,000 is paid, means 2,000, and the lucky draw will be inculeded in the amount of next year. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1722). Update on dated 18-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
44879
Mujtahid:
Ayotullah Syed Ali Sistani Date:

Question: Salam My question is related to Khums. if some one had not selected the start date for the khums as he was not sure that his earnings will be saved at the end of year, so how will he calculate the khums ?

Answer: Agar aap nai abhi tak khums nahi nikala hai aur chahtay hain k aik date fix karain to aap Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot sai vakeel maujood hain, un sai rabta karain. jin main se aik Maulana Ali Raza Mehdavi hain. aur Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain. or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). address: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
45804
Mujtahid:
Agha sistani sahab Date:

Question: Aoa, i want to ask about khums, is there any khums on jahez? If parents has given khums n then gave jahez is it still required by the daughter to pay khums? I m a housewife how should i pay khums? Plz clarify as first i heard that there is no khums on jahez n if parents have npaid the khums then daughter does not need to pay but now i heard that if the holder of the things have changed then khums should be paid by the new holder on the date of khums, plz clarify it n if possible plx give the references. JazakAllah

Answer: 1)If a person cannot prepare all the dowry for his daughter at the time of her marriage, and has to do so over a few years, and if it is deemed unbecoming for him not to give away any dowry, Khums will not be liable on what he purchases during the year, provided it is within his means. But if he exceeds his means, or spends the profit of one year to buy the dowry in the following year, he will pay its Khums.
2)If a person acquires wealth without having worked for it , like, if someone gives him a gift, and that wealth exceeds his own annual expenses, he should pay Khums from the excess.
(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1723, 1747)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
46632
Mujtahid:
Masala Date:

Question: Assalamualikum. In the non Islamic country there are some organizations which collects zakat and like that in Baitul maal to donate amongst poor. My question is in non Islamic country is it right. Please reply in english.

Answer: If the Organization has the permission to take Zakaat and Khums by the mujtahid/mufti(Islamic jurist) so it can be given the zakaat and khums.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1889 , 1816 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
47846
Mujtahid:
Ayatollah Sistani Date:

Question: kiya bonus per khums niklta hy?

Answer: Saal k doran jis waqt bhi kisi shakhs ko munafa milay os munafay par khums nikalna wajib hai jo saal k doran istemal na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1736)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
47878
Mujtahid:
SISTANI Date:

Question: can i change my khumas date

Answer: Khums ki date ko change karnay k lie aap ya to apni purani date ko khums nikal dain phir jab sai aap ko koi amdani hasil ho gi wo aap ki new date ho jae gi ya aap koi khas date fix karna chahtay hain to aap os din apna sara hisab kar lain aur khums nikal dain to wo aap ki khums ki new date fix ho jae gi. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 84, pg # 52)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
49384
Mujtahid:
Date:

Question: khums kiya hota he or mean kiya he iske plz btadijiye .

Answer: Khums maal ki bachat ka paanchwa hissa, 1/5 ya 20% hota hai).
Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). mus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums denaho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804) jo shaks kise kaam dhande se kamai na karta ho balke logo ya hokomat ki madad per is ka ghuzara ho ya ise itefaqan kohe nafa hasil ho jaay to jab ise ye nafa mile us waqt se aik saal ghazarne k baad jitney mikdaar is k saal bhar k akrajaat se ziyada ho zaroore hai k us ka khums de .is ahtebaar se har munafe k lye aik alaida saal bhi qarar de sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
50576
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: salam Q: kia khums mahana salary milty hi nikala ja sakta hai , jabky maloom ho ky maheeny ky bad kuch bach nahin paaey ga?? is liye salary milty hi nikal diya jaey??

Answer: Saal k duraan jis waqt bhi kisi shaks ko munafa mile wo is ka khums de sakta hai aur us k liay ye bhi jaiz hai saal katam hone tak is khums ki adaigi tak takheer kar de. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1736) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
51928
Mujtahid:
sistani sabb Date:

Question: slam agr kumus ki date par kumus nikani ki badd koy chiz ghar may nazar ay ya hum bhool gy ho to ky jab bhi dkhi to kumus nikal sakti hi?aor jo kumuss ko kamasala na samjhti hoi kfi year tak kumus na dya ho ab vo kya kari?

