Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions:


Question & Answers << Go Back

Topic: Nikah (1186 Questions)


Showing 50- 100 questions from 1186 questions on this page.

Answers found for searched words
Id:
1511
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I want to ask that if we know about a person that he does not offer his prayers can we merry him and if propsole of any momin does not come what should we do?

Answer: Agar gumrahi aur inhiraaf ka darr ho to jaiz nahi hay.Ref:www.sistani.org (urdu) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1512
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I want to ask that if we know about a person that he does not offer his prayers can we merry him and if propsole of any momin does not come what should we do?

Answer: Agar gumrahi aur inhiraaf ka darr ho to jaiz nahi hay.Ref:www.sistani.org (urdu) .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id:
1567
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Nikah ka Seegha Kya hai ( In Arabic)

Answer: B.T. agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)

Print

Id:
1581
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam,ajj ka her mujtahid syed lerki ki shadi non syed sy jaiz ker rha hy but hedese n aaima masoomen k fermeeen ki roshni main yea heram hy, keya mujtahid nabi n aaima sy zaida janta hy?jo cheez nabi n fermaan e masoom sy waziy ho tu b mujtahid sy pochni wajib hy?keya kissy imam ny apni kissy beti ki shadi non syed main ki?

Answer: syeda larki ka syed larkay se shadi karna wajib nahi hai. REF: www.sistani.org mazid maloomat ke liye Aqai Sistani (d.b.) se rujua kiya ja sakta hea. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1645
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khumeni Date:

Question: Can a sunni maulvi conduct a nikah of a sunni man with a shia girl in a shia way, if so what are the main requirements of the nikah in a shia fiqh?

Answer: jee han, Aqade nikah ki sharayet me hain ke:-
1. ahteyat wajib he ke sahih arabi me padha jae.
2. sigha padhne wala aqalmand ho or ahteyat wajib he ke baligh bhi hon.
3. ye ke mard w orat or uska wakeel sigha padhte waqt qasde insha rakhte hon. (ref: tawzihul masail, Ayatullah Khumeni masala no. 2367, page no. 391)

Print

Id:
1649
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Does Allah make pairs for marriage before birth or He has given us the choice of marrying someone suitable.In other words is it really a fact that marriages are made in heaven even before a person is born?

Answer: islam ne shadi ke maamale me insan ko apani pasand or napasand ka pura ikhteyar daya he. or shariee hudud ka khiyal rakhte hue ladke or ladki ko ek dusare ko dekhane ki bhi ejazat di he. ye jumala jo kaha jata he ke jode asmaano par bante hain is ka hargiz ye matlab nahi he ke Allah ne insan ko majboor kar daya he. balke is se murad yeh le sakte hain ke shadi ke baad jo do insano ka rishta qaim hota he wo parwardigar ke pehle se maloom hota he. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1650
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Is it really a fact that marriages are made in heaven before birth or Allah has given this choice to man? Secondly is it okay to watch television drama series which do not have songs and dances in them?

Answer: islam ne shadi ke maamale me insan ko apani pasand or napasand ka pura ikhteyar daya he. or shariee hudud ka khiyal rakhte hue ladke or ladki ko ek dusare ko dekhane ki bhi ejazat di he. ye jumala jo kaha jata he ke jode asmaano par bante hain is ka hargiz ye matlab nahi he ke Allah ne insan ko majboor kar daya he. balke is se murad yeh le sakte hain ke shadi ke baad jo do insano ka rishta qaim hota he wo parwardigar ke pehle se maloom hota he. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1655
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: merey sawal ka zara detail main awr ager mumkin ho to zara jaldi jawab dijiyega mamnoon rahoon ga. merey aik dost ki shadi unkey walidain ki merzi se unki aik rishtedar ladki ke sat hooyi, ladki umr main 8-10 sal choti ti unse yahi koyi 17/18 ki hain. Khair nikah ke bad jab rukhsati hooyi to un sahiba ne pihli fursat main hi merey dost se kaha keh wo un se nikah nahi kerna chahti teen balkeh unko koyi awr pasand hey. Awr un se nikah qasam dila ker kerwaya gaya hey. Janab hamari taraf choonkeh perdey ke system ki waja se nikah khwan perdey ke us par se eejab-o-qabool ka farz anjam datain hain, awr zyada inhesar waliyan per kertey hain, isliye unko bhi is keliye qusoorwar nahi tehraya ja sakta. Ab merey dost sahib ne unko dosrey ya tisrey din apney gher(maika) wapas baij diya baghair kisi azdawaji taluq(dakhool) ke. Ladki ke ghar waloon ko pihley se is bat andaza ta baqol us ladki ke keh main ney ghar main pehley se bata raka ta lakin wo log bazid tey. ab mera dost us ladki ko rakney keliye bhi tayar nahi awr Talaq ka soch raha hey. Janab Maulana sahib ab is nikah ki sihat ke barey main awr iski mad main jo Mahar tey hoowa hey uske barey main bi kiya hukam hey (qeunkeh merey dost ka kehna hey keh nikah jab hoowa hi nahi to Mahar kis cheez ka.) awr sat sat is Talaq ka bhi hukam bata dijiye. iltemas-e-Dua

Answer: bismehi taala,
agar orat or mard dono ko ya in me se ek ko izdwaj par majboor kiya jae or nikah padhe jane ke baad wo ejazat de dain ya koi kam aysa anjam dain jo razamandi par dalalat kare to nikah sahih he. lekin bahetar ye he ke dobara nikah padha jae (ref: tawzihul masaail urdu Aqai Sistani (d.b.w.) masaala no. 2334 page no. 357)
agar maloom ho ke orat dil se razi nahi thi or us ne zaheran iqrar kiya tha to aqad batil he. (ref: minhajus saleheen Aqai Sistani jild-3 (maamelat) masaala no. 41, page # 20)

Print

Id:
1728
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agr kisi wja sai koi larki 24 sal ki umar tk haiza na ho or medical reoart k mutatbiq us mai koa kami ho to kia wo larki kisi sai shadi kar sakti hai ?

Answer: kar sakti he (ref:al-masailul muntkhba Aytullah Seestani (d.b.) masala no.966) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1741
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: agar khawand apne bewe ko ghalat rastay say istimal karay tu nikah toot jata hay ya nahi

Answer: bismehi taala, nahin tootata. (Ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2389)

Print

Id:
1805
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera yeh ha,ager aik larka kisi larki ko force kar nikha k l ia sath le jaey aur apne aik dost ko gwaha ban k molwi se nikha parhwaey aur larki se sign bhi le le lakin larki dosery room mein ho to kya nikha ho jata hai....ya nikha gaalt hai.

Answer: bismehi taala, sharayete nikah me se 5th shart yeh he k orat aur mard dono nikah par razi ho. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2379)

Print

Id:
1810
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Mera sawal ye hai k main aik larky ko chahta hoon shez already married or us k teen bache bhi hain or wo apne husband k saath rehne k lie raazy nahin kiun k wo wahan khush nahin prob ye hai k humare darmyan hum bistari hochuky hai kia wo apne shohar se talak leker mujhse shady ker sakty hai? main kunwara hon.

Answer: shohardar orat se zeena karne ki wajah se wo orat ahteyate wajib ki bina par aap par hamesha k liye haram ho gayee he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2412) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1894
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: main aur ek larki ek dosry se pyar karty hain mere ghar wale razi hain us larki k ghar rishta bhaija bohat koshish ki per wo nai manty hain unhen mujse nafrat hai us larki ko qaid kar k rakha hy education milna julna sare contect khatam karwadiye hain usk parents ne mager larki ab bi mera sat dati hai. sawal ye hay k agar hum bhag k shadi karen to kya uski ijazat hy? 2nd ye k nikah k lie kaisy witness ki zarurat paregi q k larki ki taraf se koi nai sb us ka sath chor chuky hain koi dost ya cousin nai jo sat de?