Answer: Wssalam o alykum, jab mile us hi waqt kums nikaalna wajib hai. or kafi year tak kums na dene ki sorat main mujtahid ke wakeel ki taraf tak ruju kare.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1722 , 1767 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa karne wala hai)

Print

Id:
52054
Mujtahid:
ayatullah sistani Date:

Question: assalam o alaikum; Meri 1st salary 5 January 2012 ko milna start hui jese k maine khums masail mein parha yehi meri date hai.. darasal main last year yani 2013 february mei foreign visit pe gaya or 16 march ko wapas aya wapsi pe ta/da mei se kuch amount mere pass save hua jo ab tak save hai ab mai wo amount ziarat pe jane k lye kharch kar raha hoon jo 16 march se pehle use hojaenge .. ab sawal ye hai k kya muje is saved amount ka khums dena hai kyun k agar 16 march k hisab se dekha jaye to 1 saal nahi hua mager 5 january k hisab se dekhen to 1 sal hogaya hai.. wassalam

Answer: Ayatollah sistani k fatwe k mutabiq salary milne ki date khums ki date nahi hoti balkeh job ka pehla din hi khums ki date shumaar hota hay. Lehaza aap ko khums 5 january 2013 ko nahi balkeh os se bhi pehlay jis tareekh ko aap ne job start ki wohi tareekh wapas aa jay tu jitni raqam or ghair istemaal shuda maal maujood ho, oska khums daina wajib hoga. (Tauzeh-ul-masail,ayatullah Sistani d.b.,33th edition,mslah#1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
53367
Mujtahid:
Ayatollah Sistani Muqalid Date:

Question: Assalam Alaikum My question is regarding the percentage of khums if not paid for a few years. Does it become 25 percent? Also is khums paid on leftover shampoos, lotions, make up items etc which are not used within a year? What about books? Started reading a book but could not finish it by the end of the year. Jazakallah

Answer: If you will pay the amount of kums by income of new year and you have the amount in which was not paid the khums so you have to pay 24%, except means if you pay the kums by the amount in which was not paid the kums or you do not have the perivious amount of kums so you have to pay 20%.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1, Maslah # 1250 , eidition # 1414).
If a person before paying the kums purches the things for the usage of home by the income then if he does not need to use these thing like as you told during the year so if these thing from those which will be used in feature like blanket so there is no kums on these thing except you have to pay the kums. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1751 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
53661
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Assalam O Alaikum 1. mera sawal ye hai k mey ne kuch raqAm udhaar di hai aur meri khums k date qareeb hai to kia meri udhar ki raqam par bhi khums lage ga? 2. Kisi ki raqam amanat hai mere pas to kia is par bhi khums lagey ga?

Answer: insaan k lie us maal k bhi khums nikaalna wajib hai jise dosere ko ak moiyan mudat k lie qaraz diya ghaya ho.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 103 pg #58)
Jo raqam insaan k pass kise dosere insaan ke amanat k tour per ho is raqam per amanar rakhne wale per khum wajib nahe hota . .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 103 pg #50)

Print

Id:
54236
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: I have many Islamic books which is not read I had got some of books free of cost I had to pay khums on it if read half then khums is liable on half or quarter of the book. if I got a thing before one day of the date of khums is khums is wajib on it. kindly inform

Answer: Ager khums ki tareekh tak in kitaboo ko istemaal nahi kiya gaya ya kiya gaya ho mager khums bachane ki niyat se or in ki resale value ho to in ki mojooda qimat e frokht k lihaaz se kums diya jaae ga, chahe ye free of cost aae ho ya ap ne kharedi hon, or is hi terhan chahe date se ik din pehle aae hon ya sal ke pehle din khums daina hota hay.
Or ager khums ki tareekh tak in ko istamaal kiya ho (agarchah aik page ya os se kuch kam perha ho) ya in ki resale value na ho to in per kums nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1750 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
54265
Mujtahid:
Date:

Question: Main nay 28 december ko apnay khumus ka din mukarar kiya hay ab mairay samnay masla yeh hay ki meri pichlay saal kay kuch mahinoun ki tankha band thi ab woh tankha es saal main marey khumus kay date guzarnay ksy baed release huie ab es rakam pay khumus lagay gi ki nahin

Answer: Ager aap ka office private hai to is per foran kums dena ho ga yani jis din mili os din daina wajib hoga, or ager government hai to is ko is saal ki aamdani main shumaar kiya jaae ga or is saal ki aamdani ke sath is ka kums nikaalna ho ga. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 115, pg # 53). (Ref : aqa sistani,Jadeed masail , Topic # jo tankuan saal e kums ke baad mile is ka kums , pg # 35 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Print

Id:
58255
Mujtahid:
Date:

Question: Salam sar mera ap sy sawal ha k mery husband ki salary 50000 ha over time dal k 60000 ha main khums dena chati hon lekin mujy nai smj a rahe k is py khums kitna dena chaiye ya kitna banta ha or dosri bat salary main sy bachat awal to nikalti he nai ha lekin agr thori c nikalti b ha phr b main dena chati hon ap is k bary main mujy detail sy batain ta k mujy or ye sawal parny walon ko b information ho jaye