Answer: jo ladki sane bulug ko phonch chuki ho or rashida ho yaani apna bura bhala samaj sakti ho agar wo shadi karna chahe or kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2336 .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1900
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalamualaekum mera sawal a hai k kya mae meri biwi kaa badan barhana(nude)mubashrat k dauraan dekh sakta hon kya meri biwi bhi mujhe usi halat me dekh sakthi hai

Answer: Mian bewi aik dosray ka poora badan dekh saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.327 Aytullah Seestani (d.b.) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1901
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Hi Asslam o Alikum. Mujhe Eik Sawaal Kerna Hai.Kay Shaadi Shuda Aadmi Kissi Shaadi Wali Aurat Se Payar Kerna jaiz Hai?Mai UAE Mai Rehta Hoo Aur Mujhe Yaha ki Eik National Aurat Se payar Hoo Gaya Hai Masla Yeh Hai Ka Woh 5 Bacho Ki Maa Hai Lakin Us Ka Apney Husband Se Kafi arsey se koi jismani relation nahe hai.aur us aurat ka dil mai apney husband ka liye koi jagha ya chahat nahe hai bas woh us ghar mai apney bacho ki wajha se rehti hai.Kiunke us ka husband ussey batayee bagair shaadi kiya 2nd.aur us ka husband us ko sabh kuch detta ai khaney ko peene ko lakin aurat ka haq nahe detta us ko.Woh Aurat jaanti hai ka Mai us ko Payar kerta hoon.Aur Woh Is Baat Se Bohat Khush Hai.Lakin Hum Dono Kuch Galat Nhe Kerna Chahtey. Ager Hum Dono Ko Eik Dosry Se Shaadi Bhi Kerna Pari Tu Hum Dono Tayar Hai.But Hum Dono Shaadi Shuda Hai. Ager Aisey Mai Hum Dono Eik Dosrey Ko Sachey Dil Se Chahtey Hai Eik Dosrey Ko Takleef Mai Nahe Dekh Sakktey To Kiya Hum Dono Eik Dosrey Ko Jismani Sakoon Deyy Saktey Hain. Reply Kerye Gaa Jaldi Plz.Ager Possible Hai tu plz is ka jawab mujhey e mail mai ker dijiye gaa. Hum Dono Eik Dosrey Ko Sachey Dil Se Chahteyy Hain.

Answer: mard k liye na-maheram orat ka jism dekhna or isi tarh us k balo ko dekhna khawah lazzat k irade se ho ya is k bagair haram he (tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 2442) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1927
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalam-u-alaiakum janab mera sawaal ye hain ka mari shadi hone wali hai to app se ya poochna cahta hu ka biwi ka sath jansi talluqaat qayam karne ka tariqaqar kya hai islam ki rooh sa mai app ka jawab ka intazar karu ga. shukariah

Answer: miya-biwi jis tarh bhi dono razi ho ek-dusre se lazzat utha sakte hain. haiz ki halt me jemaa karna jaiz nahi he or maqaad me dukhul nahin karna chahiye.(www.sistani.org. topic: ham bistari q.5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1930
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: assalam-o- alekum masala yehai ke agar kisi mard ya aurat ka shadi ka irada ho tu wo kisi bhi na mehram se shadi se pehle baat cheet ya mulaqat karsakte hain ya nahi jabke dono aik doosre ke lie na mehram hain or ye mulaqat doonon ke ghar waloon ke baghier alag kamre main ho rahi ho magar ghar waloon ko pata hai?

Answer: Ek kahtoon se aysi batain ki ja sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasad ki soorat main n nikal raha ho jab k koi aysi bat bhi na ki ja rahi ho jis ka kisi ajanabi kahtoon k sath kiya jana munasib nahin hota. isi tarah bagair lazzat k erade k us ki batain bhi suni ja sakti hain jab k haram main n padne ka bhi etminan ho. albatta orat ki zimmedari bhi he k wo apni awaz ko atna khubsurat or barik n banae jo insan k jazbat ko abharne wali ho. (mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 4 q.127 pub. by quran-o-itrat academy) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1994
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Khamnaie Date:

Question: jesay ayatullah sistani k hisab se hai tou kya ayatullah khamnai k hisab se bhi kya larka larki khud shadi ker sktay hain baghair kisi wakeel k ???

Answer: aap www.khamenei.ir par ruju karain .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
1998
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: jesa k raat main nikkah sunnat hai tou kya larka larki khd din main nikkah ker sktay hain ?? koi msla tou ni ??

Answer: s.a. aap apna sawal www.sistani.org par bhajain.

Print

Id:
2033
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assamalaikum mera sawal hat kar hai laikin aaj ke zamanay ke hisaab se hai ke meray husband ko bivi ki hajat bohot kam hoti hai jaisay das ya pandra din mien aik baar. to kya hamaray liay is sabr ka koi ajar hai jab kay mien 25 hoon abhi ya koi tareeqa ya wazeefah hai husband ko paas laanay ka

Answer: shohar apni jawan biwi se char mahine se ziyada ke liye ham bistari tark nahi kar sakta (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2377) jab zawja char mahine tak sabr na kar sakti ho is tarh se ke shohar ko khof ho ke agr us ne ham bistari na ki to zawja haram me pad jayegi is soorat me ahteyate wajib ki bina par shohar ko char mahine se pahle ham bistari karne me jaldi karni hogi (minhajus salehin Aytullah Seestani jild-3, page104 masaala no. 341) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2035
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salaam janaab mera ek Q. hai ki mujhe hum bistrai ki doa nahi aati aur meri jaldi shaadi hone wali hai kya aap mujhe doa mail kar sakte hai me aap ki mail ka intzaar kar rahaa hoon khudha hafiz

Answer: is mawqe par khas koi dua padhna wajib nahi he, albtta shabe jufaf ke kuchh aadab he k jo mutaleqa kitabo me mil jayengain. .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2047
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: bina kisi gawah k nikah yani larka larki khod hi Allah ko hazir nazir jan kar ek dosry ko apny nikah mai Qoboll kar sakty hai kya?

Answer: b.t. jo ladki sane bulug ko phonch chuki ho or rashida ho yaani apna bura bhala samaj sakti ho agar wo shadi karna chahe or kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2336) agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)

Print

Id:
2052
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar mai sunni ladki se shaadi karu toh jayaaz hai hai toh kaise

Answer: agar gumrahi ka khof n ho to sahih he, albtta ye tabaee tor unhi logo me se ho sakta he jo ahlebayt ahlhemusslam se dushmani rakhne wale n ho.(ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part-1 page 70) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2104
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam ....Kya ek baligh larki aur larka begair guwah aur wali ke khud apna nikah telefone par par saktay hain aur kya woh nikaah valid hai ?

Answer: w.s. jo ladki sane bulug ko phonch chuki ho or rashida ho yaani apna bura bhala samaj sakti ho agar wo shadi karna chahe or kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masala no. 2336) agar orat aur mard khud daimi nekah ka seega padhe to maher moyyan kar ne ke bad pahele orat khe : "zawwjtoka nafasi als sedaqil maaloom" yaani me ne is maher par jo moyyan ho chuka he apne aap ko tumhari biwi banaya aur is ke lamhe bhar bad mard khe : "qbiltuz tazwija" yaani me ne ezdwaj ko qabool kiya, to nikah sahih he aur isi tarh agar faqat "qbilto" khe tab bhi nikah sahih he. (tawzihul masail Aqai Sistani d.b. masaala no. 2328) (sahih arabi ibarat ke liye kitab me dekh liya jae. thanks)

Print

Id:
2116
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Larki ki umar 30 saal hai aur independent hai. walid aur dada hayat nahi hain to sirf walida hain to kya is soorat mein bhi larki ko shadi ke liey ijazat lena zaroori hai?.

Answer: bismehi taala, agar ladki jis se rishta karna chahti he wo urfan aur sharaan us ka ham-palla he to is soorat me jab k walid aur dada hayat nahi he ijazat zaroori nahin (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani masaala no.2386)

Print

Id:
2121
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kiya baghair khatna k shadi hojati hai ?

Answer: jee ho jati hain. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2330) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2136
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: kia islam main pasand ki shadi jaiz hai?aur kia hm ALLAH se pasand ki shadi ki dua mang sakty hain ?