Answer: Tajir,dukaan daar,karigar,mulaazmat(job) karnay walay aur isi tarah dusray kamanay walay hazraat k liay zaruri hay k jab say unho nay kaam ya job shoru ki ho, aik saal guzar jaye to jo kuch in kay saal bhar kay akhrajaat say ziyada ho iska khums(5th hissa/20%) day. (Ref: Tauzeehul Masail Ayatullah Sistani (d.b), Masla#1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Print

Id:
61577
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalam o alekum 1. makan bane me jo kharch ho usko bachat ya kharch me shumar karenge 2. agar mera makan 2 ya 3 sal me mokammal ho ,sal ki aamdani se thora thora kam karate rahe to uska kea hukm hai

Answer: 1 – ager ye kharch is ki hasiyat ke mutabiq ho to karch shumaar ho ga or is per khums nahi hai. 2 – Ager ye un afraad main se ho jo 1 saal main ghar nahi bana sakte or her saal main makaan ki tayyari ka kharch is ki shan o hasiyat ke mutabiq ho to is per bhi khums nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1 , sawaal # 93 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
61620
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: assalamwalaykum...mere walid sahab marhoom ka inteqal 2011 me ho gaya tha aur unhe meeras me ek property mili thi jo hm logo ne use 2009 se bech rahe hai aur abhi kuch zameen bachi h to kya hme is property par khums dena hoga jo hm log amount pa rhe h....shukriya

Answer: Wssalam o alykum, ager ye zameen ap ko wirasat main mili hai or ap ke walid sahib khums dete the or wafaat ke waqt un ke zimme kums ki raqam nahi thi ya kums dete hi nahi the to ap ke wirse main ane ke baad is zameen per or is ko beech kar milne wali raqam per koi khums nahi hai, lekin ager is zameen se ya is ki bech kar milne wali raqam se munafa kamaya jaae or wo saal ke ikrajaat ke baad bach jaae to munafe ki us bachi hoi raqam per khums hai.
Or ager walid sahaab kums dete the or wafaat ke waqt un ke zimme kums ki raqam thi to miraas se kums nikaalna wajib hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1722 to 1725 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Print

Id:
62942
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: as salam janab main pabandi se khumes ada karta hoon laikin 2 sal se mujh par khumes wajib nai hua to batain main jo apni bivi ko mahana kharcha daita hoon wo commetti dal kar saving karti hai tu kiya us ki saving par khumes wajib hai

Answer: jo paise insaan apne wife ki milkiyat k tour per deta hai to phi us ki wife un paiso ki maalik ban jati hai aur in paiso k silsile me shohar per koi khums wajib nahi ho ga . In paiso per bivi ki khums ki tareekh per bivi per khums wajib hoga.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 99 pg #55) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Print

Id:
65645
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: AoA, Agr 1 saal me 1000 bachat ki aur 200 khums dia, baqi 800 bach gae. Next saal k end per kia ye khums ada kerda 800, aglay saal ki bachat 1000 me jamma ker k khums nikalna hai ya sirf dobara 1000 per he khums ada kerna hai?

Answer: Agle saal khums datay waqt jitni raqam aap k paas ho os main se pichle saal ki khums ada kerne k baad ki bachi hoe raqam(yani mukhammas raqam) ko alag kerna jaiz hay or os per khums wajib nahi, agarche wo raqam naey(new) saal ki amadani aane se pehle hi kharch bhi ho chuki ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435h, part#1,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 18-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66108
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Asa. Mai das saal say apni job k bad say baqaidhi khums deraha hon. Per ab meri new job lagi hai alag mulk main aur meri muayyan kerda khums ki tareekh say ek maha phelay. Meri pheli job ki saving khatam hogae meray khums ki adaegi say phelay aur new job ki salary muje apni purani muayyan krda date say 10 din phelay milay gi. Kia main new job ki salary pay khums nikaloga? Ya ek sal ki saving k bad?

Answer: Aap ya tu apni purani khums ki tareekh per khums dain ya khums ki tareekh se pehle bhi khums diya jasakta hay or phir aap ki tareekh tabdeel ho ker wohi ban jaey gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
66485
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date: 2024-03-18

Question: khums k masil

Answer: Khums ke bare me kya sawaal hay ???
[Updated on 18-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Print

Id:
67692
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Khums kab wajib hota hai? or iska nikalne ka kya procedure hai?

Answer: Aap khums ki tafseel jaane k liay is link per click karain.( http://www.sistani.org/urdu/book/61/3645/). Update on dated 12-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
70203
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani Date:

Question: Salam. I have life insurance policies on which i pay premium annually. For that purpose i keep a side a specific amount every month. Would that payment allowed to be deducted from the savings for the calculation of khums?

Answer: If before premium due date , khums date reached, then khums will be paid on that amount. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e Khums o Fitra, Mutarajjim Syed Tabish Jawaid Rizvi, Mafhoom e Maslah #2298,2320). Update on dated 07.03.16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print