Answer: 1) aurat apne pasand ki shadi kar sakti magar agar ladki kunwari he to zaroori he k bap ya dada bhi us shadi par muwafeqat kare 2) munasib yeh he k ladki ayse ladke ka intekhab kare k jo dindar, pakdaman, achhe akhlaq wala, sharab aur digar gunaho se bachne wala ho (Al-Fiqho lil mughtrebin Aytulla Seestani masaala no.395 & 386) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2137
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A.A qibla main bht ziada pareshan hon mujhy koi rasta nazar nahi a raha,main apne aik couzn ko pasand karti hn us k sath shadi karna chahti hn ,woh b mujhy psnd karta hai pr us k ghr wale hamari shadi k liy nahi manty halanke woh hamary rishty dar hain aur mery ghar wale b un logon ko bht psnd karty hain , aur main sachy dil se us k sath apna ghar bsana chahti hn ,woh lrka khta hai k main sari zindagi shadi nahi karon ga agr tmhary sath na hui tu ,pr woh apne ghr walon k agy bhi nahi bol sakta ,aur main bhi kisi aur k saht zindagi nahi guzar sakti

Answer: Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hia kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Sistani 2) Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 2392 in masail ko madde nazar rakhte huye ab aap apne is rishet ke liye yeh wazife anjam de sakte hain: 1) 11 times durud aur phir 101 times Ya Allaho Ya Rahmano Ya Rahimo Ya Kareemo Ya Hayyo Ya Qayyum padhe (ref:naeemul aamal page no.314) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2164
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mujhe sunni ladki pasand hai kia me us se shadi kar skta ho.

Answer: jaiz he agar woh nasebi na ho (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2406) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2197
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Aoa... can non syed shia boy marry syed shia girl.& they both like each other alot. plz don mention my name & mail id. thanks

Answer: w.s., Syed Shia ya Ghair Syed Shia ka kisi Syed Shia ya Ghair Syed Shia say nikah main koi haraj nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-32

Print

Id:
2321
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Agar mian aur biwi ke sexual relation qayam na huay hon kya Huq mehar phir bhi ada karna hoga ?

Answer: Biwi se jima na hone ki surat me nikah me moiyan shuda mehar ka aadah(half) mahar dena hoga. (ref:www.sistani.org/arabic/mahar/q4). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2322
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: assalam u alikum mera sawal yai hai k mera nikah howa wa ha,rukhsati abhi nahi hoie hai 2 sal hogae hain hamaray nickah ko or main apni bivi sai milnay un k ghar jata hon, or hum sex kartay hain, tou kia yai jaiz hai

Answer: aqd k dawran ladki-ladka miya-biwi ki tarah hain, in me aur dusre shohrao aur biwiyo me koi farq nahin he. han hamare maashare me aam tor par aqd me yeh zimni shart karte hain k ladki ke liye zaroori nahi he k (rikhsati se pehle) woh dukhul k liye shohar ki shart ko qabool kare. (www.sistani.org/urdu/shadi/q41) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2335
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Asalamoalikum mera ya sawal hy k kia biwi shohar ki sharam gha ko zaban laga sakti hy ya mun main dal sakti hy kia ya sahi hy i am waiting your answer Asalamoalikum

Answer: Aisa karna Jaiz hay,magar ye kay ratoobat Halaq mian nah jaay.isi terah biwi mard ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice)) kar sakti hai.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2347
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Salam, Kia non mulsim girl ko be us k parents ki permission laina zaroori hai,even ager wo virgin nahi hai. Aur ager virgin hai to kia hukum hai..? Talib e dua

Answer: Jee haan.lerka kawari(virgin) lerki say os waqt tak mut’ah ya nikah nahi kersakta jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho.
aik dosri sorat ye hay k jis per amal kia jasakta hay,k agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org & Minhaa jus saliheen part#3, maslah #70)

Print

Id:
2348
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam mera swal a hia k main ek talaq ladki se shadikarna chahta hon o mare se 2sal badi hai ladki bhi razi hia mian us ladki se shadi kar sakta hon ya nahi a islam zayij hia ya nahi pls mujhe is ka jawab jaldi dejye

Answer: yeh shadi jaiz he, agar ladki kunwari ho to use chahiye k apne bap ya dada se ijazat le (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2379 & 2385) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2370
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I have a question fron Ayat-ul-Allah Sistani sahib. Can I intercourse with my wife from back side but in pussy? KIya aik shia apni wife ke saath humbistari kersakta hain peeche ki taraf se lekin wife ke aage wale sorakh main

Answer: shohar k liay apni wife k saath peeche ki taraf se aage wale soraakh(sharam gaah) main hambistari kerna jaiz hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen part #3, maslah#228) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2371
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: salam, sir main ek larki say mohabat kerta hoon or wo b muj say bepanah mohbat kerti hai. hum dono ek doosray say shadi kerna chahtay hain. but meray ghar walay us larki ko accept nahi kertay. mera sawal ye hai k agr hum dono court marriage ker lain to islam main is k kia massail hain?

Answer: kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho.
agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddta bhi khatam ho chuki ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi. isi terah agar baap ya dada os merd k saath osay shaadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Ismlam ki nazar main) or urfan(maa’aashay ki nazar main) os k brabari(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada ki maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay. Mazeed ye k court marriage kerna sahi nahi.kun k court marriage main nikah ki jo shrait hain on per amal nahi hota.maslan nikah k sighay (bool) arabi zaban main perhna waghirah. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2341,2342 & minhaa jus saliheen,part #3,maslah #70).

Print

Id:
2402
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mubasrat kay masail

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #3,maslah #5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2414
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: my question is that k jab mai off sa ata hoo to meri wife kapray utar k bethi hoti hai khas tor par meray lya.kia ya sab karna mari wife k lya jaiz hai.aisi baat nahi hai k wo out class hai,bus wo meray lya aisa kar rahi hoti hai.

Answer: Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k.is liay aap ki bivi ka ye amal bikul jaiz hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11).

Print

Id:
2457
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-06-07

Question: kya muttah kr k .. larki k peechay say satisfaction li jasakti hay...2.kya larka larki kay brest choose sakta hay

Answer: 1) Bivi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). 2)Shohar bivi k breast choos sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur us mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2480
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: bevi kay sat islam kay mutabik kia jais ha khalwat may kan kan haat laga saktay hain

Answer: Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,part:3maslah #11) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2483
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: na jaiz hammel wali owrat sy nikah jaiz hn kia?ager kar lia ho tu bhad main pata chal jy tu nikah ho gya ya nhi?

Answer: Agar koe ghair shadi shuda aurat nay zina kia ho tu, aisi aurat k saath iddat k baghair nikah jaiz hay.or agar khud wo shaks jis nay os aurat say zina kia ho tu wo(merd) tuba kernay say pehlay os aurat say nikah nahi kaersakta.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2364)۔

Print

Id:
2500
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: kia aisi baligh larki apne baap ki ijazatk baghair shadi ker sakti hai....jis ka baap ghar ke mamlaat say bilkul alag rehta ho...jo ghar k kisi bhi mamlaat main dakhal andazina kerta hoo......... please answer...

Answer: Baap-dada ki ijazat us soorat me bhi shart he aur agar ladki apani zindgi me mustqil ho tab bhi ijazat zaroori he (ref:www.sistani.org/urdu/shadi/q28) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2516
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: I like this guy(cousin). i want to marry him. and i want him, his father and mother to like me and ask for me to marry him. is there any wazifa i can read??

Answer: In case a girl, who has reached the age of puberty, is virgin and mature (i.e. she can distinguish between what is good or bad for her) wishes to marry, she should obtain permission in this behalf from her father or paternal grandfather, likewise on the basis of precaution (Ehtiyaat e wajib), though she may be passing her life independently. It is not, however, necessary for her to obtain such permission from her mother ?????or brother.(Ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail Maslah#2341)
Bismehi taala, 1) Recite 11 times durud and after it 101 times Ya Allaho Ya Rahmano Ya Rahimo Ya Kareemo Ya Hayyo Ya Qayyum (ref:naeemul aamal page no.314) 2)If sura-e-muzammil recite 41 days and ask to Allah for marriage to him (inshallah) your marriage will be done with him.REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.

Print

Id:
2517
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: mera question ye hy k bivi k saath jama ka islami tariqa kia hy? kindly detail me sirf isi ka jwab den q k pehly bhi ap se ye sawal pocha gya hy lakin uska koi proper jawab nahi mila plz mujhy sirf isi ka complt deatil answer dy den

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.3,maslah #.5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2528
Mujtahid:
Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: asslmoalaikum... 1)mubah ka kya matlab hai... 2)for example mai agar kisi suni larki ko 3 barr qabool hai bol daita hoon..or laki bhe keh daiti hai tu kya iss sai nikh hoo jata hai meaanz witout siga..or documents...plz detail mai answer dijiye ga ....i m confused...reply asap

Answer: 1)Mubah ka matlab jaaiz or halaal kaam(ref:Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail,pg#478).
2)Nikah ki khuch sharait hain jin ka khiyaal rakna wajib hay warna nikah hi nahi hoga.jin main say khuch ye hain k i)nikah ka siga arbi zaban main ho agar sahi arbi main perhna mumkin hi nah ho tu kisi or zaban main perhsaktay hain, ii)agar larki kawari ho tu baap ya dada ki ijazat ho.wagahira(Ayat ullah Seestani(D.B),Tauzee hul masail,maslah # 2335-2342).

Print

Id:
2529
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: Assalamaleykum,mera question yeh hai , agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur usmai doodh aa jaye. toh kiya quran aur sunnat ki rosani mai kuch kaffarah hoga.JazakAllah

Answer: agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur usmai doodh aa jaye, toh oska koe kaffarah nahi hay.laikin ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2548
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: A/w molana sahab muzhe a bataye ki jiski shadi na hui ho or oh ladka jawan ho or uski halat aisi nahi hai ke shadi kar sake or use jinah ka dar bhi hai to aisi halat me use sex ki hajat ho to use kya karna chahiye

Answer: Agar koe shaks bivi nah honay ki wajah say kisi haram kaam say nah bach paa raha ho, os k liay shadi kerna weajib hay chahay aarzi waqt(muta) ki shadi hi kun nah ho. (ref: Ayat ullah Seestani (D.B) tawzee hul masail maslah#2407). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2549
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: aurat k aglay maqam main hambistari /jima(Intercourse)say bacha hota hai ya peechay k maqaam say?

Answer: Aurat k agay k maqam main hambistari(jima) krnay say bacha paida hota hay.Mazeed ye k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k razi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi razi ho tab bhi shadeed makhroh hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id:
2567
Mujtahid:
-- None -- Date:

Question: AOA,molana mera sawal ye hai k keya larki eak waqat main eak se zada mutha kar sakte hai..? Or scend thing jis terha virgin larki ko ijazat lene parte hai apne bap or dada se ,lakin jis terha islam main nikha k waqat larki ke marzi shamail hote hai yane apni marzi to is main baap or dada ke ijazat kyoun zarore hai mutha k doran agar larki kahine or shadi karna chahe or jab tak wo mard usko baqe ke din maf na kare to wo shadi kar sakte hay

Answer: Jee nahi, lerki aik waqt main aik say ziyadah mut’ah e nikah nahi kersakti.Mut’ah bhi nikah hi hay nah k khuch or.
kawari(virgin)lerki os waqt tak mut’ah ya nikah nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho.agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay.isi terah baap ya dada k maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat layna laazmi nahi hay.(yahaan kawari nah honay say muraad sirif ye hay k aisi lerki jo talaaq yaafta ho ya baywah ho or oskay shohar nay oskay saath hambistari /jima(intercourse) kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho.agar zinaa ya aisay hi kisi kaam say oska kawaraypan khatam hoa ho tu ye kawari hi kehlaay gi mutha k doraan agar larki kahine or shadi karna chahe or jab tak wo mard usko baaqi k din maaf na kare to wo shadi nahi kar sakti.kun k abhi wo pehlay merd k nikah main hay.or agar wo merd lerki ko din maaf kerdar or agar os merd nay lerki say hambistari ki ho to lerki 2 mukammal haiz aanay say pehlay nikah nahi kersakti.or agar hambistari nah ki ho tu lerki per koe iddat nahi. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org & Minhaa jus saliheen part#3, maslah #70,Tauzee hul masail, maslah#2342 ).

Print